aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "'dilshaad'"
chhat girne kaa kisii jaa Gul shor ho rahaa haidiivaar kaa bhii dha.Dkaa kuchh hosh kho rahaa haidar dar havelii vaalaa har aan ro rahaa haimuflis so jhop.De me.n dil-shaad so rahaa haikyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii bahaare.n
naGma-dar-jaa.n raqs barpaa KHanda-bar-labdil tamannaa.o.n ke be-paayaa.n alaav ke qariibdil mire sahraa-navard-e-piir dilreg ke dil-shaad shahrii reg tuuaur reg hii terii talabreg kii nik.hat tire paikar me.n terii jaa.n me.n haireg sub.h-e-iid ke maanind zartaab-o-jaliilreg sadiyo.n kaa jamaaljashn-e-aadam par bichha.D kar milne vaalo.n kaa visaalshauq ke lamhaat ke maanind aazaad-o-aziimreg naGma-zanki zarre reg-zaaro.n kii vo paazeb-e-qadiimjis pe pa.D saktaa nahii.n dast-e-la.iimreg-e-sahraa zar-garii kii ek kii lahro.n se duurchashma-e-makr-o-riyaa shahro.n se duurreg shab-bedaar hai suntii hai har jaabir kii chaapreg shab-bedaar hai nigaraa.n hai maanind-e-naqiibdekhtii hai saaya-e-aamir kii chaapreg har ayyaar Gaarat-gar kii mautreg istibdaad ke tuGyaa.n ke shor-o-shar kii mautreg jab uThtii hai u.D jaatii hai har faateh kii nii.ndreg ke nezo.n se zaKHmii sab shahanshaaho.n ke KHvaabreg ai sahraa kii regmujh ko apne jaagte zarro.n ke KHvaabo.n kiina.ii ta.abiir dereg ke zarro.n ubhartii sub.h tumaa.o sahraa kii hado.n tak aa gayaa roz-e-tarabdil mire sahraa-navard-e-piir dilaa chuum reghai KHayaalo.n ke parii-zaado.n se bhii ma.asuum regreg-e-raqsaa.n maah-o-saal nuur tak raqsaa.n raheus kaa abresham mulaa.em narm-KHuu KHandaa.n rahedil mire sahraa-navard-e-piir dilye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaavraah gum kar duu.n kii mash.al is ke lab par aa.o aa.otere maazii ke KHazaf rezo.n se jaagii hai ye aagaag kii qurmuz zabaa.n par imbisaat-e-nau ke raagdil mire sahraa-navard-e-piir dilsargiraanii kii shab-e-rafta se jaagkuchh sharar aaGosh sarsar me.n hai.n gumaur kuchh ziina ba ziina sho.alo.n ke miinaar par cha.Dhte hu.eaur kuchh tah me.n alaav kii abhiimuztarib lekin muzabzab tifl-e-kam-sin kii tarahaag ziina aag ra.ngo.n kaa KHaziinaaag un lazzaat kaa sar-chashma haijis se letaa hai Gizaa ushshaaq ke dil kaa tapaakchob-e-KHushk anguur us kii mai hai aagsarsaraatii hai rago.n me.n iid ke din kii tarahaag kaahin yaad se utrii hu.ii sadiyo.n kii ye afsaana-KHvaa.naane vaale qarnahaa kii daastaane.n lab pe hai.ndil miraa sahraa-navard-e-piir dil sun kar javaa.naag aazaadii kaa dil-shaadii kaa naamaag paidaa.ish kaa afzaa.ish kaa naamaag ke phuulo.n me.n nasrii.n yaasman sumbul shafiiq-o-nastaranaag aaraa.ish kaa zebaa.ish kaa naamaag vo taqdiis dhul jaate hai.n jis se sab gunaahaag insaano.n kii pahlii saa.ns ke maanind ik aisaa karamumr kaa ik tuul bhii jis kaa nahii.n kaafii javaabye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na hois laq-o-daq me.n nikal aa.e.n kahii.n se bhe.Diyeis alaav ko sadaa raushan rakhoreg-e-sahraa ko bashaarat ho ki zinda hai alaavbhe.Diyo.n kii chaap tak aatii nahii.naag se sahraa kaa rishta hai qadiimaag se sahraa ke Te.Dhe re.ngne vaalegirah-aaluud zholiida daraKHtjaagte hai.n naGma-dar-jaa.n raqs barpaa KHanda-bar-labaur manaa lete hai.n tanhaa.ii me.n jashn-e-maahtaabun kii shaaKHe.n Gair-mara.ii tabl kii aavaaz par detii hai.n taalbiikH-o-bun se aane lagtii hai KHudaavandii jalaajil kii sadaaaag se sahraa kaa rishta hai qadiimrahravo.n sahraa-navardo.n ke liye hai rahnumaakaarvaano.n kaa sahaaraa bhii hai aagaur sahraa.o.n kii tanhaa.ii ko kam kartii hai aagaag ke chaaro.n taraf pashmiina-o-dastaar me.n lipTe hu.eafsaana-gojaise gird-e-chashm mizhgaa.n kaa hujuumun ke hairat-naak dilkash tajrabo.n sejab damak uThtii hai retzarra zarra bajne lagtaa hai misaal-e-saaz-e-jaa.ngosh-bar-aavaaz rahte hai.n daraKHtaur ha.ns dete hai.n apnii aarifaana be-niyaazii se kabhiiye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na horeg apnii KHalvat-e-be-nuur-o-KHud-bii.n me.n raheapnii yaktaa.ii kii tahsii.n me.n raheis alaav ko sadaa raushan rakhoye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na hoasia africa pahnaa.ii kaa naambe-kaar pahnaa.ii kaa naameurope aur america daaraa.ii kaa naamtakraar-e-daaraa.ii kaa naammeraa dil sahraa-navard-e-piir diljaag uThaa hai mashriq-o-maGrib kii aisii yak-diliike kaarvaano.n kaa nayaa ruuyaa liyeyak-dilii aisii ki hogii fahm-e-insaa.n se varaayak-dilii aisii ki ham sab kah uThe.nis qadar ujlat na karizhdihaam-e-gul na bankah uThe.n hamtuu Gam-e-kul to na thiiab lazzat-e-kul bhii na banroz-e-aasaa.ish kii bedardii na banyak-dilii ban aisaa sannaaTaa na banjis me.n taabistaa.n kii dopahro.n kiibe-haasil kasaalat ke sivaa kuchh bhii na hois jafaa-gar yak-dilii ke kaarvaa.n yuu.n aa.e.ngedast-e-jaaduu-gar se jaise phuuT nikle ho.n tilismishq-e-haasil-KHez se yaa zor-e-paidaa.ii se jaise naa-gahaa.nkhul ga.e ho.n mashriq-o-maGrib ke jismjism sadiyo.n ke aqiimkaarvaa.n farKHanda-pai aur un kaa baarkiisa kiisa taKHt-e-jam aur taaj-e-kaikuuza kuuza fard kii satvat kii maijaama jaama roz-o-shab mehnat kaa KHainaGma naGma hurriyat kii garm laisaaliko firoz-baKHto aane vaale qaafloshahr se lauToge tum to paa.ogeret ke sarhad pe jo ruuh-e-abad KHvaabiida thiijaag uThii hai shikva-haa-e-nai se voret kii tah me.n jo sharmiilii sahar ro.iida thiijaag uThii hai hurriyat kii lai se voitnii doshiiza thii itnii mard-e-naa-diida thii sub.hpuuchh sakte the na us kii umr hamdard se ha.nstii na thiizarro.n kii ra.anaa.ii pe bhii ha.nstii na thiiek mahjuubaana be-KHabarii me.n ha.ns detii thii sub.hab manaatii hai vo sahraa kaa jalaaljaise izz-o-jal ke paa.nv kii yahii mehraab hozer-e-mehraab aa ga.ii ho us ko bedaarii kii raatKHud janaab-e-izz-o-jal se jaise umiid-e-zafaafsaare naa-karda gunaah is ke mu.aafsub.h-e-sahraa shaad-baadai uruus-e-izz-o-jal farKHanda ro taabinda khotuu ik aise hujra-e-shab se nikal kar aa.ii haidast-e-qaatil ne bahaayaa thaa jahaa.n har sej parsai.nka.Do.n taaro.n kaa raKHshanda lahuu phuulo.n ke paassub.h-e-sahraa sar mire zaanuu pe rakh kar daastaa.nun tamannaa ke shahiido.n kii na kahun kii niima-ras uma.ngo.n aarzuu.o.n kii na kahjin se milne kaa ko.ii imkaa.n nahii.nshahd teraa jin ko nashsh-e-jaa.n nahii.naaj bhii kuchh duur is sahraa ke paardev kii diivaar ke niiche nasiimroz-o-shab chaltii hai mub.ham KHauf se sahmii hu.iijis tarah shahro.n kii raaho.n par yatiimnaGma-bar-lab taaki un kii jaa.n kaa sannaaTaa ho duuraaj bhii is reg ke zarro.n me.n hai.naise zarre aap hii apne Ganiimaaj bhii is aag ke sho.alo.n me.n hai.nvo sharar jo us kii tah me.n par-buriida rah ga.emisl-e-harf naa-shuniida rah ga.esub.h-e-sahraa ai uruus-e-izz-o-jalaa ki un kii daastaa.n dohraa.e.n hamun kii izzat un kii azmat gaa.e.n hamsub.h ret aur aag ham sab kaa jalaalyak-dilii ke kaarvaa.n un kaa jamaalaa.ois tahliil ke halqe me.n ham mil jaa.e.naa.oshaad-baaG apnii tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav
ye duniyaa kitnii pyaarii haihar ik baat is kii nyaarii haiye duniyaa kitnii pyaarii haimakaa.n aabaad hai.n kaisemakii.n dil-shaad hai.n kaiseye duniyaa kitnii pyaarii haikabhii din hai nazaare hai.nkabhii hai raat taare hai.nye duniyaa kitnii pyaarii haichaman me.n paude hilte hai.ngale aapas me.n milte hai.nye duniyaa kitnii pyaarii haigajar dam gaatii hai.n chi.Diyaa.ndilo.n ko bhaatii hai.n chi.Diyaa.nye duniyaa kitnii pyaarii haikhile hai.n phuul gulshan me.nugii hai.n jhaa.Diyaa.n ban me.nye duniyaa kitnii pyaarii haihavaa ke jho.nke aate hai.nshaguufe muskuraate hai.nye duniyaa kitnii pyaarii haiparinde chahchahaate hai.nhamaaraa jii lubhaate hai.nye duniyaa kitnii pyaarii haighaTaa.e.n ghir ke aatii hai.nbahaare.n me.nh kii laatii hai.nye duniyaa kitnii pyaarii haisamundar hai.n ravaa.n dekhojahaaz aur kashtiyaa.n dekhoye duniyaa kitnii pyaarii haiye koso.n tak hare ja.ngaldaraKHto.n se bhare ja.ngalye duniyaa kitnii pyaarii haiye duniyaa kitnii pyaarii hai
mai.n is ra.ngiinii-e-auraaq se dil-shaad kyaa huu.ngaamire dil me.n nahii.n ab aarzuu-e-KHuld bhii baaqiimujhe ye raushnii ye aasmaa.n kii be-karaa.n vus.atko.ii dars-e-tamaashaa ab nahii.n detiimire hu.e safed-o-siim kaa aah ye manzarfareb-e-diid hai meraa kafan hogaamirii is KHaak me.n ab garmii-e-ta.amiir kyaa hogiivo duniyaa miT chukii ab is ke miTne kaa nahii.n kuchh Gamye marg-e-naa-gahaa.n apnaa nasiiba thaamagar ik tiir jaise aaj bhii paivast ho dil me.nki vo ra.anaa.ii-e-aa.iin-e-barg-e-gul nahii.n mujh me.nmirii shaam-e-KHizaa.n kyuu.n itnii viiraa.n hai?
phailii hai fazaa.o.n me.n KHushii merii nazar kiiha.nstii nazar aatii hai.n fazaa.e.n mire ghar kiidil-shaad mire ahl-o-ayaal aaj bahut hai.nmasruuf hai.n vo bhii nahii.n masruuf faqat mai.nrakhii hai saliiqe se har ik kaam kii chiiz aajmehmaan mire ghar me.n hai.n kuchh mere aziiz aajshaadii kaa makaa.n ghar miraa ma.aluum na ho kyuu.nmajma.a ho jab itnaa to bhalaa dhuum na ho kyuu.nbhaa.ii bhii hai.n bahno.ii bhii bhaavaj bhii bahan bhiibaiThaa hai bhatiijaa bhii bhatiije kii dulhan bhiibachchii idhar ik baiTh ke taktii hai dulhan kokuchh tifl sataate hai.n udhar apnii bahan kobachcho.n pe jhalak KHaas hai tanviir-e-sahar kiiuTh baiThe hai.n sab sunte hii aavaaz gajar kiidilkash ye fazaa sub.h kii ye nuur kaa ta.Dkaabulbul kii tarah bol rahaa hai ko.ii la.Dkaabe-vaj.h ko.ii rone pe aamaada hu.aa haihairat se na.e gur ko ko.ii dekh rahaa haibaiThaa hai ye chup dau.D rahaa hai vo KHushii sekhaane ke liye zid ko.ii kartaa hai abhii sekarnaa hai jo saamaan-e-ziyaafat ko faraahamaa aa ke mire kaan me.n kuchh kahtii hai.n begamhonaa hai jo KHuubii se ziyaafat kaa sar-anjaamla.Dkii ke zariye se bhii pahu.nchaatii hai.n paiGaamaatii bhii hai.n jaatii bhii hai.n begam suu-e-matbaKHmaamaa.o.n me.n be-vaqt jahaa.n hotii hai chaKH chaKHraahat na mile kyuu.n unhe.n halkii tag-o-dau me.nsaa.e kii tarah saath hai la.Dkii bhii jilau me.nnannhii abhii uTThii nahii.n pahluu se phuphii keletii hai.n vo rah rah ke maze us kii ha.nsii kela.Dke mire KHush ho ke udhar dekh rahe hai.niKHlaas-o-mohabbat se muKHaatib huu.n jidhar mai.nmajma.a ye aziizo.n kaa mohabbat kii ye baate.nin pyaar kii baato.n me.n na choTe.n hai.n na ghaate.nanvaar tabassum ke takallum se hai.n paidaazau sub.h kii is manzar-e-dil-kash pe hai shaidaabaato.n kaa abhii thaa tarabii silsila jaariinargis ne kahaa aa ke hai tayyaar nahaarii
ye saarii KHudaa.ii hamaare liye hainahii.n hai paraa.ii hamaare liye haiye saarii KHudaa.ii hamaare liye haihame.n is KHudaa.ii me.n hai kaam karnaabahut kaam karnaa ba.Daa naam karnaaye saarii KHudaa.ii hamaare liye haisikhaate hai.n ye shahar aabaad honaaaur aapas me.n mil-jul ke dil-shaad honaaye saarii KHudaa.ii hamaare liye haiye baaG is liye hai.n ki phirne ko jaa.e.nphalo.n aur phuulo.n se ham lutf uThaa.e.nye saarii KHudaa.ii hamaare liye haikhule madrase hai.n ki in me.n pa.Dhe.n hamtaraqqii ke raste pe aage ba.Dhe.n hamye saarii KHudaa.ii hamaare liye haikiyaa fat.h ham ne havaa.ii fazaa kohavaa.ii jahaazo.n se chiiraa havaa koye saarii KHudaa.ii hamaare liye haisamundar pe bhii hai hukuumat hamaariijahaazo.n me.n hai band taaqat hamaariiye saarii KHudaa.ii hamaare liye haihamii.n dam mashaqqat kaa bharte hai.n jaa karbayaabaan aabaad karte hai.n jaa karye saarii KHudaa.ii hamaare liye haibahut umre.n mehnat me.n barbaad kii hai.nye raile.n tab insaa.n ne iijaad kii hai.nye saarii KHudaa.ii hamaare liye haizamii.n is liye hai ki khetii kare.n hammashaqqat kare.n peT apnaa bhare.n hamye saarii KHudaa.ii hamaare liye hai
nayaa saal ho jaa.egaa jab puraanaato saamaa.n karegaa vo apne safar kekiye ho.nge tum ne agar kaam achchhevo KHush jaa.egaa tum ko dil-shaad kar ke
ai aariyo.n qadam rakho in hasan bhare gulzaaro.n me.njannat ke maze luuToge sadaa is paak zamii.n kii bahaaro.n me.ntum ga.ng-o-jaman ke kinaaro.n par shahr apne na.e aabaad karogaa gaa ke bhajan kar kar ke havan ho jaa.o magan dil-shaad karo
maadar-e-hind zamaane me.n tuu aabaad raheham balaa se ho.n giraftaar tuu aabaad raheham pe sau aafate.n naazil ho.n masaa.ib aa.e.ntuu magar KHush rahe KHurram rahe dil-shaad raheterii KHidmat ke liye jab se kamar-basta hai.nkis ko parvaah ki aabaad yaa barbaad rahekis qadar ham pe jafaa-gar ne jafaa.e.n to.Dii.ntaKHta-e-mashq-e-sitam maurid-e-be-daad raheham vafaa ke hai.n vo bande ki kabhii aah na kiidil ko roke hu.e thaame hu.e fariyaad raheham ne piichhe na haTaayaa kabhii maidaa.n se qadamteG khii.nche hu.e go saamne jallaad rahemulk-o-millat kii taraf-daarii se mu.nh kab mo.Daagarche aamaada sitam par sitam-iijaad raheshauq-e-parvaaz na aazaad-KHayaalo.n kaa gayaadaam Daale hu.e har-chand ki sayyaad raheKHuun se kar ga.e sairaab chaman ko 'saabir'kyuu.n na bhaarat ko shahiido.n kii sadaa yaad rahe
mausam bahut sard hai in dino.ntumhaare shahr me.n to barf bhii pa.D rahii hogiiaur shaano.n pe tumhaare gir rahii hogiichaahtii huu.n ۔siyaah coat pe gire safed barf ke zarro.n kochunuu.n is tarah ki jaisemirii u.ngliyaa.n apnii poro.n se tumhaaraa dard chuntii hai.nsochtii huu.n ۔ghar se tum jab bhii niklo apne aa.nchal kaa saa.ebaa.n kar duu.nki zarraa bhii ko.ii barf kaa tumhaare baalo.n kii uljhano.n kochhuu sake na paa sakepaa.o.n rakho tum jahaa.n parhatheliyo.n ko farsh kar duu.ntumhe.n sard dino.n se shikaayat na hoso apnii mohabbat kii hiddato.n setumhaare dino.n ko garm kar duu.nnaazuk-mizaaj ho tumsard mausam raas nahii.n hai tum konaazuk-mizaajiyo.n kaa KHayaal rakhnaaapnaa KHayaal rakhnaaki mausam bahut sard hai in dino.naur tumhaare shahr me.n to barf bhii pa.D rahii hogii
qaid-e-shadiid me.n hai.n aazaad in ko kar debarbaad-o-muntashir hai.n aabaad in ko kar deazm-o-amal me.n goyaa faulaad in ko kar demasruur in ko kar de dil-shaad in ko kar deab in pe rahm farmaa o aasmaan vaalehai.n saKHt mushkilo.n me.n hindostaan vaale
bas-ki duniyaa pe musiibat kii ghaTaa chhaa.ii thiiahl-e-aalam kii Garaz jaan pe ban aa.ii thiidil me.n baadal ke KHudaa jaane ki kyaa aa.ii thiibuu.nd paanii kii na kambaKHt ne barsaa.ii thiiyuu.n to baadal ka.ii ghir ghir ke chale aate theva.ade karte the magar va.ado.n se phir jaate thebas-ki majbuur the vo aadat-e-KHud-Garzii setaur un ke jo barasne ke the sab farzii theshor ko apne jo vo sarf-e-havaa karte thebahr-e-aflaak me.n tuufaan bapaa karte themai.n ne ye kah hii diyaa aap ke sab hiile hai.ngarjne vaale mire dosto kab barse hai.nbaadal allah ne banaa.e the baras jaane kokisii dahqaan kii qismat pe taras khaane kodil unhe.n mai.n ne barasne se churaate dekhaaek aa.nsuu na nigaaho.n se bahaate dekhaabhuul jaate hai.n jo sach puuchho to zar vaale bhiiki makaano.n ke hu.aa karte hai.n parnaale bhiidekhte dekhte baadal sabhii barbaad hu.ehausle vaale vahii.n aan ke aabaad hu.eashk dahqaa.n kii musiibat pe bahaane aa.emu.nh me.n khetii ke vahii.n paanii churaane aa.esaaGar-e-dil me.n mai-e-dard bharii rakhte theaur rahmat kii lagaa.e vo jha.Dii rakhte thephir to viiraano.n ko gulzaar banaa kar chho.Daabe.Daa duniyaa kaa Garaz paar karaa kar chho.Daaabr-e-baaraa.n ne jo yuu.n apnii dikhaa.ii himmatshaamil-e-haal hu.ii hai ke KHudaa kii rahmatapnii rahmat me.n KHudaa ne unhe.n aabaad kiyaaapne siine se lagaa kar unhe.n dil-shaad kiyaazinda rahte hai.n 'purii' mard saKHaavat vaaleyaad rah jaate hai.n duniyaa me.n muravvat vaale
mohabbat jis me.n hotii hai vo dil bedaar rahtaa haimohabbat ke nashe se har gha.Dii sarshaar rahtaa haivahii dil-shaad duniyaa me.n bas ai 'muKHtaar' rahtaa hai
vahii havaa hai ye mauj-e-paimaa.njunuu.n kii zanjiir jhanjhanaatiijavaa.n lahuu ke diye jalaatiihamaare hujre me.nchaa.nd suuraj sitaare kitne hii jagmagaatiiliye jilau me.nutartii rahtii thii tere dil-shaad qahqaho.n kaa fusuu.n jagaatiitire badan me.n taraare bhartiimire badan me.n taraare bhartii'aziim chaahat ke raag chhe.Dekabhii dilampatkabhii durat aurkabhii taraanatan tanaananhar ek saa.ns ek taan ban karnafas nafas baadbaan ban karna.e jaziiro.n ke saahilo.n par hayaat-afgan KHayaal gaatiivahii havaa hai
usuul-e-mehr-o-ulfat se na vo Gaafil na mai.n Gaafildabistaan-e-mohabbat me.n na vo jaahil na mai.n jaahilmai.n apne zauq se vaaqif vo apne husn se vaaqifba-hadd-e-suurat-o-siirat na vo saa.il na mai.n saa.ilvafaa ke mo'jize kaa e'tiraaf un ko bhii mujh ko bhiitasanno' kii karaamat ke vo qaa.il hai.n na mai.n qaa.ilmohabbat un kii laa-saanii sadaaqat merii laa-faaniihaqiiqat hii haqiiqat hai na vo baatil na mai.n baatilKHushaamad iltijaa minnat samaajat aarzuu-mandiizavaahir me.n zavaahir kii kare.n ham KHaak paabandiimaqaam-e-ins-o-‘irfaa.n me.n rahe.n aazaad ham dono.nmisaalan nit na.ii rasme.n kare.n iijaad ham dono.nvo ruuThe.n mai.n manaa.uu.n vo ha.nse.n mai.n qahqaha maaruu.nvo jaa.e.n mai.n bulaa.uu.n yuu.n rahe.n dil-shaad ham dono.nvo chup saadhe.n mai.n chup saadhuu.n na vo chhe.De.n na mai.n chhe.Duu.njahaan-e-kaif ko yuu.n bhii kare.n aabaad ham dono.nmohabbat zindaabaad ab tak shagufta dil hai.n jis Dhab seisii Dhab se rahe.n naa-vaaqif-e-fariyaad ham dono.ntafavvuq hai payaam-e-jang ham dono.n premii hai.n'uqaabii jang-naame se na vo raazii na KHush huu.n mai.nmai.n un ke naaz uThaa.uu.n aur meraa dil vo bahlaa.e.nGuruur-angez shaahaana na mai.n gaa.uu.n na vo gaa.e.nakele phuul chun le.n baaG me.n to KHair chun bhii le.nmagar tanhaa pa-e-gul-gasht mai.n jaa.uu.n na vo jaa.e.ngila karnaa to jaa.ez hii nahii.n hai farz hai lekinzabaa.n par shikva-e-bejaa na mai.n laa.uu.n na vo laa.e.nunhe.n saugand mai.n duu.n husn kii vo mujh ko ulfat kiiqasam lailaa-o-majnuu.n kii na mai.n khaa.uu.n na vo khaa.e.nba-aa.iin-e-KHirad mai.n bhii vafaa kaa dam bharuu.n vo bhiiGaraz qaanuun-e-fitrat kaa adab mai.n bhii karuu.n vo bhii
ye dard bharii duniyaa bastii hai gunaaho.n kiidil-chaak umiido.n kii saffaak nigaaho.n kiizulmo.n kii jafaa.o.n kii aaho.n kii karaaho.n kii
har na.e chaa.nd pe patthar vahii sach kahte hai.nusii lamhe se damak uThte me.n un ke chehrejis kii lau umr ga.e ik dil-e-shab-zaad ko mahtaab banaa aa.ii thii!usii mahtaab kii ik narm kiransaa.ncha-e-sa.ng me.n Dhal paa.ii toishq ra.ng-e-abadiyyat se sar-afraaz hu.aa
sadiyo.n ke band TuuTe aazaad hoga.e hamqaid-e-giraa.n se chhuuTe dil-e-shaad ho ga.e hambe-KHauf be-niyaaz-e-sayyaad ho ga.e hamphir bas gayaa nasheman aabaad hoga.e hamroz-e-sa.iid aayaa chhabbiis january kaadaur-e-jadiid laayaa bhaarat kii bartarii kaa
taaza-dam bhii huu.n magar phir ye taqaazaa kyuu.n haihaath rakh de mire maathe pe ko.ii zohra-jabii.nek aaGosh-e-hasii.n shauq kii meraaj hai kyaakyaa yahii hai asar-e-naala-e-dil-haa-e-hazii.n
kyaa aisii uftaad pa.Dii jobhuul ga.e dil-saaz zamii.n ko
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books