aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "bhai.nse.n"
ek thaa raaja mehdii alii KHaa.n ek thii us kii raaniiraanii kii ik maa.n thii ya.anii bachcha log kii naaniikarnaa KHudaa kaa aisaa hu.aa ik roz ko.ii ham-saayaraaja ke darbaar me.n ik chhoTii sii chuhiyaa laayaadekhaa jab us chuhiyaa ko hairaan hu.e darbaariipiitii thii vo coca-cola khaatii thii tarkaariia.ngrezii me.n baate.n kar ke filmii gaane gaatiirang bira.nge Dance dikhaa kar sab kaa jii bahlaatiiparde se ye manzar dekhaa jab raanii kii maa.n nesochaa ham-saa.e se le le chuhiyaa kisii bahaanebu.Dhiyaa ne sar piiTaa apnaa KHuub kiyaa vaavailaao.Dh liyaa phir vo dopaTTa rang thaa jis kaa mailaakahne lagii chillaa chillaa kar raaja terii duhaa.iiye hai meraa chor ki is ne merii bhai.ns churaa.iichhiin lo is se bhai.nse.n merii aur mu.nh par maaro chaa.nTaadekho dekho suukh ke merii bhai.nse.n hu.ii hai kaa.nTaaraaja meh.ndii alii KHaa.n jo the raajaa.o.n ke raajakaam na kuchh bhii karte aaTho.n-pahar bajaate baajaagaraj ke bole o marduud bataa kyuu.n bhai.ns churaa.iiham ne to us bhai.ns ke aage barso.n biin bajaa.iiraaja kii ye baat sunii to kahne lagaa ham-saayaajiye vo saas ki chuhiyaa ko bhii jis ne bhai.ns banaayaaraaj hai teraa is nagrii me.n KHuub sazaa de mujh koaql ba.Dii yaa bhai.ns bas itnii baat bataa de mujh ko
ab duudh na de.ngii bhai.nse.n gaa.e.nuf uf karne lage.ngii maa.e.nbachche mam mam chiiKHe.ngeaur uu.nghne vaale nikhTuu shauhar''aql-e-mujassam'' chiiKHe.ngesab darham-barham chiiKHe.ngeab KHuub ha.nsegaa diivaana
khulii fazaa me.n saaf havaa ke jaisaa vobaarish ke paanii ke jaisaa vogahraa thaa miTTii se rishta pairo.n kaaus rishte ke biich na aa.ii chappal bhiigha.Dii na baa.ndhii kabhii kalaa.ii par us nesuuraj-taare vaqt use batlaate theapne bal par apnii dhun me.n rahtaa thaanahii.n kisii se gaa.nv me.n vo Dartaa thaanaam kii KHvaahish thii na use pahchaan kii thiibas apne kaamo.n se matlab rakhtaa thaavo daana thaa vo miTTii thaavo paudaa thaa vo mausam thaavo sachchaa KHaalis insaan thaajaise aadam aur havvaa thevo tanhaa thaaek ba.De se ghar me.n tanhaa rahtaa thaabhai.nse.n us ke saath thii.nus kii baat samajhtii thii.nvo bhii un kii hii bhaashaa me.n un se baate.n kartaa thaaghar par aksar lagaa ke taalaa yuu.nhii saakhaliyaano.n me.n rahne vaalaa baap miraakheto.n kheto.n basne vaalaa baap miraaaam kii chhaa.nv me.n sone vaalaa baap miraaab miTTii me.n sotaa haiaam ke pe.D kii KHushk ja.Do.n me.n rotaa hai
bhai.nse.n goyaa duudh kii kaane.n kaar-aamad hai.n gho.De baillamha bhar ko bhii aayaa kab bechaaro.n ke dil me.n mailkuttaa apnii khetii baa.Dii aur ghar kaa darbaan hu.aa haijaanvaro.n kaa mulko.n mulko.n rozaana gun-gaan hu.aa hai
ik anokhii niraalii duniyaa me.nyuu.n samajh lo KHayaalii duniyaa me.napnii duniyaa se bhii bahut pahlelo kahaanii suno ki dil bahlenaachte the sitaare chham chham chhamaur bhai.nse.n thiraktii thii.n baahamgaa.e.n burqe me.n mu.nh chhupaatii thii.nbachh.Do.n ko o.Dhnii u.Dhaatii thii.nbarf ke jab pahaa.D galte theuu.nT chesTer pahan ke chalte thekyaa zamaana thaa kyaa kahuu.n saathiipaa.ejaama pahante the haathiimachhliyaa.n sa.Dko.n par Tahaltii thii.npark kii ghaa.ns par machaltii thii.npahne rahtaa thaa har qulii kamKHaabshaahzaade uThaate the asbaabbaaz GauGaa.iyo.n se Darte theaur kabuutar shikaar karte thebillii chuuhe se KHauf khaatii thiikutte ko us kii dum hilaatii thiisher kaa dil dha.Daktaa thaa dhak dhaksaare jangal kaa raajaa thaa me.nDakbakriyaa.n par lagaa ke u.Dtii thii.ndum havaa me.n uThaa ke u.Dtii thii.nbail ke sii.ng ho ga.e the gumnazar aataa thaa har gadhaa be-dummurGiyo.n ke the maKHmalii gaddejin pe detii thii.n baiTh kar anDeshahd kii sii kuuniin me.n thii miThaasdukh ko kahte the sukh to aas ko yaaschi.Diyaa.n rozaana duudh detii thii.nkashtiyaa.n maa.njhiyo.n ko khetii thii.nreshmii saafa baa.ndh kar gho.Deshaan se masnado.n pe baiThe thebachche islaah karte copy pardau.Daa karte the race me.n teacher
shafaq phuulii gayaa din ho ga.ii shaamkare.nge kaam karne vaale aaraamabhii pachchhim me.n chhup jaa.egaa suurajnahii.n shab bhar nazar aa.egaa suurajchale aate hai.n ghar ko raaj-mazduurki din bhar kaam karte ho ga.e chuurmulaazim daftaro.n se aa rahe hai.nmiThaa.ii aur saudaa laa rahe hai.nmusaafir ne kamar manzil pe kholiibhikaarii aa ga.e phailaa.e jholiiparinde u.D chale hai.n gho.nslo.n koqataare.n kaisii baa.ndhii hai.n vo dekhovo gaa.e.n bhai.nse.n char kar aa rahii hai.nye ab apne gharo.n ko jaa rahii hai.nhavaa ke jho.nke maddham ho ga.e hai.ndaraKHt aaraam se ab so ga.e hai.nkaro ab pyaare bachcho tum bhii aaraamshafaq phuulii gayaa din ho ga.ii shaam
mai.nsaal-haa-saal seek chhoTii siiposhiida aarzuu kaa amiin huu.nmeraa ek muKHtasar saa KHuubsuurat lak.Dii kaa makaanaa.ngan me.ndaana chugtii hu.ii murGiyaa.nkuchh paaltuu jaanvargaa.e.n bhai.nse.n bakriyaa.naurchaaro.n-samt sabz rang me.n lipTe hu.e khet hii khetmiiThe paanii se labrezgahre ku.n.e.naurunhii.n kheto.n ke darmiyaan se ho karguzartii hu.ii ek kahkashaa.n jaisii pagDanDiisar-niguu.n daraKHto.n keaadaab qubuul kartii hu.iilekinnahii.n kuchh bhii nahii.nmai.n to abhii takis chhoTii sii poshiida aarzuu kaa amiin huu.n
chhe yaa saat puraane ghar aapas me.n mil kar baiThe theik TuuTe-phuuTe chhak.De me.n ik do kutte uu.ngh rahe thepiipal ke ik pe.D ke niiche kuchh bhai.nse.n KHaamosh kha.Dii thii.ndo chiile.n suukhe kheto.n par par phailaa.e tair rahii thii.ndhuul u.Daa.e jaataa thaa rasta kachchaacar ke piichhe bhaag rahaa thaa ik bachcha
Tuk hirs-o-havaa ko chho.D miyaa.n mat des bides phire maaraaqazzaaq ajal kaa luuTe hai din raat bajaa kar naqqaaraakyaa badhiyaa bhai.nsaa bail shutur kyaa gaune.n pallaa sar-bhaaraakyaa gehuu.n chaa.nval moTh maTar kyaa aag dhu.aa.n aur a.ngaaraasab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
ai dil ai banda-e-vatan hoshiyaarKHvaab-e-Gaflat se ho zaraa bedaaro sharaab-e-KHudii ke matvaaleghar kii chaukhaT ke chuumne vaalenaam hai kyaa isii kaa hubb-e-vatanjis kii tujh ko lagii hu.ii hai lagankabhii bachcho.n kaa dhyaan aataa haikabhii yaaro.n kaa Gam sataataa haiyaad aataa hai apnaa shahr kabhiilau kabhii ahl-e-shahr kii hai lagiinaqsh hai.n dil pe kuucha-o-baazaarphirte aa.nkho.n me.n hai.n dar-o-diivaarkyaa vatan kyaa yahii mohabbat haiye bhii ulfat me.n ko.ii ulfat haiis me.n insaa.n se kam nahii.n hai.n darindis se KHaalii nahii.n chairnd o parindTuk.De hote hai.n sang Gurbat me.nsuukh jaate hai.n ruukh furqat me.njaa ke kaabul me.n aam kaa paudaakabhii parvaan cha.Dh nahii.n saktaaaa ke kaabul se yaa.n bihii-o-anaarho nahii.n sakte baarvar zinhaarmachhlii jab chhuuTtii hai paanii sehaath dhotii hai zindagaanii seaag se jab hu.aa samundar duurus ko jiine kaa phir nahii.n maqduurgho.De jab khet se bichha.Dte hai.njaan ke laale un ke pa.Dte hai.ngaa.e, bhai.ns uu.nT ho yaa bakriiapne apne Thikaane KHush hai.n sabhiikahiye hubb-e-vatan isii ko agarham se haivaa.n nahii.n hai.n kuchh kam-tarhai ko.ii apnii qaum kaa hamdardnau-e-insaa.n kaa samjhe.n jis ko fardjis pe itlaaq-e-aadmii ho sahiihjis ko haivaa.n pe de sake.n tarjiihqaum par ko.ii zad na dekh sakeqaum kaa haal-e-bad na dekh sakeqaum se jaan tak aziiz na hoqaum se ba.Dh ke ko.ii chiiz na hosamjhe un kii KHushii ko raahat-e-jaa.nvaa.n jo nau-roz ho to iid ho yaa.nra.nj ko un ke samjhe maaya-e-Gamvaa.n agar sog ho to yaa.n maatambhuul jaa.e sab apnii qadr-e-jaliildekh kar bhaa.iyo.n ko KHvaar-o-zaliiljab pa.De un pe gardish-e-aflaakapnii aasaa.isho.n pe Daal de KHaak
kis zabaa.n se kah rahe ho aaj tum saudaagarodahr me.n insaaniyat ke naam ko uu.nchaa karojis ko sab kahte hai.n hitler bhe.Diyaa hai bhe.Diyaabhe.Diye ko maar do golii pa.e-amn-o-baqaabaaG-e-insaanii me.n chalne hii pe hai baad-e-KHizaa.naadamiyyat le rahii hai hichkiyo.n par hichkiyaa.nhaath hai hitler kaa raKHsh-e-KHud-sarii kii baag parteG kaa paanii chhi.Dak do germany kii aag parsaKHt hairaa.n huu.n ki mahfil me.n tumhaarii aur ye zikrnau-e-insaanii ke mustaqbil kii ab karte ho fikrjab yahaa.n aa.e the tum saudaagarii ke vaastenau-e-insaanii ke mustaqbil se kiyaa vaaqif na thehindiyo.n ke jism me.n kyaa ruuh-e-aazaadii na thiisach bataa.o kyaa vo insaano.n kii aabaadii na thiiapne zulm-e-be-nihaayat kaa fasaana yaad haicompany kaa phir vo daur-e-mujrimaana yaad hailuuTte phirte the jab tum kaarvaa.n-dar-kaarvaa.nsar-barahna phir rahii thii daulat-e-hindostaa.ndast-kaaro.n ke a.nguuThe kaaTte phirte the tumsard laasho.n se ga.Dho.n ko paaTte phirte the tumsan.at-e-hindostaa.n par maut thii chhaa.ii hu.iimaut bhii kaisii tumhaare haat kii laa.ii hu.iiallaah allaah kis qadar insaaf ke taalib ho aajmiir-ja.afar kii qasam kyaa dushman-e-haq thaa 'siraaj'kyaa avadh kii begamo.n kaa bhii sataanaa yaad haiyaad hai jhaa.nsii kii raanii kaa zamaana yaad haihijrat-e-sultaan-e-dehlii kaa samaa.n bhii yaad haisher-dil 'Tiipuu' kii KHuunii.n daastaa.n bhii yaad haitiisare faaqe me.n ik girte hu.e ko thaamnekas ke tum laa.e the sar shaah-e-zafar ke saamneyaad to hogii vo maTiyaa-burj kii bhii daastaa.nab bhii jis kii KHaak se uThtaa hai rah rah kar dhu.aa.ntum ne qaisar-e-baaG ko dekhaa to hogaa baarhaaaaj bhii aatii hai jis se haa.e 'aKHtar' kii sadaasach kaho kyaa haafize me.n hai vo zulm-e-be-panaahaaj tak ragoon me.n ik qabr hai jis kii gavaahzehn me.n hogaa ye taaza hindiyo.n kaa daaG bhiiyaad to hogaa tumhe.n jallianwala-bagh bhiipuuchh lo is se tumhaaraa naam kyuu.n taabinda hai'dyer'-e-gurg-e-dahan-aaluud ab bhii zinda haivo 'bhagat-singh' ab bhii jis ke Gam me.n dil naashaad haius kii gardan me.n jo Daalaa thaa vo phandaa yaad haiahl-e-aazaadii rahaa karte the kis hanjaar sepuuchh lo ye qaid-KHaano.n ke dar-o-diivaar seab bhii hai mahfuuz jis par tantana sarkaar kaaaaj bhii guu.njii hu.ii hai jin me.n ko.Do.n kii sadaaaaj kashtii amn ke amvaaj par khete ho kyuu.nsaKHt hairaa.n huu.n ki ab tum dars-e-haq dete ho kyuu.nahl-e-quvvat daam-e-haq me.n to kabhii aate nahii.n''bankii'' aKHlaaq ko KHatre me.n bhii laate nahii.nlekin aaj aKHlaaq kii talqiin farmaate ho tumho na ho apne me.n ab quvvat nahii.n paate ho tumahl-e-haq raushan-nazar hai.n ahl-e-baatin kor hai.nye to hai.n aqvaal un qaumo.n ke jo kamzor hai.naaj shaayad manzil-e-quvvat me.n tum rahte nahii.njis kii laaThii us kii bhai.ns ab kis liye kahte nahii.nkyaa kahaa insaaf hai insaa.n kaa farz-e-avvalii.nkyaa fasaad-o-zulm kaa ab tum me.n kas baaqii nahii.nder se baiThe ho naKHl-e-raastii kii chhaa.nv me.nkyaa KHudaa-naa-karda kuchh moch aa ga.ii hai paa.nv me.nguu.nj Taapo.n kii na aabaadii na viiraane me.n haiKHair to hai asp-e-taazii kyaa shifaa-KHaane me.n haiaaj kal to har nazar me.n rahm kaa andaaz haikuchh tabii.at kyaa nasiib-e-dushmanaa.n naa-saaz haisaa.ns kyaa ukh.Dii ki haq ke naam par marne lagenau-e-insaa.n kii havaa-KHvaahii kaa dam bharne lagezulm bhuule raagnii insaaf kii gaane lagelag ga.ii hai aag kyaa ghar me.n ki chillaane lagemujrmo.n ke vaaste zebaa nahii.n ye shor-o-shainkal 'yaziid' o 'shimr' the aur aaj bante ho 'husain'KHair ai saudaagaro ab hai to bas is baat me.nvaqt ke farmaan ke aage jhukaa do gardane.nik kahaanii vaqt likkhegaa na.e mazmuun kiijis kii surKHii ko zaruurat hai tumhaare KHuun kiivaqt kaa farmaan apnaa ruKH badal saktaa nahii.nmaut Tal saktii hai ab farmaan Tal saktaa nahii.n
garmii kii tapish bujhaane vaaliisardii kaa payaam laane vaaliiqudrat ke ajaa.ibaat kii kaa.naarif ke liye kitaab-e-irfaa.nvo shaaKH-o-daraKHt kii javaaniivo mor-o-malaKH kii zindagaaniivo saare baras kii jaan barsaatvo kaun-e-KHudaa kii shaan barsaataa.ii hai bahut du.aa.o.n ke ba.advo saik.Do.n iltijaa.o.n ke ba.advo aa.ii to aa.ii jaan me.n jaa.nsab the ko.ii din ke varna mehmaa.ngarmii se ta.Dap rahe the jaan-daaraur dhuup me.n tap rahe the kohsaarbhuubal se sivaa thaa reg-e-sahraaaur khaul rahaa thaa aab-e-dariyaasaa.nDe the bilo.n me.n mu.nh chhupaa.eaur haa.np rahe the chaarpaa.ethii.n loma.Diyaa.n zabaa.n nikaaleaur luu se hiran hu.e the kaalechiito.n ko na thii shikaar kii sudhhirno.n ko na thii qataar kii sudhthe sher pa.De kachhaar me.n sustgha.Diyaal the ruud-baar me.n sustDhoro.n kaa hu.aa thaa haal patlaabailo.n ne diyaa thaa Daal kandhaabhai.nso.n ke lahuu na thaa badan me.naur duudh na thaa ga.uu ke than me.ngho.Do.n kaa chhuTaa thaa ghaas daanathaa pyaas kaa un pe taaziyaanagarmii kaa lagaa hu.aa thaa bhabkaaaur ans nikal rahaa thaa sab kaatuufaan the aa.ndhiyo.n ke barpaauThtaa thaa baguule par baguulaaaare the badan pe luu ke chaltesho.ale the zamiin se nikaltethii aag kaa de rahii havaa kaamthaa aag kaa naam muft bad-naamrasto.n me.n savaar aur paidalsab dhuup ke haath se the bekalgho.Do.n ke na aage uThte the paa.nvmiltii thii kahii.n jo ruukh kii chhaa.nvthii sab kii nigaah suu-e-aflaakpaanii kii jagah barastii thii KHaak
kaano.n kii ik nagrii dekhii jis me.n saare kaane dekheek taraf se ahmaq saare ek taraf se siyaane thekaano.n kii is nagrii ke sab riit rivaaj alaahada therog alaahada bastii me.n the aur ilaaj alaahada thedo do kaane mil kar puuraa sapnaa dekhaa karte thega.ngaa ke sa.ngam se kaane jamunaa dekhaa karte thechaa.ndnii raat me.n chhatrii le kar baahar jaayaa karte theos gire to kahte hai.n vaa.n sar phaT jaayaa karte thedariyaa pul par chaltaa thaa paanii me.n raile.n chaltii thii.nla.nguuro.n kii dum par a.nguuro.n kii bele.n paktii thii.nchhuut kii ik biimaarii phailii ek dafa un kaano.n me.nbhuuk ke kii.De sunte hai.n nikle gandum ke daano.n me.nroz ka.ii kaane bechaare marte the biimaarii me.nkahte hai.n raajaa sotaa thaa sone kii almaarii me.nghanTii baa.ndh ke chuuhe jab billii se dau.D lagaate thepeT pe dono.n haath bajaa kar sab qavvaalii gaate thetab kaanii bhai.ns ne phuul phulaa kar chhe.Daa biin kaa baajaaaur kaalaa chashma pahan ke singhaasan par aayaa raajaadukh se chashme kii dono.n hii aa.nKHe.n paanii paanii thii.ndekhaa us kaane raajaa kii dono.n aa.nKHe.n kaanii thii.njhuuTaa hai jo andho.n me.n kaanaa raajaa hai kahtaa haijaa kar dekho kaanii nagrii andhaa raajaa rahtaa hai
pahle aisaa hotaa thaabhaa.nt bhaa.nt ke bandarshahr kii fasiilo.n parmahfile.n jamaate theghar me.n kuud aate thehaath me.n se bachcho.n keroTii noch jaate theab to vo madaarii bhiiKHaalii haath aataa haibhiik maa.ng kar ghar gharghar ko lauT jaataa haiab gharo.n me.n chi.Diyo.n kaashor kyuu.n nahii.n hotaaraat ko ko.ii ulluupe.D par nahii.n rotaape.D par nahii.n rotaala.Dte la.Dte chi.Diyaa.n kyuu.nfarsh par nahii.n girtii.nbilliyaa.n chhato.n par kyuu.nghuumtii nahii.n phirtii.nab na ko.ii bulbul haiaur na ko.ii mainaa haiab na ko.ii tiitar haiaur na ko.ii totaa haikis se puuchhne jaa.e.nmor kaisaa hotaa haiToliyaa.n kabuutar kiikho ga.ii.n fazaa.o.n me.ntitliyo.n ke ra.ngii.n parbah ga.e havaa.o.n me.nmu.nh-a.ndhere ab murGaabaa.ng kyuu.n nahii.n detaaghar me.n ko.ii bakrii kaanaam kyuu.n nahii.n letaakyaa hu.e daraKHto.n pargho.nsle parindo.n keko.ii bhii nahii.n kahtaaqisse ab darindo.n kenanhe nanhe chuuzo.n parchiil kaa jhapaTnaa abdekhne kahaa.n jaa.e.nraaste me.n saa.nDo.n kaapahro.n la.Dte rahnaa abdekhne kahaa.n jaa.e.nchhipkilii kii jiitii dumab thiraktii kyaa paa.e.nra.ng badalte girgiT komaarte kahaa.n jaa.e.ngaa.e bhai.ns kaa reva.Dab idhar nahii.n aataauu.nT Te.Dhaa-me.Dhaa saaab nazar nahii.n aataaab na gho.De haathii hai.naur na vo baraatii hai.nab galii me.n kutto.n kaabhau.nknaa nahii.n hotaaraat chhat pe sote hai.nbhuut dekh kar ko.iichau.nknaa nahii.n hotaaab jidhar bhii jaate hai.naadmii ko paate hai.n
bargad ke niiche baiTho yaa suulii cha.Dh jaa.obhai.nse la.Dne se baaz nahii.n aa.e.ngemaut se ham ne ek ta.aavun kar rakkhaa haisa.Dko.n par se har lamha ik mayyat jaatii haipas-manzar me.n kyaa hotaa hai nazar kahaa.n jaatii haisaamne jo kuchh hai ra.ngo.n aavaazo.n chehro.n kaa melaa hai!
saalgirah KHargosh manaa.eja.ngal ke sab saathii aa.ebhii.D lagii hai mehmaano.n kiikuchh apno.n kuchh begaano.n kiisher dahaa.De.n maartaa aa.ehaathii bhii chi.nghaa.Dtaa aa.ekuttaa bhau.n bhau.n kartaa aayaasaa.nbhar chauk.Dii bhartaa aayaagaay jab rambhaatii aa.iibakrii kuchh sharmaatii aa.iinaachtaa gaataa aayaa bhaaluuDoltaa aayaa menDhaa kaaluugho.Daa sarpaT dau.Daa aayaabhai.nso.n kaa ik jo.Daa aayaahirnii aa.ii lom.Dii aa.iibillii apne bachche laa.iisaath me.n sab hii laa.e tohfesab KHargosh ne paa.e tohfephuulo.n kaa guldasta le karchii.n chii.n kartaa aayaa bandarcake banaa ke laayaa chiitaaus ne dil KHargosh kaa jiitaacake kaTaa to saare KHush thecake baTaa to saare KHush theik duuje se gale mile sabbhuul ke shikve aur gile sabbandar naache bhaaluu gaa.ekaaluu me.nDhaa Dhol bajaa.esaalgirah kaa jashn bapaa haija.ngal jangal shor hu.aa hai
ye aadmii la.Daa.ii ko vietnam me.n gayaavo korea gayaa kabhii aasaam me.n gayaavo telaviv o qaahira o shaam me.n gayaaye aadmii hii muttahid-aqvaam me.n gayaaphir aadmii ko amn sikhaataa hai aadmiibhai.nso.n ke aage biin bajaataa hai aadmii
ek la.Dkii baghaartii hai daaldaal kartii hai arz yuu.n ahvaalek din thaa harii-bharii thii mai.nsaarii aafaat se barii thii mai.nthaa haraa khet meraa gahvaaravo vatan thaa mujhe bahut pyaaraapaanii pii pii ke thii mai.n lahraatiidhuup letii kabhii havaa khaatiime.nh barastaa thaa jho.nke aate thegodiyo.n me.n mujhe khilaate theyahii suuraj zamii.n the maa.n baavaamujh se karte the nek bartaavaajab kiyaa mujh ko paal-pos ba.Daaaah zaalim kisaan aan pa.Daaga.ii taqdiir yak-ba-yak jo palaTkhet kaa khet kar diyaa talpaTKHuub luuTaa dha.Dii dha.Dii kar kemujh ko gauno.n me.n le ga.e bhar keho ga.ii dam ke dam me.n barbaadiichhin ga.ii haa.e merii aazaadii!kyaa bataa.uu.n kahaa.n kahaa.n khii.nchaadaal-manDii me.n mujh ko jaa bechaaek zaalim se vaa.n pa.Daa paalaajis ne chakkii me.n mujh ko dal Daalaahu.aa taqdiir kaa likhaa puuraadono.n paaTo.n ne kar diyaa chuuraana sunii merii aah aur zaariiKHuub baniye ne kii KHariidaariichhaanaa chhalnii me.n chhaaj me.n phaTkaaqaid-KHaana miraa banaa maTkaaphir muqaddar mujhe yahaa.n laayaatum ne to aur bhii Gazab Dhaayaakhaal khii.nchii alag kiye chhilkezaKHm kyuu.n-kar hare na ho.n dil keDaalii.n marche.n namak lagaayaa KHuubrakh ke chuulhe pe jii jalaayaa KHuubus pe kaf-giir ke bhii Thoke hai.naur naaKHun ke bhii kachoke hai.nmere galne kii le rahii ho KHabardaa.nt hai aap kaa mire uupargarm ghii kar ke mujh ko daaG diyaahaa.e tum ne bhii kuchh na rahm kiyaahaath dho kar pa.Dii ho piichhe tumjaan par aa banii havaas hai.n gumachchhii bii-bii tumhii.n karo insaafzulm hai yaa nahii.n qusuur-mu.aafkahaa la.Dkii ne merii pyaarii daalmujh ko ma.aluum hai tiraa sab haaltuu agar khet se nahii.n aatiiKHaak me.n mil ke KHaak ho jaatiiyaa ko.ii gaa.e bhai.ns char letiipeT me.n apne tujh ko bhar letiimai.n to rutba tiraa ba.Dhaatii huu.nab chapaatii se tujh ko khaatii huu.nna sataanaa na jii jalaanaa thaayuu.n tujhe aadmii banaanaa thaaaglii biitii kaa tuu na kar kuchh Gammehrbaanii thii sab, na thaa ye sitam
gahrii nii.nd se sone vaalovaqt ko apne khone vaaloraat kaTii kuchh tum ko KHabar haichau.nko chau.nko vaqt-e-sahar haichaa.nd kii rangat ho ga.ii mailiidekho chamak suuraj kii phailiichalte hai.n jho.nke sard havaa kejhuum rahe hai.n phuul itraa kekoyale.n kuuke.n kuu kuu kuu kuuyaahuu bole yaahuu yaahuunii.nd se chau.nke.n pankh pakheruubol rahe hai.n shaaKHo.n pe har suubhuule hu.e hai.n is dam sab dhunlaal pukaare summun bukmunkhil ga.ii.n kaliyaa.n baaG kii saariichaar taraf hai.n nahre.n jaariigo ki abhii tak kuchh hai a.ndheraachi.Diyaa.n lene aa.ii.n baseraagaa.e.n duub ko charne aa.ii.nbhai.nso.n ne apnii shakle.n dikhaa.ii.nruk gayaa is dam bahtaa dariyaaduur talak shaffaaf hai sahraauTTho uTTho ahmad uTThomu.nh ko dho kar kap.De pahan losair karo maidaa.n kii nikal karphuul ko dekho baaG me.n chal karvaqt ko khonaa zulm hai pyaaresun ye nasiihat dost hamaare
june kii garmii ka.Daktii dhuup luu chaltii hu.iihar gha.Dii mazduur ke sar se qazaa Taltii hu.iisar pe gaare kii ka.Dhaa.ii aur diivaar-e-bulandhaa.nptaa vo cha.Dh rahaa hai le ke himmat kii kamandpaa.D par pahu.nchaa to ik gaalii sunii me.amaar sejii me.n aayaa sar ko Takraa de usii diivaar sehaa.e us mazluum kii majbuuriyaa.n naa-chaariyaa.njaan kaa aazaar hai.n iflaas kii biimaariyaa.ndil me.n kahtaa hai ki ye me.amaar bhii mazduur haiphir yahii jaan-e-hazii.n kyuu.n is qadar maqhuur haius kii ujrat mujh se dugunii hai magar kam hai shu.uurtamkanat kis baat par kis chiiz par itnaa Guruurmai.n agar naadaar huu.n ye bhii nahii.n sarmaaya-daarbhuut vo hai kis ba.Daa.ii kaa jo us par hai savaarii.nT gaaraa mai.n na duu.n us ko to ye kis kaam kaaasl me.n me.amaar mai.n huu.n ye faqat hai naam kaamerii himmat kah rahii.n hai.n kaaKH-e-diivaan-e-bulandaah is par bhii mai.n duniyaa me.n huu.n itnaa mustamandlag gayaa phir kaam me.n ye soch kar vo bad-nasiibai KHudaa duniyaa me.n itnaa bhii na ho ko.ii Gariibdin Dhalaa jis vaqt maalik bhii makaa.n kaa aa gayaaik sukuut-e-marg saa diivaar-o-dar par chhaa gayaakaa.nptaa rahtaa hai har mazduur jis ke naam sesab usii dhun me.n the vo KHush ho hamaare kaam seus kii peshaanii pe lekin bal zaraa aane lagephan uThaa kar tamkanat ke saa.np lahraane lagesab se pahle us ne gaalii dii usii me.amaar koapnii milkiyyat jo samjhaa thaa har ik diivaar kojosh-e-naKHvat se kahaa us ne ki ai paajii la.ii.nkal jahaa.n tak thii ga.ii diivaar ab bhii hai vahii.nkyaa kiyaa hai tuu ne din-bhar me.n zaraa mujh ko bataayuu.n takabbur me.n vo aa kar jaa.eza lene lagaadil me.n vo mazduur phir kahne lagaa uf re Gazabjo bhii is duniyaa me.n hai.n fir.aun hai.n vo sab ke sabjis kaa jis par bas chale paamaal kartaa hai useKHud agar KHush-haal hai bad-haal kartaa hai usekyaa kahuu.n sarmaaya-daaro.n ke sitam kii daastaa.ndiida-e-mazduur hai mazduur se bhii KHuu.nfishaa.njis kii laaThii us kii bhai.ns is misl ko saadiq samajhye samajh kar is KHudaa-e-paak ko raaziq samajh
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books