SEARCH RESULTS
Showing search results for "shigaaf"
Ghazal MATCHES FOR "shigaaf"
Ghazal
vo naala dil me.n KHas ke baraabar jagah na paa.e
jis naala se shigaaf pa.De aaftaab me.n
Mirza Ghalib
Ghazal
koh-shigaaf terii zarb tujh se kushaad-e-sharq-o-Garb
teG-e-hilaal kii tarah aish-e-niyaam se guzar
Allama Iqbal
Ghazal
ye abr-paara nahii.n dost ashk-e-girya hai
ye pattharo.n pe gire to shigaaf ho jaa.e
Jahangeer Nayab
Ghazal
jis din mirii jabii.n kisii dahliiz par jhuke
us din KHudaa shigaaf mire sar me.n Daal de
Kaif Bhopali
Ghazal
vo kohkan hai na hai us ke haath me.n tesha
magar zabaan se jab chaahe vo shigaaf kare
Ejaz Rahmani
Ghazal
shaane kii har zabaa.n se sune ko.ii laaf-e-zulf
chiire hai siina raat ko ye muu-shigaaf-e-zulf
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
falak-shigaaf thaa is darja iztiraab-e-amal
ki bandagii me.n farishto.n ko bhii sukuu.n na milaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
lage un aa.nkho.n se har-vaqt ai dil-e-sad-chaak
tiraa na rutba hu.aa kyuu.n shigaaf-e-dar kaa saa
Momin Khan Momin
Ghazal
dushman to ik taraf ki sabab rashk kaa hai yaa.n
dar kaa shiGaaf-o-raKHna-e-diivaar kyuu.n na ho
Meer Taqi Meer
Ghazal
shigaaf-e-zaKHm jo meraa na khul gayaa hotaa
to kaise miltii ye shamshiir-e-kahkashaa.n us ko
Ishrat Zafar
Ghazal
mumkin hai ko.ii haath samundar lapeT de
kashtii me.n sau shigaaf ho.n la.ngar magar uThaa
Qaisarul Jafri
Ghazal
ye mere pusta-e-jaa.n me.n shigaaf the lekin
kisii ne dekhaa nahii.n rok thaam karte hu.e
ruKHsaar Nazimabadi
Ghazal
pighal to saktaa hai lohaa nigaah-e-azm to ho
ye pahle qaid kii diivaar me.n shigaaf na thaa
Bekal Utsahi
Ghazal
siina shigaaf ho gayaa jahl-o-juhuul kaa
barsaa.e tuu ne ilm ke jab tiir lakhna.uu
Mahwar Sirsivi
Ghazal
ye dil kaa zaKHm hai ik roz bhar hii jaa.egaa
shigaaf pur nahii.n hote faqat chaTaano.n ke
Shakeb Jalali
Ghazal
KHilqat pe saadgii kaa mai.n ilzaam kyaa dharuu.n
jitne shigaaf the mirii daanaa.iyo.n me.n the
Asrar Zaidi
Ghazal
ye lag rahaa hai sab du.aa.e.n mustajaab ho ga.ii.n
jagah jagah hai gahraa aasmaa.n shigaaf kii tarah
Musavvir Sabzwari
Ghazal
kisii ke hijr ne use tabaah kar ke rakh diyaa
jo dil me.n ik shigaaf hai ye ain shiin qaaf hai
Shadab Javed
Ghazal
ab intizaar me.n baiThe hu.e hai.n sun.ne ko
tire vo harf jo dil me.n shigaaf karte hai.n