SEARCH RESULTS
Showing search results for "kuuza"
Ghazal MATCHES FOR "kuuza"
Ghazal
piyuu.n sharaab agar KHum bhii dekh luu.n do-chaar
ye shiisha o qadah o kuuza o subuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
haath to kaaT diye kuuza-garo.n ke ham ne
mo.ajize kii vahii ummiid magar chaak se hai
Parveen Shakir
Ghazal
Shaheen Abbas
Ghazal
usii kii shakl liyaa chaahtii hai KHaak mirii
so shahr-e-jaa.n me.n ko.ii kuuza-gar na rah jaa.e
Abhishek Shukla
Ghazal
ye hukm hai rahe muTThii me.n band sail-e-nasiim
ye zid hai bahr-e-tapaa.n kuuza-e-kuhan me.n rahe
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
ham aap apnaa muqaddar sa.nvaar lete magar
hamaare haath kaf-e-kuuza-gar nahii.n aayaa
Aftab Hussain
Ghazal
bahut dino.n se hai be-shakl sii merii miTTii
bahut dino.n se ko.ii kuuza-gar nahii.n aayaa
Azhar Iqbal
Ghazal
kuuza-gar ne jaane kyuu.n aadmii banaayaa hai
us ko sab khilauno.n se tum zaraa alag rakhnaa
Aadil Raza Mansoori
Ghazal
hunar-e-kuuza-garii ne inhe.n baKHshii hai taraash
yaa ye sab naqsh the gaare me.n bahut sochte hai.n
Iqbal Kausar
Ghazal
jo tum chaaho to is bartan ko chaknaa-chuur kar do
magar phir bhii nishaan-e-kuuza-gar baaqii rahegaa
Ashfaq Husain
Ghazal
baat to ye baa'd kii hai kuchh banuu.ngaa yaa nahii.n
kuuza-gar tuu chaak pe to raqs karvaataa mujhe
Aks samastipuri
Ghazal
hamaarii KHaak pe andhii havaa kaa pahra hai
use KHabar hai yahaa.n kuuza-gar nahii.n aataa
Abbas Tabish
Ghazal
ab hame.n chaak pe rakh yaa KHas-o-KHaashaak samajh
kuuza-gar ham tirii aavaaz pe aa.e hu.e hai.n
Aziz Nabeel
Ghazal
ruudaad-e-guzishta to sunii kuuza-garii kii
fardaa kaa bhii kar zikr jo hai chaak se baahar
Ejaz Gul
Ghazal
ham ek chaak hai.n jo kuuza-gar ke haath me.n hai
hamaaraa kaam zamaane kii gardishe.n likhnaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
ka.ii paikaro.n ko mire KHayaal ne shakl dii
jinhe.n ruunumaa miraa kuuza-gar nahii.n kar sakaa
Azhar Faragh
Ghazal
ba.Dhne lagaa thaa nashsha-e-taKHliiq-e-aab o KHaak
vo chaak uThaa ke chal diyaa kuuza uThaa ke mai.n