SEARCH RESULTS
Showing search results for "hartaa"
Ghazal MATCHES FOR "hartaa"
Ghazal
mai.n ahl-e-zar ke muqaabil me.n thaa faqat shaa.er
magar mai.n jiit gayaa lafz haartaa thaa mai.n
Obaidullah Aleem
Ghazal
yaaro anaa kii ja.ng me.n aksar yahii hu.aa
vo haartaa gayaa hai haraate hu.e mujhe
Kuldeep Kumar
Ghazal
bajaa hai shart-e-vafaa shart-e-zindagii bhii to ho
bachaa sake to bachaa le ki haartaa hai ko.ii
Shaz Tamkanat
Ghazal
mai.n TuuTne detaa nahii.n ra.ngo.n kaa tasalsul
zaKHmo.n ko haraa kartaa huu.n bhar jaane ke Dar se
Hasan Aziz
Ghazal
ye KHud-sarii yaa sharaarat usii kaa hissa hai
vo ko.ii khel mohabbat me.n haartaa hii nahii.n
Raees Ansari
Ghazal
agar hai jiitnaa maqsad to phir bataa.e ko.ii
vo jaan-buujh ke baazii ko haartaa kyuu.n hai
Mohammad Ali Sahil
Ghazal
haartaa kyo.n 'KHaliil' maa.n ne jab
chuum kar kal jabii.n du.aa dii hai
Khaleel Husain Balooch
Ghazal
vo KHush rahe ye soch kar sadaa mai.n haartaa gayaa
kisii ke saath jab la.Dii la.Daa.ii aar-paar kii
Neeraj Goswami
Ghazal
dekhuu.n vo kartii hai ab ke alam-aaraa.ii ki mai.n
haartaa kaun hai is ja.ng me.n tanhaa.ii ki mai.n
Hasan Aziz
Ghazal
mai.n apne aap se KHud jiit.taa huu.n haartaa huu.n
nahii.n hai mere alaava miraa aduu ko.ii aur
Tariq Qamar
Ghazal
tumhaarii jiit me.n pinhaa.n hai merii jiit kahii.n
tumhaare saamne har baar haartaa hu.aa mai.n
Ahmad Khayal
Ghazal
muqaabla to karuu.n 'raashid' apne dushman se
ye aur baat hai jiituu.n ki haartaa jaa.uu.n
Rashid Mufti
Ghazal
ajiib shaKHs hai har baar jiit jaataa hai
ki jiit kar bhii zamaane me.n haartaa hai ko.ii
Lateef Saani
Ghazal
ye liijiye janaab kii baazii palaT ga.ii
jo haartaa rahaa hai vahii maat kah gayaa
Muzaffar Hanfi
Ghazal
har dafa mai.n haraatii huu.n us ko
apnii marzii se kyuu.n nahii.n hartaa