SEARCH RESULTS
Showing search results for "nashist"
Ghazal MATCHES FOR "nashist"
Ghazal
jamii hai der se kamre me.n Giibato.n kii nashist
fazaa me.n gard hai maahaul me.n kuduurat hai
Bashir Badr
Ghazal
merii nashist pe bhii kal aa.egaa ko.ii duusraa
tum bhii banaa ke raasta mere liye jagah karo
Nida Fazli
Ghazal
apnii nashist chho.D ke vaa.n rakh diyaa charaaG
mai.n ne zamiin de ke bachaa lii hai raushnii
Shaheen Abbas
Ghazal
jaane vo ko.ii jabr hai yaa iKHtiyaar hai
daftar me.n tho.Dii der jo kursii-nashii.n huu.n mai.n
Rais Farogh
Ghazal
mai.n thaa kisii kii yaad thii jaam-e-sharaab thaa
ye vo nashist thii jo sahar tak jamii rahii
Rajendra Nath Rahbar
Ghazal
mujhe ma.aluum hai.n aadaab-e-nashist-o-barKHaast
tire darbaar me.n ik umr uThaa baiThaa huu.n
Khalid Iqbal Yasir
Ghazal
nashist ke to talabgaar hii nahii.n ham log
hamaare paa.nv se kyuu.n paa.edaan khii.nchtaa hai
Azhar Faragh
Ghazal
ridaa-e-reshmii o.Dhe hu.e guzregii mish.al
nashist-e-sa.ng pe har sub.h gul-dasta milegaa
Sarvat Husain
Ghazal
jab us ne jaa ke pahlu-e-gul me.n nashist kii
baad-e-sabaa bichha.D ga.ii apne KHiraam se
Jamal Ehsani
Ghazal
nashist-e-ruuh me.n paakiizgii hai shart magar
badan kii bazm me.n bas KHush-libaas honaa hai
Rahul Jha
Ghazal
daal nahii.n janaab kii galne kii bazm-e-husn me.n
uThiye nashist chho.Diye band kitaab kiijiye
Qamar Aasi
Ghazal
kuucha-e-dahr me.n Gaafil na ho paaband-e-nashist
rahguzar me.n ko.ii kartaa nahii.n bistar apnaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Ghazal
behtar yahii hai farsh-e-zamii.n par rahe nashist
paiso.n se jo mile vo sadaarat nahii.n qubuul
Riyaz Anwar
Ghazal
ya.anii nashist Thahrii kal us dar pe thii so haa.e
dekhaa jo aaj jaa ke to darbaa.n hai duusraa
Jurat Qalandar Bakhsh
Ghazal
nashist me.n is qadar ta.ammul ba-vaqt-e-ruKHsat
murassa' o musta'id savaarii me.n kyaa kamii thii
Khalid Iqbal Yasir
Ghazal
in dino.n yaar ke kuchh zehn-nashii.n aur bhii hai
jaantaa hai ki nashist un kii kahii.n aur bhii hai
Akbar Allahabadi
Ghazal
pahlii nashist aabla-paa.o.n me.n merii hai
majnuu.n ko mai.n ne dasht me.n chelaa banaa liyaa
Saba Tabish
Ghazal
'zaakir' nashist-e-dard maqaam-e-KHirad bhii hai
mansuub is KHirad se hai biinaa.iyaa.n tamaam