SEARCH RESULTS
Showing search results for "batn"
Ghazal MATCHES FOR "batn"
Ghazal
taKHmiina-e-havaadis-e-tuufaa.n ke saath saath
batn-e-sadaf me.n vazn-e-gohar kar rahe hai.n ham
Rais Amrohvi
Ghazal
na jaane kab ko.ii karvaT hame.n jagaa Daale
zamii.n ke batn me.n KHvaabiida zalzale ham log
Khursheed Rizvi
Ghazal
batn har sang me.n dekhe jo ko.ii paikar-e-naaz
kis ko haasil vo sanam-saaz-nazar hai baabaa
Nau Bahar Sabir
Ghazal
hazaaro.n saal kii taariiKH likkhii jaa.egii
zamii.n ke batn se ubhre.nge jab kha.nDar mere
Ahmad Sagheer Siddiqui
Ghazal
kahii.n sahraa me.n bhii Das le na hame.n sairaabii
ret ke batn se phunkaartaa dariyaa niklaa
Mazhar Imam
Ghazal
kaahinaa ham se rivaayat kaa mukammal matn sun
batn me.n jaltii hu.ii sham-e-ma.aanii chaahiye
Ahmad Jahangir
Ghazal
jin ko taariiKH kii nazre.n bhii kabhii chhuu na sake.n
batn-e-giitii me.n ka.ii aise zamaane ho.nge
Farigh Bukhari
Ghazal
har buu.nd nok-e-kilk kii detii hai dars-e-hosh
kaunain kaa suraaG bhii batn-e-suKHan me.n hai
Bebak Bhojpuri
Ghazal
Tauqeer Zaidi
Ghazal
aatish-e-batn me.n gal jaate hai.n KHud-kaam shuyuuKH
saahab-e-dard parastaar-e-KHudaa hotaa hai
Bebak Bhojpuri
Ghazal
'qamar' hu.aa huu.n mai.n KHushbuu ke batn se paidaa
yahii sabab hai ki dosh-e-havaa ke uupar huu.n
Syed Qamar Haider Qamar
Ghazal
qadam kisii kii na Thahrii jab aab-o-daana uThaa
guhar se batn-e-sadaf me.n qayaam ho na sakaa
Imdad Ali Bahr
Ghazal
parvarish hotii hai bachche kii ye us kii shaan hai
kis ne dekhaa batn-e-maadar me.n Gizaa dete hu.e
Mohammad Habeeb Habeeb
Ghazal
Barqi Azmi
Ghazal
balaa se taaj me.n chamke ki KHaak me.n mil jaa.e
guhar to batn-e-sadaf se nikalnaa chaahtaa hai
Shareef Munawwar
Ghazal
KHaamushii ke batn se ye guftanii paidaa hu.ii
mai.n ba-zaahir chup hu.aa aur shaa.erii paidaa hu.ii