aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "alaape"
bachche maa.o.n kii godo.n me.n sahme hu.e hai.nismate.n sar-barahana pareshaan hai.nhar taraf shor-e-aah-o-bukaa haiaur mai.n is tabaahii ke tuufaan me.naag aur KHuu.n ke haijaan me.nsar-niguu.n aur shikasta makaano.n ke malbe se pur raasto.n parapne naGmo.n kii jholii pasaaredar-ba-dar phir rahaa huu.nmujh ko amn aur tahziib kii bhiik domere giito.n kii lai meraa sur merii naimere majruuh ho.nTo.n ko phir sau.np dosaathiyo! mai.n ne barso.n tumhaare liyeinqalaab aur baGaavat ke naGme alaapeajnabii raaj ke zulm kii chhaa.nv me.nsarfaroshii ke KHvaabiida jazbe ubhaareaur us sub.h kii raah dekhiijis me.n is mulk kii ruuh aazaad hoaaj zanjiir-e-mahkuumiyat kaT chukii haiaur is mulk ke bahr-o-bar baam-o-darajnabii qaum ke zulmat-afshaa.n pharere kii manhuus chhaa.nv se aazaad hai.nkhet sonaa ugalne ko bechain hai.nvaadiyaa.n lahlahaane ko betaab hai.nkohsaaro.n ke siine me.n haijaan haisa.ng aur KHisht be-KHvaab va bedaar hai.nun kii aa.ankho.n me.n ta.amiir ke KHvaab hai.nun ke KHvaabo.n ko takmiil kaa ruup domulk kii vaadiyaa.n ghaaTiyaa.n khetiyaa.naurte.n bachchiyaa.nhaath phailaa.e KHairaat kii muntazir hai.nin ko amn aur tahziib kii bhiik domaa.o.n ko un ke ho.nTo.n kii shaadaabiyaa.nnanhe bachcho.n ko un kii KHushii baKHsh domulk kii ruuh ko zindagii baKHsh domujh ko meraa hunar merii lai baKHsh doaaj saarii fazaa hai bhikaariiaur mai.n is bhikaarii fazaa me.napne naGmo.n kii jholii pasaaredar-ba-dar phir rahaa huu.nmujh ko phir meraa khoyaa hu.aa saaz domai.n tumhaaraa muGannii tumhaare liyejab bhii aayaa na.e giit laataa rahuu.ngaa
ghaTaa hai ghanghor raat kaalii fazaa me.n bijlii chamak rahii haimilan kaa siina ubhaar par hai birah kii chhaatii dha.Dak rahii haihavaa jo mastii me.n chuur ho kar qadam qadam par bahak rahii haikamar hai har shaaKH-e-gul kii naazuk Thahar Thahar kar lachak rahii haihavaa pe chaltaa hai hukm in kaa ghaTaa.e.n bhartii hai.n in kaa paaniiinhii.n se surKHii bahaar kii hai inhii.n se barsaat kii kahaaniiinhii.n se chashme inhii.n se jharne inhii.n se jharno.n kii naGma-KHvaaniiinhii.n se parbat inhii.n se dariyaa inhii.n se dariyaa.o.n kii ravaaniifareb de kar chalii na jaa.e.n ba.Dii dhu.e.n-dhaar hai.n ghaTaa.e.njab aa ga.ii hai.n to jam ke barse baGair barse na lauT jaa.e.nmile nayaa sab ko ek jiivan chaman khile.n khet lahlahaa.e.nhavaa mohabbat kaa raag alaape kisaan dhartii ke giit gaa.e.nyahaa.n pe hai sab kaa ek darja ko.ii bhii chhoTaa ba.Daa nahii.n haijahaa.n pe ho imtiyaaz is kaa vo mai-kada mai-kada nahii.n hainikal zaraa ghar se Gam ke maare uruus-e-fitrat ke kar nazaaresazaa samajh kar na kaaT pyaare ye zindagii hai sazaa nahii.n haikiyaa hai jis jis ne duur a.ndheraa use use raushnii me.n laa.ojahaa.n jahaa.n dafn hai ujaalaa vahaa.n vahaa.n par diye jalaa.oqasam hai aazaadii-e-vatan kii adaavat aapas kii bhuul jaa.okiyaa ho jis ne gilaa tumhaaraa use bhii ba.Dh kar gale lagaa.oqadam jo aage ba.Dhaa.e sab kii zabaa.n se doharaa.o vo kahaanii'naziir' pa.ndrah august se lo na.e iraade na.ii javaaniihavaa se kah do ki saaz chhe.De amar shahiido.n ke baa.nkpan kaasunaa.o yaaro vatan ke naGme ye din hai aazaadii-e-vatan kaa
phalo.n se lade jis ke ashjaar hai.nmahakte hu.e jis ke gulzaar hai.nniraalii hai jis ke gulo.n kii phabanhamaaraa vatan hai hamaaraa vatanhamaaraa vatan sab se pyaaraa vatangulaab aur juuhii kii jis me.n bahaarsaman hai jahaa.n har chaman kaa si.ngaarkhule hai.n jahaa.n nargis-o-tastaranhamaaraa vatan hai hamaaraa vatanhamaaraa vatan sab se pyaaraa vatanhai puurab se pachchhim niraalaa jahaa.nhai uttar kaa duulhaa himaala jahaa.nkumaarii jahaa.n hai uruus-e-dakkanhamaaraa vatan hai hamaaraa vatanhamaaraa vatan sab se pyaaraa vatankahii.n gomtii byaas godaavariikahii.n ghaaghraa narbadaa taaptiikahii.n jis me.n bahte hai.n ga.ng-o-jamanhamaaraa vatan hai hamaaraa vatanhamaaraa vatan sab se pyaaraa vatanhar ik phal har ik phuul har rut jahaa.nhavaa.o.n me.n jis kii hai ambar nihaa.nfazaa.e.n hai.n jis kii chaman dar chamanhamaaraa vatan hai hamaaraa vatanhamaaraa vatan sab se pyaaraa vatanpapiihaa alaape jahaa.n pii kahaa.nsunaa.e.n anaadil taraane jahaa.nhai aamo.n me.n koyal jahaa.n naGma-zanhamaaraa vatan hai hamaaraa vatanhamaaraa vatan sab se pyaaraa vatananaaj aur mevo.n kii kasrat jahaa.nhai paanii me.n bhii ik halaavat jahaa.njo ham ko banaataa hai shiirii.n-suKHanhamaaraa vatan hai hamaaraa vatanhamaaraa vatan sab se pyaaraa vatankiyaa jis kii miTTii ne paidaa hame.nna kyuu.n faKHr se is kaa ham naam le.nkahii.n mil ke sab shaiKH aur barahmanhamaaraa vatan hai hamaaraa vatanhamaaraa vatan sab se pyaaraa vatan
kheto.n kii pagDanDii pardo nanhe nanhe paa.nvharii ghaas se uljhe.nbhaagte jaa.e.n bhaagte jaa.e.nruk kar dekhe.nchaa.nd nagar me.n baiThii bu.Dhiyaako.ii raag alaapechhan chhan kartesaare ghu.nghruuek taal se bole.nbuujho bachcho merii paheliikyaa hai is kaa bhedbaadal kii khi.Dkii sesaare taare girte jaa.e.naur jugnuu ban jaa.e.nduur kha.De do pyaare bachcheho.nTo.n me.n batlaa.e.niThlaa.e.n sharmaa.e.nkheto.n kii pag-DanDii pardo nanhe nanhe paa.nv
uu.nche uu.nche pe.D kha.De hai.n chiilo.n kekohsaaro.n kii Dhalaano.n par jo niichedau.Dii jaatii hai.nchaa.nd se chehre vaalii nadii ke milne kochaaro.n jaanib chhaa.ii chup ke pahluu sedard kii suurat uThne vaalii tez havaagird-o-pesh se be-parvaaapnii rau ek hii lai mai.n gaatii haius kii ye begaana ravii diivaana hii banaatii haiik patthar par baiThaa pahro.n ek hii samt me.n taktaa huu.nniiche dau.Dii jaatii Dhalaane.njaise palaT kar aatii hai.nchiilo.n ke pe.Do.n ke phungo.n se bhii uu.nchaa jaatii hai.npatto.n ke ab paiham raqs kii taal badaltii haimai.n hii shaayaddard ke saaz pe apnaa raag alaape jaataa huu.njaane kab tak...duur falak par chaa.nd chamakne lagtaa hai
gar aaj tujh se judaa hai.n to kal baham ho.ngeye raat bhar kii judaa.ii to ko.ii baat nahii.ngar aaj auj pe hai taala-e-raqiib to kyaaye chaar din kii KHudaa.ii to ko.ii baat nahii.njo tujh se ahd-e-vafaa ustuvaar rakhte hai.nilaaj-e-gardish-e-lail-o-nahaar rakhte hai.n
har ik jism ghaayal har ik ruuh pyaasiinigaaho.n me.n uljhan dilo.n me.n udaasiiye duniyaa hai yaa 'aalam-e-bad-havaasiiye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai
daliil-e-sub.h-e-raushan hai sitaaro.n kii tunuk-taabiiufuq se aaftaab ubhraa gayaa daur-e-giraa.n-KHvaabiiuruuq-murda-e-mashriq me.n KHuun-e-zindagii dau.Daasamajh sakte nahii.n is raaz ko siinaa o faaraabiimusalmaa.n ko musalmaa.n kar diyaa tuufaan-e-maGrib netalaatum-haa-e-dariyaa hii se hai gauhar kii sairaabiiataa momin ko phir dargaah-e-haq se hone vaalaa haishikoh-e-turkamaanii zehn hindii nutq aaraabiiasar kuchh KHvaab kaa Guncho.n me.n baaqii hai tuu ai bulbulnavaa-raa talKH-tarmii zan chuu zauq-e-naGma kam-yaabiita.Dap sehn-e-chaman me.n aashiyaa.n me.n shaaKH-saaro.n me.njudaa paare se ho saktii nahii.n taqdiir-e-siimaabiivo chashm-e-paak hai.n kyuu.n ziinat-e-bar-gustavaa.n dekhenazar aatii hai jis ko mard-e-Gaazii kii jigar-taabiizamiir-e-laala me.n raushan charaaG-e-aarzuu kar dechaman ke zarre zarre ko shahiid-e-justujuu kar desarishk-e-chashm-e-muslim me.n hai naisaa.n kaa asar paidaaKHaliilullaah ke dariyaa me.n ho.nge phir guhar paidaakitaab-e-millat-e-baizaa kii phir shiiraaza-bandii haiye shaaKH-e-haashmii karne ko hai phir barg-o-bar paidaarabuud aa.n turk shiiraazii dil-e-tabrez-o-kaabul raasabaa kartii hai buu-e-gul se apnaa ham-safar paidaaagar usmaaniyo.n par koh-e-Gam TuuTaa to kyaa Gam haiki KHuun-e-sad-hazaar-anjum se hotii hai sahar paidaajahaa.nbaanii se hai dushvaar-tar kaar-e-jahaa.n-biiniijigar KHuu.n ho to chashm-e-dil me.n hotii hai nazar paidaahazaaro.n saal nargis apnii be-nuurii pe rotii haiba.Dii mushkil se hotaa hai chaman me.n diida-var paidaanavaa-pairaa ho ai bulbul ki ho tere tarannum sekabuutar ke tan-e-naazuk me.n shaahii.n kaa jigar paidaatire siine me.n hai poshiida raaz-e-zindagii kah demusalmaa.n se hadiis-e-soz-o-saaz-e-zindagii kah deKHudaa-e-lam-yazal kaa dast-e-qudrat tuu zabaa.n tuu haiyaqii.n paidaa kar ai Gaafil ki maGluub-e-gumaa.n tuu haipare hai charKH-e-niilii-faam se manzil musalmaa.n kiisitaare jis kii gard-e-raah ho.n vo kaarvaa.n to haimakaa.n faanii makii.n faanii azal teraa abad teraaKHudaa kaa aaKHirii paiGaam hai tuu jaavedaa.n tuu haiHinaa-band-e-uruus-e-laala hai KHuun-e-jigar teraatirii nisbat baraahiimii hai memaar-e-jahaa.n tuu haitirii fitrat amii.n hai mumkinaat-e-zindagaanii kiijahaa.n ke jauhar-e-muzmar kaa goyaa imtihaa.n to haijahaan-e-aab-o-gil se aalam-e-jaaved kii KHaatirnubuvvat saath jis ko le ga.ii vo armuGaa.n tuu haiye nukta sarguzisht-e-millat-e-baizaa se hai paidaaki aqvaam-e-zamiin-e-asia kaa paasbaa.n tuu haisabaq phir pa.Dh sadaaqat kaa adaalat kaa shujaa.at kaaliyaa jaa.egaa tujh se kaam duniyaa kii imaamat kaayahii maqsuud-e-fitrat hai yahii ramz-e-musalmaaniiuKHuvvat kii jahaa.ngiirii mohabbat kii faraavaaniibutaan-e-ra.ng-o-KHuu.n ko to.D kar millat me.n gum ho jaana tuuraanii rahe baaqii na iiraanii na afGaaniimiyaan-e-shaaKH-saaraa.n sohbat-e-murG-e-chaman kab taktire baazuu me.n hai parvaaz-e-shaahiin-e-qahastaaniigumaa.n-aabaad hastii me.n yaqii.n mard-e-musalmaa.n kaabayaabaa.n kii shab-e-taariik me.n qindiil-e-rohbaaniimiTaayaa qaisar o kisraa ke istibdaad ko jis nevo kyaa thaa zor-e-haidar faqr-e-buu-zar sidq-e-salmaaniihu.e ahraar-e-millat jaada-paimaa kis tajammul setamaashaa.ii shigaaf-e-dar se hai.n sadiyo.n ke zindaaniisabaat-e-zindagii iimaan-e-mohkam se hai duniyaa me.nki almaanii se bhii paa.enda-tar niklaa hai tuuraaniijab is a.ngaara-e-KHaakii me.n hotaa hai yaqii.n paidaato kar letaa hai ye baal-o-par-e-ruuh-ul-amii.n paidaaGulaamii me.n na kaam aatii hai.n shamshiire.n na tadbiire.njo ho zauq-e-yaqii.n paidaa to kaT jaatii hai.n zanjiire.nko.ii andaaza kar saktaa hai us ke zor-e-baazuu kaanigaah-e-mard-e-momin se badal jaatii hai.n taqdiire.nvilaayat paadshaahii ilm-e-ashiyaa kii jahaa.ngiiriiye sab kyaa hai.n faqat ik nukta-e-iimaa.n kii tafsiire.nbaraahiimii nazar paidaa magar mushkil se hotii haihavas chhup chhup ke siino.n me.n banaa letii hai tasviire.ntamiiz-e-bandaa-o-aaqaa fasaad-e-aadmiyat haihazar ai chiira-dastaa.n saKHt hai.n fitrat kii ta.aziire.nhaqiiqat ek hai har shai kii KHaakii ho ki nuurii holahuu KHurshiid kaa Tapke agar zarre kaa dil chiire.nyaqii.n mohkam amal paiham mohabbat faatah-e-aalamjihaad-e-zindagaanii me.n hai.n ye mardo.n kii shamshiire.nche baayad mard raa tab-e-buland mashrab-e-naabedil-e-garme nigaah-e-paak-biine jaan-e-betaabeuqaabii shaan se jhapTe the jo be-baal-o-par niklesitaare shaam ke KHuun-e-shafaq me.n Duub kar niklehu.e madfuun-e-dariyaa zer-e-dariyaa tairne vaaletamaa.nche mauj ke khaate the jo ban kar guhar nikleGubaar-e-rahguzar hai.n kiimiyaa par naaz thaa jin kojabiine.n KHaak par rakhte the jo iksiir-gar niklehamaaraa narm-rau qaasid payaam-e-zindagii laayaaKHabar detii thii.n jin ko bijliyaa.n vo be-KHabar nikleharam rusvaa hu.aa piir-e-haram kii kam-nigaahii sejavaanaan-e-tataarii kis qadar saahab-nazar niklezamii.n se nuuryaan-e-aasmaa.n-parvaaz kahte theye KHaakii zinda-tar paa.enda-tar taabinda-tar niklejahaa.n me.n ahl-e-iimaa.n suurat-e-KHurshiid jiite hai.nidhar Duube udhar nikle udhar Duube idhar nikleyaqii.n afraad kaa sarmaaya-e-taamiir-e-millat haiyahii quvvat hai jo suurat-gar-e-taqdiir-e-millat haituu raaz-e-kun-fakaa.n hai apnii aa.nkho.n par ayaa.n ho jaaKHudii kaa raaz-daa.n ho jaa KHudaa kaa tarjumaa.n ho jaahavas ne kar diyaa hai Tuk.De Tuk.De nau-e-insaa.n kouKHuvvat kaa bayaa.n ho jaa mohabbat kii zabaa.n ho jaaye hindii vo KHuraasaanii ye afGaanii vo tuuraaniituu ai sharminda-e-saahil uchhal kar be-karaa.n ho jaaGubaar-aaluuda-e-ra.ng-o-nasab hai.n baal-o-par teretuu ai murG-e-haram u.Dne se pahle par-fishaa.n ho jaaKHudii me.n Duub jaa Gaafil ye sirr-e-zindagaanii hainikal kar halqa-e-shaam-o-sahar se jaavedaa.n ho jaamasaaf-e-zindagii me.n siirat-e-faulaad paidaa karshabistaan-e-mohabbat me.n hariir o parniyaa.n ho jaaguzar jaa ban ke sail-e-tund-rau koh o bayaabaa.n segulistaa.n raah me.n aa.e to juu-e-naGma-KHvaa.n ho jaatire ilm o mohabbat kii nahii.n hai intihaa ko.iinahii.n hai tujh se ba.Dh kar saaz-e-fitrat me.n navaa ko.iiabhii tak aadmii said-e-zabuun-e-shahryaarii haiqayaamat hai ki insaa.n nau-e-insaa.n kaa shikaarii hainazar ko KHiira kartii hai chamak tahziib-e-haazir kiiye sannaa.ii magar jhuuTe niguu.n kii reza-kaarii haivo hikmat naaz thaa jis par KHirad-mandaan-e-maGrib kohavas ke panja-e-KHuunii.n me.n teG-e-kaar-zaarii haitadabbur kii fusuu.n-kaarii se mohkam ho nahii.n saktaajahaa.n me.n jis tamaddun kii binaa sarmaaya-daarii haiamal se zindagii bantii hai jannat bhii jahannam bhiiye KHaakii apnii fitrat me.n na nuurii hai na naarii haiKHarosh-aamoz bulbul ho girah Gunche kii vaa kar deki tuu is gulsitaa.n ke vaaste baad-e-bahaarii haiphir uTThii asia ke dil se chi.ngaarii mohabbat kiizamii.n jaulaa.n-gah-e-atlas qabaayaan-e-tataarii haibayaa paidaa KHariidaa raast jaan-e-naa-tavaan-e-raapas az muddat guzaar uftaad barmaa kaarvaane raabayaa saaqii navaa-e-murG-zaar az shaaKH-saar aamadbahaar aamad nigaar aamad nigaar aamad qaraar aamadkashiid abr-e-bahaarii KHema andar vaadii o sahraasadaa-e-aabshaaraa.n az faraaz-e-koh-saar aamadsarat gardam toham qaanuun peshii.n saaz dah saaqiiki KHail-e-naGma-pardaazaa.n qataar andar qataar aamadkanaar az zaahidaa.n bar-giir o bebaakaana saaGar-kashpas az muddat azii.n shaaKH-e-kuhan baa.ng-e-hazaar aamadba-mushtaaqaa.n hadiis-e-KHvaajaa-e-badro hunain aavartasarruf-haa-e-pinhaanash ba-chashm-e-aashkaar aamaddigar shaaKH-e-KHaliil az KHuun-e-maa namnaak mii gardadba-baazaar-e-mohabbat naqd-e-maa kaamil ayyaar aamadsar-e-KHaak-e-shahiire barg-haa-e-laala mii paashamki KHuunash baa-nihaal-e-millat-e-maa saazgaar aamadbayaa taa-gul baa-afmaishaaniim o mai dar saaGar andaazemfalak raa saqf ba-shagaafem o tarh-e-diigar andaazem
hu.aa KHema-zan kaarvaan-e-bahaariram ban gayaa daaman-e-koh-saargul o nargis o sosan o nastaranshahiid-e-azal laala-KHuunii.n kafanjahaa.n chhup gayaa parda-e-ra.ng me.nlahuu kii hai gardish rag-e-sang me.nfazaa niilii niilii havaa me.n suruurThaharte nahii.n aashiyaa.n me.n tuyuurvo juu-e-kohistaa.n uchaktii hu.iiaTaktii lachaktii saraktii hu.iiuchhaltii phisaltii sambhaltii hu.iiba.De pech khaa kar nikaltii hu.iiruke jab to sil chiir detii hai yepahaa.Do.n ke dil chiir detii hai yezaraa dekh ai saaqii-e-laala-faamsunaatii hai ye zindagii kaa payaampilaa de mujhe vo mai-e-parda-sozki aatii nahii.n fasl-e-gul roz rozvo mai jis se raushan zamiir-e-hayaatvo mai jis se hai masti-e-kaa.enaatvo mai jis me.n hai soz-o-saaz-e-azalvo mai jis se khultaa hai raaz-e-azaluThaa saaqiyaa parda is raaz sela.Daa de mamuule ko shahbaaz sezamaane ke andaaz badle ga.enayaa raag hai saaz badle ga.ehu.aa is tarah faash raaz-e-fara.ngki hairat me.n hai shiisha-baaz-e-fara.ngpuraanii siyaasat-garii KHvaar haizamii.n miir o sultaa.n se be-zaar haigayaa daur-e-sarmaaya-daarii gayaatamaashaa dikhaa kar madaarii gayaagiraa.n KHvaab chiinii sambhalne lagehimaala ke chashme ubalne lagedil-e-tuur-e-siinaa-o-faaraan do-niimtajallii kaa phir muntazir hai kaliimmusalmaa.n hai tauhiid me.n garam-joshmagar dil abhii tak hai zunnaar-poshtamaddun tasavvuf sharii.at-e-kalaambutaan-e-ajam ke pujaarii tamaamhaqiiqat KHuraafaat me.n kho ga.iiye ummat rivaayaat me.n kho ga.iilubhaataa hai dil ko kalaam-e-KHatiibmagar lazzat-e-shauq se be-nasiibbayaa.n is kaa mantiq se suljhaa hu.aaluGat ke bakhe.Do.n me.n uljhaa hu.aavo suufii ki thaa KHidmat-e-haq me.n mardmohabbat me.n yaktaa hamiiyat me.n fardajam ke KHayaalaat me.n kho gayaaye saalik maqaamaat me.n kho gayaabujhii ishq kii aag andher haimusalmaa.n nahii.n raakh kaa Dher haisharaab-e-kuhan phir pilaa saaqiyaavahii jaam gardish me.n laa saaqiyaamujhe ishq ke par lagaa kar u.Daamirii KHaak jugnuu banaa kar u.DaaKHirad ko Gulaamii se aazaad karjavaano.n ko piiro.n kaa ustaad karharii shaaKH-e-millat tire nam se hainafas is badan me.n tire dam se haita.Dapne pha.Dakne kii taufiiq dedil-e-murtazaa soz-e-siddiiq dejigar se vahii tiir phir paar kartamannaa ko siino.n me.n bedaar kartire aasmaano.n ke taaro.n kii KHairzamiino.n ke shab zinda-daaro.n kii KHairjavaano.n ko soz-e-jigar baKHsh demiraa ishq merii nazar baKHsh demirii naav girdaab se paar karye saabit hai to is ko sayyaar karbtaa mujh ko asraar-e-marg-o-hayaatki terii nigaaho.n me.n hai kaa.enaatmire diida-e-tar kii be-KHvaabiyaa.nmire dil kii poshiida betaabiyaa.nmire naala-e-niim-shab kaa niyaazmirii KHalvat o anjuman kaa gudaazuma.nge.n mirii aarzuu.e.n miriiummiide.n mirii justuju.e.n miriimirii fitrat aa.iina-e-rozgaarGazaalaan-e-afkaar kaa murG-zaarmiraa dil mirii razm-gaah-e-hayaatgumaano.n ke lashkar yaqii.n kaa sabaatyahii kuchh hai saaqii mataa-e-faqiirisii se faqiirii me.n huu.n mai.n amiirmire qaafile me.n luTaa de iseluTaa de Thikaane lagaa de isedamaa-dam ravaa.n hai yam-e-zindagiihar ik shai se paidaa ram-e-zindagiiisii se hu.ii hai badan kii numuudki sho'le me.n poshiida hai mauj-e-duudgiraa.n garche hai sohbat-e-aab-o-gilKHush aa.ii ise mehnat-e-aab-o-gilye saabit bhii hai aur sayyaar bhiianaasir ke phando.n se be-zaar bhiiye vahdat hai kasrat me.n har dam asiirmagar har kahii.n be-chugo.n be-naziirye aalam ye but-KHaana-e-shash-jihaatisii ne taraashaa hai ye somnaatpasand is ko takraar kii KHuu nahii.nki tuu mai.n nahii.n aur mai.n tuu nahii.nman o tuu se hai anjuman-aafrii.nmagar ain-e-mahfil me.n KHalvat-nashii.nchamak us kii bijlii me.n taare me.n haiye chaa.ndii me.n sone me.n paare me.n haiusii ke bayaabaa.n usii ke babuulusii ke hai.n kaa.nTe usii ke hai.n phuulkahii.n us kii taaqat se kohsaar chuurkahii.n us ke phande me.n jibra.iil o huurkahii.n jaza hai shaahiin siimaab ra.nglahuu se chakoro.n ke aaluuda changkabuutar kahii.n aashiyaane se duurpha.Daktaa hu.aa jaal me.n naa-subuurfareb-e-nazar hai sukuun o sabaatta.Daptaa hai har zarra-e-kaa.enaatThahartaa nahii.n kaarvaan-e-vajuudki har lahz hai taaza shaan-e-vajuudsamajhtaa hai tuu raaz hai zindagiifaqat zauq-e-parvaaz hai zindagiibahut us ne dekhe hai.n past o bulandsafar us ko manzil se ba.Dh kar pasandsafar zindagii ke liye barg o saazsafar hai haqiiqat hazar hai majaazulajh kar sulajhne me.n lazzat useta.Dapne pha.Dakne me.n raahat usehu.aa jab use saamnaa maut kaakaThin thaa ba.Daa thaamnaa maut kaautar kar jahaan-e-makaafaat me.nrahii zindagii maut kii ghaat me.nmazaaq-e-du.ii se banii zauj zaujuThii dasht o kohsaar se fauj faujgul is shaaKH se TuuTte bhii raheisii shaaKH se phuuTte bhii rahesamajhte hai.n naadaa.n use be-sabaatubhartaa hai miT miT ke naqsh-e-hayaatba.Dii tez jaulaa.n ba.Dii zuud-rasazal se abad tak ram-e-yak-nafszamaana ki zanjiir-e-ayyaam haidamo.n ke ulaT-pher kaa naam haiye mauj-e-nafs kyaa hai talvaar haiKHudii kyaa hai talvaar kii dhaar haiKHudii kyaa hai raaz-daruun-hayaatKHudii kyaa hai bedaari-e-kaa.enaatKHudii jalva badmast o KHalvat-pasandsamundar hai ik buu.nd paanii me.n banda.ndhere ujaale me.n hai taabnaakman o tuu me.n paidaa man o tuu se paakazal us ke piichhe abad saamnena had us ke piichhe na had saamnezamaane ke dariyaa me.n bahtii hu.iisitam us kii maujo.n ke sahtii hu.iitajassus kii raahe.n badaltii hu.iidamaa-dam nigaahe.n badaltii hu.iisubuk us ke haatho.n me.n sa.ng-e-giraa.npahaa.D us kii zarbo.n se reg-e-ravaa.nsafar us kaa anjaam o aaGaaz haiyahii us kii taqviim kaa raaz haikiran chaa.nd me.n hai sharar sang me.nye be-ra.ng hai Duub kar rang me.nise vaasta kyaa kam-o-besh senasheb o faraaz o pas-o-pesh seazal se hai ye kashmakash me.n asiirhu.ii KHaak-e-aadam me.n suurat-paziirKHudii kaa nasheman tire dil me.n haifalak jis tarah aa.nkh ke til me.n haiKHudii ke nigahbaa.n ko hai zahr-naabvo naa.n jis se jaatii rahe us kii aabvahii naa.n hai us ke liye arjumandrahe jis se duniyaa me.n gardan bulandKHudii faal-e-mahmuud se darguzarKHudii par nigah rakh ayaazii na karvahii sajda hai laa.iq-e-ehtimaamki ho jis se har sajda tujh par haraamye aalam ye ha.ngaama-e-ra.ng-o-sautye aalam ki hai zer-e-farmaan-e-mautye aalam ye but-KHaana-e-chashm-o-goshjahaa.n zindagii hai faqat KHurd o noshKHudii kii ye hai manzil-e-avvalii.nmusaafir ye teraa nasheman nahii.ntirii aag is KHaak-daa.n se nahii.njahaa.n tujh se hai tuu jahaa.n se nahii.nba.Dhe jaa ye koh-e-giraa.n to.D kartilism-e-zamaan-o-makaa.n to.D karKHudii sher-e-maulaa jahaa.n us kaa saidzamii.n us kii said aasmaa.n us kaa saidjahaa.n aur bhii hai.n abhii be-numuudki KHaalii nahii.n hai zamiir-e-vajuudhar ik muntazir terii yalGaar kaatirii shauKHi-e-fikr-o-kirdaar kaaye hai maqsad gardish-e-rozgaarki terii KHudii tujh pe ho aashkaartuu hai faatah-e-aalam-e-KHuub-o-zishttujhe kyaa bataa.uu.n tirii sarnavishthaqiiqat pe hai jaama-e-harf-e-ta.nghaqiiqat hai aa.iina-e-guftaar-e-za.ngfarozaa.n hai siine me.n sham-e-nafasmagar taab-e-guftaar rakhtii hai basagar yak-sar-e-muu-e-bartar paramfaroG-e-tajallii ba-sozad param
jibra.iilhamdam-e-dairiina kaisaa hai jahaan-e-ra.ng-o-buuibliissoz-o-saaz o dard o daaG o justujuu o aarzuujibra.iilhar gha.Dii aflaak par rahtii hai terii guftuguukyaa nahii.n mumkin ki teraa chaak daaman ho rafuuibliisaah ai jibriil tuu vaaqif nahii.n is raaz sekar gayaa sarmast mujh ko TuuT kar meraa subuuab yahaa.n merii guzar mumkin nahii.n mumkin nahii.nkis qadar KHaamosh hai ye aalam-e-be-KaaKH-o-kuujis kii naumiidii se ho soz-e-daruun-e-kaa.enaatus ke haq me.n taqnatuu achchhaa hai yaa laa-taqnatuujibra.iilkho diye inkaar se tuu ne maqaamaat-e-bulandchashm-e-yazdaa.n me.n farishto.n kii rahii kyaa aabruuibliishai mirii jur.at se musht-e-KHaak me.n zauq-e-numuumere fitne jaama-e-aql-o-KHirad kaa taar-o-puudekhtaa hai tuu faqat saahil se razm-e-KHair-o-sharkaun tuufaa.n ke tamaa.nche khaa rahaa hai mai.n ki tuuKHizr bhii be-dast-o-paa ilyaas bhii be-dast-o-paamere tuufaa.n yam-ba-yam dariyaa-ba-dariyaa juu-ba-juugar kabhii KHalvat mayassar ho to puuchh allaah seqissa-e-aadam ko ra.ngii.n kar gayaa kis kaa lahuumai.n khaTaktaa huu.n dil-e-yazdaa.n me.n kaa.nTe kii tarahtuu faqat allaah-huu allaah-huu allaah-huu
silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-haadsaatsilsila-e-roz-o-shab asl-e-hayaat-o-mamaatsilsila-e-roz-o-shab taar-e-hariir-e-do-ra.ngjis se banaatii hai zaat apnii qabaa-e-sifaatsilsila-e-roz-o-shab saaz-e-azal kii fuGaa.njis se dikhaatii hai zaat zer-o-bam-e-mumkinaattujh ko parakhtaa hai ye mujh ko parakhtaa hai yesilsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kaa.enaattuu ho agar kam ayaar mai.n huu.n agar kam ayaarmaut hai terii baraat maut hai merii baraattere shab-o-roz kii aur haqiiqat hai kyaaek zamaane kii rau jis me.n na din hai na raataani-o-faanii tamaam mojaza-haa-e-hunarkaar-e-jahaa.n be-sabaat kaar-e-jahaa.n be-sabaatavval o aaKHir fanaa baatin o zaahir fanaanaqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-aaKHir fanaahai magar is naqsh me.n ra.ng-e-sabaat-e-davaamjis ko kiyaa ho kisii mard-e-KHudaa ne tamaammard-e-KHudaa kaa amal ishq se saahab faroGishq hai asl-e-hayaat maut hai us par haraamtund o subuk-sair hai garche zamaane kii rauishq KHud ik sail hai sail ko letaa hai thaamishq kii taqviim me.n asr-e-ravaa.n ke sivaaaur zamaane bhii hai.n jin kaa nahii.n ko.ii naamishq dam-e-jibra.iil ishq dil-e-mustafaaishq KHudaa kaa rasuul ishq KHudaa kaa kalaamishq kii mastii se hai paikar-e-gil taabnaakishq hai sahbaa-e-KHaam ishq hai kaas-ul-karaamishq faqiih-e-haram ishq amiir-e-junuuudishq hai ibnus-sabiil is ke hazaaro.n maqaamishq ke mizraab se naGma-e-taar-e-hayaatishq se nuur-e-hayaat ishq se naar-e-hayaatai haram-e-qurtuba ishq se teraa vajuudishq saraapaa davaam jis me.n nahii.n raft o buudra.ng ho yaa KHisht o sang cha.ng ho yaa harf o sautmojaza-e-fan kii hai KHuun-e-jigar se numuudqatra-e-KHuun-e-jigar sil ko banaataa hai dilKHuun-e-jigar se sadaa soz o suruur o suruudterii fazaa dil-faroz merii navaa siina-soztujh se dilo.n kaa huzuur mujh se dilo.n kii kushuudarsh-e-mo.allaa se kam siina-e-aadam nahii.ngarche kaf-e-KHaak kii had hai sip.har-e-kabuudpaikar-e-nuurii ko hai sajda mayassar to kyaaus ko mayassar nahii.n soz-o-gudaaz-e-sajuudkaafir-e-hindi huu.n mai.n dekh miraa zauq o shauqdil me.n salaat o duruud lab pe salaat o duruudshauq mirii lai me.n hai shauq mirii nai me.n hainaGma-e-allaah-huu mere rag-o-pai me.n haiteraa jalaal o jamaal mard-e-KHudaa kii daliilvo bhii jaliil o jamiil tuu bhii jaliil o jamiilterii binaa paa.edaar tere sutuu.n be-shumaarshaam ke sahraa me.n ho jaise hujuum-e-nuKHiiltere dar-o-baam par vaadii-e-aiman kaa nuurteraa minaar-e-buland jalva-gah-e-jibra.iilmiT nahii.n saktaa kabhii mard-e-musalmaa.n ki haius kii azaano.n se faash sirr-e-kaliim-o-KHaliilus kii zamii.n be-huduud us kaa ufuq be-saGuurus ke samundar kii mauj dajla o danyuub o niilus ke zamaane ajiib us ke fasaane Gariibahd-e-kuhan ko diyaa us ne payaam-e-rahiilsaaqi-e-rabaab-e-zauq faaras-e-maidaan-e-shauqbaada hai us kaa rahiiq teG hai us kii asiilmard-e-sipaahii hai vo us kii zirah laa-ilaahsaaya-e-shamshiir me.n us kii panah laa-ilaahtujh se hu.aa aashkaar banda-e-momin kaa raazus ke dino.n kii tapish us kii shabo.n kaa gudaazus kaa maqaam-e-buland us kaa KHayaal-e-aziimus kaa suruur us kaa shauq us kaa niyaaz us kaa naazhaath hai allaah kaa banda-e-momin kaa haathGaalib o kaar-aafrii.n kaar-kushaa kaarsaazKHaakii o nuurii-nihaad banda-e-maulaa-sifaathar do-jahaa.n se Ganii us kaa dil-e-be-niyaazus kii umiide.n qaliil us ke maqaasid jaliilus kii adaa dil-fareb us kii nigah dil-navaazaaj bhii is des me.n aam hai chashm-e-Gazaalaur nigaaho.n ke tiir aaj bhii hai.n dil-nashii.nbuu-e-yaman aaj bhii us kii havaa.o.n me.n haira.ng-e-hijaaz aaj bhii us kii navaa.o.n me.n haidiida-e-anjum me.n hai terii zamii.n aasmaa.naah ki sadiyo.n se hai terii fazaa be-azaa.nkaun sii vaadii me.n hai kaun sii manzil me.n haiishq-e-balaa-KHez kaa qaafla-e-saKHt-jaa.ndekh chukaa almanii shorish-e-islaah-e-dii.njis ne na chho.De kahii.n naqsh-e-kuhan ke nishaa.nharf-e-Galat ban ga.ii ismat-e-piir-e-kunishtaur hu.ii fikr kii kashti-e-naazuk ravaa.nchashm-e-faraansiis bhii dekh chukii inqalaabjis se digar-guu.n hu.aa maGrabiyo.n kaa jahaa.nmillat-e-ruumii-nizhaad kohna-parastii se piirlazzat-e-tajdiida se vo bhii hu.ii phir javaa.nruuh-e-musalmaa.n me.n hai aaj vahii iztiraabraaz-e-KHudaa.ii hai ye kah nahii.n saktii zabaa.nnarm dam-e-guftuguu garm dam-e-justujuurazm ho yaa bazm ho paak-dil o paak-baaznuqta-e-parkaar-e-haq mard-e-KHudaa kaa yaqii.naur ye aalam tamaam vahm o tilism o majaazaql kii manzil hai vo ishq kaa haasil hai vohalqa-e-aafaaq me.n garmi-e-mahfil hai vokaaba-e-arbaab-e-fan satvat-e-diin-e-mubii.ntujh se haram martabat undulusiyo.n kii zamii.nhai tah-e-garduu.n agar husn me.n terii naziirqalb-e-musalmaa.n me.n hai aur nahii.n hai kahii.naah vo mardaan-e-haq vo arabii shahsavaarhaamil-e-KHalq-e-aziim saahab-e-sidq-o-yaqii.njin kii hukuumat se hai faash ye ramz-e-Gariibsaltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shaahii nahii.njin kii nigaaho.n ne kii tarbiyat-e-sharq-o-Garbzulmat-e-europe me.n thii jin kii KHirad-raah-bii.njin ke lahuu ke tufail aaj bhii hai.n undulusiiKHush-dil o garam-iKHtilaat saada o raushan-jabii.ndekhiye is bahr kii tah se uchhaltaa hai kyaagumbad-e-niilofarii rang badaltaa hai kyaavaadi-e-koh-saar me.n Garq-e-shafaq hai sahaablaal-e-badaKHshaa.n ke Dher chho.D gayaa aaftaabsaada o pur-soz hai duKHtar-e-dahqaa.n kaa giitkashtii-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabaabaab-e-ravaan-e-kabiir tere kinaare ko.iidekh rahaa hai kisii aur zamaane kaa KHvaabaalam-e-nau hai abhii parda-e-taqdiir me.nmerii nigaaho.n me.n hai us kii sahar be-hijaabparda uThaa duu.n agar chehra-e-afkaar selaa na sakegaa fara.ng merii navaa.o.n kii taabjis me.n na ho inqalaab maut hai vo zindagiiruuh-e-umam kii hayaat kashmakash-e-inqilaabsuurat-e-shamshiir hai dast-e-qazaa me.n vo qaumkartii hai jo har zamaa.n apne amal kaa hisaabnaqsh hai.n sab naa-tamaam KHuun-e-jigar ke baGairnaGma hai saudaa-e-KHaam KHuun-e-jigar ke baGair
shaa'irsaahil-e-dariyaa pe mai.n ik raat thaa mahv-e-nazargosha-e-dil me.n chhupaa.e ik jahaan-e-iztiraabshab sukuut-afzaa havaa aasuuda dariyaa narm sairthii nazar hairaa.n ki ye dariyaa hai yaa tasviir-e-aabjaise gahvaare me.n so jaataa hai tifl-e-shiir-KHvaarmauj-e-muztar thii kahii.n gahraa.iyo.n me.n mast-e-KHvaabraat ke afsuu.n se taa.ir aashiyaano.n me.n asiiranjum-e-kam-zau giraftaar-e-tilism-e-maahtaabdekhtaa kyaa huu.n ki vo paik-e-jahaa.n-paimaa KHizrjis kii piirii me.n hai maanind-e-sahar ra.ng-e-shabaabkah rahaa hai mujh se ai juuyaa-e-asraar-e-azalchashm-e-dil vaa ho to hai taqdiir-e-aalam be-hijaabdil me.n ye sun kar bapaa ha.ngaama-e-mahshar hu.aamai.n shahiid-e-justujuu thaa yuu.n suKHan-gustar hu.aaai tirii chashm-e-jahaa.n-bii.n par vo tuufaa.n aashkaarjin ke hangaame abhii dariyaa me.n sote hai.n KHamoshkashtii-e-miskiin-o-jaan-e-paak-o-diivaar-e-yatiimilm-e-muusaa bhii hai tire saamne hairat-faroshchho.D kar aabaadiyaa.n rahtaa hai tuu sahraa-navardzindagii terii hai be-roz-o-shab-o-fardaa-o-doshzindagii kaa raaz kyaa hai saltanat kyaa chiiz haiaur ye sarmaaya-o-mehnat me.n hai kaisaa KHaroshho rahaa hai asia kaa KHirqa-e-deriina chaaknaujavaa.n aqvaam-e-nau-daulat ke hai.n pairaaya-poshgarche askandar rahaa mahruum-e-aab-e-zindagiifitrat-e-askandarii ab tak hai garm-e-naa.o-noshbechtaa hai haashmii naamuus diin-e-mustafaaKHaak-o-KHuu.n me.n mil rahaa hai turkamaan-e-saKHt-koshaag hai aulaad-e-ibraahiim hai namruud haikyaa kisii ko phir kisii kaa imtihaa.n maqsuud haijavaab-e-KHizrsahraa-navardii
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
mai.n aa.he.n bhar nahii.n saktaa ki naGme gaa nahii.n saktaasakuu.n lekin mire dil ko mayassar aa nahii.n saktaako.ii naGme to kyaa ab mujh se meraa saaz bhii le lejo gaanaa chaahtaa huu.n aah vo mai.n gaa nahii.n saktaamataa-e-soz-o-saaz-e-zindagii paimaana o barbatmai.n KHud ko in khilauno.n se bhii ab bahlaa nahii.n saktaavo baadal sar pe chhaa.e hai.n ki sar se haT nahii.n saktemilaa hai dard vo dil ko ki dil se jaa nahii.n saktaahavas-kaarii hai jurm-e-KHud-kushii merii sharii.at me.nye hadd-e-aaKHirii hai mai.n yahaa.n tak jaa nahii.n saktaana tuufaa.n rok sakte hai.n na aa.ndhii rok saktii haimagar phir bhii mai.n us qasr-e-hasii.n tak jaa nahii.n saktaavo mujh ko chaahtii hai aur mujh tak aa nahii.n saktiimai.n us ko puujtaa huu.n aur us ko paa nahii.n saktaaye majbuurii sii majbuurii ye laachaarii sii laachaariiki us ke giit bhii dil khol kar mai.n gaa nahii.n saktaazabaa.n par be-KHudii me.n naam us kaa aa hii jaataa haiagar puuchhe ko.ii ye kaun hai batlaa nahii.n saktaakahaa.n tak qissa-e-aalaam-e-furqat muKHtasar ye haiyahaa.n vo aa nahii.n saktii vahaa.n mai.n jaa nahii.n saktaahade.n vo khii.nch rakkhii hai.n haram ke paasbaano.n neki bin mujrim bane paiGaam bhii pahu.nchaa nahii.n saktaa
qalb o nazar kii zindagii dasht me.n sub.h kaa samaa.nchashma-e-aaftaab se nuur kii naddiyaa.n ravaa.n!husn-e-azal kii hai numuud chaak hai parda-e-vajuuddil ke liye hazaar suud ek nigaah kaa ziyaa.n!surKH o kabuud badliyaa.n chho.D gayaa sahaab-e-shab!koh-e-izam ko de gayaa ra.ng-ba-ra.ng tailisaa.n!gard se paak hai havaa barg-e-naKHiil dhul ga.ereg-e-navaah-e-kaazima narm hai misl-e-parniyaa.naag bujhii hu.ii idhar, TuuTii hu.ii tanaab udharkyaa KHabar is maqaam se guzre hai.n kitne kaarvaa.naa.ii sadaa-e-jibra.iil teraa maqaam hai yahiiahl-e-firaaq ke liye aish-e-davaam hai yahiikis se kahuu.n ki zahr hai mere liye mai-e-hayaatkohna hai baz-e-kaa.inaat taaza hai.n mere vaardaat!kyaa nahii.n aur Gaznavii kaargah-e-hayaat me.nbaiThe hai.n kab se muntazir ahl-e-haram ke somnaat!zikr-e-arab ke soz me.n, fikr-e-ajam ke saaz me.nne arabii mushaahidaat, ne ajamii taKHaiyyulaatqaafilaa-e-hijaaz me.n ek husain bhii nahii.ngarche hai taab-daar abhii gesuu-e-dajla-o-furaat!aql o dil o nigaah kaa murshid-e-avvalii.n hai ishqishq na ho to shar-o-dii.n butkada-e-tasavvuraat!sidq-e-KHaliil bhii hai ishq sabr-e-husain bhii hai ishq!ma.arka-e-vajuud me.n badr o hunain bhii hai ishq!aaya-e-kaa.enaat kaa ma.anii-e-der-yaab tuu!nikle tirii talaash me.n qaafila-haa-e-ra.ng-o-buu!jalvatiyaan-e-madrasa kor-nigaah o murda-zauqjalvatyaan-e-maikada kam-talab o tahii-kaduu!mai.n ki mirii Gazal me.n hai aatish-e-rafta kaa suraaGmerii tamaam sarguzisht kho.e hu.o.n kii justujuu!baad-e-sabaa kii mauj se nash-o-numaa-e-KHaar-o-KHas!mere nafas kii mauj se nashv-o-numaa-e-aarzuu!KHuun-e-dil o jigar se hai merii navaa kii parvarishhai rag-e-saaz me.n ravaa.n saahib-e-saaz kaa lahuu!fursat-e-kashmukash me.n ii.n dil be-qaraar raayak do shikan zyaada kun gesuu-e-taabdaar raalauh bhii tuu, qalam bhii tuu, teraa vajuud al-kitaab!gumbad-e-aabgiina-ra.ng tere muhiit me.n habaab!aalam-e-aab-o-KHaak me.n tere zuhuur se faroGzarra-e-reg ko diyaa tuu ne tuluu-e-aaftaab!shaukat-e-sanjar-o-saliim tere jalaal kii numuud!faqr-e-'juned'-o-'baayaziid' teraa jamaal be-naqaab!shauq tiraa agar na ho merii namaaz kaa imaammeraa qayaam bhii hijaab! meraa sujuud bhii hijaab!terii nigaah-e-naaz se dono.n muraad paa ga.eaql, Gayaab o justujuu ishq, huzuur o iztiraab!tiira-o-taar hai jahaa.n gardish-e-aaftaab se!tab-e-zamaana taaza kar jalva-e-be-hijaab se!terii nazar me.n hai.n tamaam mere guzishta roz o shabmujh ko KHabar na thii ki hai ilm-e-naKHiil be-rutab!taaza mire zamiir me.n ma.arka-e-kuhan hu.aa!ishq tamaam mustafaa! aql tamaam buu-lahab!gaah ba-hiila mii-barad, gaah ba-zor mii-kashadishq kii ibtidaa ajab ishq kii intihaa ajab!aalam-e-soz-o-saaz me.n vasl se ba.Dh ke hai firaaqvasl me.n marg-e-aarzuu! hijr me.n lazzat-e-talab!ain-e-visaal me.n mujhe hausla-e-nazar na thaagarche bahaana-juu rahii merii nigaah-e-be-adab!garmii-e-aarzuu firaaq! shorish-e-haa-o-huu firaaq!mauj kii justujuu firaaq! qatre kii aabruu firaaq!
saaqii kii har nigaah pe bal khaa ke pii gayaalahro.n se kheltaa hu.aa lahraa ke pii gayaabe-kaifiyo.n ke kaif se ghabraa ke pii gayaatauba ko to.D-taa.D ke tharraa ke pii gayaazaahid! ye terii shoKHii-e-rindaana dekhnaarahmat ko baato.n baato.n me.n bahlaa ke pii gayaasar-mastii-e-azal mujhe jab yaad aa ga.iiduniyaa-e-e'tibaar ko Thukraa ke pii gayaaaazurdagii-e-KHaatir-e-saaqii ko dekh karmujh ko ye sharm aa.ii ki sharmaa ke pii gayaaai rahmat-e-tamaam mirii har KHataa mu.aafmai.n intihaa-e-shauq me.n ghabraa ke pii gayaapiitaa baGair izn ye kab thii mirii majaaldar-parda chashm-e-yaar kii shah paa ke pii gayaaus jaan-e-mai-kada kii qasam baarhaa 'jigar'kul aalam-e-basiit pe mai.n chhaa ke pii gayaa
zarra zarra dahr kaa zindaanii-e-taqdiir haiparda-e-majbuurii o bechaargii tadbiir haiaasmaa.n majbuur hai shams o qamar majbuur hai.nanjum-e-siimaab-paa raftaar par majbuur hai.nhai shikast anjaam Gunche kaa subuu gulzaar me.nsabza o gul bhii hai.n majbuur-e-numuu gulzaar me.nnaGma-e-bulbul ho yaa aavaaz-e-KHaamosh-e-zamiirhai isii zanjiir-e-aalam-giir me.n har shai asiiraa.nkh par hotaa hai jab ye sirr-e-majbuurii ayaa.nKHushk ho jaataa hai dil me.n ashk kaa sail-e-ravaa.nqalb-e-insaanii me.n raqs-e-aish-o-Gam rahtaa nahii.nnaGma rah jaataa hai lutf-e-zer-o-bam rahtaa nahii.nilm o hikmat rahzan-e-saamaan-e-ashk-o-aah haiya.anii ik almaas kaa Tuk.Daa dil-e-aagaah haigarche mere baaG me.n shabnam kii shaadaabii nahii.naa.nkh merii maaya-daar-e-ashk-e-unnaabii nahii.njaantaa huu.n aah me.n aalaam-e-insaanii kaa raazhai navaa-e-shikva se KHaalii mirii fitrat kaa saazmere lab par qissa-e-naira.ngi-e-dauraa.n nahii.ndil miraa hairaa.n nahii.n KHanda nahii.n giryaa.n nahii.npar tirii tasviir qaasid girya-e-paiham kii haiaah ye tardiid merii hikmat-e-mohkam kii haigirya-e-sarshaar se buniyaad-e-jaa.n paa.inda haidard ke irfaa.n se aql-e-sa.ng-dil sharminda haimauj-e-duud-e-aah se aa.iina hai raushan miraaganj-e-aab-aavrd se maamuur hai daaman miraahairatii huu.n mai.n tirii tasviir ke e.ajaaz kaaruKH badal Daalaa hai jis ne vaqt kii parvaaz kaarafta o haazir ko goyaa paa-ba-paa is ne kiyaaahd-e-tiflii se mujhe phir aashnaa is ne kiyaajab tire daaman me.n paltii thii vo jaan-e-naa-tavaa.nbaat se achchhii tarah mahram na thii jis kii zabaa.naur ab charche hai.n jis kii shoKHii-e-guftaar kebe-bahaa motii hai.n jis kii chashm-e-gauhar-baar keilm kii sa.njiida-guftaarii bu.Dhaape kaa shu.uurdunyavii e.azaaz kii shaukat javaanii kaa Guruurzindagii kii auj-gaaho.n se utar aate hai.n hamsohbat-e-maadar me.n tifl-e-saada rah jaate hai.n hambe-takalluf KHanda-zan hai.n fikr se aazaad hai.nphir usii kho.e hu.e firdaus me.n aabaad hai.nkis ko ab hogaa vatan me.n aah meraa intizaarkaun meraa KHat na aane se rahegaa be-qaraarKHaak-e-marqad par tirii le kar ye fariyaad aa.uu.ngaaab du.aa-e-niim-shab me.n kis ko mai.n yaad aa.uu.ngaatarbiyat se terii me.n anjum kaa ham-qismat hu.aaghar mire ajdaad kaa sarmaaya-e-izzat hu.aadaftar-e-hastii me.n thii zarrii.n varaq terii hayaatthii saraapaa diin o duniyaa kaa sabaq terii hayaatumr bhar terii mohabbat merii KHidmat-gar rahiimai.n tirii KHidmat ke qaabil jab hu.aa tuu chal basiivo javaa.n-qaamat me.n hai jo suurat-e-sarv-e-bulandterii KHidmat se hu.aa jo mujh se ba.Dh kar bahra-mandkaarobaar-e-zindagaanii me.n vo ham-pahluu miraavo mohabbat me.n tirii tasviir vo baazuu miraatujh ko misl-e-tiflak-e-be-dast-o-paa rotaa hai vosabr se naa-aashnaa sub.h o masaa rotaa hai votuKHm jis kaa tuu hamaarii kisht-e-jaa.n me.n bo ga.iishirkat-e-Gam se vo ulfat aur mohkam ho ga.iiaah ye duniyaa ye maatam-KHaana-e-barnaa-o-piiraadmii hai kis tilism-e-dosh-o-fardaa me.n asiirkitnii mushkil zindagii hai kis qadar aasaa.n hai mautgulshan-e-hastii me.n maanind-e-nasiim arzaa.n hai mautzalzale hai.n bijliyaa.n hai.n qaht hai.n aalaam hai.nkaisii kaisii duKHtaraan-e-maadar-e-ayyaam hai.nkalba-e-iflaas me.n daulat ke kaashaane me.n mautdasht o dar me.n shahr me.n gulshan me.n viiraane me.n mautmaut hai ha.ngaama-aaraa qulzum-e-KHaamosh me.nDuub jaate hai.n safiine mauj kii aaGosh me.nne majaal-e-shikva hai ne taaqat-e-guftaar haizindagaanii kyaa hai ik tauq-e-guluu-afshaar haiqaafile me.n Gair fariyaad-e-diraa kuchh bhii nahii.nik mataa-e-diida-e-tar ke sivaa kuchh bhii nahii.nKHatm ho jaa.egaa lekin imtihaa.n kaa daur bhiihai.n pas-e-noh parda-e-garduu.n abhii daur aur bhiisiina chaak is gulsitaa.n me.n laala-o-gul hai.n to kyaanaala o fariyaad par majbuur bulbul hai.n to kyaajhaa.Diyaa.n jin ke qafas me.n qaid hai aah-e-KHizaa.nsabz kar degii unhe.n baad-e-bahaar-e-jaavedaa.nKHufta-KHaak-e-pai sipar me.n hai sharaar apnaa to kyaaaarzii mahmil hai ye musht-e-Gubaar apnaa to kyaazindagii kii aag kaa anjaam KHaakistar nahii.nTuuTnaa jis kaa muqaddar ho ye vo gauhar nahii.nzindagii mahbuub aisii diida-e-qudrat me.n haizauq-e-hifz-e-zindagii har chiiz kii fitrat me.n haimaut ke haatho.n se miT saktaa agar naqsh-e-hayaataam yuu.n us ko na kar detaa nizaam-e-kaa.enaathai agar arzaa.n to ye samjho ajal kuchh bhii nahii.njis tarah sone se jiine me.n KHalal kuchh bhii nahii.naah Gaafil maut kaa raaz-e-nihaa.n kuchh aur hainaqsh kii naa-paa.edaarii se ayaa.n kuchh aur haijannat-e-nazaara hai naqsh-e-havaa baalaa-e-aabmauj-e-muztar to.D kar ta.amiir kartii hai habaabmauj ke daaman me.n phir us ko chhupaa detii hai yekitnii bedardii se naqsh apnaa miTaa detii hai yephir na kar saktii habaab apnaa agar paidaa havaato.Dne me.n us ke yuu.n hotii na be-parvaa havaais ravish kaa kyaa asar hai haiyat-e-taamiir parye to hujjat hai havaa kii quvvat-e-taamiir parfitrat-e-hastii shahiid-e-aarzuu rahtii na hoKHuub-tar paikar kii us ko justujuu rahtii na hoaah siimaab-e-pareshaa.n anjum-e-garduu.n-farozshoKH ye chi.ngaariyaa.n mamnuun-e-shab hai jin kaa sozaql jis se sar-ba-zaanuu hai vo muddat in kii haisarguzisht-e-nau-e-insaa.n ek saa.at un kii haiphir ye insaa.n aa.n suu-e-aflaak hai jis kii nazarqudsiyo.n se bhii maqaasid me.n hai jo paakiiza-tarjo misaal-e-sham.a raushan mahfil-e-qudrat me.n haiaasmaa.n ik nuqta jis kii vus.at-e-fitrat me.n haijis kii naadaanii sadaaqat ke liye betaab haijis kaa naaKHun saaz-e-hastii ke liye mizraab haisho.ala ye kam-tar hai garduu.n ke sharaaro.n se bhii kyaakam-bahaa hai aaftaab apnaa sitaaro.n se bhii kyaatuKHm-e-gul kii aa.nkh zer-e-KHaak bhii be-KHvaab haikis qadar nashv-o-numaa ke vaaste betaab haizindagii kaa sho.ala is daane me.n jo mastuur haiKHud-numaa.ii KHud-fazaa.ii ke liye majbuur haisardi-e-marqad se bhii afsurda ho saktaa nahii.nKHaak me.n dab kar bhii apnaa soz kho saktaa nahii.nphuul ban kar apnii turbat se nikal aataa hai yemaut se goyaa qabaa-e-zindagii paataa hai yehai lahad is quvvat-e-aashufta kii shiiraaza-bandDaaltii hai gardan-e-garduu.n me.n jo apnii kamandmaut tajdiid-e-mazaaq-e-zindagii kaa naam haiKHvaab ke parde me.n bedaarii kaa ik paiGaam haiKHuugar-e-parvaaz ko parvaaz me.n Dar kuchh nahii.nmaut is gulshan me.n juz sanjiidan-e-par kuchh nahii.nkahte hai.n ahl-e-jahaa.n dard-e-ajal hai laa-davaazaKHm-e-furqat vaqt ke marham se paataa hai shifaadil magar Gam marne vaalo.n kaa jahaa.n aabaad haihalqa-e-zanjiir-e-sub.h-o-shaam se aazaad haivaqt ke afsuu.n se thamtaa naala-e-maatam nahii.nvaqt zaKHm-e-teG-e-furqat kaa ko.ii marham nahii.nsar pe aa jaatii hai jab ko.ii musiibat naa-gahaa.nashk paiham diida-e-insaa.n se hote hai.n ravaa.nrabt ho jaataa hai dil ko naala o fariyaad seKHuun-e-dil bahtaa hai aa.nkho.n kii sarishk-aabaad seaadmii taab-e-shakebaa.ii se go mahruum haius kii fitrat me.n ye ik ehsaas-e-naa-maaluum haijauhar-e-insaa.n adam se aashnaa hotaa nahii.naa.nkh se Gaa.eb to hotaa hai fanaa hotaa nahii.nraKHt-e-hastii KHaak-e-Gam kii sho.ala-afshaanii se haisard ye aag is latiif ehsaas ke paanii se haiaah ye zabt-e-fuGaa.n Gaflat kii KHaamoshii nahii.naagahii hai ye dilaasaa.ii faraamoshii nahii.nparda-e-mashriq se jis dam jalva-gar hotii hai sub.hdaaG shab kaa daaman-e-aafaaq se dhotii hai sub.hlaala-e-afsurda ko aatish-qabaa kartii hai yebe-zabaa.n taa.ir ko sarmast-e-navaa kartii hai yesiina-e-bulbul ke zindaa.n se sarod aazaad haisaik.Do.n naGmo.n se baad-e-sub.h-dam-aabaad haiKHuftagaan-e-laala-zaar o kohsaar o ruud baarhote hai.n aaKHir uruus-e-zindagii se ham-kanaarye agar aa.iin-e-hastii hai ki ho har shaam sub.hmarqad-e-insaa.n kii shab kaa kyuu.n na ho anjaam sub.hdaam-e-siimiin-e-taKHayyul hai miraa aafaaq-giirkar liyaa hai jis se terii yaad ko mai.n ne asiiryaad se terii dil-e-dard aashnaa maamuur haijaise ka.abe me.n du.aa.o.n se fazaa maamuur haivo faraa.ez kaa tasalsul naam hai jis kaa hayaatjalva-gaahe.n us kii hai.n laakho.n jahaan-e-be-sabaatmuKHtalif har manzil-e-hastii ko rasm-o-raah haiaaKHirat bhii zindagii kii ek jaulaa.n-gaah haihai vahaa.n be-haasilii kisht-e-ajal ke vaastesaazgaar aab-o-havaa tuKHm-e-amal ke vaastenuur-e-fitrat zulmat-e-paikar kaa zindaanii nahii.nta.ng aisaa halqa-e-afkaar-e-insaanii nahii.nzindagaanii thii tirii mahtaab se taabinda-tarKHuub-tar thaa sub.h ke taare se bhii teraa safarmisl-e-aivaan-e-sahar marqad farozaa.n ho tiraanuur se maamuur ye KHaakii shabistaa.n ho tiraaaasmaa.n terii lahad par shabnam-afshaanii karesabza-e-nau-rasta is ghar kii nigahbaanii kare
ruKHsat hu.aa vo baap se le kar KHudaa kaa naamraah-e-vafaa kii manzil-e-avval hu.ii tamaammanzuur thaa jo maa.n kii ziyaarat kaa intizaamdaaman se ashk po.nchh ke dil se kiyaa kalaamiz.haar-e-be-kasii se sitam hogaa aur bhiidekhaa hame.n udaas to Gam hogaa aur bhiidil ko sa.nbhaaltaa hu.aa aaKHir vo naunihaalKHaamosh maa.n ke paas gayaa suurat-e-KHayaaldekhaa to ek dar me.n hai baiThii vo KHasta-haalsaktaa saa ho gayaa hai ye hai shiddat-e-malaaltan me.n lahuu kaa naam nahii.n zard rang haigoyaa bashar nahii.n ko.ii tasviir-e-sa.ng haikyaa jaane kis KHayaal me.n gum thii vo be-gunaahnuur-e-nazar ye diida-e-hasrat se kii nigaahjumbish hu.ii labo.n ko bharii ek sard aahlii gosha-ha-e-chashm se ashko.n ne ruKH kii raahchehre kaa rang haalat-e-dil kholne lagaahar muu-e-tan zabaa.n kii tarah bolne lagaaaaKHir asiir-e-yaas kaa qufl-e-dahan khulaaafsaana-e-shadaa.id-e-ra.nj-o-mehan khulaaik daftar-e-mazaalim-e-charKH-e-kuhan khulaavaa thaa dahaan-e-zaKHm ki baab-e-suKHan khulaadard-e-dil-e-Gariib jo sarf-e-bayaa.n hu.aaKHuun-e-jigar kaa rang suKHan se 'ayaa.n hu.aaro kar kahaa KHamosh kha.De kyuu.n ho merii jaa.nmai.n jaantii huu.n jis liye aa.e ho tum yahaa.nsab kii KHushii yahii hai to sahraa ko ho ravaa.nlekin mai.n apne mu.nh se na hargiz kahuu.ngii haa.nkis tarah ban me.n aa.nkho.n ke taare ko bhej duu.njogii banaa ke raaj-dulaare ko bhej duu.nduniyaa kaa ho gayaa hai ye kaisaa lahuu sapiidandhaa kiye hu.e hai zar-o-maal kii umiidanjaam kyaa ho ko.ii nahii.n jaantaa ye bhedsoche bashar to jism ho larzaa.n misaal-e-biidlikkhii hai kyaa hayaat-e-abad in ke vaastephailaa rahe hai.n jaal ye kis din ke vaasteletii kisii faqiir ke ghar me.n agar janamhote na merii jaan ko saamaan ye bahamDastaa na saa.np ban ke mujhe shaukat-o-hashamtum mere laal the mujhe kis saltanat se kammai.n KHush huu.n phuu.nk de ko.ii is taKHt-o-taaj kotum hii nahii.n to aag lagaa duu.ngii raaj kokin kin riyaazato.n se guzaare hai.n maah-o-saaldekhii tumhaarii shakl jab ai mere naunihaalpuuraa hu.aa jo byaah kaa armaan thaa kamaalaafat ye aa.ii mujh pe hu.e jab safed baalchhaTtii huu.n un se jog liyaa jin ke vaastekyaa sab kiyaa thaa mai.n ne isii din ke vaasteaise bhii naa-muraad bahut aa.e.nge nazarghar jin ke be-charaaG rahe aah 'umr bharrahtaa miraa bhii naKHl-e-tamannaa jo be-samarye jaa-e-sabr thii ki du'aa me.n nahii.n asarlekin yahaa.n to ban ke muqaddar biga.D gayaaphal phuul laa ke baaG-e-tamannaa uja.D gayaasarzad hu.e the mujh se KHudaa jaane kyaa gunaahma.njdhaar me.n jo yuu.n mirii kashtii hu.ii tabaahaatii nazar nahii.n ko.ii amn-o-amaa.n kii raahab yaa.n se kuuch ho to 'adam me.n mile panaahtaqsiir merii KHaaliq-e-aalam bahal kareaasaan mujh Gariib kii mushkil ajal karesun kar zabaa.n se maa.n kii ye fariyaad-e-dard-KHezus KHasta-jaa.n ke dil pe chalii Gam kii teG-e-tez'aalam ye thaa qariib ki aa.nkhe.n ho.n ashk-rezlekin hazaar zabt se rone se kii gurezsochaa yahii ki jaan se bekas guzar na jaa.enaashaad ham ko dekh ke maa.n aur mar na jaa.ephir arz kii ye maadar-e-naashaad ke huzuurmaayuus kyuu.n hai.n aap alam kaa hai kyuu.n vafuursadma ye shaaq 'aalam-e-piirii me.n hai zaruurlekin na dil se kiijiye sabr-o-qaraar duurshaayad KHizaa.n se shakl 'ayaa.n ho bahaar kiikuchh maslahat isii me.n ho parvardigaar kiiye jaa'l ye fareb ye saazish ye shor-o-sharhonaa jo hai sab us ke bahaane hai.n sar-ba-sarasbaab-e-zaahirii me.n na in par karo nazarkyaa jaane kyaa hai parda-e-qudrat me.n jalva-garKHaas us kii maslahat ko.ii pahchaantaa nahii.nmanzuur kyaa use hai ko.ii jaantaa nahii.nraahat ho yaa ki ranj KHushii ho ki intishaarvaajib har ek rang me.n hai shukr-e-kird-gaartum hii nahii.n ho kushta-e-naira.ng-e-rozgaarmaatam-kade me.n dahr ke laakho.n hai.n sogvaarsaKHtii sahii nahii.n ki uThaa.ii ka.Dii nahii.nduniyaa me.n kyaa kisii pe musiibat pa.Dii nahii.n
uruus-e-shab kii zulfe.n thii.n abhii naa-aashnaa KHam sesitaare aasmaa.n ke be-KHabar the lazzat-e-ram seqamar apne libaas-e-nau me.n begaana saa lagtaa thaana thaa vaaqif abhii gardish ke aa.iin-e-musallam seabhii imkaa.n ke zulmat-KHaane se ubhrii hii thii duniyaamazaaq-e-zindagii poshiida thaa pahnaa-e-aalam sekamaal-e-nazm-e-hastii kii abhii thii ibtidaa goyaahuvaidaa thii nagiine kii tamannaa chashm-e-KHaatam sesunaa hai aalam-e-baalaa me.n ko.ii kiimiyaa-gar thaasafaa thii jis kii KHaak-e-paa me.n ba.Dh kar saaGar-e-jam selikhaa thaa arsh ke paa.e pe ik iksiir kaa nusKHachhupaate the farishte jis ko chashm-e-ruuh-e-aadam senigaahe.n taak me.n rahtii thii.n lekin kiimiyaa-gar kiivo is nusKHe ko ba.Dh kar jaantaa thaa ism-e-aazam seba.Dhaa tasbiih-KHvaanii ke bahaane arsh kii jaanibtamannaa-e-dilii aaKHir bar aa.ii sa.i-e-paiham sephiraayaa fikr-e-ajzaa ne use maidaan-e-imkaa.n me.nchhupegii kyaa ko.ii shai baargaah-e-haq ke mahram sechamak taare se maa.ngii chaa.nd se daaG-e-jigar maa.ngaau.Daa.ii tiirgii tho.Dii sii shab kii zulf-e-barham seta.Dap bijlii se paa.ii huur se paakiizgii paa.iiharaarat lii nafas-haa-e-masiih-e-ibn-e-maryam sezaraa sii phir rubuubiyat se shaan-e-be-niyaazii liimalak se aajizii uftaadgii taqdiir shabnam sephir in ajzaa ko gholaa chashma-e-haivaa.n ke paanii me.nmurkkab ne mohabbat naam paayaa arsh-e-aazam semuhavvis ne ye paanii hasti-e-nau-KHez par chhi.Dkaagirah kholii hunar ne us ke goyaa kaar-e-aalam sehu.ii jumbish ayaa.n zarro.n ne lutf-e-KHvaab ko chho.Daagale milne lage uTh uTh ke apne apne hamdam seKHiraam-e-naaz paayaa aaftaabo.n ne sitaaro.n nechaTak Guncho.n ne paa.ii daaG paa.e laala-zaaro.n ne
dil terii bazm-e-naaz me.n jab se hai baaryaabhar KHaar ek gul hai to har zarra aaftaabik lashkar-e-nashaat hai har Gam ke ham-rikaabzer-e-nagii.n hai aalam-e-taamkiin-o-iztiraabbaad-e-muraad o chashmak-e-tuufaa.n liye hu.ehuu.n buu-e-zulf-o-jumbish-e-mizhgaa.n liye hu.e
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books