SEARCH RESULTS
Showing search results for "niiyat"
Ghazal MATCHES FOR "niiyat"
Ghazal
ta.aliim kaa shor aisaa tahziib kaa Gul itnaa
barkat jo nahii.n hotii niyyat kii KHaraabii hai
Akbar Allahabadi
Ghazal
har jumbish-e-nigaah me.n sad-kaif be-KHudii
bhartii phiregii husn kii niyyat kahaa.n kahaa.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
barsaat ke aate hii tauba na rahii baaqii
baadal jo nazar aa.e badlii merii niiyat bhii
Hasrat Mohani
Ghazal
Riyaz Khairabadi
Ghazal
yaad-e-mahbuub faraamosh na hove ai dil
husn-e-niyyat ne mujhe ishq se ne.amat dii hai
Haidar Ali Aatish
Ghazal
piine se kar chukaa thaa mai.n tauba magar 'jaliil'
baadal kaa rang dekh ke niiyat badal ga.ii
Jaleel Manikpuri
Ghazal
sab kii tarah tuu ne bhii mire aib nikaale
tuu ne bhii KHudaayaa mirii niyyat nahii.n dekhii
Shahzad Ahmad
Ghazal
Rajesh Reddy
Ghazal
rut badalte hii badal jaatii hai niyyat merii
jab bahaar aatii hai tauba-shikanii hotii hai
Hafeez Jaunpuri
Ghazal
niyyat nahii.n KHaraab na aadii huu.n ai nadiim!
''aalaam-e-rozgaar se ta.ng aa ke pii gayaa''!
Ehsan Danish
Ghazal
mai.n niiyat-e-shab-KHuu.n se KHeme me.n gayaa lekin
dushman ke sirhaane se shamshiir uThaa laayaa
Azm Bahzad
Ghazal
saaf-o-shaffaaf thii paanii kii tarah niiyat dil
dekhne vaalo.n ne dekhaa ise gadlaa kar ke
Zafar Iqbal
Ghazal
KHum me.n subuu me.n jaam me.n niyyat lagii rahii
mai-KHaane hii me.n ham rahe mai-KHaana chho.D kar
Jaleel Manikpuri
Ghazal
insaan kii niyyat kaa bharosa nahii.n ko.ii
milte ho to is baat ko imkaan me.n rakhnaa
Anjum Khaleeq
Ghazal
ab nibhaanii hii pa.Degii dostii jaisii bhii hai
aap jaise bhii hai.n niyyat aap kii jaisii bhii hai
Shahzad Ahmad
Ghazal
rang-e-sharaab se mirii niyyat badal ga.ii
vaa.iz kii baat rah ga.ii saaqii kii chal ga.ii