aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ",YYTR"
hamesha der kar detaa huu.n mai.n har kaam karne me.nzaruurii baat kahnii ho ko.ii va.ada nibhaanaa house aavaaz denii ho use vaapas bulaanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.nmadad karnii ho us kii yaar kii Dhaaras ba.ndhaanaa hobahut deriina rasto.n par kisii se milne jaanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.nbadalte mausamo.n kii sair me.n dil ko lagaanaa hokisii ko yaad rakhnaa ho kisii ko bhuul jaanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.nkisii ko maut se pahle kisii Gam se bachaanaa hohaqiiqat aur thii kuchh us ko jaa ke ye bataanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.n har kaam karne me.n.....
ye daaG daaG ujaalaa ye shab-gaziida saharvo intizaar thaa jis kaa ye vo sahar to nahii.nye vo sahar to nahii.n jis kii aarzuu le karchale the yaar ki mil jaa.egii kahii.n na kahii.nfalak ke dasht me.n taaro.n kii aaKHirii manzilkahii.n to hogaa shab-e-sust-mauj kaa saahilkahii.n to jaa ke rukegaa safiina-e-Gam diljavaa.n lahuu kii pur-asraar shaah-raaho.n sechale jo yaar to daaman pe kitne haath pa.Dedayaar-e-husn kii be-sabr KHvaab-gaaho.n sepukaartii rahii.n baahe.n badan bulaate rahebahut aziiz thii lekin ruKH-e-sahar kii laganbahut qarii.n thaa hasiinan-e-nuur kaa daamansubuk subuk thii tamannaa dabii dabii thii thakan
magar naazir hamaaraa soKHta-sulb aaKHirii nassaab ab marne hii vaalaa haibas ik pal haf sadii kaa faisla karne hii vaalaa haisuno 'zaryuun' bas tum hii suno ya.anii faqat tum hiivahii raahat me.n hai jo aam se hone ko apnaa lekabhii ko.ii bhii par ho ko.ii 'bahman' yaar yaa 'zenuu'tumhe.n bahkaa na paa.e aur bairuunii na kar Daalemai.n saarii zindagii ke dukh bhugat kar tum se kahtaa huu.nbahut dukh degii tum me.n fikr aur fan kii numuu mujh kotumhaare vaaste behad sahuulat chaahtaa huu.n mai.ndavaam-e-jahl o haal-e-istiraahat chaahtaa huu.n mai.nna dekho kaash tum vo KHvaab jo dekhaa kiyaa huu.n mai.nvo saare KHvaab the qassaab jo dekhaa kiyaa huu.n mai.nKHaraash-e-dil se tum be-rishta be-maqduur hii Thahromire jahmiim-e-zaat-e-zaat se tum duur hii Thahroko.ii 'zaryuun' ko.ii bhii clerk aur ko.ii kaarindako.ii bhii bank kaa afsar senator ko.ii paavandahar ik haivaan-e-sarkaarii ko TaTTuu jaantaa huu.n mai.nso zaahir hai ise shai se ziyaada maantaa huu.n mai.ntumhe.n ho sub.h-dam taufiiq bas aKHbaar pa.Dhne kiitumhe.n ai kaash biimaarii na ho diivaar pa.Dhne kiiajab hai 'sartre' aur 'ressel' bhii aKHbaar pa.Dhte thevo maaluumaat ke maidaan ke shauqiin buu.Dhe thenahii.n ma.aluum mujh ko aam shahrii kaise hote hai.nvo kaise apnaa banjar naam banjar-pan me.n bote hai.nmai.n ''urr'' se aaj tak ik aam shahrii ho nahii.n paayaaisii baa.is mai.n huu.n amboh kii lazzat se be-maayamagar tum ik do-paaya raast qaamat ho ke dikhlaanaasuno raa.e-dahinda bin hu.e tum baaz mat aanaafaqat 'zaryuun' ho tum ya.anii apnaa saabiqaa chho.Dofaqat 'zaryuun' ho tum ya.anii apnaa laahiqaa chho.Domagar mai.n kaun jo chaahuu.n tumhaare baab me.n kuchh bhiibhalaa kyuu.n ho mire ehsaas ke asbaab me.n kuchh bhiitumhaaraa baap ya.anii mai.n abas mai.n ik abas-tar mai.nmagar mai.n ya.anii jaane kaun achchhaa mai.n saraasar mai.nmai.n kaasa-baaz o kiina-saaz o kaasa-tan huu.n kuttaa huu.nmai.n ik na.ngiin-e-buudash huu.n pa tum to sirr-e-mun.am hotumhaaraa baap ruuhul-quds thaa tum ibn-e-maryam ho
(1)taaza hai.n abhii yaad me.n ai saaqii-e-gulfaamvo aks-e-ruKH-e-yaar se lahke hu.e ayyaamvo phuul sii khultii hu.ii diidaar kii saa.atvo dil saa dha.Daktaa hu.aa ummiid kaa ha.ngaam
mire dil, mire musaafirhu.aa phir se hukm saadirki vatan-badar ho.n ham tumde.n galii galii sadaa.e.nkare.n ruKH nagar nagar, kaaki suraaG ko.ii paa.e.nkisii yaar-e-naama-bar kaahar ik ajnabii se puuchhe.njo pataa thaa apne ghar kaasar-e-kuu-e-naa-shanaayaa.nhame.n din se raat karnaakabhii is se baat karnaakabhii us se baat karnaatumhe.n kyaa kahuu.n ki kyaa haishab-e-Gam burii balaa haihame.n ye bhii thaa Ganiimatjo ko.ii shumaar hotaahame.n kyaa buraa thaa marnaaagar ek baar hotaa!
vo 'jaun' jo nazar aataa hai us kaa zikr nahii.ntum apne 'jaun' kaa jo tum me.n hai bharam rakhnaaajiib baat hai jo tum se kah rahii huu.n mai.nKHayaal meraa ziyaada aur apnaa kam rakhnaaho tum balaa ke baGaavat-pasand talKH-kalaamKHud apne haq me.n ik aazaar ho ga.e ho tumtumhaare saare sahaaba ne tum ko chho.D diyaamujhe qalaq hai ki be-yaar ho ga.e ho tum
ik baras aur kaT gayaa 'shaariq'roz saa.nso.n kii jang la.Dte hu.esab ko apne KHilaaf karte hu.eyaar ko bhuulne se Darte hu.eaur sab se ba.Daa kamaal hai yesaa.nse.n lene se dil nahii.n bhartaaab bhii marne ko jii nahii.n kartaa
KHushaa vo daur-e-be-KHudii ki justujuu-e-yaar thiijo dard me.n suruur thaa to be-kalii qaraar thiikisii ne zahr-e-Gam diyaa to muskuraa ke pii ga.eta.Dap me.n bhii sukuu.n na thaa, KHalish bhii saazgaar thiihayaat-e-shauq kaa vahii saraab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.njinhe.n sahar nigal ga.ii vo KHvaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.nkahaa.n ga.ii vo nii.nd kii sharaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.n
chiin apnaa yaar haius pe jaa.n-nisaar haipar vahaa.n hai jo nizaamus taraf na jaa.iyous ko duur se salaamdas karo.D ye gad.hejin kaa naam hai avaamkyaa bane.nge hukmaraa.ntuu ''yaqii.n'' hai ye ''gumaa.n''apnii to du.aa hai yesadr tuu rahe sadaamai.n ne us se ye kahaa
saaqii kii har nigaah pe bal khaa ke pii gayaalahro.n se kheltaa hu.aa lahraa ke pii gayaabe-kaifiyo.n ke kaif se ghabraa ke pii gayaatauba ko to.D-taa.D ke tharraa ke pii gayaazaahid! ye terii shoKHii-e-rindaana dekhnaarahmat ko baato.n baato.n me.n bahlaa ke pii gayaasar-mastii-e-azal mujhe jab yaad aa ga.iiduniyaa-e-e'tibaar ko Thukraa ke pii gayaaaazurdagii-e-KHaatir-e-saaqii ko dekh karmujh ko ye sharm aa.ii ki sharmaa ke pii gayaaai rahmat-e-tamaam mirii har KHataa mu.aafmai.n intihaa-e-shauq me.n ghabraa ke pii gayaapiitaa baGair izn ye kab thii mirii majaaldar-parda chashm-e-yaar kii shah paa ke pii gayaaus jaan-e-mai-kada kii qasam baarhaa 'jigar'kul aalam-e-basiit pe mai.n chhaa ke pii gayaa
zamaana aayaa hai be-hijaabii kaa aam diidaar-e-yaar hogaasukuut thaa parda-daar jis kaa vo raaz ab aashkaar hogaaguzar gayaa ab vo daur-e-saaqii ki chhup ke piite the piine vaalebanegaa saaraa jahaan mai-KHaana har ko.ii baada-KHvaar hogaakabhii jo aavaara-e-junuu.n the vo bastiyo.n me.n phir aa base.ngebarahna-paa.ii vahii rahegii magar nayaa KHaarzaar hogaasunaa diyaa gosh-e-muntazir ko hijaaz kii KHaamushii ne aaKHirjo ahd sahraa.iyo.n se baa.ndhaa gayaa thaa phir ustuvaar hogaanikal ke sahraa se jis ne ruumaa kii saltanat ko ulaT diyaa thaasunaa hai ye qudsiyo.n se mai.n ne vo sher phir hoshiyaar hogaakiyaa miraa tazkira jo saaqii ne baada-KHvaaro.n kii anjuman me.nto piir-e-mai-KHaana sun ke kahne lagaa ki mu.nh-phaT hai KHvaar hogaadayaar-e-maGrib ke rahne vaalo KHudaa kii bastii dukaa.n nahii.n haikharaa jise tum samajh rahe ho vo ab zar-e-kam-ayaar hogaatumhaarii tahziib apne KHanjar se aap hii KHud-kushii karegiijo shaaKH-e-naazuk pe aashiyaana banegaa naa-paa.edaar hogaasafiina-e-barg-e-gul banaa legaa qaafila mor-e-naa-tavaa.n kaahazaar maujo.n kii ho kashaakash magar ye dariyaa se paar hogaachaman me.n laala dikhaataa phirtaa hai daaG apnaa kalii kalii koye jaantaa hai ki is dikhaave se dil-jalo.n me.n shumaar hogaajo ek thaa ai nigaah tuu ne hazaar kar ke hame.n dikhaayaayahii agar kaifiyat hai terii to phir kise e'tibaar hogaakahaa jo qumrii se mai.n ne ik din yahaa.n ke aazaad paa-ba-gil hai.ntuu Gunche kahne lage hamaare chaman kaa ye raazdaar hogaaKHudaa ke aashiq to hai.n hazaaro.n bano.n me.n phirte hai.n maare maaremai.n us kaa banda banuu.ngaa jis ko KHudaa ke bando.n se pyaar hogaaye rasm-e-bazm-e-fanaa hai ai dil gunaah hai jumbish-e-nazar bhiirahegii kyaa aabruu hamaarii jo tuu yahaa.n be-qaraar hogaamai.n zulmat-e-shab me.n le ke nikluu.ngaa apne dar-maa.nda kaarvaa.n kosharar-fishaa.n hogii aah merii nafas miraa shola-baar hogaanahii.n hai Gair-az-numuud kuchh bhii jo mudda.aa terii zindagii kaatuu ik nafas me.n jahaa.n se miTnaa tujhe misaal-e-sharaar hogaana puuchh 'iqbaal' kaa Thikaanaa abhii vahii kaifiyat hai us kiikahii.n sar-e-raah-guzaar baiThaa sitam-kash-e-intizaar hogaa
shaam ke pech-o-KHam sitaaro.n seziina ziina utar rahii hai raatyuu.n sabaa paas se guzartii haijaise kah dii kisii ne pyaar kii baatsehn-e-zindaa.n ke be-vatan ashjaarsar-niguu.n mahv hai.n banaane me.ndaaman-e-aasmaa.n pe naqsh-o-nigaarshaana-e-baam par damaktaa haimehrbaa.n chaa.ndnii kaa dast-e-jamiilKHaak me.n ghul ga.ii hai aab-e-nujuumnuur me.n ghul gayaa hai arsh kaa niilsabz gosho.n me.n niil-guu.n saa.elahlahaate hai.n jis tarah dil me.nmauj-e-dard-e-firaaq-e-yaar aa.e
aaj ik harf ko phir Dhuu.nDtaa phirtaa hai KHayaalmadh bharaa harf ko.ii zahr bharaa harf ko.iidil-nashii.n harf ko.ii qahr bharaa harf ko.iiharf-e-ulfat ko.ii dildaar-e-nazar ho jaisejis se miltii hai nazar bosa-e-lab kii suuratitnaa raushan ki sar-e-mauja-e-zar ho jaisesohbat-e-yaar me.n aaGaaz-e-tarab kii suuratharf-e-nafrat ko.ii shamshiir-e-Gazab ho jaisetaa-abad shahr-e-sitam jis se tabah ho jaa.e.nitnaa taariik ki shamshaan kii shab ho jaiselab pe laa.uu.n to mire ho.nT siyah ho jaa.e.n
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
naama na ko.ii yaar kaa paiGaam bhejiyeis fasl me.n jo bhejiye bas aam bhejiyeaisaa zaruur ho ki unhe.n rakh ke khaa sakuu.npuKHta agarche biis to das KHaam bhejiyema.aluum hii hai aap ko bande kaa addresssiidhe allahabad mire naam bhejiyeaisaa na ho ki aap ye likkhe.n javaab me.nta.amiil hogii pahle magar daam bhejiye
dard tham jaa.egaa Gam na kar, Gam na karyaar lauT aa.e.nge, dil Thahar jaa.egaa, Gam na kar, Gam na karzaKHm bhar jaa.egaaGam na kar, Gam na kardin nikal aa.egaaGam na kar, Gam na karabr khul jaa.egaa, raat Dhal jaa.egiiGam na kar, Gam na karrut badal jaa.egiiGam na kar, Gam na kar
mujh ko bhii tarkiib sikhaa ko.ii yaar julaaheaksar tujh ko dekhaa hai ki taanaa buntejab ko.ii taagaa TuuT gayaa yaa KHatm hu.aaphir se baa.ndh keaur siraa ko.ii jo.D ke us me.naage bun.ne lagte hotere is taane me.n lekinik bhii gaa.nTh girah buntar kiidekh nahii.n saktaa hai ko.ii
muddato.n mai.n ik andhe ku.e.n me.n asiirsar paTaktaa rahaa gi.Dgi.Daataa rahaaraushnii chaahiye، chaa.ndnii chaahiye، zindagii chaahiyeraushnii pyaar kii, chaa.ndnii yaar kii, zindagii daar kiiapnii aavaaz suntaa rahaa raat dindhiire dhiire yaqii.n dil ko aataa rahaasuune sansaar me.nbevafaa yaar me.ndaamn-e-daar me.nraushnii bhii nahii.nchaa.ndnii bhii nahii.nzindagii bhii nahii.nzindagii ek raatvaahima kaa.enaataadmii be-bisaatlog kotaah-qadshahr shahr-e-hasadgaa.nv in se bhii badin a.ndhero.n ne jab piis Daalaa mujhephir achaanak ku.e.n ne uchhaalaa mujheapne siine se baahar nikaalaa mujhesaik.Do.n misr the saamnesaik.Do.n us ke baazaar theek buu.Dhii zuleKHaa nahii.njaane kitne KHariidaar theba.Dhtaa jaataa thaa yuusuf kaa mollog bikne ko tayyaar the
kahii.n aabgiina KHayaal kaaki jo karb-e-zabt se chuur thaakahii.n aa.iina kisii yaad kaaki jo 'aks-e-yaar se duur thaa
tumhaaraa haath ba.Dhaa hai jo dostii ke liyemire liye hai vo ik yaar-e-Gam-gusaar kaa haathvo haath shaaKH-e-gul-e-gulshan-e-tamannaa haimahak rahaa hai mire haath me.n bahaar kaa haath
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books