SEARCH RESULTS
Showing search results for "naazil"
Ghazal MATCHES FOR "naazil"
Ghazal
kaun saa qahr ye aa.nkho.n pe hu.aa hai naazil
ek muddat se ko.ii KHvaab na dekhaa ham ne
Shahryar
Ghazal
Obaidullah Aleem
Ghazal
ik din kii baat ho to use bhuul jaa.e.n ham
naazil ho.n dil pe roz balaa.e.n to kyaa kare.n
Akhtar Shirani
Ghazal
unhii pe ho kabhii naazil azaab aag ajal
vahii nagar kabhii Thahre.n payambaro.n vaale
Mohsin Naqvi
Ghazal
naazil ho kabhii zehn pe aayaat kii suurat
aayaat me.n Dhal jaa kabhii jibriil dahan tuu
Mohsin Naqvi
Ghazal
yaqii.n hai balaa ho ko.ii aaj naazil
vo baalo.n ko apne sa.nvaare hu.e hai.n
Aagha Akbarabadi
Ghazal
naazil ho jism o ruuh pe jab be-hisii kaa qahr
us vaqt dosto ye Gazal gungunaa.ii jaa.e
Shahryar
Ghazal
hotii hai aafat-e-KHat qahr-e-KHudaa se naazil
ye sanam ham pe jo bedaad kiyaa karte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
lau charaaGo.n kii ba.Dhaane se nahii.n kuchh haasil
nuur ban ke shab-e-zulmaat pe naazil ho jaa.o
Mushtaq Sadaf
Ghazal
bando.n ne jab se kaam sambhaalaa hai dahr kaa
naazil hai roz qahr KHudaa ke baGair bhii
Hasan Naim
Ghazal
Jurat Qalandar Bakhsh
Ghazal
un se pyaar kiyaa jin par KHaamoshii naazil kii
un par zulm kiyaa jo band apnii aavaaz me.n the
Saqi Faruqi
Ghazal
ai fitrat-e-Gam ziist hii kyaa kam thii musiibat
naazil hu.ii is par ye mohabbat kii balaa aur
Shakeel Badayuni
Ghazal
ilaahii kyuu.n nahii.n hotii ko.ii balaa naazil
asar hai der se dast-e-du'aa uThaa.e hu.e
Fani Badayuni
Ghazal
ek din apnaa sahiifa mujh pe naazil ho gayaa
us ko pa.Dhte hii mirii saarii KHataa.e.n mar ga.ii.n
Rafi Raza
Ghazal
buu.nd bhii tishna abaabiil pe naazil na hu.ii
varna baadal to bulandii se utar aayaa thaa