SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaaGzaat"
Ghazal MATCHES FOR "kaaGzaat"
Ghazal
bikhar bikhar sii ga.ii hai kitaab saa.nso.n kii
ye kaaGzaat KHudaa jaane kab kahaa.n u.D jaa.e.n
Rahat Indori
Ghazal
hame.n jalaa ke ko.ii shab guzaar saktaa hai
sa.Dak pe bikhre hu.e kaaGzaat hai.n ham log
Umair Najmi
Ghazal
Aitbar Sajid
Ghazal
ka.ii jhamelo.n me.n uljhii sii bad-maza chaa.e
udaas mez pe daftar ke kaaGzaat kaa dukh
Saima Aftab
Ghazal
ka.ii jhamelo.n me.n uljhii sii bad-maza chaa.e
udaas mez pe daftar ke kaaGzaat kaa dukh
Saima Aftab
Ghazal
zamii.n kii KHaak to biktii hai kaaGzaat pe aur
bashar kii KHaak kii bolii zabaanii lagtii hai
Khalid Sajjad
Ghazal
jatan se rakh hame.n jab tak ki baa-hayaat hai.n ham
tire badan kii riyaasat ke kaaGzaat hai.n ham
Faiz Khalilabadi
Ghazal
mai.n saare kaaGzaat le ke dekhtaa hii rah gayaa
savaab ko.ii le gayaa 'azaab ko.ii le gayaa
Aziz Tamannai
Ghazal
na jaane kyaa hai.n ye diimak-zada sii tahriire.n
Daraa Daraa saa hai bosiida kaaGzaat se vo
Musavvir Sabzwari
Ghazal
vo soch kar ke chhu.aa hogaa un ko purkho.n ne
vo kaaGzaat puraane talaash kartaa hai
Saifurrahman Abbad Ghazipuri
Ghazal
bhaTkaa zaraa jo dhyaan mire haath jal ga.e
bosiida kaaGzaat jalaane lagaa thaa mai.n
Shahab Safdar
Ghazal
Saleem Waqif
Ghazal
ko.ii zabaanii kalaamii nahii.n diyaa tujh ko
ham apne dil ke tumhe.n kaaGzaat dete hai.n
Masood Ahmad
Ghazal
ye aashiyaanaa miraa thaa jo jal ke raakh hu.aa
subuut laayaa huu.n mai.n kaaGzaat baaqii hai.n
Aves Sayyad
Ghazal
nadii ke jaise kinaare kabhii nahii.n milte
yuu.nhii kuchh apne muqaddar ke kaaGzaat rahe