SEARCH RESULTS
Showing search results for "maqaam-e-aql"
Ghazal MATCHES FOR "maqaam-e-aql"
Ghazal
maqaam-e-aql se aasaa.n guzar gayaa 'iqbaal'
maqaam-e-shauq me.n khoyaa gayaa vo farzaana
Allama Iqbal
Ghazal
jin ko rah ke kaa.nTo.n me.n KHush-mizaaj honaa thaa
vo maqaam-e-gul paa kar be-dimaaG hai.n yaaro
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
fii-zamaana hai yahii maslahat-e-aql-o-shu.uur
dil me.n KHvaahish ko.ii ubhre to dabaa lii jaa.e
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
Ghazal
Aal-e-Raza Raza
Ghazal
samajh me.n KHaak aa.e aql kii baat
ga.e hosh-o-KHirad aayaa jahaa.n dil
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
but-KHaana-saaz rang-e-zamaana hai kis qadar
chho.Daa na us ne kaa'ba-e-aalii-maqaam tak
Aal-e-Raza Raza
Ghazal
jis ne kuchh ehtiyaat javaanii me.n kii nahii.n
aql-e-saliim kahtii hai vo aadmii nahii.n
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
haT jaa.e ik taraf but-e-kaafir kii raah se
de ko.ii jald dau.D ke mahshar ko ittilaa.a
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
phir shauq kar rahaa hai KHariidaar kii talab
arz-e-mataa-e-aql-o-dil-o-jaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
nasiim-e-sub.h bhii letii hai yaa.n pe izn-e-KHiraam
hai ye maqaam maqaam-e-qaraar-e-nik.hat-e-gul
Sajjad Baqar Rizvi
Ghazal
jab tak hai dil rahiin-e-ma.aal-o-asiir-e-aql
rahnaa hai tujh se aur tirii rahguzar se duur
Altaf Mashhadi
Ghazal
suKHan-varo.n ne izaafe kiye Gazal me.n bahut
maqaam-e-miir-taqii-'miir' aur hii kuchh hai
Sultan Rashk
Ghazal
maqaam-e-azmat-e-aadam samajh me.n aane lagaa
farishte chuumne aate hai.n aastaane ko
Karamat Ghauri
Ghazal
ye kis kii justujuu hai aur mai.n huu.n
maqaam-e-dasht-e-huu hai aur mai.n huu.n
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq
Ghazal
maqaam-e-hosh-o-KHirad intiqaam-e-vahshat hai
junuu.n kii raah-guzaaro.n se khel saktaa huu.n