SEARCH RESULTS
Showing search results for "daaraa"
Ghazal MATCHES FOR "daaraa"
Ghazal
sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naaz us kii
so ham bhii us kii galii se guzar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
daaraa o sikandar se vo mard-e-faqiir aulaa
ho jis kii faqiirii me.n buu-e-asadul-laahii
Allama Iqbal
Ghazal
rindo.n ko Daraa sakte hai.n kyaa hazrat-e-vaa.iz
jo kahte hai.n allaah se Dar kar nahii.n kahte
Bismil Saeedi
Ghazal
ye kaafii hai ki ham dushman nahii.n hai.n
vafaa-daarii kaa da.avaa kyuu.n kare.n ham
Jaun Eliya
Ghazal
na mu.D kar bhii be-dard qaatil ne dekhaa
ta.Dapte rahe niim-jaa.n kaise kaise
Haidar Ali Aatish
Ghazal
zehn kii khi.Dkii khulii dil kaa dariicha vaa hu.aa
tab jahaa.n ke dard se rishta miraa gahraa hu.aa
Jahangeer nayab
Ghazal
ko.ii kuchh puuchhe to kahtaa ki havaa se bachnaa
KHud bhii Dartaa thaa bahut sab ko Daraa detaa thaa
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
majaal-e-arz-e-tamannaa kare ko.ii kaise
jo lafz ho.nTo.n pe aayaa Daraa Daraa saa lagaa
Iqbal Azeem
Ghazal
yahaa.n pe 'meraaj' tere lafzo.n kii aabruu kyaa
ye log baa.ng-e-daraa kii qiimat lagaa rahe hai.n
Meraj Faizabadi
Ghazal
apne raaziq ko na pahchaane to muhtaaj-e-muluuk
aur pahchaane to hai.n tere gadaa daaraa o jam
Allama Iqbal
Ghazal
raahil huu.n musalmaan ba-sad-naara-e-takbiir
ye qaafila ye baa.ng-e-daraa mere liye hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Ghazal
mai.n kyaa kahuu.n faqiiro.n ko jo kuchh Guruur thaa
ik ik gadaa-e-shahr thaa daaraa-e-lucknow
Wajid Ali Shah Akhtar
Ghazal
ik tez ra.ad jaisii sadaa har makaan me.n
logo.n ko un ke ghar me.n Daraa denaa chaahiye
Muneer Niyazi
Ghazal
mustaqbil-e-insaan ne e'laan kiyaa hai
aa.inda se be-taaj rahegaa sar-e-daaraa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
dushmano.n ne shust baa.ndhii KHema-e-ummiid par
dosto.n ne darra-e-imkaan KHaalii kar diyaa