SEARCH RESULTS
Showing search results for "takhliya"
Ghazal MATCHES FOR "takhliya"
Ghazal
nazar haTaa bhii to saktii hai kam-nazar duniyaa
vahii.n hai bhii.D jahaa.n taKHliya zaruurii hai
Nomaan Shauque
Ghazal
raat aa baiThii hai pahluu me.n sitaaro taKHliya
ab hame.n darkaar hai KHalvat so yaaro taKHliya
Rehman Faris
Ghazal
dard-e-dil kahte hu.e bazm me.n aataa hai hijaab
taKHliya ho to kuchh ahvaal sunaa.e.n tujh ko
Lala Madhav Ram Jauhar
Ghazal
mai.n ne jo taKHliya me.n kahaa haal-e-dil kabhii
mu.nh se na kuchh javaab diyaa muskuraa ga.e
Lala Madhav Ram Jauhar
Ghazal
ab chaahtaa huu.n taKHliya tere KHayaal se
kuchh din mire dimaaG kii KHalvat bahaal kar
Mehshar Afridi
Ghazal
kahaa.n talak tirii yaado.n se taKHliya kar le.n
ham apne aap ko bhuule hai.n aur kyaa kar le.n
Siraj Alam Zakhmi
Ghazal
roz be-muraad iimaa.n ham to lauT aate hai.n
tum se baat karne ko taKHliya nahii.n miltaa
Iman Qaisrani
Ghazal
ai hujuum-e-aarzuu ab chaahtaa huu.n taKHliya
KHaana-e-dil me.n tujhe rahte hu.e arsa hu.aa
Shahbaz Nadeem Ziai
Ghazal
KHud se milne ke liye tanhaa.ii kitnii chaahiye
aaj bhii paayaa na mai.n ne taKHliya kal kii tarah
Midhat-ul-Akhtar
Ghazal
ravaa nahii.n hame.n maujuudgii farishto.n kii
ham ai'takaaf me.n baiThe hai.n taKHliya kiyaa jaa.e
Asim Wasti
Ghazal
ko.ii pukaartaa hai har ik haadse ke saath
taKHliiq-e-kaa.enaat-e-digar kar rahe hai.n ham
Rais Amrohvi
Ghazal
baaGbaa.n ne aag dii jab aashiyaane ko mire
jin pe takiya thaa vahii patte havaa dene lage