SEARCH RESULTS
Showing search results for "tunuk"
Ghazal MATCHES FOR "tunuk"
Ghazal
abr-e-naisaa.n ye tunuk-baKHshii-e-shabnam kab tak
mere kohsaar ke laale hai.n tahii-jaam abhii
Allama Iqbal
Ghazal
taaki ta.ana na mile ham ko tunuk-zarfii kaa
ham qadah saamne aGyaar ke rakh dete hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
dariyaa-e-ma.aasii tunuk-aabii se hu.aa KHushk
meraa sar-e-daaman bhii abhii tar na hu.aa thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
naama-bar us se na ahvaal hamaaraa kahnaa
vo tunuk-KHuu hai biga.D jaa.e mabaadaa yuu.n bhii
Ahmad Faraz
Ghazal
qatra apnaa bhii haqiiqat me.n hai dariyaa lekin
ham ko taqliid-e-tunuk-zarfi-e-mansuur nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
hai tunuk-mizaaj sayyaad kuchh apnaa bas nahii.n hai
mai.n qafas ko le ke u.Dtaa agar iKHtiyaar hotaa
Yagana Changezi
Ghazal
kyaa tunuk-hausla the diida-o-dil apne aah
ek dam raaz-e-mohabbat kaa chhupaayaa na gayaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
kyaa karuu.n pii ke bhalaa ek piyaalii saaqii
is tunuk-zarfii kaa banda nahii.n aadii saaqii
Rind Lakhnavi
Ghazal
bhalaa ho Gam kii tunuk-zarfii-e-tabii.at kaa
agarche baat ga.nvaa dii asar KHariid liyaa
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
jaa baiThiye tunuk ke zaraa mujh se phir alag
be-kuchh kahe sune bhii buraa maan jaa.iye
Riyaz Khairabadi
Ghazal
dekh farhaad kii tunuk-noshii
vus.at-e-jaam-e-jam kii baat na kar
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Ghazal
tunuk-mizaaj hai.n ham yuu.n na roz roz milo
bahut hai aa.o agar gaah gaah dekhne ko
Manmohan Talkh
Ghazal
mai.n bahak jaa.uu.n to ye merii tunuk-zarfii hai
aur agar nashsha na ho kis kii hatak hai saaqii
Ehsas Muradabadi
Ghazal
daaman-e-baad ko hai daulat-e-shabnam kaafii
ruuh ko zikr-e-tunuk-baKHshi-e-dariyaa na sunaa
Shaanul Haq Haqqi
Ghazal
ham aise balaa-nosh ki chhalkaate hii guzrii
tum aise tunuk-zarf chhalaknaa bhii na aayaa
Ezaz Afzal
Ghazal
Hameed Naseem
Ghazal
be-minnat-e-jahaan-e-tunuk-zarf agar mile
vallaah phir to charb hai KHashaa pulaav par
Imdad Ali Bahr
Ghazal
kab aa.nkh jhapak jaa.e tasviir badal jaa.e
har lamha subuk-rau hai har jalva tunuk-KHuu hai
Zaheer Siddiqui
Ghazal
raat us tunuk-mizaaj se kuchh baat ba.Dh ga.ii
vo ruuTh kar gayaa to Gazab raat ba.Dh ga.ii