aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "bajan"
KHaakistar-e-dil ko hai phir shola-ba-jaa.n honaahairat kaa jahaa.n honaa hasrat kaa nishaa.n honaaai shaKHs jo tuu aakar yuu.n dil me.n samaayaa haituu dard ki darmaa.n hai to dhuup ki saayaa hai?nainaa.n tire jaaduu hai.n gesuu tire KHushbuu hai.nbaate.n kisii jangal me.n bhaTkaa hu.aa aahuu hai.nmaqsuud-e-vafaa sun le kyaa saaf hai saada haijiine kii tamannaa hai marne kaa iraada hai
tuufaa.n ba-dil hai har ko.ii dildaar dekhnaagul ho na jaa.e mish.al-e-ruKHsaar dekhnaaaatish ba-jaa.n hai har ko.ii sarkaar dekhnaalau de uThe na turra-e-tarraar dekhnaajazb-e-musaafiraan-e-rah-e-yaar dekhnaasar dekhnaa, na sa.ng, na diivaar dekhnaakuu-e-jafaa me.n qaht-e-KHariidaar dekhnaaham aa ga.e to garmi-e-baazaar dekhnaaus dil-navaaz shahr ke atvaar dekhnaabe iltifaat bolnaa, bezaar dekhnaaKHaalii hai.n garche masnad o mimbar, niguu.n hai KHalqro.ab-e-qabaa o haibat-e-dastaar dekhnaajab tak nasiib thaa tiraa diidaar dekhnaajis samt dekhnaa, gul-o-gulzaar dekhnaaphir ham tamiiz-e-roz-o-mah-o-saal kar sake.nai yaad-e-yaar phir idhar ik baar dekhnaa
lucknow mere vatan mere chaman-zaar vatantere gahvaara-e-aaGosh me.n ai jaan-e-bahaarapnii duniyaa-e-hasii.n dafn kiye jaataa huu.ntuu ne jis dil ko dha.Dakne kii adaa baKHshii thiiaaj vo dil bhii yahii.n dafn kiye jaataa huu.ndafn hai dekh miraa ahd-e-bahaaraa.n tujh me.ndafn hai dekh mirii ruuh-e-gulistaa.n tujh me.nmerii gul-posh javaa.n-saal uma.ngo.n kaa suhaagmerii shaadaab tamannaa ke mahakte hu.e KHvaabmerii bedaar javaanii ke firozaa.n mah o saalmerii shaamo.n kii malaahat mirii sub.ho.n kaa jamaalmerii mahfil kaa fasaana mirii KHalvat kaa fusuu.nmerii diivaangii-e-shauq miraa naaz-e-junuu.nmere marne kaa saliiqa mire jiine kaa shu.uurmeraa naamuus-e-vafaa merii mohabbat kaa Guruurmerii nabzo.n kaa tarannum mire naGmo.n kii pukaarmere shero.n kii sajaavaT mire giito.n kaa si.ngaarlucknow apnaa jahaa.n sau.np chalaa huu.n tujh koapnaa har KHvaab-e-javaa.n sau.np chalaa huu.n tujh koapnaa sarmaaya-e-jaa.n sau.np chalaa huu.n tujh kolucknow mere vatan mere chaman-zaar vatanye mire pyaar kaa madfan hii nahii.n hai tanhaadafn hai.n is me.n mohabbat ke KHazaane kitneek unvaan me.n muzmar hai.n fasaane kitneik bahan apnii rifaaqat kii qasam khaa.e hu.eek maa.n mar ke bhii siine me.n liye maa.n kaa gudaazapne bachcho.n ke la.Dakpan ko kaleje se lagaa.eapne khilte hu.e ma.asuum shaguufo.n ke liyeband aa.nkho.n me.n bahaaro.n ke javaa.n KHvaab basaa.eye mire pyaar kaa madfan hii nahii.n hai tanhaaek saathii bhii tah-e-KHaak yahaa.n sotii haiarsa-e-dahr kii be-rahm kashaakash kaa shikaarjaan de kar bhii zamaane se na maane hu.e haarapne tevar me.n vahii azm-e-javaa.n-saal liyeye mire pyaar kaa madfan hii nahii.n hai tanhaadekh ik sham-e-sar-e-raah-guzar chaltii haijagmagaataa hai agar ko.ii nishaan-e-manzilzindagii aur bhii kuchh tez qadam chaltii hailucknow mere vatan mere chaman-zaar vatandekh is KHvaab-gah-e-naaz pe kal mauj-e-sabaale ke nau-roz-e-bahaaraa.n kii KHabar aa.egiisurKH phuulo.n kaa ba.De naaz se guu.ndhe hu.e haarkal isii KHaak pe gul-ra.ng sahar aa.egiikal isii KHaak ke zarro.n me.n samaa jaa.egaa ra.ngkal mire pyaar kii tasviir ubhar aa.egiiai mirii ruuh-e-chaman KHaak-e-lahad se teriiaaj bhii mujh ko tire pyaar kii buu aatii haizaKHm siine ke mahakte hai.n tirii KHushbuu sevo mahak hai ki mirii saa.ns ghuTii jaatii haimujh se kyaa baat banaa.egii zamaane kii jafaamaut KHud aa.nkh milaate hu.e sharmaatii haimai.n aur in aa.nkho.n se dekhuu.n tujhe paivand-e-zamii.nis qadar zulm nahii.n haa.e nahii.n haa.e nahii.nko.ii ai kaash bujhaa de mirii aa.nkho.n ke diyechhiin le mujh se ko.ii kaash nigaahe.n meriiai mirii sham-e-vafaa ai mirii manzil ke charaaGaaj taariik hu.ii jaatii hai.n raahe.n meriitujh ko ro.uu.n bhii to kyaa ro.uu.n ki in aa.nkho.n me.nashk patthar kii tarah jam se ga.e hai.n merezindagii arsa-gah-e-johd-e-musalsal hii sahiiek lamhe ko qadam tham se ga.e hai.n merephir bhii is arsa-gah-e-johd-e-musalsal se mujheko.ii aavaaz pe aavaaz diye jaataa haiaaj sotaa hii tujhe chho.D ke jaanaa hogaanaaz ye bhii Gam-e-dauraa.n kaa uThaanaa hogaazindagii dekh mujhe hukm-e-safar detii haiik dil-e-shola-ba-jaa.n saath liye jaataa huu.nhar qadam tuu ne kabhii azm-e-javaa.n baKHshaa thaa!mai.n vahii azm-e-javaa.n saath liye jaataa huu.nchuum kar aaj tirii KHaak-e-lahad ke zarrean-ginat phuul mohabbat ke cha.Dhaataa jaa.uu.njaane is samt kabhii meraa guzar ho ki na hoaaKHirii baar gale tujh ko lagaataa jaa.uu.nlucknow mere vatan mere chaman-zaar vatandekh is KHaak ko aa.nkho.n me.n basaa kar rakhnaais amaanat ko kaleje se lagaa kar rakhnaa
phir KHayaal aayaa ki jiinaa hai mujhejis tarah ek thakaa-maa.nda parindalaakh ho barf-ba-jaa.nlaakh ho aahista safarik bulandii pe to hotaa hai zaruurzer-e-parvaaz ko.ii gahraa samundar hai to kyaause uupar se guzar jaanaa hai
dhaar ke kashtiyo.n kaa ruup''dull'' pe ravaa.n hai zindagiichaar taraf fazaa.o.n me.nitr-fashaa.n hai zindagiibaad-e-dazaa.n hai zindagiishola-ba-jaa.n hai zindagiicharKH-e-taKHaiyyulaat parkaahkashaa.n hai zindagiichehra-ba-chehra ruu-ba-ruuhusn kaa ye nikhaar dekhai dil-e-be-qaraar dekh
zarro.n ke dahakte aivaa.n me.ndo sho.ala-ba-jaa.n larzaa.n saa.emasruuf-e-nazaa-e-baaham hai.nu.D u.D ke Gubaar-e-raah-e-adamaivaa.n ke band dariicho.n seTakraa ke bikharte jaate hai.nkohre me.n panaptii samto.n senaazaad havaa.o.n ke jho.nkenaadiida aahanii pardo.n parrah rah ke jhapaTte rahte hai.n
kahii.n aashiq kahii.n dilbar kahii.n suufii kahii.n rindaur kahii.n shaa.ir-e-ejaaz-bayaa.n hai.n ham log
kaisii taariik fazaa kaisaa bhayaanak manzarhar taraf chhaayaa hu.aa shahr-e-KHamoshaa.n kaa sukuutaur taa-hadd-e-nazar raat ke saa.npo.n ke ubharte hu.e sarhar taraf raqs me.n guzre hu.e lamhaat kii naazuk pariyaa.nazhdahaa vaqt kaa mu.nh khole hu.ehaal ke zahr se maazii ke parii-KHaane ko aaGosh-e-fanaa me.n detehar taraf chashm-e-sharar-baar se taKHayyul kii tajsiim ko jhulsaataa hu.aaapnii phunkaar se barso.n ke daraKHto.n ko niguu.n kartaa hu.aahar taraf ek fusuu.n kartaa hu.aajaane kis samt se aayaa hai kidhar jaa.egaaaur gum-gashta-e-manzil kiiek anjaan bhaTaktii hu.ii ruuhis a.ndhere me.n KHamoshii me.n saraasiima-KHiraammuztarib dast-ba-dil KHaak-basarjaane kis samt chalii jaatii haikaun haikaun bhaTaktii hu.ii ruuhkis taraf garm-e-safar naalaa-kunaa.n sho.ala-ba-jaa.nkis taraf kis ke ta.aaqub me.n chalii jaatii hai
reshmii malbuus me.nvo gul-ruKHo.n ke qaafileis rang-o-buu ke shiir me.nham ajnabii dil-soKHta yaado.n ke paiham silsilemehraab-e-dar se jhaa.nktaasaaqii kii chashm-e-mast kaaruk ruk ke chalnaa yaad haiduniyaa-e-buud-o-hast kaais daastaa.n ke baab me.nvo siim-tan sho.ala-ba-jaa.njin ke ruKH-e-taabinda seye gulsitaa.n raushan hu.aajin ke lahuu se harf bhiima.anii kaa pairaahan banaaaa.e hai.n ham bhii Dhuu.nDneun mah-vasho.n ke naqsh-e-paaaa.nkho.n me.n KHvaab-e-hijr seshiddat thii shauq-e-vasl me.nlahore se shiiraaz takchashm-e-zadan me.n kaT ga.esadiyo.n baraabar faasle
dil me.n tapish hai aatash-bajaa.n haisoz-e-daruu.n se sho'la-fishaa.n haijo haal-e-dil hai sab par 'ayaa.n haiaa.nsuu ravaa.n hai girya-kunaa.n haihichkii hai paiham rang-e-digar haibujhne ko shaayad sham'-e-sahar hai
an-ginat sadiyo.n ke taariik bahiimaana tilismresham o atlas o kamKHaab me.n bunvaa.e hu.ejaa-ba-jaa bikte hu.e kuucha-o-baazaar me.n jismKHaak me.n luTh.De hu.e KHuun me.n nahlaa.e hu.e
kyuu.n ziyaa.n-kaar banuu.n suud-faraamosh rahuu.nfikr-e-fardaa na karuu.n mahv-e-Gam-e-dosh rahuu.nnaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.njur.at-aamoz mirii taab-e-suKHan hai mujh koshikva allaah se KHaakam-ba-dahan hai mujh kohai bajaa sheva-e-tasliim me.n mash.huur hai.n hamqissa-e-dard sunaate hai.n ki majbuur hai.n hamsaaz KHaamosh hai.n fariyaad se maamuur hai.n hamnaala aataa hai agar lab pe to ma.azuur hai.n hamai KHudaa shikva-e-arbaab-e-vafaa bhii sun leKHuugar-e-hamd se tho.Daa saa gila bhii sun lethii to maujuud azal se hii tirii zaat-e-qadiimphuul thaa zeb-e-chaman par na pareshaa.n thii shamiimshart insaaf hai ai saahib-e-altaaf-e-amiimbuu-e-gul phailtii kis tarah jo hotii na nasiimham ko jam.iiyat-e-KHaatir ye pareshaanii thiivarna ummat tire mahbuub kii diivaanii thiiham se pahle thaa ajab tere jahaa.n kaa manzarkahii.n masjuud the patthar kahii.n ma.abuud shajarKHuugar-e-paikar-e-mahsuus thii insaa.n kii nazarmaantaa phir ko.ii an-dekhe KHudaa ko kyuu.nkartujh ko ma.aluum hai letaa thaa ko.ii naam tiraaquvvat-e-baazu-e-muslim ne kiyaa kaam tiraabas rahe the yahii.n saljuuq bhii tuuraanii bhiiahl-e-chii.n chiin me.n iiraan me.n saasaanii bhiiisii maamuure me.n aabaad the yuunaanii bhiiisii duniyaa me.n yahuudii bhii the nasraanii bhiipar tire naam pe talvaar uThaa.ii kis nebaat jo big.Dii hu.ii thii vo banaa.ii kis nethe hamii.n ek tire maarka-aaraa.o.n me.nKHushkiyo.n me.n kabhii la.Dte kabhii dariyaa.o.n me.ndii.n azaane.n kabhii europe ke kaliisaa.o.n me.nkabhii africa ke tapte hu.e sahraa.o.n me.nshaan aa.nkho.n me.n na jachtii thii jahaa.n-daaro.n kiikalma pa.Dhte the hamii.n chhaa.nv me.n talvaaro.n kiiham jo jiite the to jango.n kii musiibat ke liyeaur marte the tire naam kii azmat ke liyethii na kuchh teGzanii apnii hukuumat ke liyesar-ba-kaf phirte the kyaa dahr me.n daulat ke liyeqaum apnii jo zar-o-maal-e-jahaa.n par martiibut-faroshii ke evaz but-shikanii kyuu.n kartiiTal na sakte the agar jang me.n a.D jaate thepaa.nv shero.n ke bhii maidaa.n se ukha.D jaate thetujh se sarkash hu.aa ko.ii to biga.D jaate theteG kyaa chiiz hai ham top se la.D jaate thenaqsh-e-tauhiid kaa har dil pe biThaayaa ham nezer-e-KHanjar bhii ye paiGaam sunaayaa ham netuu hii kah de ki ukhaa.Daa dar-e-KHaibar kis neshahr qaisar kaa jo thaa us ko kiyaa sar kis neto.De maKHluuq KHudaa-vando.n ke paikar kis nekaaT kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis nekis ne ThanDaa kiyaa aatish-kada-e-iiraa.n kokis ne phir zinda kiyaa tazkira-e-yazdaa.n kokaun sii qaum faqat terii talabgaar hu.iiaur tere liye zahmat-kash-e-paikaar hu.iikis kii shamshiir jahaa.ngiir jahaa.n-daar hu.iikis kii takbiir se duniyaa tirii bedaar hu.iikis kii haibat se sanam sahme hu.e rahte themu.nh ke bal gir ke huu-allahu-ahad kahte theaa gayaa ain la.Daa.ii me.n agar vaqt-e-namaazqibla-ruu ho ke zamii.n-bos hu.ii qaum-e-hijaazek hii saf me.n kha.De ho ga.e mahmuud o ayaazna ko.ii banda rahaa aur na ko.ii banda-navaazbanda o saahab o mohtaaj o Ganii ek hu.eterii sarkaar me.n pahu.nche to sabhii ek hu.emahfil-e-kaun-o-makaa.n me.n sahar o shaam phiremai-e-tauhiid ko le kar sifat-e-jaam phirekoh me.n dasht me.n le kar tiraa paiGaam phireaur ma.aluum hai tujh ko kabhii naakaam phiredasht to dasht hai.n dariyaa bhii na chho.De ham nebahr-e-zulmaat me.n dau.Daa diye gho.De ham nesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa ham nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa ham netere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa ham netere qur.aan ko siino.n se lagaayaa ham nephir bhii ham se ye gila hai ki vafaadaar nahii.nham vafaadaar nahii.n tuu bhii to dildaar nahii.nummate.n aur bhii hai.n un me.n gunahgaar bhii hai.nijz vaale bhii hai.n mast-e-mai-e-pindaar bhii hai.nun me.n kaahil bhii hai.n Gaafil bhii hai.n hushyaar bhii hai.nsaik.Do.n hai.n ki tire naam se be-zaar bhii hai.nrahmate.n hai.n tirii aGyaar ke kaashaano.n parbarq girtii hai to bechaare musalmaano.n parbut sanam-KHaano.n me.n kahte hai.n musalmaan ga.ehai KHushii un ko ki ka.abe ke nigahbaan ga.emanzil-e-dahr se uu.nTo.n ke hudii-KHvaan ga.eapnii baGlo.n me.n dabaa.e hu.e qur.aan ga.eKHanda-zan kufr hai ehsaas tujhe hai ki nahii.napnii tauhiid kaa kuchh paas tujhe hai ki nahii.nye shikaayat nahii.n hai.n un ke KHazaane maamuurnahii.n mahfil me.n jinhe.n baat bhii karne kaa shu.uurqahr to ye hai ki kaafir ko mile.n huur o qusuuraur bechaare musalmaa.n ko faqat vaada-e-huurab vo altaaf nahii.n ham pe inaayaat nahii.nbaat ye kyaa hai ki pahlii sii mudaaraat nahii.nkyuu.n musalmaano.n me.n hai daulat-e-duniyaa naayaabterii qudrat to hai vo jis kii na had hai na hisaabtuu jo chaahe to uThe siina-e-sahraa se habaabrah-rav-e-dasht ho sailii-zada-e-mauj-e-saraabtaan-e-aGyaar hai rusvaa.ii hai naadaarii haikyaa tire naam pe marne kaa evaz KHvaarii haibanii aGyaar kii ab chaahne vaalii duniyaarah ga.ii apne liye ek KHayaalii duniyaaham to ruKHsat hu.e auro.n ne sa.nbhaalii duniyaaphir na kahnaa hu.ii tauhiid se KHaalii duniyaaham to jiite hai.n ki duniyaa me.n tiraa naam rahekahii.n mumkin hai ki saaqii na rahe jaam raheterii mahfil bhii ga.ii chaahne vaale bhii ga.eshab kii aahe.n bhii ga.ii.n sub.h ke naale bhii ga.edil tujhe de bhii ga.e apnaa sila le bhii ga.eaa ke baiThe bhii na the aur nikaale bhii ga.eaa.e ushshaaq ga.e vaada-e-fardaa le karab unhe.n Dhuu.nD charaaG-e-ruKH-e-zebaa le kardard-e-lailaa bhii vahii qais kaa pahluu bhii vahiinajd ke dasht o jabal me.n ram-e-aahuu bhii vahiiishq kaa dil bhii vahii husn kaa jaaduu bhii vahiiummat-e-ahmad-e-mursil bhii vahii tuu bhii vahiiphir ye aazurdagi-e-Gair sabab kyaa ma.aniiapne shaidaa.o.n pe ye chashm-e-Gazab kyaa ma.aniitujh ko chho.Daa ki rasuul-e-arabii ko chho.Daabut-garii pesha kiyaa but-shikanii ko chho.Daaishq ko ishq kii aashufta-sarii ko chho.Daarasm-e-salmaan o uvais-e-qaranii ko chho.Daaaag takbiir kii siino.n me.n dabii rakhte hai.nzindagii misl-e-bilaal-e-habashii rakhte hai.nishq kii KHair vo pahlii sii adaa bhii na sahiijaada-paimaali-e-tasliim-o-razaa bhii na sahiimuztarib dil sifat-e-qibla-numaa bhii na sahiiaur paabandi-e-aa.iin-e-vafaa bhii na sahiikabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii haibaat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii haisar-e-faaraa.n pe kiyaa diin ko kaamil tuu neik ishaare me.n hazaaro.n ke liye dil tuu neaatish-andoz kiyaa ishq kaa haasil tuu nephuu.nk dii garmi-e-ruKHsaar se mahfil tuu neaaj kyuu.n siine hamaare sharer-aabaad nahii.nham vahii soKHta-saamaa.n hai.n tujhe yaad nahii.nvaadii-e-najd me.n vo shor-e-salaasil na rahaaqais diivaana-e-nazzaara-e-mahmil na rahaahausle vo na rahe ham na rahe dil na rahaaghar ye uj.Daa hai ki tuu raunaq-e-mahfil na rahaaai KHushaa aa.n roz ki aa.ii o ba-sad naaz aa.iibe-hijaabaana suu-e-mahfil-e-maa baaz aa.iibaada-kash Gair hai.n gulshan me.n lab-e-juu baiThesunte hai.n jaam-ba-kaf naGma-e-kuu-kuu baiThedaur ha.ngaama-e-gulzaar se yaksuu baiThetere diivaane bhii hai.n muntazir-e-huu baiTheapne parvaano.n ko phir zauq-e-KHud-afrozii debarq-e-deriina ko farmaan-e-jigar-sozii deqaum-e-aavaara inaa.n-taab hai phir suu-e-hijaazle u.Daa bulbul-e-be-par ko mazaaq-e-parvaazmuztarib-e-baaG ke har Gunche me.n hai buu-e-niyaaztuu zaraa chhe.D to de tishna-e-mizraab hai saaznaGme betaab hai.n taaro.n se nikalne ke liyetuur muztar hai usii aag me.n jalne ke liyemushkile.n ummat-e-marhuum kii aasaa.n kar demor-e-be-maaya ko ham-dosh-e-sulaimaa.n kar dejins-e-naayaab-e-mohabbat ko phir arzaa.n kar dehind ke dair-nashiino.n ko musalmaa.n kar dejuu-e-KHuu.n mii chakad az hasrat-e-dairiina-e-maamii tapad naala ba-nishtar kada-e-siina-e-maabuu-e-gul le ga.ii bairuun-e-chaman raaz-e-chamankyaa qayaamat hai ki KHud phuul hai.n Gammaaz-e-chamanahd-e-gul KHatm hu.aa TuuT gayaa saaz-e-chamanu.D ga.e Daaliyo.n se zamzama-pardaaz-e-chamanek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab takus ke siine me.n hai naGmo.n kaa talaatum ab takqumriyaa.n shaaKH-e-sanobar se gurezaa.n bhii hu.ii.npattiyaa.n phuul kii jha.D jha.D ke pareshaa.n bhii hu.ii.nvo puraanii raushe.n baaG kii viiraa.n bhii hu.ii.nDaaliyaa.n pairahan-e-barg se uryaa.n bhii hu.ii.nqaid-e-mausam se tabii.at rahii aazaad us kiikaash gulshan me.n samajhtaa ko.ii fariyaad us kiilutf marne me.n hai baaqii na maza jiine me.nkuchh maza hai to yahii KHuun-e-jigar piine me.nkitne betaab hai.n jauhar mire aa.iine me.nkis qadar jalve ta.Dapte hai.n mire siine me.nis gulistaa.n me.n magar dekhne vaale hii nahii.ndaaG jo siine me.n rakhte ho.n vo laale hii nahii.nchaak is bulbul-e-tanhaa kii navaa se dil ho.njaagne vaale isii baa.ng-e-daraa se dil ho.nya.anii phir zinda na.e ahd-e-vafaa se dil ho.nphir isii baada-e-dairiina ke pyaase dil ho.najamii KHum hai to kyaa mai to hijaazii hai miriinaGma hindii hai to kyaa lai to hijaazii hai mirii
kabhii kabhii mire dil me.n KHayaal aataa haiki zindagii tirii zulfo.n kii narm chhaa.nv me.nguzarne paatii to shaadaab ho bhii saktii thiiye tiirgii jo mirii ziist kaa muqaddar haitirii nazar kii shu.aa.o.n me.n kho bhii saktii thiiajab na thaa ki mai.n begaana-e-alam ho kartire jamaal kii ra.anaa.iyo.n me.n kho rahtaatiraa gudaaz-badan terii niim-baaz aa.nkhe.ninhii hasiin fasaano.n me.n mahv ho rahtaapukaartii.n mujhe jab talKHiyaa.n zamaane kiitire labo.n se halaavat ke ghuu.nT pii letaahayaat chiiKHtii phirtii barahna sar aur mai.nghanerii zulfo.n ke saa.e me.n chhup ke jii letaamagar ye ho na sakaa aur ab ye aalam haiki tuu nahii.n tiraa Gam terii justujuu bhii nahii.nguzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaiseise kisii ke sahaare kii aarzuu bhii nahii.nzamaane bhar ke dukho.n ko lagaa chukaa huu.n galeguzar rahaa huu.n kuchh an-jaanii rahguzaaro.n semuhiib saa.e mirii samt ba.Dhte aate hai.nhayaat o maut ke pur-haul KHaarzaaro.n sena ko.ii jaada-e-manzil na raushnii kaa suraaGbhaTak rahii hai KHalaa.o.n me.n zindagii meriiinhii KHalaa.o.n me.n rah jaa.uu.ngaa kabhii kho karmai.n jaantaa huu.n mirii ham-nafas magar yuu.nhiikabhii kabhii mire dil me.n KHayaal aataa hai
zindagii se Darte ho!zindagii to tum bhii ho zindagii to ham bhii hai.n!zindagii se Darte ho?aadmii se Darte ho?aadmii to tum bhii ho aadmii to ham bhii hai.naadmii zabaa.n bhii hai aadmii bayaa.n bhii haius se tum nahii.n Darte!harf aur ma.anii ke rishta-haa-e-aahan se aadmii hai vaabastaaadmii ke daaman se zindagii hai vaabastaus se tum nahii.n Darte''an-kahii'' se Darte hojo abhii nahii.n aa.ii us gha.Dii se Darte hous gha.Dii kii aamad kii aagahii se Darte ho
ye daaG daaG ujaalaa ye shab-gaziida saharvo intizaar thaa jis kaa ye vo sahar to nahii.nye vo sahar to nahii.n jis kii aarzuu le karchale the yaar ki mil jaa.egii kahii.n na kahii.nfalak ke dasht me.n taaro.n kii aaKHirii manzilkahii.n to hogaa shab-e-sust-mauj kaa saahilkahii.n to jaa ke rukegaa safiina-e-Gam diljavaa.n lahuu kii pur-asraar shaah-raaho.n sechale jo yaar to daaman pe kitne haath pa.Dedayaar-e-husn kii be-sabr KHvaab-gaaho.n sepukaartii rahii.n baahe.n badan bulaate rahebahut aziiz thii lekin ruKH-e-sahar kii laganbahut qarii.n thaa hasiinan-e-nuur kaa daamansubuk subuk thii tamannaa dabii dabii thii thakan
sitaare jo damakte hai.nkisii kii chashm-e-hairaa.n me.nmulaaqaate.n jo hotii hai.njamaal-e-abr-o-baaraa.n me.nye naa-aabaad vaqto.n me.ndil-e-naashaad me.n hogiimohabbat ab nahii.n hogiiye kuchh din baa'd me.n hogiiguzar jaa.e.nge jab ye dinye un kii yaad me.n hogii
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rabkyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa hoshorish se bhaagtaa huu.n dil Dhuu.nDtaa hai meraaaisaa sukuut jis par taqriir bhii fidaa homartaa huu.n KHaamushii par ye aarzuu hai meriidaaman me.n koh ke ik chhoTaa saa jho.npa.Daa hoaazaad fikr se huu.n uzlat me.n din guzaaruu.nduniyaa ke Gam kaa dil se kaa.nTaa nikal gayaa holazzat sarod kii ho chi.Diyo.n ke chahchaho.n me.nchashme kii shorisho.n me.n baajaa saa baj rahaa hogul kii kalii chaTak kar paiGaam de kisii kaasaaGar zaraa saa goyaa mujh ko jahaa.n-numaa hoho haath kaa sirhaanaa sabze kaa ho bichhaunaasharmaa.e jis se jalvat KHalvat me.n vo adaa homaanuus is qadar ho suurat se merii bulbulnanhe se dil me.n us ke khaTkaa na kuchh miraa hosaf baa.ndhe dono.n jaanib buuTe hare hare ho.nnaddii kaa saaf paanii tasviir le rahaa hoho dil-fareb aisaa kohsaar kaa nazaarapaanii bhii mauj ban kar uTh uTh ke dekhtaa hoaaGosh me.n zamii.n kii soyaa hu.aa ho sabzaphir phir ke jhaa.Diyo.n me.n paanii chamak rahaa hopaanii ko chhuu rahii ho jhuk jhuk ke gul kii Tahniijaise hasiin ko.ii aa.iina dekhtaa homeh.ndii lagaa.e suuraj jab shaam kii dulhan kosurKHii liye sunahrii har phuul kii qabaa horaato.n ko chalne vaale rah jaa.e.n thak ke jis damummiid un kii meraa TuuTaa hu.aa diyaa hobijlii chamak ke un ko kuTiyaa mirii dikhaa dejab aasmaa.n pe har suu baadal ghiraa hu.aa hopichhle pahr kii koyal vo sub.h kii mo.azzinmai.n us kaa ham-navaa huu.n vo merii ham-navaa hokaano.n pe ho na mere dair o haram kaa ehsaa.nrauzan hii jho.npa.Dii kaa mujh ko sahar-numaa hophuulo.n ko aa.e jis dam shabnam vazuu karaaneronaa miraa vazuu ho naala mirii du.aa hois KHaamushii me.n jaa.e.n itne buland naaletaaro.n ke qaafile ko merii sadaa diraa hohar dardmand dil ko ronaa miraa rulaa debehosh jo pa.De hai.n shaayad unhe.n jagaa de
uTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheqalb-e-maahaul me.n larzaa.n sharar-e-ja.ng hai.n aajhausle vaqt ke aur ziist ke yak-ra.ng hai.n aajaabgiino.n me.n tapaa.n valvala-e-sa.ng hai.n aajhusn aur ishq ham-aavaaz o ham-aaha.ng hai.n aajjis me.n jaltaa huu.n usii aag me.n jalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetere qadmo.n me.n hai firdaus-e-tamaddun kii bahaarterii nazro.n pe hai tahziib o taraqqii kaa madaarterii aaGosh hai gahvaara-e-nafs-o-kirdaartaa-ba-kai gird tire vahm o ta.ayyun kaa hisaarkau.nd kar majlis-e-KHalvat se nikalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetuu ki be-jaan khilauno.n se bahal jaatii haitaptii saa.nso.n kii haraarat se pighal jaatii haipaa.nv jis raah me.n rakhtii hai phisal jaatii haiban ke siimaab har ik zarf me.n Dhal jaatii haiziist ke aahanii saa.nche me.n bhii Dhalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhezindagii jehd me.n hai sabr ke qaabuu me.n nahii.nnabz-e-hastii kaa lahuu kaa.npte aa.nsuu me.n nahii.nu.Dne khulne me.n hai nik.hat KHam-e-gesuu me.n nahii.njannat ik aur hai jo mard ke pahluu me.n nahii.nus kii aazaad ravish par bhii machalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhegoshe goshe me.n sulagtii hai chitaa tere liyefarz kaa bhes badaltii hai qazaa tere liyeqahr hai terii har ik narm adaa tere liyezahr hii zahr hai duniyaa kii havaa tere liyerut badal Daal agar phuulnaa phalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheqadr ab tak tirii taariiKH ne jaanii hii nahii.ntujh me.n sho.ale bhii hai.n bas ashk-fishaanii hii nahii.ntuu haqiiqat bhii hai dilchasp kahaanii hii nahii.nterii hastii bhii hai ik chiiz javaanii hii nahii.napnii taariiKH kaa unvaan badalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheto.D kar rasm kaa but band-e-qadaamat se nikalzof-e-ishrat se nikal vahm-e-nazaakat se nikalnafs ke khii.nche hu.e halqa-e-azmat se nikalqaid ban jaa.e mohabbat to mohabbat se nikalraah kaa KHaar hii kyaa gul bhii kuchalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheto.D ye azm-shikan daGdaGa-e-pand bhii to.Dterii KHaatir hai jo zanjiir vo saugand bhii to.Dtauq ye bhii hai zamurrad kaa guluu-band bhii to.Dto.D paimaana-e-mardaan-e-KHirad-mand bhii to.Dban ke tuufaan chhalaknaa hai ubalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetuu falaatuun o arastuu hai tuu zahraa parvii.ntere qabze me.n hai garduu.n tirii Thokar me.n zamii.nhaa.n uThaa jald uThaa paa-e-muqaddar se jabii.nmai.n bhii rukne kaa nahii.n vaqt bhii rukne kaa nahii.nla.Dkha.Daa.egii kahaa.n tak ki sambhalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhe
aa.ankho.n ko ye kyaa aazaar hu.aa har jazb-e-nihaa.n par ro denaaaaha.ng-e-tarab par jhuk jaanaa aavaaz-e-fuGaa.n par ro denaabarbat kii sadaa par ro denaa mutrib ke bayaa.n par ro denaa
vo barq lahar bujhaa dii ga.ii hai jis kii tapishvajuud-e-KHaak me.n aatish-fishaa.n jagaatii thiibichhaa diyaa gayaa baaruud us ke paanii me.nvo juu-e-aab jo merii galii ko aatii thiisabhii duriida-dahan ab badan-dariida hu.esupurd-e-daar-o-rasan saare sar-kashiida hu.e
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books