SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaqt-haa-e-suu-e-haram"
Ghazal MATCHES FOR "vaqt-haa-e-suu-e-haram"
Ghazal
vo vaqt-haa-e-suu-e-haram jab chale the ham
daamaan-kash KHayaal-e-butaa.n der tak rahaa
Shahid Ishqi
Ghazal
shaiKH maiKHaane se jab suu-e-haram aate hai.n
sar jhukaa.e hu.e baa-diida-e-nam aate hai.n
Ishrat Jahangirpuri
Ghazal
rah chukaa dair-o-kaliisaa me.n bahut muddat tak
ai junuu.n suu-e-haram ab to mujhe jaane do
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
suu-e-haram-o-dair kabhii ruKH na kare.nge
jin ko mire saaqii kii hai ra.ngii.n-nazarii yaad
Shaer Fatahpuri
Ghazal
aa.nkh suu-e-haram-o-dair kabhii uTh jaatii
ishq kii raah me.n ye bhii to gavaaraa na hu.aa
Faizi Nizam Puri
Ghazal
labbaik kah ke suu-e-haram ho gayaa ravaa.n
nutq-e-KHaliil se jise aavaaz dii ga.ii
Riyazi Burhanpuri
Ghazal
apnii talaash me.n huu.n 'sabaa' is liye abhii
suu-e-haram safar kaa iraada nahii.n kiyaa
Naeem Saba
Ghazal
qadam uThte the kahaa.n suu-e-haram apne 'adiim'
aaj mushkil nazar aa.ii to KHudaa yaad aayaa
Adeem Hashmi
Ghazal
suu-e-haram hii mu.De.n ham ye kyaa zaruurii hai
tirii galii se ka.ii raaste nikalte hai.n
Akhtar Gwaliori
Ghazal
suu-e-haram chale the ba.De ehtimaam se
qismat kii baat raah me.n but-KHaana aa gayaa
Shauq Mahri
Ghazal
kam-baKHt suu-e-dair-o-haram bhaag rahii hai.n
gulshan kii havaa.o.n ko sanaknaa bhii na aayaa
Ezaz Afzal
Ghazal
apnii ruKHsat hai buto.n se bhii ab inshaa-allaah
dair se suu-e-haram aaj hii kal jaataa huu.n
Hatim Ali Mehr
Ghazal
'ziishaan' tum ne dil ko sanam-KHaana kar liyaa
ab kyaa karoge suu-e-haram sar jhukaa ke tum
Zeeshan Niyazi
Ghazal
lauTaa hai le ke zehn me.n aashob-e-zindagii
dil kaa Gazaal suu-e-haram muddato.n ke baad
Sibtain Shahjahani
Ghazal
ek hii manzil pe jaa kar mil ga.e dono.n 'zahiin'
vo chale suu-e-haram ham kuu-e-jaanaa.n kii taraf
Zaheen Shah Taji
Ghazal
tujh ko saaqii tiraa mai-KHaana mubaarak ham to
ab chale suu-e-haram KHair tumhe.n kyaa is se
Samia Naseem
Ghazal
ek hii manzil pe jaa kar mil ga.e dono.n 'zahiin'
vo chale suu-e-haram ham kuu-e-jaanaa.n kii taraf
Zaheen Shah Taji
Ghazal
ahl-e-dil chalne lage jab bhii suu-e-dair-o-haram
muntazir us raah me.n har baar maiKHaane mile