SEARCH RESULTS
Showing search results for "mai-kado.n"
Ghazal MATCHES FOR "mai-kado.n"
Ghazal
ghanii mast palko.n ke saa.e me.n nazre.n
bahakte hu.e mai-kado.n me.n sharaabii
Nazeer Banarasi
Ghazal
pyaas ko chhe.D saaqii hamaarii na tuu
mai-kado.n ko hamii.n ne basaayaa yahaa.n
Pramod Rajput
Ghazal
hamaarii tishna-labii kaa imaam saaqii hai
hamaare jaise sabhii mai-kado.n me.n palte hai.n
Mahwar Sirsivi
Ghazal
har roz mai-kado.n me.n rahii haazirii merii
zaahid tirii namaaz to aksar qazaa hu.ii
Shaikh Husain Salik
Ghazal
mujh se likhvaa.e ko.ii hijv-e-sharaab
mai-kado.n me.n qarz kii piitaa huu.n mai.n
Anwar Shuoor
Ghazal
aa.nkho.n ke mai-kado.n se tamanna ke shahr tak
har-gaam ik saraab milaa tishnagii milii
Syed Ashoor Kazmi
Ghazal
mire liye to yahii intizaam kaafii hai
ki mai-kado.n me.n mire naam kaa piyaala hai
Zaki Mahfooz
Ghazal
tere dar se Gam le kar jab gunaahgaar uThe
mai-kado.n kaa kyaa kahnaa masjide.n sa.nvaar aa.e
Ajmal Ajmali
Ghazal
nahii.n rahe vo hasii.n mai-kado.n ke jalve ab
chalo ki Dhuu.nDhe.n Gamo.n ke na.e ilaajo.n ko
Taseer Siddiqui
Ghazal
'nasiim' pii ga.e ab mai-kado.n me.n hai kyaa KHaak
davaa ke vaaste london me.n bhii sharaab nahii.n
Nasim Maysori
Ghazal
Riyaz Khairabadi
Ghazal
mai-kado.n me.n to bahut pii hai magar ab 'aamir'
hai yahii chaah ki mujh ko vo pilaane aa.e
Amir Masood
Ghazal
are diivaane zaraa chal ke unhe.n dekh to le
mai-kado.n me.n hai mazaa shaiKH parii-KHaano.n kaa