SEARCH RESULTS
Showing search results for "shab-e-vasl-e-aduu"
Ghazal MATCHES FOR "shab-e-vasl-e-aduu"
Ghazal
gavaah-e-vasl-e-aduu sar jhukaa ke dekh na lo
ye band band judaa hai.n qabaa ke dekh na lo
Muztar Khairabadi
Ghazal
kal shab-e-vasl-e-aduu 'lutf' to aaya hogaa
rashk se aap se shaayad ki milaa ho ki na ho
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
Ghazal
hai shab-e-vasl-e-aduu aur zamaana mahjuur
kyuu.n na bistar ke liye gul kii jagah KHaar bike
Qurban Ali Salik Beg
Ghazal
shab-e-vasl thii chaa.ndnii kaa samaa.n thaa
baGal me.n sanam thaa KHudaa mehrbaa.n thaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
baat karne kii shab-e-vasl ijaazat de do
mujh ko dam bhar ke liye Gair kii qismat de do
Bekhud Dehlvi
Ghazal
hausla ko.ii shab-e-vasl nikalne na diyaa
dard-e-dil ne mujhe ik dam bhii sa.nbhalne na diyaa
Fakhir Lakhnavi
Ghazal
na puuchho shab-e-vasl kyaa ho rahaa hai
gale me.n hai.n baa.nhe.n gilaa ho rahaa hai
Sharaf Mujaddidi
Ghazal
raat guzrii ki shab-e-vasl kaa paiGaam milaa
so ga.e KHvaab kii baa.nho.n me.n jo aaraam milaa
Hasan Naim
Ghazal
shab-e-vasl aur lab pe nafrat kii baate.n
mohabbat se kiije mohabbat kii baate.n
Girami Chishti
Ghazal
tuu zid se shab-e-vasl na aayaa to hu.aa kyaa
ham mar na ga.e dil ko ku.Dhaayaa to hu.aa kyaa
Shah Naseer
Ghazal
haa.e us shoKH kaa andaaz se aanaa shab-e-vasl
aur rah rah ke vo ehsaan jataanaa shab-e-vasl
Zaheer Dehlvi
Ghazal
tuu jo kahtaa hai shab-e-vasl me.n har baar nahii.n
ham samajhte hai.n ye iqraar hai inkaar nahii.n
Sabir Rampuri
Ghazal
shab-e-vasl meraa kuchh israar karnaa
ba.Dhaanaa vo sharmaa ke zevar kisii kaa