SEARCH RESULTS
Showing search results for "zam"
Ghazal MATCHES FOR "zam"
Ghazal
ek hii ishq me.n dono.n kaa junuu.n zam hogaa
pyaas yaksaa.n hai to sairaab ikaTThe ho.nge
Umair Najmi
Ghazal
hujra-e-zaat me.n yaa mahfil-e-yaaraa.n me.n rahuu.n
fikr duniyaa kii mujhe ho bhii to kam ho aamiin
Rehman Faris
Ghazal
ain mumkin hai tire ishq me.n zam ho jaa.uu.n
aur phir dhyaan kii jannat me.n na laa.uu.n tujh ko
Mubashshir Saeed
Ghazal
hamaarii nigaaho.n se sapne churaa kar
vo kis kii nigaaho.n me.n zam kar rahe hai.n
Fariha Naqvi
Ghazal
ishq bhii husn me.n zam hotaa dikhaa.uu.ngaa tujhe
jab diyaa raqs me.n laa.uu.ngaa chalaa jaa.uu.ngaa
Ashraf Javed
Ghazal
Sardar Asif
Ghazal
tire KHayaal ke aate hii lauTne se lagaa
har ek chiiz udaasii me.n zam nahii.n hotii
Jahanzeb Sahir
Ghazal
ho ga.ii jaa ke shafaq-ra.ngii-e-aafaaq me.n zam
kaf-e-doshiiza-e-dil se jo hinaa.ii ga.ii hai
Arshad Jamal Sarim
Ghazal
tumhaare saath mai.n chal to rahaa huu.n chalne ko
har ik hujuum me.n lekin mai.n zam nahii.n hotaa
Shanawar Ishaq
Ghazal
Idris Babar
Ghazal
kab tak tanhaa tanhaa TuuTe.n bikhre.nge
ruuh me.n ruuh ko hone de zam shahzaade
Fauziya rabab
Ghazal
gintii me.n be-shumaar the kam kar diye ga.e
ham saath ke qabiilo.n me.n zam kar diye ga.e
Alamtaab Tishna
Ghazal
gesuu ko tire ruKH se baham hone na de.nge
ham raat ko KHurshiid me.n zam hone na de.nge
Saghar Nizami
Ghazal
mire dariyaa hu.ii jab zam mai.n tujh me.n
samundar se bhii gahrii ho ga.ii huu.n
Hajra Noor Zaryab
Ghazal
badan udhe.Degii bismil kaa zindagii pahle
sunaa hai KHaak me.n aaKHir vo zam karegii mujhe