SEARCH RESULTS
Showing search results for "malbe"
Ghazal MATCHES FOR "malbe"
Ghazal
ye ruuh barso.n se dafn hai tum madad karoge
badan ke malbe se is ko zinda nikaalnaa hai
Umair Najmi
Ghazal
Munawwar Rana
Ghazal
rotii aa.nkhe.n ye sun kar KHaamosh hu.ii.n
malbe me.n ik shaKHs ko zinda dekhaa hai
Tousief Tabish
Ghazal
ug aa.ii ghaas ishq ke malbe pe har taraf
ham dono.n me.n se ko.ii use dho nahii.n sakaa
Ameer Imam
Ghazal
jo sab kaa dost thaa har anjuman kii raunaq thaa
kal us kii laash milii us ke ghar ke malbe par
Vafa Malikpuri
Ghazal
Anwar Sadeed
Ghazal
Fariha Naqvi
Ghazal
ye kaise malbe ke niiche dabaa diyaa gayaa huu.n
mujhe badan se nikaalo mai.n ta.ng aa gayaa huu.n
Irfan Sattar
Ghazal
aa.nkh se gard haTaataa huu.n to kyaa dekhtaa huu.n
apne bikhre hu.e malbe kaa nazaaraa hai mujhe
Faizi
Ghazal
ruuh ke malbe se lipTe nam kaa andaaza na kar
mujh se mil to mere pahle Gam kaa andaaza na kar
Aziz Nabeel
Ghazal
Qaisar Shameem
Ghazal
kis ko fursat hai ki ta.amiir kare az-sar-e-nau
KHaana-e-KHvaab ke malbe se nikaale mujhe ko.ii
Iftikhar Arif
Ghazal
Akhtar Hoshiyarpuri
Ghazal
malbe ke niiche se niklaa maa.n kaa laasha
aur maa.n kii godii me.n bachchii so.ii so.ii
Aslam Kolsarii
Ghazal
mai.n sau.np duu.n use in.aam me.n bachii saa.nse.n
mire vajuud ke malbe se jo nikaale mujhe