SEARCH RESULTS
Showing search results for "rii"
Ghazal MATCHES FOR "rii"
Ghazal
allaah-rii jism-e-yaar kii KHuubii ki KHud-ba-KHud
rangiiniyo.n me.n Duub gayaa pairahan tamaam
Hasrat Mohani
Ghazal
rafta rafta Gair apnii hii nazar me.n ho ga.e
vaah-rii Gaflat tujhe apnaa samajh baiThe the ham
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
Jigar Moradabadi
Ghazal
Rais Farogh
Ghazal
Jigar Moradabadi
Ghazal
haa.e rii be-iKHtiyaarii ye to sab kuchh ho magar
us saraapaa naaz se kyuu.nkar KHafaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Ghazal
Gash khaa ke gire muusaa allaah-rii maayuusii
halkaa saa vo parda bhii diivaar nazar aayaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
allaah re soz-e-aatish-e-Gam baa'd-e-marg bhii
uThte hai.n merii KHaak se sho'le havaa ke saath
Momin Khan Momin
Ghazal
allaah-rii kaamyaabii-e-aavaargaan-e-ishq
KHud gum hu.e to kyaa use paa.e hu.e to hai.n
Asrarul Haq Majaz
Ghazal
allaah rii dil-farebii jalvo.n ke baa.nkpan kii
mahfil me.n vo jo aa.e kaj ho ga.ii.n kulaahe.n
Josh Malihabadi
Ghazal
armaan nahii.n ko.ii go dil me.n mire lekin
allaah rii majbuurii majbuur-e-tamannaa huu.n
Behzad Lakhnavi
Ghazal
Shad Azimabadi
Ghazal
mai.n ne puuchhaa ki ko.ii mujh se ziyaada hai hasii.n
aa.ina ha.ns ke ye bolaa arii jaa rii paagal
Fauziya rabab
Ghazal
ashko.n ko bhii ye jur.at allaah rii terii qudrat
aa.nkho.n tak aate aate phir dil me.n jaa Thaharnaa
Jigar Moradabadi
Ghazal
allaah rii be-naqaabii us jaan-e-mudda.aa kii
merii nigaah-e-hasrat hairaan ho na jaa.e
Behzad Lakhnavi
Ghazal
vaah rii qismat ki kahaa.n manzil-e-maqsuud milii
jab maza dene lage paa.nv ke chhaale mujh ko
Danish Aligarhi
Ghazal
allaah allaah rii nazaakat tire ruKHsaaro.n kii
itne naazuk hai.n ki khaalo.n se dabe jaate hai.n
Muztar Khairabadi
Ghazal
allaah rii bahaar kii rang afriiniyaa.n
sehn-e-chaman ko taKHta-e-jannat banaa diyaa