SEARCH RESULTS
Showing search results for "zamiir"
Ghazal MATCHES FOR "zamiir"
Ghazal
kyaa mil gayaa zamiir-e-hunar bech kar mujhe
itnaa ki sirf kaam chalaataa rahaa huu.n mai.n
Jaun Eliya
Ghazal
jaagaa hu.aa zamiir vo aa.iina hai 'qatiil'
sone se pahle roz jise dekhtaa huu.n mai.n
Qateel Shifai
Ghazal
abhii zamiir me.n tho.Dii sii jaan baaqii hai
abhii hamaaraa ko.ii imtihaan baaqii hai
Javed Akhtar
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
zamiir-e-paak o nigaah-e-buland o masti-e-shauq
na maal-o-daulat-e-qaaruu.n na fikr-e-aflaatuu.n
Allama Iqbal
Ghazal
mai.n chup rahaa to mujhe maar degaa meraa zamiir
gavaahii dii to adaalat me.n maaraa jaa.uu.ngaa
Rana Saeed Doshi
Ghazal
zamiir kaa.np to jaataa hai aap kuchh bhii kahe.n
vo ho gunaah se pahle ki ho gunaah ke baa'd
Krishn Bihari Noor
Ghazal
jo vasf ham me.n nahii.n kyuu.n kare.n kisii me.n talaash
agar zamiir hai bedaar aa.o sach bole.n
Qateel Shifai
Ghazal
miraa zamiir bahut hai mujhe sazaa ke liye
tuu dost hai to nasiihat na kar KHudaa ke liye
Shaz Tamkanat
Ghazal
zamiin hai so vo apnii gardisho.n me.n kahii.n
jo chaa.nd hai so vo TuuTaa hu.aa saa lagtaa hai
Obaidullah Aleem
Ghazal
Jigar Moradabadi
Ghazal
dekh phir dast-e-zaruurat me.n na bik jaa.e zamiir
zar ke badle me.n usuulo.n kii tijaarat mat kar
Abbas Dana
Ghazal
hai dostii to mujhe izn-e-mezbaanii de
tuu aasmaa.n se utar aur mirii zamiin pe chal
Ahmad Faraz
Ghazal
kabhii na chaahne vaalo.n kaa KHuu.n-bahaa maa.ngaa
nigaar-e-shahr-e-suKHan be-zamiir aisii thii
Parveen Shakir
Ghazal
tuu zamiir-e-aasmaa.n se abhii aashnaa nahii.n hai
nahii.n be-qaraar kartaa tujhe Gamza-e-sitaara