aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "bahaal"
naam bhuule se jo meraa kahii.n aayaa hogaaGair-mahsuus tariiqe se vo chau.nkaa hogaaek jumle ko ka.ii baar sunaayaa hogaabaat karte hu.e sau baar vo bhuulaa hogaaye jo la.Dkii na.ii aa.ii hai kahii.n vo to nahii.nus ne har chehra yahii soch ke dekhaa hogaajaan-e-mahfil hai magar aaj faqat mere baGairhaa.e kis darja vahii bazm me.n tanhaa hogaakabhii sannaaTo.n se vahshat jo hu.ii hogii useus ne be-saaKHta phir mujh ko pukaaraa hogaachalte chalte ko.ii maanuus sii aahaT paa kardosto.n ko bhii kis uzr se rokaa hogaayaad kar ke mujhe nam ho ga.ii ho.ngii palke.n''aa.nkh me.n pa.D gayaa kuchh'' kah ke ye Taalaa hogaaaur ghabraa ke kitaabo.n me.n jo lii hogii panaahhar satar me.n miraa chehra ubhar aayaa hogaajab milii hogii use merii alaalat kii KHabarus ne aahista se diivaar ko thaamaa hogaasoch kar ye ki bahal jaa.e pareshaanii-e-dilyuu.nhii be-vaj.h kisii shaKHs ko rokaa hogaa!
uTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheqalb-e-maahaul me.n larzaa.n sharar-e-ja.ng hai.n aajhausle vaqt ke aur ziist ke yak-ra.ng hai.n aajaabgiino.n me.n tapaa.n valvala-e-sa.ng hai.n aajhusn aur ishq ham-aavaaz o ham-aaha.ng hai.n aajjis me.n jaltaa huu.n usii aag me.n jalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetere qadmo.n me.n hai firdaus-e-tamaddun kii bahaarterii nazro.n pe hai tahziib o taraqqii kaa madaarterii aaGosh hai gahvaara-e-nafs-o-kirdaartaa-ba-kai gird tire vahm o ta.ayyun kaa hisaarkau.nd kar majlis-e-KHalvat se nikalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetuu ki be-jaan khilauno.n se bahal jaatii haitaptii saa.nso.n kii haraarat se pighal jaatii haipaa.nv jis raah me.n rakhtii hai phisal jaatii haiban ke siimaab har ik zarf me.n Dhal jaatii haiziist ke aahanii saa.nche me.n bhii Dhalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhezindagii jehd me.n hai sabr ke qaabuu me.n nahii.nnabz-e-hastii kaa lahuu kaa.npte aa.nsuu me.n nahii.nu.Dne khulne me.n hai nik.hat KHam-e-gesuu me.n nahii.njannat ik aur hai jo mard ke pahluu me.n nahii.nus kii aazaad ravish par bhii machalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhegoshe goshe me.n sulagtii hai chitaa tere liyefarz kaa bhes badaltii hai qazaa tere liyeqahr hai terii har ik narm adaa tere liyezahr hii zahr hai duniyaa kii havaa tere liyerut badal Daal agar phuulnaa phalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheqadr ab tak tirii taariiKH ne jaanii hii nahii.ntujh me.n sho.ale bhii hai.n bas ashk-fishaanii hii nahii.ntuu haqiiqat bhii hai dilchasp kahaanii hii nahii.nterii hastii bhii hai ik chiiz javaanii hii nahii.napnii taariiKH kaa unvaan badalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheto.D kar rasm kaa but band-e-qadaamat se nikalzof-e-ishrat se nikal vahm-e-nazaakat se nikalnafs ke khii.nche hu.e halqa-e-azmat se nikalqaid ban jaa.e mohabbat to mohabbat se nikalraah kaa KHaar hii kyaa gul bhii kuchalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheto.D ye azm-shikan daGdaGa-e-pand bhii to.Dterii KHaatir hai jo zanjiir vo saugand bhii to.Dtauq ye bhii hai zamurrad kaa guluu-band bhii to.Dto.D paimaana-e-mardaan-e-KHirad-mand bhii to.Dban ke tuufaan chhalaknaa hai ubalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetuu falaatuun o arastuu hai tuu zahraa parvii.ntere qabze me.n hai garduu.n tirii Thokar me.n zamii.nhaa.n uThaa jald uThaa paa-e-muqaddar se jabii.nmai.n bhii rukne kaa nahii.n vaqt bhii rukne kaa nahii.nla.Dkha.Daa.egii kahaa.n tak ki sambhalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhe
tumhaarii jo hamaasa hai bhalaa us kaa to kyaa kahnaahai shaayad mujh ko saarii umr us ke sehr me.n rahnaamagar mere Gariib ajdaad ne bhii kuchh kiyaa hogaabahut tuchchaa sahii un kaa bhii ko.ii maajraa hogaaye ham jo hai.n hamaarii bhii to hogii ko.ii nauTa.nkiihamaaraa KHuun bhii sach-much kaa sehne par bahaa hogaahai aaKHir zindagii KHuun az-bun-e-naaKHun bar-aavar-tarqayaamat saaneha matlab qayaamat faaje.a parvar
ye jashn ye ha.ngaame dilchasp khilaune hai.nkuchh logo.n kii koshish hai kuchh log bahal jaa.e.njo vaada-e-fardaa par ab Tal nahii.n sakte hai.nmumkin hai ki kuchh arsa is jashn pe Tal jaa.e.n
ruKHsat hu.aa vo baap se le kar KHudaa kaa naamraah-e-vafaa kii manzil-e-avval hu.ii tamaammanzuur thaa jo maa.n kii ziyaarat kaa intizaamdaaman se ashk po.nchh ke dil se kiyaa kalaamiz.haar-e-be-kasii se sitam hogaa aur bhiidekhaa hame.n udaas to Gam hogaa aur bhiidil ko sa.nbhaaltaa hu.aa aaKHir vo naunihaalKHaamosh maa.n ke paas gayaa suurat-e-KHayaaldekhaa to ek dar me.n hai baiThii vo KHasta-haalsaktaa saa ho gayaa hai ye hai shiddat-e-malaaltan me.n lahuu kaa naam nahii.n zard rang haigoyaa bashar nahii.n ko.ii tasviir-e-sa.ng haikyaa jaane kis KHayaal me.n gum thii vo be-gunaahnuur-e-nazar ye diida-e-hasrat se kii nigaahjumbish hu.ii labo.n ko bharii ek sard aahlii gosha-ha-e-chashm se ashko.n ne ruKH kii raahchehre kaa rang haalat-e-dil kholne lagaahar muu-e-tan zabaa.n kii tarah bolne lagaaaaKHir asiir-e-yaas kaa qufl-e-dahan khulaaafsaana-e-shadaa.id-e-ra.nj-o-mehan khulaaik daftar-e-mazaalim-e-charKH-e-kuhan khulaavaa thaa dahaan-e-zaKHm ki baab-e-suKHan khulaadard-e-dil-e-Gariib jo sarf-e-bayaa.n hu.aaKHuun-e-jigar kaa rang suKHan se 'ayaa.n hu.aaro kar kahaa KHamosh kha.De kyuu.n ho merii jaa.nmai.n jaantii huu.n jis liye aa.e ho tum yahaa.nsab kii KHushii yahii hai to sahraa ko ho ravaa.nlekin mai.n apne mu.nh se na hargiz kahuu.ngii haa.nkis tarah ban me.n aa.nkho.n ke taare ko bhej duu.njogii banaa ke raaj-dulaare ko bhej duu.nduniyaa kaa ho gayaa hai ye kaisaa lahuu sapiidandhaa kiye hu.e hai zar-o-maal kii umiidanjaam kyaa ho ko.ii nahii.n jaantaa ye bhedsoche bashar to jism ho larzaa.n misaal-e-biidlikkhii hai kyaa hayaat-e-abad in ke vaastephailaa rahe hai.n jaal ye kis din ke vaasteletii kisii faqiir ke ghar me.n agar janamhote na merii jaan ko saamaan ye bahamDastaa na saa.np ban ke mujhe shaukat-o-hashamtum mere laal the mujhe kis saltanat se kammai.n KHush huu.n phuu.nk de ko.ii is taKHt-o-taaj kotum hii nahii.n to aag lagaa duu.ngii raaj kokin kin riyaazato.n se guzaare hai.n maah-o-saaldekhii tumhaarii shakl jab ai mere naunihaalpuuraa hu.aa jo byaah kaa armaan thaa kamaalaafat ye aa.ii mujh pe hu.e jab safed baalchhaTtii huu.n un se jog liyaa jin ke vaastekyaa sab kiyaa thaa mai.n ne isii din ke vaasteaise bhii naa-muraad bahut aa.e.nge nazarghar jin ke be-charaaG rahe aah 'umr bharrahtaa miraa bhii naKHl-e-tamannaa jo be-samarye jaa-e-sabr thii ki du'aa me.n nahii.n asarlekin yahaa.n to ban ke muqaddar biga.D gayaaphal phuul laa ke baaG-e-tamannaa uja.D gayaasarzad hu.e the mujh se KHudaa jaane kyaa gunaahma.njdhaar me.n jo yuu.n mirii kashtii hu.ii tabaahaatii nazar nahii.n ko.ii amn-o-amaa.n kii raahab yaa.n se kuuch ho to 'adam me.n mile panaahtaqsiir merii KHaaliq-e-aalam bahal kareaasaan mujh Gariib kii mushkil ajal karesun kar zabaa.n se maa.n kii ye fariyaad-e-dard-KHezus KHasta-jaa.n ke dil pe chalii Gam kii teG-e-tez'aalam ye thaa qariib ki aa.nkhe.n ho.n ashk-rezlekin hazaar zabt se rone se kii gurezsochaa yahii ki jaan se bekas guzar na jaa.enaashaad ham ko dekh ke maa.n aur mar na jaa.ephir arz kii ye maadar-e-naashaad ke huzuurmaayuus kyuu.n hai.n aap alam kaa hai kyuu.n vafuursadma ye shaaq 'aalam-e-piirii me.n hai zaruurlekin na dil se kiijiye sabr-o-qaraar duurshaayad KHizaa.n se shakl 'ayaa.n ho bahaar kiikuchh maslahat isii me.n ho parvardigaar kiiye jaa'l ye fareb ye saazish ye shor-o-sharhonaa jo hai sab us ke bahaane hai.n sar-ba-sarasbaab-e-zaahirii me.n na in par karo nazarkyaa jaane kyaa hai parda-e-qudrat me.n jalva-garKHaas us kii maslahat ko.ii pahchaantaa nahii.nmanzuur kyaa use hai ko.ii jaantaa nahii.nraahat ho yaa ki ranj KHushii ho ki intishaarvaajib har ek rang me.n hai shukr-e-kird-gaartum hii nahii.n ho kushta-e-naira.ng-e-rozgaarmaatam-kade me.n dahr ke laakho.n hai.n sogvaarsaKHtii sahii nahii.n ki uThaa.ii ka.Dii nahii.nduniyaa me.n kyaa kisii pe musiibat pa.Dii nahii.n
zulm ke hote amn kahaa.n mumkin yaaroise miTaa kar jag me.n amn bahaal karojiine kaa haq saamraaj ne chhiin liyaauTTho marne kaa haq istimaal karo
shiddat-e-faaqa se rote hu.e nanhe bachcheek roTii ke nivaale se bahal jaate hai.nyaa sar-e-shaam hii so jaate hai.n bhuuke pyaasemaa.n kii suukhii hu.ii chhaatii ko dabaa kar mu.nh me.n
faryaadii-e-jafaa-e-ayyaam ho rahaa huu.npaamaal-e-jaur-e-baKHt-e-naakaam ho rahaa huu.nsargashta-e-KHayaal-e-anjaam ho rahaa huu.nbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nbad-naam ho rahaa huu.nsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nsalmaa se dil lagaa kar salmaa se dil lagaa karus huur-vash ke Gam me.n duniyaa-o-dii.n ga.nvaa karhosh-o-havaas kho kar sabr-o-sukuu.n luTaa karbaiThe biThaa.e dil me.n Gam kii KHalish basaa karhar chiiz ko bhulaa karsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nkahtii hai.n sab ye kis kii ta.Dpaa ga.ii hai suuratsalmaa kii shaayad is ke man bhaa ga.ii hai suurataur us ke Gam me.n itnii murjhaa ga.ii hai suuratmurjhaa ga.ii hai suurat kumhlaa ga.ii hai suuratsa.nvlaa ga.ii hai suuratsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.npanghaT pe jab ki saarii hotii hai.n jam.a aa kargaagar ko apnii rakh kar, ghu.nghaT uThaa uThaa karye qissa chhe.Dtii hai.n mujh ko bataa bataa karsalmaa se baate.n karte dekhaa hai is ko jaa karham ne nazar bachaa karsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nraato.n ko giit gaane jab mil kar aatii hai.n sabtaalaab ke kinaare dhuume.n machaatii hai.n sabja.ngal kii chaa.ndnii me.n ma.ngal manaatii hai.n sabto mere aur salmaa ke giit gaatii hai.n sabaur ha.nstii jaatii hai.n sabsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nkheto.n se lauTtii hai.n jab din chhupe makaa.n kotab raaste me.n baaham vo merii daastaa.n kodohraa ke chhe.Dtii hai.n salmaa ko merii jaa.n koaur vo hayaa kii maarii sii letii hai zabaa.n koki chhe.De is bayaa.n kosalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nkahtii hai rahm khaa kar yuu.n ek maah-e-tal.atye shahrii naujavaa.n thaa kis darja KHuub-suurataa.nkho.n me.n bas rahii hai ab bhii vo pahlii ra.ngatdo din me.n aah kyaa hai kyaa ho ga.ii hai haalatallaah terii qudaratsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nus sham.a-ruu kaa jab se parvaana ban gayaa huu.nbastii kii la.Dkiyo.n me.n afsaana bin gayaa huu.nhar maah-vash ke lab kaa paimaana ban gayaa huu.ndiivaana ho rahaa huu.n diivaana ban gayaa huu.ndiivaana ban gayaa huu.nsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nun kii zabaa.n pe merii jitnii kahaaniyaa.n hai.nkyaa jaane.n ye ki dil kii sab mehrbaaniyaa.n hai.nkam-sin hai.n be-KHabar hai.n uThtii javaaniyaa.n hai.nkyaa samjhe.n Gam ke haatho.n kyuu.n sar-giraaniyaa.n hai.nkyuu.n KHuu.n-fishaaniyaa.n hai.nsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nhar ik ke rahm kaa yuu.n iz.haar ho rahaa haibechaare ko ye kaisaa aazaar ho rahaa haidekhe to ko.ii jaane biimaar ho rahaa haikis darja zindagii se bezaar ho rahaa hainaa-chaar ho rahaa haisalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nik puuchhtii hai aa kar tum be-qaraar kyuu.n hokuchh to hame.n bataa.o yuu.n dil-figaar kyuu.n hokyaa rog hai kaho to tum ashk-baar kyuu.n hodiivaane kyuu.n hu.e ho diivaana vaar kyuu.n hobaa-haal-e-zaar kyuu.n hosalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.njaa.uu.n shikaar ko gar baa-hamrahaan-e-sahraakheto.n se ghuurtii hai.n yuu.n duKHtaraan-e-sahraabijlii kii raushnii ko jaise miyaan-e-sahraataariik shab me.n dekhe.n kuchh aahuvaan-e-sahraahairat kushaan-e-sahraasalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nik shoKH chhe.Dtii hai is tarah paas aa kardekho vo jaa rahii hai salmaa nazar bachaa karsharmaa ke muskuraa kar aa.nchal se mu.nh chhupaa karjaa.o naa piichhe piichhe do baate.n kar lo jaa karkheto.n me.n chhup chhupaa karsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.ngoyaa hame.n hasad se kuchh naazniin nigaahe.nsalmaa kii bhaa ga.ii hai.n kyuu.n dil-nashii.n nigaahe.nun se zyaada dilkash hai.n ye hasii.n nigaahe.nal-qissa ek dil hai sau KHashmagii.n nigaahe.nshauq aafrii.n nigaahe.nsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nik shoKH taaza daarad sasuraal se ghar aa karsakhiyo.n se puuchhtii hai jis dam mujhe bataa karye kaun hai to zaalim kahtii hai.n muskuraa kartum is kaa haal puuchho salmaa ke dil se jaa karye giit use sunaa karsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.n
tum samajhtii ho ye gul-daan me.n ha.nste hu.e phuulmerii afsurdagi-e-dil ko miTaa hii de.ngeye hasii.n phuul ki hai.n jaan-e-gulistaan-e-bahaarmere so.e hu.e naGmo.n ko jagaa hii de.ngetum ne dekhii hai.n damaktii hu.ii sham.e.n lekintum ne dekhe nahii.n bujhte hu.e diipak hamdamvahii diipak jo nigaaho.n kaa sahaaraa paa karek lamhe ke liye jalte hai.n bujh jaate hai.nkabhii ik ashk se dhul jaate hai.n sadiyo.n ke Gubaarkaa.enaat aur nikhar aur sa.nvar jaatii haikabhii naakaam tamannaa kii sadaa-e-mub.hamqahqaha ban ke fazaa.o.n me.n bikhar jaatii haiTuuTte taaro.n ke sa.ngiit sune hai.n tum nevo bhii naGme hai.n jo ho.nTo.n se gurezaa.n hii rahepha.D.pha.Daate hu.e dekhe hai.n fazaa.o.n me.n kabhiivo fasaane jo nigaaho.n se bayaa.n ho na sakekabhii kaa.nTo.n se bahal jaatii hai ruuh-e-Gamgii.naur ma.asuum shaguufo.n kii rasiilii KHushbuuneshtar ban ke rag-e-jaa.n me.n utar jaatii haihaa.n yahii phuul yahii jaan-e-gulistaan-e-bahaarnaag ban kar kabhii ehsaas ko Das lete hai.n
tirii chaah me.n dekhaa ham ne ba-haal-e-KHaraab isepar ishq o vafaa ke yaad rahe aadaab isetiraa naam o maqaam jo puuchhaa, ha.ns kar Taal gayaa
qatl-gaah kii raunaqhasb-e-haal rakhnii haiGam bahaal rakhnaa haijaa.n sambhaal rakhnii haizor-e-baazuu-e-qaatilintihaa kaa rakhnaa haidashna tez rakhnaa haiaur balaa kaa rakhnaa haiaur kyaa mire qaatilintizaam baaqii haiko.ii baat honii haiko.ii kaam baaqii haivaqt par nazar rakhnaavaqt ek jaada haihaa.n bataa mire qaatilteraa kyaa iraada haivaqt kam rahaa baaqiiyaa abhii ziyaada haimai.n to qatl hone takmuskuraa.e jaa.u.ngaa
tuu chalaa jaa.egaavaqt aa.nsuu hii aa.nsuu me.n Dhal jaa.egaavaqt aaho.n me.n merii badal jaa.egaavaqt yaado.n se terii bahal jaa.egaajism laave kii suurat pighal jaa.egaazehn paare kii suurat phisal jaa.egaatuu chalaa jaa.egaaai mere ajnabii
judaa na ham se ho ai KHush-jamaal holii me.nki yaar phirte hai.n yaaro.n ke taal holii me.nhar ek aish se haigaa bahaal holii me.nbahaar aur kuchh ab ke hai saal holii me.nmazaa hai sair hai har suu kamaal holii me.n
mai.n huu.n jis kaa shaa.ervo insaan kahaa.n haisaarii duniyaa jise maantii rahii haivo bhagvaan kahaa.n haihasiin chehrephuul aur kaliyaa.njhuumtii shaaKHe.ndaraKHt aashiyaa.nhariyaaliinahre.n dariyaa saagaruu.nche uu.nche kohsaaro.n kii bulandiyaa.nnaachne vaalehazaar-haa ra.ngiin parindeshaam o sahar ko phuulne vaalii shafaqbarkhaa-rut kii sat-ra.ngii dhanaksuuraj chaa.nd sitaareraato.n ko jhilmilaatii kahkashaa.njin ke dekhe sebahal jaa.e.n dilsukh paa.e.n paraanab vo dil vo sukh un paraano.n kaanaam-o-nishaa.n kahaa.n haime.n huu.n jis kaa shaa.ervo insaan kahaa.n haisaarii duniyaa jise maantii rahii haivo bhagvaan kahaa.n haibe-hisaab sadiyo.n kii aa.nkhe.nek pal me.nan-ginat baar jhapaktii palke.nnazar na aane vaalii nazre.nchhaatii se bachcho.n ko lipTaa.e hu.e maataa.e.nkhanak-daar chuu.Diyo.n bharii kalaa.iyaa.njin par duudh pilaatii maataa.o.n kiijhukii hu.ii sharmiilii aa.nkhe.naa.nchalo.n me.n chhupe hu.e nanhe nanhe baalakchorii chorii maataa.o.n kaa chehra taake.n
be-zabaano.n ko muzhda hohaqiiqat kaa aslii tanaazur bahaal hone ko haitumhaare dushman fasiilo.n ke tasavvur me.n mahsuur hai.nsiyaah aa.iine kii ye maKHluuqjis kii manhuus parchhaa.ii.n nehar taraf shor machaa rakkhaa haiKHud hii apnaa madfan haimerii aaKHirii yalGaar se ho jaa.e.nge saare manaazirsaarii aavaaze.naazaadnaa-malfuuz....
baspal-do-pal kii baat haibe-sabab pareshaa.n hote hotumhe.n kis baat kaa Gam haikyuu.n udaas rahte hodekhoin nazaaro.n komast aabshaaro.n konadiyo.n aur pahaa.Do.n kosuurajchaa.ndsitaaro.n kogaliyo.n ko baazaaro.n koshaayad tum bahal jaa.osocho jab tum aa.e theis tarah ro rahe thejaise bachche ke haath se khilaunaa chhin gayaa hophir tum ne jo kuchh liyaa yahii.n se liyaajo kuchh bhii diyaa yahii.n pe diyaaphir kyuu.n udaas rahte hobas pal-do-pal kii baat haitum be-sabab pareshaa.n hote ho
apne apne hii KHol me.n ham tumkaise KHud ko chhupaa ke baiTh ga.eham ko apnii anaa kaa paas rahaaaur saare KHayaal bhuul ga.eKHvaab jo ham ne saath dekhe thesaare vo kaise taar taar hu.esaare va.ade vafaa ke TuuT ga.eaur armaan sab hii KHaak hu.edekhne me.n to mai.n shagufta huu.ntum bhii shaadaab sab ko lagte hoik haqiiqat magar mai.n jaantii huu.nye ba-zaahir nazar jo aataa haiaa.ina vo hamaare dil kaa nahii.nham to ik duusre kii furqat me.nzinda rahnaa muhaal kahte theaks vo bhii hamaarii zaat kaa thaaaks ye bhii hamaarii zaat kaa haihai udaasii to chaaro.n-samt magarzeb-tan kar ke KHol KHushiyo.n kaaham ko apnaa bharam bhii rakhnaa haichaahe Gam ke pahaa.D jitne gire.nbas anaa ko bahaal rakhnaa hai
us kii bholii aa.nkho.n me.naasmaa.n kii pariyo.n nekaajale.n lagaa.ii.n thii.nus ke dono.n gaalo.n parKHuld ke gulaabo.n nelaaliyaa.n bikherii.n thii.nus kii zulf kii chhaa.o.njaa.n-ba-lab parindo.n kiijaa.n bahaal kartii thiirang us ke ho.nTo.n kaamo'jize dikhaataa thaavo kalaam kartii thiidil laraztaa jaataa thaa
zindaa.n kii hado.n me.n kho ga.e hai.ndiivaane bahal ke so ga.e hai.n
mak.Dii ke jaale kaalii satre.n aur logek hii ghar me.n rahte hai.nlekin anjaan rahte hai.nek duusre ke naamo.n seis liye bahaal nahii.n ho paateun ke sifaaratii ta.alluqaatrakhii rah jaatii hai.n kono.n khudro.n me.nzehnii ham-aaha.ngii kii saarii file.naur logrubber-band kii tarah un parcha.Dh jaate hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books