SEARCH RESULTS
Showing search results for "shigaaf"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "shigaaf"
Nazm
muhasara
miraa qalam nahii.n auzaar us naqab-zan kaa
jo apne ghar kii hii chhat me.n shigaaf Daaltaa hai
Ahmad Faraz
Ghazal
vo naala dil me.n KHas ke baraabar jagah na paa.e
jis naala se shigaaf pa.De aaftaab me.n
Mirza Ghalib
Ghazal
koh-shigaaf terii zarb tujh se kushaad-e-sharq-o-Garb
teG-e-hilaal kii tarah aish-e-niyaam se guzar
Allama Iqbal
Ghazal
ye abr-paara nahii.n dost ashk-e-girya hai
ye pattharo.n pe gire to shigaaf ho jaa.e
Jahangeer Nayab
DICTIONARY MATCHES
REKHTA DICTIONARY
shigaafa
शिगाफ़ा شِگافَہ
मिज़ाब, सितार बजाने का छल्ला जो उँगली में पहनते हैं, वीणा-वादन।।
Persian
MORE MATCHES FOR "shigaaf"
Sher
jis din mirii jabii.n kisii dahliiz par jhuke
us din KHudaa shigaaf mire sar me.n Daal de
Kaif Bhopali
Ghazal
jis din mirii jabii.n kisii dahliiz par jhuke
us din KHudaa shigaaf mire sar me.n Daal de
Kaif Bhopali
Sher
mai.n apnii zaat kii tanhaa.ii me.n muqayyad thaa
phir is chaTaan me.n ik phuul ne shigaaf kiyaa
Aanis Moin
Ghazal
vo kohkan hai na hai us ke haath me.n tesha
magar zabaan se jab chaahe vo shigaaf kare
Ejaz Rahmani
Ghazal
shaane kii har zabaa.n se sune ko.ii laaf-e-zulf
chiire hai siina raat ko ye muu-shigaaf-e-zulf
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
falak-shigaaf thaa is darja iztiraab-e-amal
ki bandagii me.n farishto.n ko bhii sukuu.n na milaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
lage un aa.nkho.n se har-vaqt ai dil-e-sad-chaak
tiraa na rutba hu.aa kyuu.n shigaaf-e-dar kaa saa
Momin Khan Momin
Ghazal
dushman to ik taraf ki sabab rashk kaa hai yaa.n
dar kaa shiGaaf-o-raKHna-e-diivaar kyuu.n na ho
Meer Taqi Meer
Ghazal
shigaaf-e-zaKHm jo meraa na khul gayaa hotaa
to kaise miltii ye shamshiir-e-kahkashaa.n us ko
Ishrat Zafar
Ghazal
mumkin hai ko.ii haath samundar lapeT de
kashtii me.n sau shigaaf ho.n la.ngar magar uThaa
Qaisarul Jafri
Ghazal
ye mere pusta-e-jaa.n me.n shigaaf the lekin
kisii ne dekhaa nahii.n rok thaam karte hu.e
ruKHsaar Nazimabadi
Ghazal
pighal to saktaa hai lohaa nigaah-e-azm to ho
ye pahle qaid kii diivaar me.n shigaaf na thaa
Bekal Utsahi
Ghazal
siina shigaaf ho gayaa jahl-o-juhuul kaa
barsaa.e tuu ne ilm ke jab tiir lakhna.uu
