SEARCH RESULTS
Showing search results for "daavar"
Ghazal MATCHES FOR "daavar"
Ghazal
kise nasiib ki be-pairahan use dekhe
kabhii kabhii dar o diivaar ghar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
sunaa hai teG ko qaatil ne aab-daar kiyaa
agar ye sach hai to be-shub.ha ham pe vaar kiyaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
aaj ham daar pe khii.nche ga.e jin baato.n par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Ghazal
har zaKHm-e-jigar daavar-e-mahshar se hamaaraa
insaaf-talab hai tirii bedaad-garii kaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
ye kaafii hai ki ham dushman nahii.n hai.n
vafaa-daarii kaa da.avaa kyuu.n kare.n ham
Jaun Eliya
Ghazal
ai daavar-e-mahshar le dekh aa.e tirii duniyaa
ham KHud ko bhii kho baiThe vo bhii.D thii mele me.n
Qaisarul Jafri
Ghazal
jab daavar-e-qayaamat puuchhegaa tum pe rakh kar
kah de.nge saaf ham to begaane aadmii hai.n
Dagh Dehlvi
Ghazal
karegii daavar-e-mahshar ko sharmsaar ik roz
kitaab-e-suufii-o-mullaa kii saada-auraaqii
Allama Iqbal
Ghazal
mujhe hai KHuun kaa daa'vaa mujhe hai
unhii.n par daavar-e-mahshar unhii.n par
Riyaz Khairabadi
Ghazal
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
arkaan yaad hai.n mujhe ai daavar-e-jazaa
gar hukm ho to saamne pa.Dh luu.n qazaa namaaz
Ahmad Husain Mail
Ghazal
daavar-e-hashr mujhe apnaa musaahib na samajh
ba.az auqaat kharii baat bhii ho jaatii hai
Abdul Hamid Adam
Ghazal
ban aa.e javaabaat to mil jaa.e.nge KHud hii
ai daavar-e-mahshar tuu savaalaat kiye jaa
Abdul Hamid Adam
Ghazal
hame.n to daavar-e-mahshar ko chho.Dte hii banii
KHataa-e-ishq na kaafii hu.ii sazaa ke liye
Hafeez Jalandhari
Ghazal
chup kha.De hai.n vo pesh-e-daavar-e-hashr
bhuule hai.n baat kar nahii.n aatii
Riyaz Khairabadi
Ghazal
KHatm hogaa na kabhii silsila-e-ahl-e-vafaa
soch ai daavar-e-maqtal ye fazaa kyuu.n chup hai
Obaidullah Aleem
Ghazal
ai daavar-e-mahshar vo gha.Dii yaad hai tujh ko
jab laayaa gayaa meraa saraapaa mire aage