aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "naadiida"
kah bhii de ab vo sab baate.njo dil me.n poshiida hai.nsaare ruup dikhaa de mujh kojo ab tak naadiida hai.nek hii raat ke taare hai.nham dono.n us ko jaante hai.nduurii aur majbuurii kyaa haius ko bhii pahchaante hai.nkyuu.n phir dono.n mil nahii.n saktekyuu.n ye bandhan TuuTaa haiyaa ko.ii khoT hai tere dil me.nyaa meraa Gam jhuuTaa hai
abhii ham KHuub-suurat hai.nhamaare jism auraaq-e-KHizaanii ho ga.e hai.naur ridaa-e-zaKHm se aaraasta hai.nphir bhii dekho tohamaarii KHush-numaa.ii par ko.ii harfaur kashiida-qaamtii me.n KHam nahii.n aayaahamaare ho.nT zahriilii ruto.n se kaasnii hai.naur chehre ratjago.n kii sho.alagii seaabnuusii ho chuke hai.naur zaKHmii KHvaabnaadiida jaziiro.n kii zamii.n paris tarah bikhre pa.De hai.njis tarah tuufaa.n-zada kashtii ke Tuk.Do.n kosamundar saahilo.n par phe.nk detaa hailahuu kii baarishe.nyaa KHud-kushii kii KHvaahishe.n thii.nis aziyyat ke safar me.nkaun saa mausam nahii.n aayaamagar aa.nkho.n me.n namlahje me.n samho.nTo.n pe ko.ii naGma-e-maatam nahii.n aayaaabhii tak dil hamaareKHanda-e-tiflaa.n kii suurat be-kuduurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.nzamaane ho ga.eham kuu-e-jaanaa.n chho.D aa.e themagar ab bhiibahut se aashnaa naa-aashnaa hamdamaur un kii yaad ke maanuus qaasidaur un kii chaahato.n ke hijr-naameduur deso.n se hamaarii or aate hai.ngulaabii mausamo.n kii dhuupjab naurasta sabze par qadam rakhtii hu.iima.muura-e-tan me.n dar aatii haituu barfaanii badan me.njuu-e-KHuu.n aahistagii se gungunaatii haiudaasii kaa parindachup ke jangal me.nsar-e-shaaKH-e-nihaal-e-Gam chahaktaa haiko.ii bhuulaa hu.aa bisraa hu.aa dukhaabla bin kar Tapaktaa haito yuu.n lagtaa haijaise harf apnezinda aavaazo.n kii suurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.nhamaarii KHush-numaa.ii harf-e-haq kii ruu-numaa.ii haiusii KHaatir to ham aashufta-jaa.nushshaaq kii yaado.n me.n rahte hai.nki jo un par guzartii hai vo kahte hai.nhamaarii harf-saaziiab bhii mahbuub-e-jahaa.n haishaa.erii shoriid-gaan-e-ishq ke vird-e-zabaa.n haiaur gulaabo.n kii tarah shaadaa.n chehrela.al o marjaa.n kii tarah labsandalii.n haatho.n sechaahat aur aqiidat kii bayaazo.n parhamaare naam likhte hai.nsabhii dard-aashnaaiisaar mashrabham-nafas ahl-e-qafasjab maqtalo.n kii samt jaate hai.nhamaare bait gaate hai.nabhii tak naaz karte hai.n sab ahl-e-qaafilaapne hudii-KHvaano.n par aashufta-kalaamo.n parabhii ham dastaKHat karte hai.n apne qatl-naamo.n parabhii ham aasmaano.n kii amaanataur zamiino.n kii zaruurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.n
ye soch soch ke aa.nkhe.n mirii bhar aatii thii.nto jaa ke suune bichhaune pe leT rahtaa thaakisii se ghar me.n na raaz apne dil ke kahtaa thaayatiim thii mirii duniyaa, yatiim merii hayaatyatiim shaam-o-sahar thii, yatiim the shab-o-rozyatiim merii pa.Dhaa.ii thii mere khel yatiimyatiim merii masarrat thii meraa Gam bhii yatiimyatiim aa.nsu.o.n se takiya bhiig jaataa thaakisii se ghar me.n na kahtaa thaa apne dil kaa bhedhar ik se duur akelaa udaas rahtaa thaakisii shamaa.il-e-naadiida ko mai.n taktaa thaamai.n ek vahshat-e-be-naam se ha.Daktaa thaa
mai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii jab paas tuu nahii.n hotiiKHud ko kitnaa udaas paataa huu.ngum se apne havaas paataa huu.njaane kyaa dhun samaa.ii rahtii haiik KHamoshii sii chhaa.ii rahtii haidil se bhii guftuguu nahii.n hotiimai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii rah rah ke mere kaano.n me.nguu.njtii hai tirii hasii.n aavaazjaise naadiida ko.ii bajtaa saazhar sadaa naagavaar hotii haiin sukuut-aashnaa taraano.n me.nmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii shab kii taviil KHalvat me.ntere auqaat sochtaa huu.n mai.nterii har baat sochtaa huu.n mai.nkaun se phuul tujh ko bhaate hai.nra.ng kyaa kyaa pasand aate hai.nkho saa jaataa huu.n terii jannat me.nmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii ehsaas se najaat nahii.nsochtaa huu.n to ranj hotaa haidil ko jaise ko.ii Dubotaa haijis ko itnaa saraahtaa huu.n mai.njis ko is darja chaahtaa huu.n mai.nis me.n terii sii ko.ii baat nahii.nmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii shab kii taviil KHalvat me.ntere auqaat sochtaa huu.n mai.nterii har baat sochtaa huu.n mai.nkaun se phuul tujh ko bhaate hai.nra.ng kyaa kyaa pasand aate hai.nkho saa jaataa huu.n terii jannat me.nmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii ehsaas se najaat nahii.nsochtaa huu.n to ranj hotaa haidil ko jaise ko.ii Dubotaa haijis ko itnaa saraahtaa huu.n mai.njis ko is darja chaahtaa huu.n mai.nus me.n terii sii ko.ii baat nahii.nmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekin
aaj darvaaze khule rahne doyaad kii aag dahak uTThii haishaayad is raat hamaare shohdaa aa jaa.e.naaj darvaaze khule rahne dojaante ho kabhii tanhaa nahii.n chalte hai.n shahiid?mai.n ne dariyaa ke kinaare jo pare dekhe hai.njo charaaGo.n kii lave.n dekhii.n hai.nvo lave.n boltii thii.n zinda zabaano.n kii tarahmai.n ne sarhad pe vo naGmaat sune hai.n ki jinhe.nkaun gaa.egaa shahiido.n ke sivaa?mai.n ne ho.nTo.n pe tabassum kii na.ii tez chamak dekhii hainuur jis kaa thaa halaavat se sharaaborazaano.n kii tarah!abhii sarhad se mai.n lauTaa huu.n abhii,mai.n abhii haa.np rahaa huu.n mujhe dam lene doraaz vo un kii nigaaho.n me.n nazar aayaa haijo hama-giir thaa naadiida zamaano.n kii tarah!yaad kii aag dahak uTThii haisab tamannaa.o.n ke shahro.n me.n dahak uTThii haiaaj darvaaze khule rahne doshaayad is raat hamaare shohdaa aa jaa.e.n!vaqt ke paa.nv ulajh jaate hai.n aavaaz kii zanjiiro.n seun kii jhankaar se KHud vaqt jhanak uThtaa hainaGma martaa hai kabhii, naala bhii martaa hai kabhii?sansanaahaT kabhii jaatii hai mohabbat ke bujhe tiiro.n se?mai.n ne dariyaa ke kinaare unhe.n yuu.n dekhaa haimai.n ne jis aan me.n dekhaa hai unhe.nshaayad is raat,is shaam hii,darvaazo.n pe dastak de.nge!shohdaa itne subuk-paa hai.n ki jab aa.e.ngena kisii so.e parinde ko KHabar tak hogiina daraKHto.n se kisii shaaKH ke girne kii sadaa guu.njegiipha.Dpha.DaahaT kisii zambuur kii bhii kam hii sunaa.ii degiiaaj darvaaze khule rahne do!abhii sarhad se mai.n lauTaa huu.n abhiipaar jo guzregii us kaa hame.n Gam hii kyuu.n ho?paar kyaa guzregii ma.aluum nahii.nek shab jis me.npareshaanii-e-aalaam se ruuho.n pe giraanii taariiruuhe.n sunsaan yatiimun pe hamesha kii jafaa.e.n bhaariibuu-e-kaafuur agar baste gharo.n se jaariibe-panaah KHauf me.n ruuyaa-e-shikasta kii fuGaa.n uTThegiibujhtii sham.o.n kaa dhu.aa.n uTThegaapaar jo guzregii ma.aluum nahii.napne darvaaze khule rahne do
mirii aa.nkho.n me.n aa.nsuu aa ga.e naadiida aa.nkho.n kemire dil me.n ko.ii Gamgiin naGma sarsaraataa hai
KHudaa hashr me.n ho madad-gaar meraaki dekhii hai.n mai.n ne mrs.-saalaa-maa.nkaa kii aa.nkhe.nmrs.-saalaa-maa.nkaa kii aa.nkhe.nki jin ke ufuq hai.n junuubii samundar kii niilii rasaa.ii se aagejunuubii samundar kii niilii rasaa.iiki jis ke jaziire hujuum-e-sahar se daraKHshaa.ndaraKHshaa.n jaziiro.n me.n zartaab o unnaab o qurmuz parindo.n kii jaulaa.n-gahe.naise phailii hu.ii jaise jannat ke daamaa.nparinde azal aur abad ke mah o saal me.n baal-afshaa.n!KHudaa hashr me.n ho madad-gaar meraaki mai.n ne liye hai.n mrs.-saalaa-ma.nkaa ke ho.nTo.n ke bosevo bose ki jin kii halaavat ke chashmeshumaalii zamiino.n ke zartaab o unnaab o qurmuz daraKHto.nke mad.hosh baaGo.n se aagejahaa.n zindagii ke rasiida shaguufo.n ke siino.nse KHvaabo.n ke ram-diida zambuur lete hai.n ras aur piite hai.n voki jis ke nashe kii jilaa sezamaano.n kii naadiida mehraab ke do kinaaro.n ke niichehai.n yak-baargii guu.nj uThte KHalaa o malaa ke jalaajiljalaajil ke naGme baham aise paivast hote hai.n jaisemrs.-saalaa-ma.nikaa ke lab mere lab se!
mahsuus ye hotaa haidukh jhele the jo ab takbe-naam masaafat me.nlikhne kii mohabbat me.npa.Dhne kii zaruurat me.nbe-suud riyaazat thiibe-faiz ibaadat thiijo KHvaab bhii dekhe thein jaagtii aa.nkho.n nesab KHaam-KHayaalii thiiphir bhii tujhe paane kiidil ke kisii goshe me.nKHvaahish to bachaa lii thiilekin tujhe paa kar bhiiaur KHud ko ga.nvaa kar bhiiis habs ke mausam kii khi.Dkii se havaa aa.iina phuul se KHushbuu kii ko.ii bhii sadaa aa.iiab nii.nd hai aa.nkho.n me.nnaa.n dil me.n vo pahlii sii taaza suKHan-aaraa.iinaa.n lafz mire niklenaa.n harf-o-mu.aafii kii daanish mire kaam aa.iinaadiida rifaaqat me.njitnii bhii aziyyat thiisab mere hii naam aa.iikuchh bhii to nahii.n vaisaajaisaa tujhe sochaa thaajitnaa tujhe chaahaa thaa
1bichhii hu.ii hai bisaat kab sezamaana shaatir hai aur hamis bisaat ke zisht-o-KHuub-KHaano.n me.ndast-e-naadiida ke ishaaro.n pe chal rahe hai.nbichhii hu.ii hai bisaat azal sebichhii hu.ii hai bisaat jis kii na ibtidaa hai na intihaa haibisaat aisaa KHalaa hai jo vus.at-e-tasavvur se maavaraa haikarishma-e-kaa.enaat kyaa haibisaat par aate jaate mohro.n kaa silsila haibisaat saakit hai vaqt-e-mutlaq
naGma-dar-jaa.n raqs barpaa KHanda-bar-labdil tamannaa.o.n ke be-paayaa.n alaav ke qariibdil mire sahraa-navard-e-piir dilreg ke dil-shaad shahrii reg tuuaur reg hii terii talabreg kii nik.hat tire paikar me.n terii jaa.n me.n haireg sub.h-e-iid ke maanind zartaab-o-jaliilreg sadiyo.n kaa jamaaljashn-e-aadam par bichha.D kar milne vaalo.n kaa visaalshauq ke lamhaat ke maanind aazaad-o-aziimreg naGma-zanki zarre reg-zaaro.n kii vo paazeb-e-qadiimjis pe pa.D saktaa nahii.n dast-e-la.iimreg-e-sahraa zar-garii kii ek kii lahro.n se duurchashma-e-makr-o-riyaa shahro.n se duurreg shab-bedaar hai suntii hai har jaabir kii chaapreg shab-bedaar hai nigaraa.n hai maanind-e-naqiibdekhtii hai saaya-e-aamir kii chaapreg har ayyaar Gaarat-gar kii mautreg istibdaad ke tuGyaa.n ke shor-o-shar kii mautreg jab uThtii hai u.D jaatii hai har faateh kii nii.ndreg ke nezo.n se zaKHmii sab shahanshaaho.n ke KHvaabreg ai sahraa kii regmujh ko apne jaagte zarro.n ke KHvaabo.n kiina.ii ta.abiir dereg ke zarro.n ubhartii sub.h tumaa.o sahraa kii hado.n tak aa gayaa roz-e-tarabdil mire sahraa-navard-e-piir dilaa chuum reghai KHayaalo.n ke parii-zaado.n se bhii ma.asuum regreg-e-raqsaa.n maah-o-saal nuur tak raqsaa.n raheus kaa abresham mulaa.em narm-KHuu KHandaa.n rahedil mire sahraa-navard-e-piir dilye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaavraah gum kar duu.n kii mash.al is ke lab par aa.o aa.otere maazii ke KHazaf rezo.n se jaagii hai ye aagaag kii qurmuz zabaa.n par imbisaat-e-nau ke raagdil mire sahraa-navard-e-piir dilsargiraanii kii shab-e-rafta se jaagkuchh sharar aaGosh sarsar me.n hai.n gumaur kuchh ziina ba ziina sho.alo.n ke miinaar par cha.Dhte hu.eaur kuchh tah me.n alaav kii abhiimuztarib lekin muzabzab tifl-e-kam-sin kii tarahaag ziina aag ra.ngo.n kaa KHaziinaaag un lazzaat kaa sar-chashma haijis se letaa hai Gizaa ushshaaq ke dil kaa tapaakchob-e-KHushk anguur us kii mai hai aagsarsaraatii hai rago.n me.n iid ke din kii tarahaag kaahin yaad se utrii hu.ii sadiyo.n kii ye afsaana-KHvaa.naane vaale qarnahaa kii daastaane.n lab pe hai.ndil miraa sahraa-navard-e-piir dil sun kar javaa.naag aazaadii kaa dil-shaadii kaa naamaag paidaa.ish kaa afzaa.ish kaa naamaag ke phuulo.n me.n nasrii.n yaasman sumbul shafiiq-o-nastaranaag aaraa.ish kaa zebaa.ish kaa naamaag vo taqdiis dhul jaate hai.n jis se sab gunaahaag insaano.n kii pahlii saa.ns ke maanind ik aisaa karamumr kaa ik tuul bhii jis kaa nahii.n kaafii javaabye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na hois laq-o-daq me.n nikal aa.e.n kahii.n se bhe.Diyeis alaav ko sadaa raushan rakhoreg-e-sahraa ko bashaarat ho ki zinda hai alaavbhe.Diyo.n kii chaap tak aatii nahii.naag se sahraa kaa rishta hai qadiimaag se sahraa ke Te.Dhe re.ngne vaalegirah-aaluud zholiida daraKHtjaagte hai.n naGma-dar-jaa.n raqs barpaa KHanda-bar-labaur manaa lete hai.n tanhaa.ii me.n jashn-e-maahtaabun kii shaaKHe.n Gair-mara.ii tabl kii aavaaz par detii hai.n taalbiikH-o-bun se aane lagtii hai KHudaavandii jalaajil kii sadaaaag se sahraa kaa rishta hai qadiimrahravo.n sahraa-navardo.n ke liye hai rahnumaakaarvaano.n kaa sahaaraa bhii hai aagaur sahraa.o.n kii tanhaa.ii ko kam kartii hai aagaag ke chaaro.n taraf pashmiina-o-dastaar me.n lipTe hu.eafsaana-gojaise gird-e-chashm mizhgaa.n kaa hujuumun ke hairat-naak dilkash tajrabo.n sejab damak uThtii hai retzarra zarra bajne lagtaa hai misaal-e-saaz-e-jaa.ngosh-bar-aavaaz rahte hai.n daraKHtaur ha.ns dete hai.n apnii aarifaana be-niyaazii se kabhiiye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na horeg apnii KHalvat-e-be-nuur-o-KHud-bii.n me.n raheapnii yaktaa.ii kii tahsii.n me.n raheis alaav ko sadaa raushan rakhoye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na hoasia africa pahnaa.ii kaa naambe-kaar pahnaa.ii kaa naameurope aur america daaraa.ii kaa naamtakraar-e-daaraa.ii kaa naammeraa dil sahraa-navard-e-piir diljaag uThaa hai mashriq-o-maGrib kii aisii yak-diliike kaarvaano.n kaa nayaa ruuyaa liyeyak-dilii aisii ki hogii fahm-e-insaa.n se varaayak-dilii aisii ki ham sab kah uThe.nis qadar ujlat na karizhdihaam-e-gul na bankah uThe.n hamtuu Gam-e-kul to na thiiab lazzat-e-kul bhii na banroz-e-aasaa.ish kii bedardii na banyak-dilii ban aisaa sannaaTaa na banjis me.n taabistaa.n kii dopahro.n kiibe-haasil kasaalat ke sivaa kuchh bhii na hois jafaa-gar yak-dilii ke kaarvaa.n yuu.n aa.e.ngedast-e-jaaduu-gar se jaise phuuT nikle ho.n tilismishq-e-haasil-KHez se yaa zor-e-paidaa.ii se jaise naa-gahaa.nkhul ga.e ho.n mashriq-o-maGrib ke jismjism sadiyo.n ke aqiimkaarvaa.n farKHanda-pai aur un kaa baarkiisa kiisa taKHt-e-jam aur taaj-e-kaikuuza kuuza fard kii satvat kii maijaama jaama roz-o-shab mehnat kaa KHainaGma naGma hurriyat kii garm laisaaliko firoz-baKHto aane vaale qaafloshahr se lauToge tum to paa.ogeret ke sarhad pe jo ruuh-e-abad KHvaabiida thiijaag uThii hai shikva-haa-e-nai se voret kii tah me.n jo sharmiilii sahar ro.iida thiijaag uThii hai hurriyat kii lai se voitnii doshiiza thii itnii mard-e-naa-diida thii sub.hpuuchh sakte the na us kii umr hamdard se ha.nstii na thiizarro.n kii ra.anaa.ii pe bhii ha.nstii na thiiek mahjuubaana be-KHabarii me.n ha.ns detii thii sub.hab manaatii hai vo sahraa kaa jalaaljaise izz-o-jal ke paa.nv kii yahii mehraab hozer-e-mehraab aa ga.ii ho us ko bedaarii kii raatKHud janaab-e-izz-o-jal se jaise umiid-e-zafaafsaare naa-karda gunaah is ke mu.aafsub.h-e-sahraa shaad-baadai uruus-e-izz-o-jal farKHanda ro taabinda khotuu ik aise hujra-e-shab se nikal kar aa.ii haidast-e-qaatil ne bahaayaa thaa jahaa.n har sej parsai.nka.Do.n taaro.n kaa raKHshanda lahuu phuulo.n ke paassub.h-e-sahraa sar mire zaanuu pe rakh kar daastaa.nun tamannaa ke shahiido.n kii na kahun kii niima-ras uma.ngo.n aarzuu.o.n kii na kahjin se milne kaa ko.ii imkaa.n nahii.nshahd teraa jin ko nashsh-e-jaa.n nahii.naaj bhii kuchh duur is sahraa ke paardev kii diivaar ke niiche nasiimroz-o-shab chaltii hai mub.ham KHauf se sahmii hu.iijis tarah shahro.n kii raaho.n par yatiimnaGma-bar-lab taaki un kii jaa.n kaa sannaaTaa ho duuraaj bhii is reg ke zarro.n me.n hai.naise zarre aap hii apne Ganiimaaj bhii is aag ke sho.alo.n me.n hai.nvo sharar jo us kii tah me.n par-buriida rah ga.emisl-e-harf naa-shuniida rah ga.esub.h-e-sahraa ai uruus-e-izz-o-jalaa ki un kii daastaa.n dohraa.e.n hamun kii izzat un kii azmat gaa.e.n hamsub.h ret aur aag ham sab kaa jalaalyak-dilii ke kaarvaa.n un kaa jamaalaa.ois tahliil ke halqe me.n ham mil jaa.e.naa.oshaad-baaG apnii tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav
shahr ke shahr kaa afsaana vahii aarzuu-e-KHasta ke la.ng.Daate hu.e pairki hai.n aaj bhii afsaane kii duzdiida o zhuuliida lakiiro.n pe ravaa.nun asiiro.n kii tarah jin ke rag-o-reshe kii zanjiir kii jhankaarbhii tham jaa.e to kah uTThe.n kahaa.n''ab kahaa.n jaa.e.nge hamjaa.e.n ab taaza o naadiida nigaaho.n ke zamistaa.n me.n kahaa.n?''un asiiro.n kii tarah jin ke liye vaqt kii be-sarfa salaaKHe.nna kabhii sard na garm aur na kabhii saKHt na narmna rihaa.ii kii paziiraa.ii na asiirii hii kii sharm
barq-paa lamho.n kii ik zanjiir me.n jak.Daa hu.aavo shikasta-paa unhii rasto.n se guzraaaur naadiida KHudaa.o.n kaa hujuumKHanda-zan aa.nkho.n se us kii naa-rasaa.ii kaa tamaashaa dekhkar kahtaa rahaatuu ne chaahaa thaa magar tere muqaddar me.n na thaajaise us kii bebasii me.n vo kabhii shaamil na the
tamannaa ke zholiida taargirah dar girah hai.n tamannaa ke naadiida taarsitaaro.n se utre hai.n kuchh log raatvo kahte hai.n apnii tamannaa ke zholiida taaro.n ko suljhaa.osuljhaa.o apnii tamannaa ke zholiida taarsitaaro.n kii kirno.n kii maanind suljhaa.omabaadaa sitaaro.n se barse.n vo tiirki rah jaa.e baaqii tamannaa na taar
vo kaun saa mujrim dard haijis ko dil ke shab-KHaano.n me.n chhupaa.ejis ke naadiida sho.alo.n se nazar jalaa.ebaiThii hochor zehn kepichhle shelf petah karke mujhe mat rakkho
aur phir ik din mai.n aur tum in uu.nchii niichii diivaaro.n ke jhurmuT me.n utrejin me.n kabhii hamaarii ruuho.n ko zinda chun diyaa gayaa thaais vaqt aa.ngan aa.ngan me.n tirchhii kirno.n ne dhuup ke ka.ngare saayo.n kii qaasho.n me.n Taa.nk diye thedekhaa hu.aa saa ko.ii samaa.n puraanaa us din ham ne dekhaayuu.n lagtaa thaa jaise aasmaano.n kii raushaniyaa.n jhuk jhuk kar us ik qarye ko dekh rahii thii.naur hame.n tab vo din yaad aa.e jab maut hamaarii zindagiyo.n se guzar rahii thii aisii hii sub.ho.n kii oT me.nham un ziina-ba-ziina mu.nDero.n ke jhurmuT me.n theaur us shahr ke log ab bhii galiyo.n me.n KHvaa.nche lagaa.e apnii zindagiyo.n ko saj rahe theaur phir ham ne sochaakaun achchhaa hai ham jo murda chehro.n se jiine kii KHvaahish paate hai.n yaa vo joham ko zinda dekh ke hamaarii maut ko maan lete hai.nabhii abhii to mere saath saath the ham use guzre hu.e zamaano.n ke KHayaalo phir kab lauTogeik din phir bhii tumhaare saath is KHaak ke taKHte tak jaa.uu.ngaajis se Dhake hu.e be-nuur ga.Dho.n me.nkuchh naadiida aa.nkhe.n ham ko dekh ke ab bhii ha.ns ha.ns uThtii nazar aatii hai.n
ye haqiiqat thii ki ko.ii vaahima thaapar ye badbuu-daar laashasirf mujh ko hii nazar aataa thaa, jaiseek naadiida chhalaavaa ho mire piichhe lagaa homere kumbe ke sabhii afraad us kiihar jagah maujuudgii se be-KHabar thesirf mai.n hii thaa jise yeTikTikii baa.ndhe hu.e be-nuur aa.nkho.n se hamesha ghuurtaa thaa
aah KHaak-e-hind me.n tuu der se KHvaabiida haiziinat-e-har-bazm teraa jalva-e-naa-diida haitere Gam me.n aaj bhii jaan-e-suKHan kaahiida haihai tasarruf teraa paidaa aur tuu poshiida haisoz teraa aag ban kar bazm par chhaa jaa.egaasaaz-e-hastii hashr tak tere hii naGme gaa.egaa
aa.nsu.o.n se miraa aa.iina-e-Gam dhundlaayaaek sardaaba-e-dauraa.n me.n jo poshiida-o-naadiida rahii thiiab takis tan-e-zaar ko... vo zindagii hii bhuul ga.iidil se lipTii hu.ii yak-ra.ng udaasii ke sababra.ng-o-raamish me.n basii zinda-dilii bhuul ga.iipar tirii shakl bhulaane me.n mujhe der lagiipuurii ik umr kii der
in gharo.n ke aa.ngan me.ndopahar utartii haiek nannhii suu.ii kiiaa.nkh ke jharoke seik kiran ke mokhe sedhuup ke hinaa.ii haathtashtarii ba.Dhaate hai.nchaahato.n ke miiThe rangzaa.iqo.n ke naadiidalams chho.D jaate hai.n
jo tuu tasviir kartaa haijo mai.n tahriir kartaa huu.nna teraa hai na meraa haimagar apnaa hai ye jab takise pa.Dhne me.n kitnii der lagtii haiabhii maahaul ko chaaro.n taraf sehabs ke sahraa ne gheraa haimagar kab takhavaa chalne me.n kitnii der lagtii haiko.ii zanjiir hai shaayad hamaare paa.nv me.naur raah me.n kaafii a.ndheraa haimagar kab takdiyaa jalne me.n kitnii der lagtii haihavaa.e.n baadbaano.n se ulajhtii aur kahii.n naaqa-savaaro.n koko.ii paiGaam detii shaam ke aa.nchal ko thaamesaahilo.n kii samt aatii hai.nparinde daa.ero.n me.n u.Dte phirteabr kii chaadar me.n lipTerang barsaatefazaa.o.n me.n safar kii daastaa.n likhteThikaano.n kii taraf jaate hu.emanzar ko apne aks me.n tabdiil karte hai.nachaanak sar-phirii mauje.nmujhe chhuu kar guzar jaatii hai.naur mai.n apne talvo.n se nikaltii sansanaatii riit kii sargoshiyaa.nmahsuus kartaa huu.nvahii mai.n huu.n vahii asbaab-e-vahshat hai.n vahii saahilvahii tuu hai vahii ha.nstii hu.ii aa.nkhe.ntirii aa.nkho.n me.n rango.n aur KHvaabo.n ke jaziirejagmagaate hai.nsar-e-mizhgaa.n rupahlii saa.ato.n ke isti.aare muskuraate hai.nha.nsii mahtaab bantii haiphir is mahtaab ke chaaro.n taraf aavaaz kaa haala ubhartaa haiaur is haale me.n terii u.ngliyaa.nnaadiida manzar ko tilism-e-KHvaab se aazaad kartii hai.ntire haatho.n kii jumbishdhuup chhaa.nv se dhanak tartiib de karKHaalii tasviiro.n me.n KHadd-o-KHaal ko aabaad kartii haitirii palke.n jhapaktii hai.nsitaare se sitaara aan miltaa haiki jaise shaam hote hiisubuk aasaar lahro.n me.nkinaare se kinaara aan miltaa haiye jo kuchh haibahut hii KHuubsuurat haimagar us ke liye haijo ye sab mahsuus kartaa haitujhe maaluum bhii ho jaa.e to kyaa farq pa.Dtaa haiabhii din kaa thakaa haaraa musaafir dhuup ke KHeme sameTeduur paanii me.n utarne ke liyebe-taab hai dekhoye niilaa aasmaa.napnii garaa.n KHvaabii me.n KHud Garqaab hai dekhona jaane kyo.nsamundar dekhne vaalo.n kosuuraj Duubne kaa KHauf rahtaa haiko.ii hai jis ko ism-e-aab aataa hokinaaro.n kii tarah har lamha kaT girtaa hozer-e-aab aataa hosamundar aasmaa.n kii raahdaarii haimagar is raahdaarii tak pahu.nchne kaa ko.ii rastaba.Dii mushkil se miltaa haiye ism-e-aabsaahil par kha.De nazzaara۔biino.n kii samajh me.n kis tarah aa.eki ye to Duubne vaalo.n pe bhiimushkil se khultaa haimagar kab takise khulne me.n kitnii der lagtii hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books