SEARCH RESULTS
Showing search results for "ahrman"
Ghazal MATCHES FOR "ahrman"
Ghazal
yazdaan o ahrman kii hikaayaat ke badle
insaa.n kii rivaayaat ko dohraa ke guzar jaa
Saghar Siddiqui
Ghazal
KHudaa-o-ahrman badle vo iimaan-e-du.ii badlaa
huduud-e-KHair-o-shar badle mazaaq-e-kaafirii badlaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
gunaah aur hasii.n, ahrman ke bas me.n nahii.n
sitam-zariif ko.ii banda-e-KHudaa hii na ho
Shaz Tamkanat
Ghazal
hai ahrman se na ma.aluum kyuu.n KHafaa yazdaa.n
Gariib ko.ii kharii baat kah gayaa hogaa
Abdul Hamid Adam
Ghazal
'uruuj auro.n ko kuchh din hai ahrman kii tarah
faroG kis ko hai rindo.n ke baa.nkpan kii tarah
Kamal Ahmad Siddiqi
Ghazal
hazaar fitno.n kaa maskan hai siina-e-aadam
rumuuz-e-ahrman-o-kirdgaar kii baate.n
Yusuf Qamar
Ghazal
jilau me.n taabish-e-qindiil-e-aagahii le kar
bujhaa diye hai.n mohabbat ne ahrman ke charaaG
Abdur Rauf Urooj
Ghazal
kahaa.n kii manzil-e-maqsuud raasta bhii nahii.n
safar me.n saath KHudaa bhii hai ahrman bhii hai
Sulaiman Areeb Haidarabadi
Ghazal
naa-rasaa.ii kaa bayaabaa.n hai ki irfaa.n apnaa
is jagah ahrman apnaa hai na yazdaa.n apnaa
Zia Jalandhari
Ghazal
subuu uThaa ki ye naazuk maqaam hai saaqii
na ahrman hai na yazdaa.n hai dekhiye kyaa ho
Syed Aabid Ali Aabid
Ghazal
yazdaa.n KHataa mu.aaf giraa jaa rahaa huu.n mai.n
phir aadmii ke bhes me.n aayaa hai ahrman
M Kothiyavi Rahi
Ghazal
mire fasaane me.n yazdaa.n bhii ahrman bhii magar
vo Dhuu.nDhtaa rahaa unvaan-e-sarguzasht miraa
Syed Amin Ashraf
Ghazal
jaan ise chalaane me.n ahrman kii khaptii hai
raat-din magar duniyaa naam teraa japtii hai
Umang Bali
Ghazal
ahrman ban ke ta.aaqub me.n rahii zulmat-e-shab
chhup gayaa ko.ii mirii ruuh me.n yazdaa.n kii tarah