SEARCH RESULTS
Showing search results for "nadaamat"
Ghazal MATCHES FOR "nadaamat"
Ghazal
dil us ko aap diyaa aap hii pashemaa.n huu.n
ki sach hai apnii nadaamat kahuu.n to kis se kahuu.n
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
pahchaanaa phir to kyaa hii nadaamat hu.ii unhe.n
panDit samajh ke mujh ko aur apnaa dikhaa ke haath
Nizam Rampuri
Ghazal
aisaa badlaa huu.n tire shahr kaa paanii pii kar
jhuuT boluu.n to nadaamat nahii.n hotii mujh ko
Shahid Zaki
Ghazal
vo naam huu.n ki jis pe nadaamat bhii ab nahii.n
vo kaam hai.n ki apnii judaa.ii kamaa.uu.n mai.n
Jaun Eliya
Ghazal
duniyaa se ai dil itnii tabii'at bharii na thii
tere liye uThaa.ii nadaamat kahaa.n kahaa.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
ek aa.nsuu thaa ki dariyaa-e-nadaamat thaa 'faraaz'
dil se bebaak shanaavar ko Duboyaa kaisaa
Ahmad Faraz
Ghazal
KHud apne aap ko parkhaa to ye nadaamat hai
ki ab kabhii use ilzaam-e-bevafaa.ii na duu.n
Ahmad Faraz
Ghazal
isii nadaamat se us ke ka.ndhe jhuke hu.e hai.n
ki ham chha.Dii kaa sahaaraa le kar kha.De hu.e hai.n
Ziya Mazkoor
Ghazal
tujh ko kyaa 'ilm tujhe haarne vaale kuchh log
kis qadar saKHt nadaamat se tujhe dekhte hai.n
Parveen Shakir
Ghazal
baKHshish ne mujh ko abr-e-karam kii kiyaa KHajil
ai chashm josh-e-ashk-e-nadaamat ko kyaa hu.aa
Meer Taqi Meer
Ghazal
na bane kaam to kis kaam kii naazuk shakle.n
naazuk achchhe na hasiino.n kii nazaakat achchhii
Riyaz Khairabadi
Ghazal
sar jhukaa.e hu.e KHaamosh jo tum baiThe ho
itnaa kaafii hai mire dost nadaamat ke liye
Azhar Nawaz
Ghazal
saahil tamaam ashk-e-nadaamat se aT gayaa
dariyaa se ko.ii shaKHs to pyaasaa palaT gayaa
Shakeb Jalali
Ghazal
jis dar se nadaamat ke sivaa kuchh nahii.n miltaa
us dar pe tiraa sar bhii jo KHam hai to mujhe kyaa
Qateel Shifai
Ghazal
merii tahriir-e-nadaamat kaa na diije kuchh javaab
dekh liije aur taGaaful-aashnaa ho jaa.iye