SEARCH RESULTS
Showing search results for "suu-e-chaman"
Ghazal MATCHES FOR "suu-e-chaman"
Ghazal
jab kabhii mere qadam suu-e-chaman aa.e hai.n
apnaa dukh dard liye sarv o saman aa.e hai.n
Hasan Naim
Ghazal
chalte hai.n ham bhii suu-e-chaman chhaa ga.ii ghaTaa
saaqii sharaab le ke pahu.nch aa ga.ii ghaTaa
Waheeduddin Ahmad Waheed
Ghazal
aa jaa.o ki bahaar hai apne shabaab par
'ibn-e-chaman' ke vasl kaa saamaa.n kiye hu.e
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Ghazal
ibn-e-chaman hai terii vafaa.o.n pe jaa.n-nisaar
apnaa banaa ke tuu ne mukammal kyaa mujhe
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Ghazal
ab bhii hai ham ko ahl-e-chaman bas unhii.n se pyaar
is dil ko baar baar dukhaane ke baa'd bhii
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Ghazal
vaqt-e-sahar hai aur chaman me.n shabnam chamke aise
jaise kirno.n ke dhaago.n me.n motii ho.n anmol
Chaman Lal Chaman
Ghazal
ai andaliib apne nasheman kii KHair maa.ng
bijlii ga.ii hai suu-e-chaman dekhtii hu.ii
Qamar Jalalvi
Ghazal
palaT ke suu-e-chaman dekhne se kyaa hogaa
vo shaaKH hii na rahii jo thii aashiyaa.n ke liye
Sahir Ludhianvi
Ghazal
josh-e-bahaar aur ye be-iKHtiyaariyaa.n
suu-e-chaman chale the bayaabaa.n me.n aa ga.e
Seemab Akbarabadi
Ghazal
misl-e-buu ruKH naa kiyaa suu-e-chaman
phir naa aayaa mai.n jidhar se niklaa
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Ghazal
na kare suu-e-chaman bhuul ke bhii ruKH hargiz
aan kar bulbul-e-gulzaar tire kuuche me.n
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Ghazal
na kare suu-e-chaman bhuul ke bhii ruKH hargiz
aan kar bulbul-e-gulzaar tire kuuche me.n
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Ghazal
jaate hai.n jab vo suu-e-chaman sair ke liye
hote hai.n saath aashiq-e-naalaa.n idhar-udhar
Naseem Dehlvi
Ghazal
le jaa.e mujhe suu-e-chaman ab na bahaaraa.n
dil qismat-e-zindaa.n kii qasam khaa.e hu.e hai
Noor Mohammad Noor
Ghazal
u.Dte bhii agar ham to qafas le ke na u.Dte
sayyaad qafas suu-e-chaman u.D ke chalaa aap
Riyaz Khairabadi
Ghazal
Qaisar Amravatwi
Ghazal
dau.Dii jaatii hai ghaTaa suu-e-chaman baada-kasho
parda-e-Gaib se hone lagii tadbiir-e-bahaar
Yagana Changezi
Ghazal
jalne lage hai.n pyaas se phuulo.n ke KHushk ho.nT
abr-e-bahaar ko zaraa suu-e-chaman bhii laa