SEARCH RESULTS
Showing search results for "jang"
Ghazal MATCHES FOR "jang"
Ghazal
mai.n dushmano.n se agar ja.ng jiit bhii jaa.uu.n
to un kii aurte.n qaidii nahii.n banaa.uu.ngaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
suuraj se ja.ng jiitne nikle the bevaquuf
saare sipaahii mom ke the ghul ke aa ga.e
Rahat Indori
Ghazal
mire hariif mirii yakka-taaziiyo.n pe nisaar
tamaam umr haliifo.n se ja.ng kii mai.n ne
Jaun Eliya
Ghazal
zinda rahnaa hai to haalaat se Darnaa kaisaa
ja.ng laazim ho to lashkar nahii.n dekhe jaate
Meraj Faizabadi
Ghazal
ye hai to sab ke liye ho ye zid hamaarii hai
is ek baat pe duniyaa se ja.ng jaarii hai
Waseem Barelvi
Ghazal
akele hai.n vo aur jhu.njhlaa rahe hai.n
mirii yaad se ja.ng farmaa rahe hai.n
Khumar Barabankavi
Ghazal
bhar jaa.e.nge jab zaKHm to aa.uu.ngaa dobaaraa
mai.n haar gayaa jang magar dil nahii.n haaraa
Sarvat Husain
Ghazal
tashkiik hai, na ja.ng hai maabain-e-aql-o-dil
bas ye yaqiin hai ki KHudaa hai, ye ishq hai
Irfan Sattar
Ghazal
nahii.n maruu.ngaa kisii ja.ng me.n ye soch liyaa
mai.n ab kii baar mohabbat me.n maaraa jaa.uu.ngaa
Rana Saeed Doshi
Ghazal
raushnii kii ja.ng me.n taariikiyaa.n paidaa hu.ii.n
chaa.nd paagal ho gayaa taare bhikaarii ho ga.e
Rahat Indori
Ghazal
vo kyuu.n kahe.nge ki dono.n me.n amn ho jaa.e
hamaarii ja.ng se jin kii kamaa.ii jaarii hai
Ali Zaryoun
Ghazal
talvaar kaa savaal yahii ja.ng-juu se thaa
kyuu.n aaj tak miyaan me.n rakkhaa gayaa mujhe
Jahangeer nayab
Ghazal
siyaah zulf ghaTaa jaal jaaduu jang jalaal
fusuu.n shabaab shikaaran sharaab raat ghanii
Shahzad Qais
Ghazal
muqaabil-e-saf-e-a.adaa jise kiyaa aaGaaz
vo ja.ng apne hii dil me.n tamaam hotii rahii