SEARCH RESULTS
Showing search results for "subuk-dosh"
Ghazal MATCHES FOR "subuk-dosh"
Ghazal
yuu.n subuk-dosh huu.n jiine kaa bhii ilzaam nahii.n
aah itnii ba.Dii duniyaa me.n ko.ii kaam nahii.n
Siraj Lakhnavi
Ghazal
zindagii tujh se subuk-dosh hu.e jaate hai.n
dekh ham log bhii KHaamosh hu.e jaate hai.n
Sarita Jain
Ghazal
mansab se mohabbat kii subuk-dosh hu.aa mai.n
aavaaz lagaate raho KHaamosh hu.aa mai.n
Nomaan Shauque
Ghazal
jiite jii laakh bache laakh subuk-dosh rahe
mar ke ehsaan uThaanaa hii pa.Daa yaaro.n kaa
Raft Bahraichi
Ghazal
kohkan KHud to subuk-dosh hu.aa, par shiirii.n
sar pe ilzaam kaa kohsaar liye phirtii hai
Imdad Imam Asar
Ghazal
yaadash-ba-KHair Gam se subuk-dosh kar ga.ii
vo zindagii jo baar rahii 'umr bhar mujhe
Irtiza Nishat
Ghazal
kaa.ndho.n se mere kaatib-e-aamaal gir pa.De
ta.Dpaa mai.n is qadar ki subuk-dosh ho gayaa
Muneer Shikohabadi
Ghazal
dil me.n jitne bhii the hangaame subuk-dosh hu.e
mere atraaf me.n KHaamosh balaa guu.njtii hai
Shams Faridee
Ghazal
sach to ye hai nigah-e-naaz tire sar kii qasam
miT ke bhii dil tire ehsaa.n se subuk-dosh nahii.n
Basit Bhopali
Ghazal
be-tuuda tuuda-KHaak subuk-dosh ho ga.e
sar par junuun-e-ishq kaa ehsaa.n nahii.n rahaa
Momin Khan Momin
Ghazal
kashtii ko.ii Dubo ke subuk-dosh ho gayaa
ilzaam jis qadar the vo tuufaa.n ke sar ga.e
Mushir Jhanjhanvi
Ghazal
aa.nkho.n kii nii.nd se bhii subuk-dosh kar gayaa
tanhaa.iyo.n me.n kaun miraa Gam-shanaas hai
Nashir Naqvi
Ghazal
ishq me.n chaahiye har-lahza niraalii gardish
kyo.n vahaa.n kaatib-e-taqdiir subuk-dosh hu.aa
Nazish Badayuni
Ghazal
teraa har jurm mai.n is nafs ke sar ma.Dhtaa huu.n
dil azal se mirii nazro.n me.n subuk-dosh hai tuu
Shadab Javed
Ghazal
daur-e-tanhaa.ii me.n dil khol ke rone kaa 'amal
KHaana-e-dil ko subuk-dosh banaa detaa hai
Mujtaba Shahroz
Ghazal
jin ko chalnaa thaa mirii qaum kaa rahbar ban kar
haa.n vahii log subuk-dosh nazar aate hai.n