SEARCH RESULTS
Showing search results for "pairahan"
Ghazal MATCHES FOR "pairahan"
Ghazal
kise nasiib ki be-pairahan use dekhe
kabhii kabhii dar o diivaar ghar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
chipak rahaa hai badan par lahuu se pairaahan
hamaare jaib ko ab haajat-e-rafuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
naqsh fariyaadii hai kis kii shoKHi-e-tahriir kaa
kaaGzii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa
Mirza Ghalib
Ghazal
havaa me.n nashsha hii nashsha fazaa me.n rang hii ra.ng
ye kis ne pairahan apnaa uchhaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Ghazal
allaah-rii jism-e-yaar kii KHuubii ki KHud-ba-KHud
rangiiniyo.n me.n Duub gayaa pairahan tamaam
Hasrat Mohani
Ghazal
ra.ng pairaahan kaa KHushbuu zulf lahraane kaa naam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane kaa naam
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
phuul hai.n sahraa me.n yaa pariyaa.n qataar andar qataar
uude uude niile niile piile piile pairahan
Allama Iqbal
Ghazal
mire vajuud se gulzaar ho ke niklii hai
vo aag jis ne tiraa pairahan jalaayaa thaa
Zafar Iqbal
Ghazal
garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanaa.n
tazkira chhe.De tirii pairahan-aaraa.ii kaa
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
mire junuu.n ne zamaane ko KHuub pahchaanaa
vo pairahan mujhe baKHshaa ki paara paara nahii.n
Allama Iqbal
Ghazal
uThaa.e phirte the ehsaan jism kaa jaa.n par
chale jahaa.n se to ye pairahan utaar chale
Gulzar
Ghazal
ye pairahan jo mirii ruuh kaa utar na sakaa
to naKH-ba-naKH kahii.n paivast resha-e-dil thaa
Fahmida Riaz
Ghazal
bulaa rahaa hai miraa jaama-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaa.n badal rahaa huu.n mai.n