SEARCH RESULTS
Showing search results for "parvardigaar"
Ghazal MATCHES FOR "parvardigaar"
Ghazal
ik fursat-e-gunaah milii vo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausle parvardigaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Gazab kaa husn hai aaraa.ishe.n qayaamat kii
ayaa.n hai qudrat-e-parvardigaar eid ke din
Akbar Allahabadi
Ghazal
parvardigaar tuu ne samundar to de diye
ab mere KHushk ho.nTo.n ko sahraa kii pyaas de
Meraj Faizabadi
Ghazal
na badraqa hai na ko.ii rafiiq saath apne
faqat inaa.yat-e-parvar-digaar raah me.n hai
Haidar Ali Aatish
Ghazal
is vaqt tak to vaz.a me.n aayaa nahii.n hai farq
teraa karam shariik jo parvardigaar thaa
Bekhud Dehlvi
Ghazal
pesh aa.e laakh ranj agar ik KHushii hu.ii
parvardigaar ye bhii ko.ii zindagii hu.ii
Qamar Jalalvi
Ghazal
ab tak asiir-e-daam-e-fareb-e-hayaat huu.n
mujh ko bhulaa diyaa mire parvardigaar ne
Hafeez Jalandhari
Ghazal
piitaa huu.n mai.n sharaab-e-mohabbat to kyaa hu.aa
piitaa hai ye sharaab to parvardigaar bhii
Purnam Allahabadi
Ghazal
parvardigaar jaantaa hai tuu dilo.n ke haal
mai.n jii na paa.uu.ngaa jo use kuchh bhii ho gayaa
Bashir Badr
Ghazal
naaquus bin ke puuchhne jaa.uu.n agar mizaaj
but bhii kahe.nge shukr hai parvardigaar kaa
Ahmad Husain Mail
Ghazal
vo shaKHs aa ke mere mahalle me.n bas gayaa
mujh par nigaah pa.D ga.ii parvardigaar kii
Ibrahim Ali Zeeshan
Ghazal
sipaah-e-shaam ke neze pe aaftaab kaa sar
kis ehtimaam se parvar-digaar-e-shab niklaa
Iftikhar Arif
Ghazal
Gariib-e-shahr tavangar se kah rahaa thaa ki tuu
amiir-e-shahr hai parvardigaar tho.Dii hai
Zameeruddin Sajid
Ghazal
puuchhe.n vo kaash haal dil-e-be-qaraar kaa
ham bhii kahe.n ki shukr hai parvardigaar kaa
Mela Ram Wafa
Ghazal
vo rang-e-'ishq me.n parvardigaar aa jaa.e
dikhaa duu.n aag ko daaman bahaar aa jaa.e
Qadeer Piyarepuri
Ghazal
parvardigaar mere gunaaho.n ko baKHsh de
mujh ko sunaa.ii detii nahii.n ab azaan tak
Taufeeq Sagar
Ghazal
himmat na haar de ko.ii manzil ke saamne
parvardigaar yuu.n bhii ko.ii naa-tavaa.n na ho