aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ",GsFU"
kyaa sunaataa hai mujhe turk-o-arab kii daastaa.nmujh se kuchh pinhaa.n nahii.n islaamiyo.n kaa soz-o-saazle ga.e tasliis ke farzand miiraas-e-KHaliilKHisht-e-buniyaad-e-kaliisaa ban ga.ii KHaak-e-hijaazho ga.ii rusvaa zamaane me.n kulaah-e-laala-ra.ngjo saraapaa naaz the hai.n aaj majbuur-e-niyaazle rahaa hai mai-faroshaan-e-fara.ngistaan se paarsvo mai-e-sarkash haraarat jis kii hai miinaa-gudaazhikmat-e-maGrib se millat kii ye kaifiyyat hu.iiTuk.De Tuk.De jis tarah sone ko kar detaa hai gaazho gayaa maanind-e-aab arzaa.n musalmaa.n kaa lahuumuztarib hai tuu ki teraa dil nahii.n daanaa-e-raazguft ruumii har banaa-e-kuhanaa ki-aabaadaa.n kunandmii na-daanii avval aa.n buniyaad raa viiraa.n kunandmulk haatho.n se gayaa millat kii aa.nkhe.n khul ga.ii.nhaq tiraa chashme 'ataa kar dast-e-Gaafil dar nigarmomyaa.ii kii gadaa.ii se to behtar hai shikastmor-e-be-par haajate pesh-e-sulaimaane mabarrabt-o-zabt-e-millat-e-baizaa hai mashriq kii najaatasia vaale hai.n is nukte se ab tak be-KHabarphir siyaasat chho.D kar daaKHil hisaar-e-dii.n me.n homulk-o-daulat hai faqat hifz-e-haram kaa ik samarek huu.n muslim haram kii paasbaanii ke liyeniil ke saahil se le kar taa-ba-KHaak-e-kaashGarjo karegaa imtiyaaz-e-ra.ng-o-KHuu.n miT jaa.egaaturk-e-KHargaahii ho yaa aaraabii-e-vaalaa-guharnasl agar muslim kii maz.hab par muqaddam ho ga.iiu.D gayaa duniyaa se tuu maanind-e-KHaak-e-raah-guzartaa-KHilaafat kii binaa duniyaa me.n ho phir ustuvaarlaa kahii.n se Dhuu.nD kar aslaaf kaa qalb-o-jigarai ki na-shinaasii KHafii raa az jalii hushiyaar baashai giraftaar-e-abuu-bakr-o-alii hushiyaar-baash'ishq ko fariyaad laazim thii so vo bhii ho chukiiab zaraa dil thaam kar fariyaad kii taasiir dekhtuu ne dekhaa satvat-e-raftaar-e-dariyaa kaa 'uruujmauj-e-muztar kis tarah bantii hai ab zanjiir dekh'aam hurriyat kaa jo dekhaa thaa KHvaab islaam neai musalmaa.n aaj tuu us KHvaab kii taa'biir dekhapnii KHaakistar samundar ko hai saamaan-e-vajuudmar ke phir hotaa hai paidaa ye jahaan-e-piir dekhkhol kar aa.nkhe.n mire aa.iina-e-guftaar me.naane vaale daur kii dhundlii sii ik tasviir dekhaazmuuda fitna hai ik aur bhii garduu.n ke paassaamne taqdiir ke rusvaa.ii-e-tadbiir dekhmuslim astii siina raa az aarzuu-aabaad daarhar zamaa.n pesh-e-nazar laa-yuKHlif-ul-mii.aad daar
abhii maraa nahii.n zinda hai aadmii shaayadyahii.n kahii.n use Dhuu.nDo yahii.n kahii.n hogaabadan kii andhii guphaa me.n chhupaa hu.aa hogaaba.Dhaa ke haathhar ik raushnii ko gul kar dohavaa.e.n tez hai.n jhanDe lapeT kar rakh dojo ho sake to un aa.nkho.n pe paTTiyaa.n kas dona ko.ii paa.nv kii aahaTna saa.nso.n kii aavaazDaraa hu.aa hai vokuchh aur bhii na Dar jaa.ebadan kii andhii guphaa se na kuuch kar jaa.eyahii.n kahii.n use Dhuu.nDovo aaj sadiyo.n baadudaas udaas haiKHaamosh haiakelaa haina jaane kab ko.ii paslii pha.Dak uThe us kiiyahii.n kahii.n use Dhuu.nDo yahii.n kahii.n hogaabarhana ho to use phir libaas pahnaa doa.ndherii aa.nkho.n me.n suuraj kii aag dahkaa dobahut ba.Dii hai ye bastii kahii.n bhii dafnaa doabhii maraa nahii.nzinda hai aadmii shaayad
zer-e-lab arz o samaa me.n baahamii guft-o-shunuudmish.al-e-garduu.n ke bujh jaane se ik halkaa saa duud
use kahnaa december aa gayaa haidecember ke guzarte hii baras ik aur maazii kii guphaa me.n Duub jaa.egaause kahnaa december lauT aa.egaamagar jo KHuun so jaa.egaa jismo.n me.n na jaa.egaause kahnaa havaa.e.n sard hai.n aur zindagii ke kohre diivaaro.n me.n larzaa.n hai.nuse kahnaa shaguufe Tahniyo.n me.n so rahe hai.naur un par barf kii chaadar bichhii haiuse kahnaa agar suuraj na niklegaato kaise barf pighlegiiuse kahnaa ki lauT aa.e
ek din hazrat-e-faaruuq ne mimbar pe kahaakyaa tumhe.n hukm jo kuchh duu.n to karoge manzuurek ne uTh ke kahaa ye ki na maane.nge kabhiiki tire adl me.n ham ko nazar aataa hai futuurchaadare.n maal-e-Ganiimat me.n jo ab ke aa.ii.nsehan-e-masjid me.n vo taqsiim hu.ii.n sab ke huzuurun me.n har ek ke hisse me.n faqat ik aa.iithaa tumhaaraa bhii vahii haq ki yahii hai dastuurab jo ye jism pe tere nazar aataa hai libaasye usii luuT kii chaadar se banaa hogaa zaruurmuKHtasar thii vo ridaa aur tiraa qad hai daraazek chaadar me.n tiraa jism na hogaa mastuurapne hisse se ziyaada jo liyaa tuu ne to abtuu KHilaafat ke na qaabil hai na ham hai.n maamuurgarche vo had-e-manaasib se ba.Dhaa jaataa thaasab ke sab mohr-ba-lab the che inaas o che zakuurrok de ko.ii kisii ko ye na rakhtaa thaa majaalnashsha-e-adl-o-masaavaat se sab the maKHmuurapne farzand se faaruuq-e-mo.azzam ne kahaatum ko hai haalat-e-aslii kii haqiiqat pe ubuurtumhii.n de sakte ho is kaa mirii jaanib se javaabki na pak.De mujhe mahshar me.n miraa rabb-e-Gafuurbole ye ibn-e-umar sab se muKHaatib ho karis me.n kuchh vaalid-e-maajid kaa nahii.n jurm o qusuurek chaadar me.n jo puuraa na hu.aa un kaa libaaskar sakii is ko gavaaraa na mirii tab-e-Gayuurapne hisse kii bhii mai.n ne unhe.n chaadar de diivaaqi.a kii ye haqiiqat hai ki jo thii mastuurnukta-chii.n ne ye kahaa uTh ke ki haa.n ai faaruuqhukm de ham ko ki ab ham use maane.nge zaruur
saaqii sharaab de ki election hai aaj-kalbarse.nge vote jis me.n vo saavan hai aaj-kaljamhuuriyat ke paa.nv me.n jhaa.njan hai aaj-kalye mulk us ke naach kaa aa.ngan hai aaj-kalsaudaa hai leaderii kaa jo dil ko sataa.e hai''dil phir tavaaf-e-kuu-e-malaamat ko jaa.e hai''lo ho gayaa hai uu.nT election kaa be-nakelab laTh chale.nge jalso.n me.n aabaad ho.nge jailphir leadero.n kii hogii akhaa.Do.n me.n rel-pelvoto.n kii har dukaan pe hogii grand salevoto.n se ba.Dh ke ab ko.ii hathiyaar bhii nahii.n''la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n''zinda hai vo ki jis kaa register me.n naam haiaur zindagii shariifo.n ke uupar haraam haihai.n jis ke paas vote madaar-ul-mahaam hailailaa-e-leaderii kii vo thaame lagaam haileader ke mu.nh pe shahar ke kuucho.n kii gard hai''ishq-e-nabard-pesha talabgaar-e-mard hai''vaqt aa gayaa zamiir kii bai-o-KHariid kaaimport ke licence ke va.ade-va.iid kaadin hai biraadrii o qabaa.il kii iid kaaaapas me.n gallabaano.n kii guft-o-shuniid kaamuslim ko be-shak aisii musaavaat chaahiye''aarif hamesha mast-e-mai-e-zaat chaahiye''da.nggal kii kashtiyo.n me.n har ik chiiz hai ravaaya.anii milegii millat-e-aasii ko har davaanaGme kaa daur, daur-e-mai-o-raqs kaa mazaajis ko zabaan kah na sake us se bhii sivaalikkhaa hu.aa hai qismat-e-ummiid-vaar me.n''u.Dtii phiregii KHaak tirii kuu-e-yaar me.n''ahl-e-basiirat ab nahii.n dekhe.nge khoT kohaasil kare.nge laakh tariiqo.n se vote kopaanii hii kii tarah se bahaa.enge note koroke.ngi zar kii Dhaal pe dushman kii choT kovoter ko baKHshaa jaa.egaa bhaarii mushaahraphir jiit kii KHushii me.n kare.nge mushaa.eraaa.e.nge vote dene ko jab jaahilaan-e-qaumun ko dikhaa.e jaa.e.nge pahle nishaan-e-qaumgai.nDaa nishaan rakkhegaa ik pahlavaan-e-qaumhai uu.nT ko.ii ko.ii yake-az-KHaraan-e-qauminsaaniyat kii qaid se sab ho ga.e bariiun kaa mua.aalijaa ho to hogaa veterinary
ek jism-e-naa-tavaa.n itnii dabaao.n kaa hujuumik charaaG-e-sub.h aur itnii havaa.o.n kaa hujuummanzile.n gum aur itne rahnumaa.o.n kaa hujuume'tiqaad-e-KHaam aur itne KHudaa.o.n kaa hujuumkashmakash me.n apne hii ma.abad se katraataa hu.aaaadmii phirtaa thaa dar dar Thokare.n khaataa hu.aahaq ko hotii thii har ik maidaa.n me.n baatil se shikastsar-niguu.n sar-dar-garebaa.n sar-basar the zerdastfan thaa ik matlab-baraarii log the matlab-parastis-qadar big.Daa hu.aa thaa zindagii kaa bandobasthaamii-e-jaur-o-sitam har tarah maalaa-maal thaajis kii laaThii thii usii kii bhai.ns thii ye haal thaakyaa KHudaa kaa KHauf kaisaa jazba-e-hubb-e-vatanbarsar-e-paikaar the aapas me.n shaiKH-o-barahmanbaaGbaa.n jo the vo KHud the mahv-e-taKHriib-e-chamanal-Garaz big.Dii hu.ii thii anjuman kii anjumanmaz.hab-e-insaaniyat kaa paasbaa.n ko.ii na thaakaarvaa.n laakho.n the miir-e-kaarvaa.n ko.ii na thaaruuh-e-insaa.n ne KHudaa ke saamne fariyaad kiijo zamii.n par ho rahaa thaa sab bayaa.n ruudaad kiiaur kahaa had ho chukii hai kufr kii ilhaad kiiek duniyaa muntazir hai aap ke irshaad kiitab ye farmaayaa KHudaa ne sab ko samjhaa.uu.ngaa mai.naadmii kaa ruup dhaaran kar ke KHud aa.uu.ngaa mai.nis tarah aaKHir hu.aa duniyaa me.n naanak kaa zuhuurfarsh-e-tilwanDii pe utraa arsh se rabb-e-GafuuruTh gayaa zulmaat kaa Deraa ba.Dhaa har samt nuurmamba.a-e-anvaar se phailii.n shu.aa.e.n duur duurmehr-e-taabaa.n ne do-aalam me.n ujaalaa kar diyaaaadmii ne aadmii kaa bol-baalaa kar diyaa
aaKHirii bastairtii sii jaa rahii haishab kii farsh-e-marmarii.n parshabnam-aagii.n dhund kii niilii guphaa me.nbas ke andar har ko.ii baiThaa hai
suno tumhaaraa jurm tumhaarii kamzorii haiapne jurm pera.ng-bira.nge lafzo.n kii be-jaan ridaa.e.n mat Daalosuno tumhaare KHvaab tumhaaraa jurm nahii.n hai.ntum KHvaabo.n kii ta.abiir se Dar karlafzo.n kii taariik guphaa me.n chhup rahne ke mujrim hotum ne havaa.o.n ke ziine parpaa.nv rakh karqaus-e-quzah ke rang sameTeaur KHalaa.o.n me.n u.Dtefarzii taaro.n sayyaaro.n kii baate.n kii.ntum mujrim ho us nannhii ko.npal ke jis nesub.h kii pahlii shoKH kiran se sargoshii kiitum mujrim ho us aa.ngan ke jis me.n shaayadab bhii tumhaare bachpan kii ma.asuum sharaarat zinda haitum mujrim ho tum ne apne paa.nv se lipTii miTTii koek izaafii chiiz samajh kar jhaa.D diyaa
mai.n apnii qiimtii chiize.n bhii aksar bhuul jaatii huu.nkahii.n bhii jaa ke Thahruu.n mai.nkisii ke paas bhii jaa.uu.nkabhii terrace kabhii aa.ngan kabhii kamre me.n bhii aksarkuchh apnii pichhlii yaado.n ko kabhii kuchh chaa.nd raato.n koaur aksar adh-bune se kuchh adhuure KHvaab ke guchchhevahii.n par chho.D aatii huu.nmai.n aksar bhuul jaatii huu.nvo jo mai.n aaKHirii mausam me.n tum se milne aa.ii thiito kuchh taare chamelii kii bahut tho.Dii sii vo KHushbuumohabbat ke sunahrii narm resham se bane be-saaKHta jumleyahii.n par rah ga.e mereyahaa.n diivaar par mai.n ne chamaktaa chaa.nd chho.Daa thaaha.nsii ke motiyo.n kii ek maalaa thii jo tum ne gift me.n dii thiiyahii.n par rah ga.ii vo bhiimai.n Thahruu.ngii nahii.n mujh ko bas apnii qiimtii chiize.n hii lenii hai.ntumhe.n zahmat bahut hogii magar ye sab mujhe de dotumhaare paas to duniyaa ke ab saare KHazaane hai.nmai.n KHaalii haath baiThii huu.n yahii meraa asaasa hai
sab din ek jaise nahii.n hotekal kaa din to aisaa nahii.n thaajaisaa aaj kaa haihar din apnii apnii guphaa me.nchhupaajab savere savereham se saamnaa kartaa haito kahtaa haiaaj kaa din guzaaro to jaane.naur hamkamar-basta ho jaate hai.naaj ke din ke guzaarne kovo din ham guzaar lete hai.naur ham is guzre hu.edin kopiichhe palaT kar dekhte hai.nsuuraj ke saathDuubtea.ndhere me.n mu.nh chhupaatebahut Tho.nk kar aayaa thaaKHud kojaise hame.n ye din guzaarne na degaaaur gi.Dgi.Daa.e.nge hamus ke saamneaur apnii gardan jo ham hameshaak.Dii rakhte hai.nus ke saamne jhukaa de.ngeaur apnii aa.nkhe.nphaTii phaTii kar ke us ke saamne iltijaa kare.ngeki aaj kaa din vaisaa hii guzrejaisaaek din guzaaraa thaajaise ham kabhii nahii.n bhuultebhale sesaare din aise vaise guzarte rahe.nham nahii.n jhukaa.e.nge apniigardanaur lagaa de.nge is me.nhamesha ke liyecluffjo us ke saamne hame.njhukne nahii.n degaabhale vo din kitnaa hii buraa guzre
baare aa.ii najaat kii baariikhul gayaa uqda-e-giraftaariiham ko mansab milaa rihaa.ii kaaqaid ko jaa.edaad-e-bekaariipaa.nv ko chho.D bhaage maar-e-do-sarsar ko pushtaara-e-giraa.nbaariikuuch Thahraa maqaam-e-Gurbat seab vatan chalne kii hai tayyaariiruKHsat ai dostaan-e-zindaaniialvidaa ai Gam-e-giraftaariiarrahiil ai mashaqqat-e-har-zoral-firaaq ai hujuum-e-naa-chaariidaal fe ain ai kitaabat-e-qaidgaaf miim ai hisaab-e-sarkaariidaal chaaval se kah do ruKHsat ho.npaanii me.n Duube ye namak khaariimachhliyo.n se kaho ki haT ke sa.De.nghaas khode yahaa.n kii tarkaariichiinii barhamaa malaa.ii madraasiiahl-e-aashaam ja.ngalii taataariiapne diidaar se maaf kare.napnii baato.n se de.n subuk-saariikaale paanii se hote hai.n ruKHsatashk-e-shaadii hai.n aa.nkho.n se jaariibaiThte hai.n jahaaz duurii paruThte hai.n la.ngar-e-giraa.nbaariikaram ai KHizr al-madad ai nuuhrahm ai fazl-e-hazrat-e-baariiassalaam ai KHarosh-e-bahr-e-muhiitassafar ai safiina-e-jaariizaad-e-raah-e-safar tavakkul hairahnumaa.ii ko us kii Gaffaariihai iraada ki fikr-e-sher kare.ntaaki ho duur ra.nj-e-bekaariibas-ki barso.n rahaa huu.n zindaa.n me.nbhuulii qasr-e-suKHan kii memaarii
jahaa.n kabhiibudh ke ilm kaa ik KHazaana thaajis jagahshlok aur mantar maahaul me.nnahii.nKHud mire hii andarmirii sadaa me.nhimaaliyaa.ii havaa.o.n kii tarah guu.njte theajiib azmat ke saath mai.n yuu.n alag-thalak thaaki jis tarah merii maut kii baatqarnahaa qarn se hai vo raazmai.n hii bas jis ko jaantaa huu.nmai.n apne andar vo aatmaa huu.njise kabhiiik aziim peshen-go.ii kaa sail-e-be-samaa.atmahal samet aasmaan me.n le u.Daa thaayaa phirmai.n ik tanaav huu.naasmaano.n kii samtbachpan ke hairat-a.ngez KHvaab ke be bane mahal saajahaa.n mire chaaro.n samt raahe.nsafed ret aur barf kiiapnii apnii had semirii taraf ba.Dh rahii hai.njaisemai.n devtaa.o.n kaa huu.n vo maskanjo sab ko apnii taraf bulaataa hai aursab kii pahu.nch se kuchh is tarah pare haiki jaise mai.n dekhne kii had huu.nmai.n ek parbat huu.nvaadiyaa.n jis ne baa.nT dii hai.nmai.n ik guphaa huu.njo vaadiyo.n ko milaa rahii haimai.n jaise sadiyo.n kii yaatraa kii vo gahrii aavaaz huu.n jo ab takguphaa ke andar se aa rahii haimai.n ek bhikshuu huu.njo kabhii kaaisii guphaa me.n samaa chukaa haijo KHud me.n tashkiil ho rahaa thaajo KHud me.n tashkiil ho rahaa hai
kahte hai.n eid hai aaj apnii bhii eid hotiibahbuud-e-mulk kii gar ham ko umiid hotiihaale me.n chaa.nd gar kal ham ko dikhaa.ii detaaqufl-e-KHazaana apnaa apnii kaliid hotiiuf be-zarii kaa aalam allah re qahat-saaliikyaa KHaak eid hotii kyaa KHaak eid hotiikaTte agar na hindii talvaar-e-muflisii seye eid ham-damo.n phir be-shak sa.iid hotiikarte agar tavajjoh mulkii mu.aamlo.n parjo ko.ii baat hotii apne mufiid hotiihukkaam chaahe.n jo kuchh dil me.n KHayaal kar le.nthii baat tab ki baaham guft-o-shuniid hotiilogo.n ne kar diyaa hai kyo.n chaa.nd ko muqaddamgar ham 'falak’ na hote kis tarah eid hotii
mai.n ghaas huu.nharii-bharii ghaaspaanii mile to harii-bharii na mile to ghaas-phuustho.Dii nargisiyat kii ijaazat diijiyeare jab ugtii huu.n to kyaa joban hotaa hai mujh parna.ii na.ii ghaas par suuraj kii kirne.n pa.Dtii hai.n toandho.n kii aa.nkho.n me.n bhii taraavat utar aatii hai janaabaur haa.e vo taaza taaza ghaas kii KHushbuupar afsos jab der tak baarish na ho to piilii pa.D jaatii huu.nmagar dhuup pahle mujhe sonaa aur phir kundan banaa detii haizamiin par iistaada hazaaro.n pahaa.Diyo.n par meraa hii rang cha.Dhaa hotaa haiaa.nkh rakhne vaale kahte hai.nsabze se Dhakii pahaa.Diyaa.n kitnii bhii hasiin ho.nsone se Dhakii pahaa.Diyo.n kii baat hii alag hailekin ye mai.n kyaa ba.D haa.nkne baiTh ga.iiaamdan barsar-e-matlab mai.n saa.npo.n ke baare me.n kuchh kahnaa chaahtii huu.nsaa.np jo ghaas me.n chhup kirdaar karte hai.nghaas se Dhake lawn baaG aur parkkaro.Do.n insaano.n ko taskiin dete hai.nbachche ghaas par bhaagte dau.Dte uchhalte kuudte aur loT-poT hote hai.njavaan mujh par chalte hu.e mohabbato.n kaa iz.haar aur iqraar karte hai.numr-rasiida log duur duur tak phaile sabze ko dekh kardil kii ghuTan aur ehsaas-e-ziyaa.n bhuul jaate hai.nmai.n KHush hotii huu.n ki kisii ke kaam aa hii huu.nlekin merii KHushii dukh aur sharmindagii me.n badal jaatii haijab mere andar chhupe hu.e saa.np insaano.n ko Das lete hai.nsochtii huu.n in saa.npo.n kaa kyaa ilaaj karuu.nsochtii huu.n in saa.npo.n kaa ko.ii ilaaj hai bhii yaa nahii.nsochtii huu.n saa.np mujhii me.n to nahii.n chhupevo to zamiin ke kone kone me.n maujuud hai.nus ke andar bhii us ke baahar bhiisochtii huu.n jis tezii se saa.npo.n kii ta.adaad ba.Dh rahii haikal ye saarii zamiin par na chhaa jaa.e.nsochtii huu.n ko.ii sailaab hii aa jaa.e jo unhe.n bahaa le jaa.ephir KHayaal aataa hai ye bah kar jaa.e.nge kahaa.naaKHir ek na ek din paanii utregaa aur ye dobaara KHushkii par cha.Dh aa.e.ngeaur mere hii daaman me.n panaah le le.ngesochtii huu.n KHudaa ne mujhe banaayaa thaa to unhe.n kyuu.n banaayaaaur agar banaayaa hii thaa to un ke andar zahar kyuu.n bhar diyaakyuu.n ho ga.e ye insaan ke dushmanmagar saare saa.np to zahriile nahii.n hoteaur kyaa insaano.n ke andar bhii zahr nahii.n bhartaa jaa rahaa hai absochtii huu.n insaan saa.np se Dartaa hai tosaa.np bhii insaan se Dartaa haiinsaan ne saa.np me.n shaitaan kii shakl dekhii thiijis ne use jannat se nikalvaa diyaa thaainsaan ke andar shaitaan se baraabar utarne kii talab rakh dii ga.ii haijahaa.n kahii.n saa.np ko dekhtaa hai use maarne kii koshish kartaa haisaa.np ko bhii insaan ke us azlii-o-abdii iraade kii KHabar haiisii liye to insaan kii aahaT yaa buu paate hii bhaag kha.Daa hotaa haiKHaraabii to merii vaj.h se hotii haighaas me.n chhupaa saa.np insaan ko dekh kar bhaagtaa hailekin insaan use dekh nahii.n paataa aur naa-daanista us kaa paa.nv saa.np par pa.D jaataa haiaur saa.np apnii jaan bachaane ke liye use Das letaa haiyuu.n mai.n zariiya ban jaatii huu.n insaan kii maut kaamujhe apnaa ye kirdaar hargiz pasand nahii.nsochtii huu.n insaano.n aur saa.npo.n ne aapas me.n la.Dnaa hii hai tomerii aa.D me.n na la.De.nsa.Dko.n par la.De.n gharo.n ke andar la.De.nchaTyal maidaano.n me.n la.De.n sahraa.o.n me.n la.De.nphir KHayaal aataa hai in jag.ho.n par to pahle hii ghamsaan kii la.Daa.ii ho rahii haiinsaan insaan se la.D rahaa haiaur us ne tarah tarah kemohlik kiimiyaa.ii jauharii aur nafsiyaatii hathiyaar iijaad kar liye hai.nek duusre ko dukh dene aur maarne ke liye
yahaa.n se jo dekho to jaise... kahii.n hadd-e-imkaa.n talakgum-shuda vaqt jaisii a.ndherii guphaa haiyahaa.n se jo dekho... toummiid jaisaa bahut hairat-afzaa... ajab silsila haijo is ta.ng, taariik nuqte semumkin ke maanind, ik raushnii-zaad qarye kii jaanib khulaa haifazaa me.n kahii.n niil-guu.n sabz, halke sunahrekahii.n bas hare hii hare... saKHt gahrebahut uu.nghte Dolte ra.ngsuukhe hu.e surKH patto.n ke maanindus be-amaa.n raaste par pa.De hai.n
parinda jo ho.nTo.n pe par taultaa thaause baaz rakhne kii KHaatir ik aaseb thaa mere dar peqad us kaa falak naaptaa thaanigaahe.n uThaa.o jo chehre kii jaanibto ghuTne se aTkii.nmujhe us ne mohre kii suurat uThaayaaaur ik swimming-pool me.n laa ke Daalaavo ye chaahtaa thaa ki paanii me.n ye aag bha.Dkaane vaalii hasii.n machhliyaa.nmujh ko ra.ngo.n me.n apne jaka.D le.nmire KHuu.n me.n ye aatish rang bhar karmujhe bhasm kar de.nmagar jab na ho paayaa aisaato us ne mujhe ik pahaa.Dii guphaa me.n utaaraajahaa.n siim-o-zar kaa ik ambaar saa thaaus ambaar me.n khul jaa sim-sim kii yaad aa.iichaaliis choro.n kii dahshat dar aa.iimujhe us ne qaasim kii suurat me.n dekhaa thaaus ko yaqii.n thaachakaa-chau.nd zar kii mujhe dasht-e-naa-buud kii raah par Daal degiimagar jab na ho paayaa aisaato us ne mirii ik kaf-e-dasht par chaa.nd aur duusrii perakhaa laa ke suurajaur KHud apnii Taa.ngo.n se a aur v u.ngliyo.n se banaa karajab tuntune se kha.Daa thaamire haath ne us kii v par ye chaa.nd aur suuraj uchhaalechhanaakaa havaa zor kaa mai.n ne dekhaa zamii.n parye chaa.nd aur suuraj shikasta theaur ho.nT ke mustaqar separinda fazaa.o.n ke aaGosh me.n tairtaa thaazamii.n aasmaa.n ke qulaabe milaataa hu.aa dev aasebqad me.nmirii uu.nchii gardan ke juute ke ham-sar hu.aa thaa
chalo aa.o chale.nchale.n phir lauT ke vaapasusii andhii guphaa me.n hamjahaa.n raushan hu.ii thii aag pahle-pahalki abkaalii havaa.o.n se bachaa.o kaa yahii ik raasta haichalo aa.ounhii.n Gaaro.n kii jaanibphir chale.n jaanaa.naur andar kii barastii baarisho.n me.njam ke bhiige.nbhiigte jaa.e.nThiThur jaa.e.nThiThur kar sard pa.Dte jism-o-jaa.n ko hamusii pahle-pahal kii aag seraahat dilaa.e.nusii pahle janam se phir kare.n naa ibtidaa jaanaa.nchalo aa.o
chaa.nd ko baahar falak par chho.D karvaqt kii andhii guphaa me.nduur tak andar pahu.nchaag ke aur raushnii ke aabshaaro.n me.n nahaataa huu.naur isii rishte se baahar aan karchaa.nd kii gardan me.n apnaa haath Daaleanjuman-taa-anjuman aavaargii kaa lutf letaa huu.nniim-shab ko aish-e-bistar chho.D kar
mai.n ne apne lambe baal tumhaarii KHaatir bech diye hai.naur ab ghar ghar jaane vaalemere ghar bhii aa.e.ngeaur mai.n terii KHaatirujle din kii KHaatirrakhe jaane vaale tohfekis kis ko taqsiim karuu.ngiiaur tum kis ke vaaste sandal sandal ghuumogetum bhii shaayad apnii aaKHirii KHvaahish bech chuke hovarna ghar mat aanaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books