SEARCH RESULTS
Showing search results for ".qpdu"
Ghazal MATCHES FOR ".qpdu"
Ghazal
mire kaduu ko Ganiimat samajh ki baada-e-naab
na madrase me.n hai baaqii na KHaanqaah me.n hai
Allama Iqbal
Ghazal
miraa sabuucha Ganiimat hai is zamaane me.n
ki KHaanqaah me.n KHaalii hai.n suufiyo.n ke kaduu
Allama Iqbal
Ghazal
kyuu.nke bin kashtii-e-mai kiijiye sair-e-dariyaa
mai-kasho zer-e-baGal ab to kaduu TuuT ga.e
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
kabhii to de gul-e-dastaar-e-shaiKH buu-e-sharaab
qabaa kii bel me.n yaarab lage kaduu-e-sharaab
Muneer Shikohabadi
Ghazal
apnaa kaasa bhii tahii apnaa kaduu bhii KHaalii
daaG-e-diidaar-o-havas dil pe lagaa.e nahii.n hai.n
Asad Badayuni
Ghazal
saaqii se kah do sabza-e-tar me.n bahaa sharaab
Taa.nke kaduu kii bel qabaa-e-nabaat me.n
Muneer Shikohabadi
Ghazal
kuchh to anjaam-e-mohabbat kii KHabar ho us ko
meraa madfan jo miTaa.o to kaduu saath rahe
Abdul Mannan Bedil Azimabadi
Ghazal
palaa hai paanii se par sar cha.Dhaa hai paanii ke
nadii ke saat hai kam-zarfii se kaduu gustaaKH
Wali Uzlat
Ghazal
havas ko ishq bataa kar tahii-kaduu yaaraa.n
mai-e-ayaaG se chhalkaa ga.e lahuu yaaraa.n