SEARCH RESULTS
Showing search results for "hariifaana"
Ghazal MATCHES FOR "hariifaana"
Ghazal
rakhtaa hai KHud se kaun hariifaana kashmakash
mai.n thaa ki raat apne muqaabil hii DaT gayaa
Shakeb Jalali
Ghazal
hujuum-e-shoKH me.n ye dil hii be-Garaz niklaa
chalo ko.ii to hariifaana chal rahaa hai miyaa.n
Naseer Turabi
Ghazal
mat phirii thii ki hariifaana chale duniyaa se
sochte KHaak ki mavvaaj hai dariyaa kaisaa
Saqi Faruqi
Ghazal
ahbaab kii ye shaan-e-hariifaana salaamat
dushman ko bhii yuu.n zahr ugalte nahii.n dekhaa
Arsh Malsiyani
Ghazal
jo baat kahii jaa.e vo tevar se kahii jaa.e
jo sher kahaa jaa.e hariifaana kahaa jaa.e
Malikzaada Manzoor Ahmad
Ghazal
mai.n chalaa jaa.uu.ngaa rah jaa.egaa afsaana miraa
zikr karte hii rahe.nge sab hariifaana miraa
Shaukat Wasti
Ghazal
hotii thii hariifaana bhii har baat pe ik baat
rahtii thii raqiibaana bhii aksar isii ghar me.n
Mustafa Zaidi
Ghazal
ye kyaa ki buz-dilo.n kii tarah guftuguu kare.n
pesh-e-hariif shaan-e-hariifaana chaahiye
Rahbar Tabani Dariyabadi
Ghazal
dil se naazuk shai se kab tak ye hariifaana suluuk
dekh shiisha TuuTaa jaataa hai tirii tasviir kaa
Asad Bhopali
Ghazal
na hariifaana mire saamne aa mai.n kyaa huu.n
teraa hii jho.nkaa huu.n ai tez havaa mai.n kyaa huu.n
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
khii.nchnaa hai tire daaman ko hariifaana mujhe
ik zaraa ruk mire yuusuf mai.n zuleKHaa ho jaa.uu.n
Mazhar Imam
Ghazal
aatish-e-miinaa nazar aa.ii hariifaana mujhe
ik taGayyur kii KHabar detaa hai paimaana mujhe
Aziz Hamid Madni
Ghazal
duniyaa pe ittihaam munaasib nahii.n 'tufail'
apnii taraf bhii aap hariifaana dekhiye
Tufail Hoshiarpuri
Ghazal
dekhte hai.n dar-o-diivaar hariifaana mujhe
itnaa be-bas bhii kahaa.n hogaa ko.ii ghar me.n kabhii
Hakeem Manzoor
Ghazal
sunte hai.n apnii hii talvaar use kaaT ga.ii
dosto ham me.n jo ik shaKHs hariifaana thaa
Zubair Rizvi
Ghazal
kuchh na go aa.nkh me.n be-dard nigaaho.n ke sivaa
guftuguu saaqii-e-dauraa.n se hariifaana chale
Anwar Moazzam
Ghazal
maqtal se jab guzar ke hariifaana aa.iye
ik dasht-e-be-kanaar me.n phir ghar banaa.iye
Parvin Shere
Ghazal
kabhii kabhii to hariifaana ko.ii aatish-e-sa.ng
faroG paa ke libaas-e-nagii.n me.n hotii hai
Aziz Hamid Madni
Ghazal
suluuk KHud se hariifaana kaun chaahegaa
agarche tuu ne mujhe zindagii nibhaayaa to
Akhilesh Tiwari
Ghazal
sad-shukr aaj ho to ga.ii un se guftuguu
ye aur baat hai ki hariifaana ho ga.ii