SEARCH RESULTS
Showing search results for "ghutan"
Ghazal MATCHES FOR "ghutan"
Ghazal
ghuTan sii hone lagii us ke paas jaate hu.e
mai.n KHud se ruuTh gayaa huu.n use manaate hu.e
Azhar Iqbal
Ghazal
ho.nTo.n ko sii ke dekhiye pachhtaa.iyegaa aap
ha.ngaame jaag uThte hai.n aksar ghuTan ke ba.ad
Kaifi Azmi
Ghazal
bahut ghuTan hai ko.ii suurat-e-bayaa.n nikle
agar sadaa na uThe kam se kam fuGaa.n nikle
Sahir Ludhianvi
Ghazal
ko.ii to phuul khilaa.e du.aa ke lahje me.n
ajab tarah kii ghuTan hai havaa ke lahje me.n
Iftikhar Arif
Ghazal
maahaul munaasib ho to uupar nahii.n jaate
ham taaza ghuTan chho.D ke chhat par nahii.n jaate
Danish Naqwi
Ghazal
Saleem Kausar
Ghazal
uljhan ghuTan hiraas tapish karb intishaar
vo bhii.D hai ke saa.ns bhii lenaa muhaal hai
Malikzaada Manzoor Ahmad
Ghazal
pasand aa.ii na TuuTii hu.ii fasiil kii raah
mai.n shahr-e-tan kii ghuTan se nikal bhii saktaa thaa
Shayar Jamali
Ghazal
Aanis Moin
Ghazal
Hasan Rizvi
Ghazal
le aa.ii chhat pe kyuu.n mujhe be-vaqt kii ghuTan
terii to KHair baam pe aane kii umr hai
Azhar Faragh
Ghazal
ik dariiche kii tamannaa mujhe duubhar hu.ii hai
vo ghuTan hii mirii saa.nso.n pe muqarrar hu.ii hai
Saleem Siddiqui
Ghazal
ye kyaa ghuTan hai mohabbat kii pahre-daarii me.n
vo kaaGazo.n pe khulii khi.Dkiyaa.n banaataa hai
Rana Amir Liyaqat
Ghazal
ghuTan azaab-e-badan kii na merii jaan me.n laa
badal ke ghar miraa mujh ko mire makaan me.n laa
Akbar Hyderabadi
Ghazal
Wasi Shah
Ghazal
shahro.n me.n vo ghuTan hai is daur me.n ki insaa.n
gumnaam ja.ngalo.n kii purvaa.ii chaahtaa hai
Qateel Shifai
Ghazal
mirii aa.nkho.n me.n baarish kii ghuTan thii
tumhaare paa.nv baadal chuumtaa thaa