SEARCH RESULTS
Showing search results for "but-e-bedard"
Ghazal MATCHES FOR "but-e-bedard"
Ghazal
but-e-be-dard kaa Gam monis-e-hijraa.n niklaa
dard jaanaa thaa jise ham ne vo darmaa.n niklaa
Hasrat Mohani
Ghazal
marte hai.n kabhii aa ke hamaarii bhii KHabar le
aah ai but-e-bedard ye biimaar hai.n tere
Hasrat Azimabadi
Ghazal
KHudaa kii shaan ke qurbaan o but-e-bedard
tasalliyaa.n mujhe dene ko aur tuu aa.e
Riyaz Hasan Khan Khayal
Ghazal
kitne qarno.n ne taraashaa us but-e-bedard ko
kitnii naslo.n kaa lahuu us jism me.n hal ho gayaa
Zafar Ghauri
Ghazal
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
haT jaa.e ik taraf but-e-kaafir kii raah se
de ko.ii jald dau.D ke mahshar ko ittilaa.a
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
dam-e-aaKHir but-e-bedard kaa daaman chhuuTaa
mere haatho.n se ba.Dii chiiz KHudaa ne le lii
Muztar Khairabadi
Ghazal
pahuu.nchii na dil kii baat huduud-e-payaam tak
baaqii hai.n un pe kitne javaab-e-salaam tak
Aal-e-Raza Raza
Ghazal
chup the jo but savaal ba-lab bolne lage
Thahro ki qaus-e-barq-o-lahab bolne lage
Badr-e-Alam Khalish
Ghazal
husn ke baab me.n 'akbar' kii sanad kaafii hai
ham bhii har ik but-e-kamsin ko parii kahte hai.n
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
ai but hai.n husn me.n tirii mash.huur pi.nDliyaa.n
aisii kahaa.n se laa.e parii huur pi.nDliyaa.n
Kalb-e-husain Nadir
Ghazal
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
aamad tasavvur-e-but-e-bedaad-gar kii hai
dil kii bhii luuT KHaana-KHaraabii jigar kii hai
Muneer Shikohabadi
Ghazal
ho chukaa hashr qayaamat kaa zamaana guzraa
thaa ilaahii but-e-bad-ahd kaa paimaa.n kaisaa
Munshi Banwari Lal Shola
Ghazal
kamaal-e-suurat-e-be-dard se tanaffur hai
na dekhe.n ham kabhii us gul ko jis me.n KHaar na ho