SEARCH RESULTS
Showing search results for "kokh"
Ghazal MATCHES FOR "kokh"
Ghazal
aaj kaa phuul tirii kokh se zaahir hogaa
shaaKH-e-dil KHushk na ho ab ke tirii baarii hai
Shahzad Ahmad
Ghazal
Khalilur Rahman Azmi
Ghazal
ko.ii puuchhe to na kahnaa ki abhii zinda huu.n
vaqt kii kokh me.n ik lamha-e-aa.inda huu.n
Manzoor Hashmi
Ghazal
zamii.n kii kokh hii zaKHmii nahii.n a.ndhero.n se
hai aasmaa.n ke bhii siine pe aaftaab kaa zaKHm
Ibn-e-Safi
Ghazal
raat kii kokh ko.ii chaa.nd kahaa.n se laa.e
ye zamii.n baa.njh hai barse ki na barse baadal
Prem Warbartani
Ghazal
suuraj zamii.n kii kokh se baahar bhii aa.egaa
huu.n muntazir ki sub.h kaa manzar bhii aa.egaa
Saleem Shahid
Ghazal
ma.asuum ko phir maar diyaa kokh me.n maa.n kii
qisse jo sune ham ne vo Gamnaak bahut the
Ghausiya Khan Sabeen
Ghazal
jis raat farhat-ehsaas apnii hado.n se nikle
vo maa.n kii kokh jaisii raat aa nahii.n rahii hai
Farhat Ehsas
Ghazal
bhuuk hii paale apnii kokh me.n merii maa.n
baa.njh du.aa.e.n mehnat vaale haatho.n kii
Ishrat Afreen
Ghazal
Garqaab ho chukaa thaa mai.n dariyaa kii kokh me.n
aa aa ke ko.ii mauj uThaatii rahii mujhe
Lankesh Gautam
Ghazal
Baqar Naqvi
Ghazal
zamii.n kii kokh uja.D jaa.e ab ke baarish me.n
pata chale na hame.n aasmaa.n kii saazish kaa
Shakeel Azmi
Ghazal
Bimal Krishn Ashk
Ghazal
kyo.n ko.ii kokh jo suunii ho vo sharminda ho
kyaa zaruurii hai ki har siip se motii nikle