SEARCH RESULTS
Showing search results for "naadiida"
Ghazal MATCHES FOR "naadiida"
Ghazal
uThtii nahii.n hai aa.nkh magar us ke ruu-ba-ruu
naadiida ik nigaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
vo husn jise ham ne rusvaa kiyaa duniyaa me.n
naadiida haqiiqat hai naa-gufta kahaanii hai
Bashir Badr
Ghazal
vasl ke baad bhii puurii nahii.n hotii KHvaahish
aur kuchh hai jo ye naadiida badan chaahtaa hai
Abrar Ahmad Kashif
Ghazal
Khalid Moin
Ghazal
ek lamha thaa ajab us kii shanaasaa.ii kaa
kitne naadiida zamaano.n se mulaaqaat hu.ii
Qaisarul Jafri
Ghazal
band aa.nkho.n me.n hai.n naadiida zamaane paidaa
khulii aa.nkho.n hii se har chiiz ko dekhaa na karo
Mahmood Ayaz
Ghazal
zaraa sii baat pe nam-diida hu.aa karte the
ham bhii kyaa saada-o-pechiida hu.aa karte the
Jawad Sheikh
Ghazal
dast-e-naadiida kii tahqiiq zaruurii hai magar
pahle jo aag lagii hai vo bujhaa dii jaa.e
Pirzada Qasim
Ghazal
na jaane kitne hai.n sayyaargaan-e-naa-diida
tuu intihaa jise kahtaa hai ibtidaa hii na ho
Shaz Tamkanat
Ghazal
Aziz Bano Darab Wafa
Ghazal
hai ik KHat-e-naadiida dariyaa-e-mohabbat me.n
hotaa hai jahaa.n aa kar paanii se judaa paanii
Ahmad Mushtaq
Ghazal
Azm Bahzad
Ghazal
u.D kar kahaa.n kahaa.n se parindo.n ke qaafile
naadiida paaniyo.n ke KHayaalo.n me.n aa ga.e
Ahmad Mushtaq
Ghazal
numuud-e-jism kii shoriida KHvaahishe.n duniyaa
fishaar-e-ruuh ke naadiida valvale ham log
Khursheed Rizvi
Ghazal
naadiida manzaro.n se taraashe hai.n KHvaab zaar
kab dar-KHur-e-nigah ko.ii manzar hai diidanii
Bilqis Zafirul Hasan
Ghazal
Shaheen Abbas
Ghazal
shauq-e-naadiida me.n lazzat hai magar naaz nahii.n
aa mire 'ishq ko maGruur banaa de aa kar
Akhtar Shirani
Ghazal
naadiida aazaar badan ko Gaarat kar degaa
zaKHm jo dil me.n jaa utre hai.n baahar achchhe the