SEARCH RESULTS
Showing search results for "baguulo.n"
Ghazal MATCHES FOR "baguulo.n"
Ghazal
ham baguulo.n kii tarah KHaak-basar phirte hai.n
paa.nv shal ho.n to ye aashob-e-safar bhii jaa.e
Ahmad Faraz
Ghazal
kabhii ga.e the miyaa.n jo KHabar ke sahraa kii
vo aa.e bhii to baguulo.n ke saath ghar aa.e
Jaun Eliya
Ghazal
barahna-jism baguulo.n kaa qatl hotaa rahaa
KHayaal bhii nahii.n aayaa kisii ko rone kaa
Shahryar
Ghazal
qadam qadam pe baguulo.n ko to.Dte jaa.e.n
idhar se guzregaa tuu raasta ye teraa hai
Meena Kumari Naz
Ghazal
sahraa-e-Gam-e-jaa.n me.n baguulo.n se bachaa kaun
miT jaa.e.nge ai dost tire naqsh-e-qadam bhii
Zuhoor Nazar
Ghazal
dar-e-tauba se baguulo.n kii tarah guzre log
abr kii tarah umaD aa.e jo mai-KHaana khulaa
Mustafa Zaidi
Ghazal
dasht me.n u.Dte baguulo.n kii ye mastii ek din
ek din hai sar-bulandii aur pastii ek din
Bharat Bhushan Pant
Ghazal
Talib Baghpati
Ghazal
chand zarre merii miTTii ke faqat haath aa.e
dasht-e-Gurbat ke baguulo.n ne jo chakkar maaraa
Muztar Khairabadi
Ghazal
Mela Ram Wafa
Ghazal
sahraa me.n baguulo.n kii tarah naach rahaa huu.n
fitrat se mai.n baadal thaa barasne ke liye thaa
Muzaffar Hanfi
Ghazal
taptii zamii.n pe u.Dte baguulo.n kaa raqs thaa
saat aasmaan qahr kii purvaa.iyo.n me.n the
Asrar Zaidi
Ghazal
jo baarisho.n me.n jale tund aa.ndhiyo.n me.n jale
charaaG vo jo baguulo.n kii chimniyo.n me.n jale
Anwar Masood
Ghazal
jin gulo.n ne paayaa ho ra.ng-o-buu baguulo.n se
kaun chhiin saktaa hai un gulo.n kii ra.anaa.ii
Shahzad Ahmad
Ghazal
har mauj-e-havaa tez fazaa taa-ba-ufuq ta.ng
dil zarra-e-sahraa hai baguulo.n me.n ghiraa hai