SEARCH RESULTS
Showing search results for "miqdaar"
Ghazal MATCHES FOR "miqdaar"
Ghazal
ye mirii maut ke asbaab me.n likkhaa hu.aa hai
KHuun me.n ishq kii miqdaar ziyaada niklii
Umair Najmi
Ghazal
na kah ki girya ba-miqdaar-e-hasrat-e-dil hai
mirii nigaah me.n hai jam-o-KHarch dariyaa kaa
Mirza Ghalib
Ghazal
aap kii baato.n me.n aa kar jaan se to jaa chuke
ab to in me.n zahr kii miqdaar kam kar diijiye
Rajesh Reddy
Ghazal
nashsha nahii.n paimaana aa.nkhe.n nahii.n dil dekho
miqdaar salaamat hai me.aar salaamat hai
Atif tauqeer
Ghazal
dil jalaa phir KHud jale phir saarii duniyaa jal uThii
soz laa.e the ba-miqdaar-e-par-e-parvaana ham
Seemab Akbarabadi
Ghazal
haasil hu.ii bhii aql-e-falaatuu.n agar to kyaa
chaltii nahii.n kisii kii muqaddar ke ruu-ba-ruu
Dagh Dehlvi
Ghazal
ye qurb o bod ba-miqdaar-e-shauq saalik hai.n
jise tuu duur samajhtaa hai duur kuchh bhii nahii.n
Jalaluddin Akbar
Ghazal
is ahd me.n hai pyaar kii miqdaar ba.Dh ga.ii
ik shaKHs pyaar karne lagaa chaar chaar se
Rana Abdurrab
Ghazal
vahaa.n ham aarzuu-e-KHvaab-e-aish kyaa karte
jahaa.n qayaam ba-miqdaar-e-KHvaab ho na sakaa
Seemab Akbarabadi
Ghazal
jhuuT kii miqdaar kam hai aur sachchaa.ii bahut
saaf-go.ii se hu.ii hai merii rusvaa.ii bahut
Qazi Hasan Raza
Ghazal
mai.n chhii.k chhii.k kar hu.aa biimaar dekhnaa
nisvaar-e-va.az dete ho miqdaar dekhnaa
Bulbul Kashmiri
Ghazal
zahr ik miqdaar me.n us ne diyaa hai is liye
taqviyat mujh ko hamesha niim-jaa.n rah kar milii
Aurang zeb
Ghazal
meraa qusuur kyaa hai saan.e ko chaahiye thaa
miqdaar-e-husn detaa sabr-o-qaraar mujh ko
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
Ismail Raaz
Ghazal
izaafa karnaa hai miqdaar me.n aahista aahista
ki aisaa kaam ho saktaa hai pahlii baar itnaa hii
Gul Faraz
Ghazal
jitnii raftaar se tum kaaTte jaate ho hame.n
phir se ham utnii hii miqdaar me.n ug aate hai.n
Ehsaan Ghaman
Ghazal
barg-e-gul samjhii tire mu.nh kaa ugaal
us ko bulbul le u.Dii minqaar me.n