SEARCH RESULTS
Showing search results for "daftar"
Ghazal MATCHES FOR "daftar"
Ghazal
huzuur-e-yaar hu.ii daftar-e-junuu.n kii talab
girah me.n le ke garebaa.n kaa taar taar chale
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
roz-e-hisaab jab miraa pesh ho daftar-e-amal
aap bhii sharmsaar ho mujh ko bhii sharmsaar kar
Allama Iqbal
Ghazal
kyaa dabdaba-e-naadir kyaa shaukat-e-taimuurii
ho jaate hai.n sab daftar Garq-e-mai-e-naab aaKHir
Allama Iqbal
Ghazal
daftar hai ek maani-e-be-lafz-o-saut kaa
saada sii jo nigaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
ek taariiKH muqarrar pe to har maah mile
jaise daftar me.n kisii shaKHs ko tanKHvaah mile
Umair Najmi
Ghazal
daftar mansab dono.n zehn ko khaa lete hai.n
ghar vaalo.n kii qismat me.n tan rah jaataa hai
Zehra Nigaah
Ghazal
daftar-e-husn pe mohr-e-yad-e-qudrat samjho
phuul kaa KHaak ke tode se numaayaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
dil kii jo baat thii vo rahii dil me.n ai 'suruur'
khole hai.n garche shauq ke daftar kabhii kabhii
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
na jaane kaisii thakan thii kabhii nahii.n utrii
chale jo ghar se to daftar me.n jaa ke leT ga.e
Munawwar Rana
Ghazal
ye shab kaa raqs-o-ra.ng to kyaa sun mirii kuhan
sub.h-e-shitaab-kosh ko daftar bhii kuchh nahii.n
Jaun Eliya
Ghazal
ho gayaa farz mujhe shauq kaa daftar likhnaa
jab mire haath ko.ii KHaama-e-faulaad aayaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
bazm-e-shaahanshaah me.n ash.aar kaa daftar khulaa
rakhiyo yaa rab ye dar-e-ganjiina-e-gauhar khulaa
Mirza Ghalib
Ghazal
apnii qabr me.n tanhaa aaj tak gayaa hai kaun
daftar-e-amal 'aamir' saath saath jaataa hai
Amir Usmani
Ghazal
shelf par rakkhii kitaabe.n sochtii hai.n raat din
ghar se daftar kaa safar kitnaa suhaanaa ho gayaa
Khalid Ghani
Ghazal
kabhii na laanaa masaa.il gharo.n ke daftar me.n
ye dono.n pahluu hamesha judaa judaa rakhnaa
Iftikhar Naseem
Ghazal
daftar-e-ishq kaa sarkaarii mulaazim huu.n mai.n
lauT jaa.uu.ngaa tirii diid kii rishvat le kar