SEARCH RESULTS
Showing search results for "hinaa"
Ghazal MATCHES FOR "hinaa"
Ghazal
ye bhii nayaa sitam hai hinaa to lagaa.e.n Gair
aur us kii daad chaahe.n vo mujh ko dikhaa ke haath
Nizam Rampuri
Ghazal
shaamil hai miraa KHuun-e-jigar terii hinaa me.n
ye kam ho to ab KHuun-e-vafaa saath liye jaa
Sahir Ludhianvi
Ghazal
kaa.nch ke paar tire haath nazar aate hai.n
kaash KHushbuu kii tarah rang hinaa kaa hotaa
Gulzar
Ghazal
chand ma.asuum se patto.n kaa lahuu hai 'faakir'
jis ko mahbuub kii haatho.n kii hinaa kahte hai.n
Sudarshan Faakir
Ghazal
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
ro-dho ke vo bhii ho gayaa KHaamosh ek roz
do-chaar din me.n ra.ng-e-hinaa bhii utar gayaa
Munawwar Rana
Ghazal
tujh se muqaable kii kise taab hai vale
meraa lahuu bhii KHuub hai terii hinaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Ghazal
KHuu.n hai dil KHaak me.n ahvaal-e-butaa.n par ya.anii
un ke naaKHun hu.e mohataaj-e-hinaa mere ba.ad
Mirza Ghalib
Ghazal
vo aa.nkho.n me.n kaajal vo baalo.n me.n gajraa
hathelii pe us ke hinaa mahkii mahkii
Hasrat Jaipuri
Ghazal
shoKHii-e-ra.ng-e-hinaa KHuun-e-vafaa se kab tak
aaKHir ai ahd-shikan tuu bhii pashemaa.n niklaa
Mirza Ghalib
Ghazal
kii haq se farishto.n ne 'iqbaal' kii Gammaazii
gustaaKH hai kartaa hai fitrat kii hinaa-bandii
Allama Iqbal
Ghazal
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
vo ra.ngiilaa haath mere dil pe aur us kii mahak
sham-e-dil bujh sii ga.ii ra.ng-e-hinaa ke saamne
Muneer Niyazi
Ghazal
havaa thii gahrii ghaTaa thii hinaa kii KHushbuu thii
ye ek raat kaa qissa lahuu rulaa bhii gayaa
Muneer Niyazi
Ghazal
ban ga.ii naqsh jo surKHii tire afsaane kii
vo shafaq hai ki dhanak hai ki hinaa hai kyaa hai