SEARCH RESULTS
Showing search results for "तिरयाक़"
Ghazal MATCHES FOR "तिरयाक़"
Ghazal
zahr bhii ho to vo tiryaaq samajh kar pii le
kisii pyaase ke agar saamne paanii aa.e
Saqi Amrohvi
Ghazal
ab mire vaaste tiryaak hai ilhaad kaa zahr
tum kisii aur pujaarii ke KHudaa ho jaanaa
Ahmad Faraz
Ghazal
ik saa.np mujh ko chuum ke tiryaaq de gayaa
lekin vo apne saath miraa zahr le gayaa
Kaif Ahmed Siddiqui
Ghazal
KHud-gaziida huu.n ba.Daa zahr hai mere andar
is kaa tiryaaq hai raato.n ko jagaate rahnaa
Wamiq Jaunpuri
Ghazal
shaayad yahii tiryaaq bane zahr fanaa kaa
mai.n talKHii-e-ayyaam kaa sat khii.nch rahaa huu.n
Sajjad Baqar Rizvi
Ghazal
apne to liye zahr kii taasiir thii is me.n
go vaaste aalam ke ho tiryaak mohabbat
Qayem Chaandpuri
Ghazal
haalat-e-jazb me.n idraak kahaa.n se laa.e.n
zahr ke vaaste tiryaak kahaa.n se laa.e.n
Liaqat Jafri
Ghazal
nahii.n hai maslahat-e-Gam ko aarzuu tirii
tiraa jo Gam bhii na hotaa to aa.nkh nam hotii
Khaleel Mamoon
Ghazal
hamaare paas nahii.n Gam kaa aur ko.ii tiryaaq
namiida aa.nkho.n pe karte hai.n dam mohabbat kaa
Ataul Hasan
Ghazal
ban jaataa tiryaaq usii kaa zahr agar tum 'haidar'
ko.ii aayat pyaar kii pa.Dhte aur us par dam karte
Haider Qureshi
Ghazal
vaqt ke haatho.n me.n tiryaak bhii hai zahr bhii hai
us ko yak-ra.ng samajh kar na bharosaa karnaa
Urooj Zaidi Badayuni
Ghazal
KHufta the daa.e.n baa.e.n ka.ii maar-e-aastii.n
zahraab kaa asar mire tiryaaq me.n rahaa
Ejaz Gul
Ghazal
jo kuchh sharaab me.n hai.n kaifiyyate.n nashe kii
tujh me.n mazaa ye ko.ii tiryaak ho sake hai
Meer Hasan
Ghazal
mere sach me.n to ko.ii khoT nahii.n thaa 'sarshaar'
phir ye kyuu.n zahr se tiryaak kii buu aa.ii hai
Sarshar Siddiqui
Ghazal
KHizaa.n ke zahr kaa tiryaak agar nahii.n yaaro
gulo.n kii baat hai be-vaqt raagnii kii tarah