aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "daa.em"
mire ho.nTo.n pe us ke aaKHirii bose kii lazzat sabt haivo us kaa aaKHirii bosajo mustaqbil ke har ik KHauf se aazaadik raushan sitaaraa thaaguzartii raat ke na.nge badan par til kii suurat qaa.em-o-daa.emhamesha jaagne vaalaa sitaaraamai.n jise is aag barsaate hu.e suuraj ke aagejagmagaataa dekh saktaa huu.n
TuuTe hu.e dilo.n ko jo.De rafuugarii sejo.De tamaam girhe.n jazbo.n kii saadgii serah jaa.e.n dost ban kar aa.e.n jo ajnabii sedaa.em mohabbato.n ke aab-e-ravaa.n kaa jaaduu
umr sirf mohlat haiishq lamha-e-daa.eme'tibaar baaqii haimeraa Gam salaamat haiteraa husn hai qaa.emintizaar baaqii hai
miraa sar tum apne hii zaanuu pe rakh karmujhe puuchhtii ho!ki me.n kaun huu.nkyaa huu.n, kaise huu.n?saare savaalo.n ko muTThii me.n rakh karzaraa merii ik baat san losuno! ye tumhaare badan kaa KHumaar-aashnaa kaif... narm o musalsalmujhe lazzato.n ke umuq me.n liye jaa rahaa haimai.n pal pal kabhiilahza lahza kabhiidhiire dhiire kabhiilamha lamha kabhiiek dariyaa ke phailaav me.n Duubtaa jaa rahaa huu.nsharaabor tuufaan me.n tund lahro.n kii suuratnashiile samayek aaha.ng ke saath hachkole khaataa hu.aamai.n kisii soch kii rau me.n bahtaa chalaa jaa rahaa huu.nmiraa dil, mirii jaa.n:dono.n hii mausuum hai.n, us tamavvuj sejo merii nas nas me.n paiham machaltaa hu.aaKHuun ke zer-o-bam kii kahaanii sunaataa hu.aabah rahaa haiki jis ke har ek lams kiilazzato.n, zaa.iqo.n me.ntumhaaraa ko.ii KHvaab haijaise mahtaab haitum to mere badan kaa ko.ii paara-e-KHaak hotum ko.ii Gair ho?merii ham-zaad!ham kashtii-e-ziist ke baadbaa.n kii tanaabe.n hai.n doek tum, ek mai.njin kaa mohtaaj hai baadbaan-e-nafasye zamii.n, ye zamaa.nmere hii ahd kii daastaa.nham se aabaad daa.em bisaat-e-jahaa.napne aa.ngan kii phuulo.n-bharii kiyaariyaa.n
nayaa saal tum ko mubaarak ho bachchosadaa KHush raho tum phalo aur phuuloKHudaa kii inaayat rahe tum pe daa.emhamesha raho siidhe raste pe qaa.emtaraqqii karo ilm me.n aur hunar me.nbulandii ho paidaa tumhaarii nazar me.nGariibo.n kii imdaad karte raho tumdam un kii mohabbat kaa bharte raho tumraho tum hamesha qavii aur tavaanaazamaana pukaare tumhe.n kah ke daanaajo big.De bhii ho.n kaam un ko sambhaalokabhii aaj kaa kaam kal par na Taalobano nek nekii tumhaaraa chalan hobhalaa.ii kii dhun me.n hamesha magan horaho sukh se daa.em na dukh paas aa.eKHudaa tum ko biimaariyo.n se bachaa.edu.aa hai ye 'nayyar' kii tum naam paa.oaur is saal me.n kuchh na kuchh kar dikhaa.o
barso.n baa'd bar-nok-e-zabaan rahtaa hai ko.ii sherphir ek dinus ke jaane pahchaane hazaar martaba dohraa.e hu.e alfaaz ke andarkhul jaataa hai ma.aanii kaa ek nayaa darvaazaaur rah jaate hai.n ham hakka-bakkaajis mafhuum par sar dhunte aa.e the kal tak kitnaa sat.hii kitnaa adhuuraa thaa voshukr karte hai.n ki nahii.n puuchh liyaa kisii ne ham se is sher kaa matlabsatya-naas kar Daalte achchhe bhale sher kaa in na.e ma.aanii ke baGair hamyahii kuchh hotaa hai zindagii me.n pesh aane vaalevaaqi.aat o haadsaat ke saath bhiijo kuchh biit gayaa aur biit rahaa hai ham parder tak raaz hii nahii.n khultaa us kii ahmiyat kaabe-maqsad ho rahaa hai ye sab kuchhyaa is kaa hamaare mustaqbil aur muqaddar se bhii ta'alluq hai kuchhphir parda saa haTtaa hai aur ho jaate hai.n ham Garq-e-hairatkitnaa mahduud thaa hamaaraa naqd-e-ilmaur kin muGaalito.n me.n pa.De hu.e the hammujhe to KHuugar saa banaa diyaa hai roz-marra kii is hairaanii o pareshaanii nena.e se nayaa sadma sahne ko tayyaar rahtaa huu.n sub.h o shaamapnii jahaalat ke inkishaaf parone-day cricket to shauq se dekhte hai.n aap bhiiyuu.n samajhiye ki mashq thaa guzishta kal kaa match aaj ke match kiimashq hai aaj kaa match aane vaale kal ke liyeaur kal jo match hogaa apnii jagah vo final hii kyuu.n na homashq hogaa parso.n ke match kiihaDDiyaa.n gal ga.ii.n itnii saada sii baat samajhte samajhteki har din tuluu hotaa hai apne saath ek nayaa savaal ek nayaa challenge le karaur mutaaliba kartaa hai ham se ek na.e javaab ek na.e tarz-e-amal kaana to zindagii hii jaamid hai na zindagii kaa KHaaliq KHudaazindagii bahte dariyaa kii tarah badaltii rahtii hai har lahza qaa.em-o-daa.em rahte hu.eaur nit-na.ii taKHliiq me.n masruuf KHudaa bhii nahii.n hotaa kabhii pahle vaalaa KHudaajab zindagii aur us ke KHaaliq hii kii kaayaa kalp hotii rahtii hai yuu.nto ash.aar ho.n yaa vaaqi.aat o haadsaat badal jaataa hai hir shai kaa mafhuumbha.ii, badal jaate hai.n ham KHud badal jaatii hai hamaarii nazar hamaaraa ehsaasbadal jaatii hai.n vo mohabbate.njin ke azlii o abadii hone kii qasme.n khaayaa karte the hambadal jaatii hai.n be-badal dostiyaa.nvo KHvaahishe.n badal jaatii hai.n jinho.n neek umr paagal banaa.e rakhaa hotaa hai hame.naur to aur badal jaate hai.n diin aur iimaanraaste hii nahii.n badal jaatii hai.n manzile.nsun rahe hai.n aapbhar to nahii.n paa.e aap bhii?kidhar chal diye aap?badal to nahii.n ga.e aap bhii?
ye pyaarii urdu ki jis kaa nahii.n hai ko.ii badalhasiin aisii hai jaise jamaal-e-taaj-mahalhar ek des-nivaasii ne paa.ii ye miiraasvo raam ho ki karam singh ho yaa ki miir-Giyaashai masjido.n me.n muqaddas pavitra mandir me.nhar ik galii me.n chalan aur guzar hai har ghar me.nvo jo ki bolte hai.n bhaa.nt bhaa.nt kii boliito suniye un se bhii urdu jam.a ho jab Toliikahii.n bhii jaa.iye urdu zaruur paa.e.ngesamajhne bolne vaale to mil hii jaa.e.ngeadab me.n sher me.n uu.nchaa maqaam hai is kaasamaaj ke sabhii shobo.n me.n naam hai is kaazavaal is ko kabhii aa.e Gair mumkin haidilo.n se mahv ye ho jaa.e Gair mumkin haihai is ke nuur se raushan samaaj kii duniyaaisii ke dam se hai aabaad raaj kii duniyaarahegaa qaa.em-o-daa.em mudaam duniyaa me.nchalegaa sikka-e-urdu tamaam duniyaa me.njo zinda rahne ko aa.e vo kaise ho barbaad'asad' lagaa.o ye na.ara ki urdu zindabaad
hamaare dil me.n tumhaarii KHaatirmohabbate.n thii.n azal se zinda abad se qaa.emtumhaaraa haatho.n me.n haath le kar vo chuum lenaa sabt karnaa vo lab mulaa.emtumhaare 'ishq kii hii maanindtumhaaraa dukh bhii hamaare dil par rahaa thaa daa.emaah yak-dam be-ruKHii sevo haath chho.De tumhaaraa jaanaaaur rasto.n me.n dhuul ban kar miraa bikharnaatumhe.n bulaanaavo dhuul honaa vo dhuul u.Daanaavo tapte sahraa kii ret par yuu.npaTaKH ke sar ko maluul honaavo rote rote sadaa lagaanaa tumhe.n bataanaaki ab talak be-amaan rasto.npe sard raato.n kii dhund me.n lipTiiik sisaktii sii yaad le kartumhaare vaa'do.n ke aasare parvo saare vaa'de jo jhuuT niklemujhe abhii tak gumaan kyo.n hai ki sach the shaayad kabhii bataa.o vo jhuuT the naa.nvahii.n kha.Dii hai 'ka.nval' tumhaariijahaa.n se tum ne badal ke rastapalaT ke ik baar bhii na dekhaajahaa.n sulagtii sii ret par mai.ndhuup aa.nchal ko sar pe o.Dhejuly kii jhulsaatii luu me.nKHushk suukhe hu.e labo.n parkarbalaa sii vo pyaas le kar mai.n tiin din se vahii.n kha.Dii thiiye puuchhne ko ki us shaam aisaa kyaa hu.aa thaa KHilaaf-e-vaa’da jo tum na aa.etumhe.n pataa thaa KHabar thii tum kotumhe.n gavaaraa nahii.n thaa lekinki paas aate mujhe bataate ki aise jaane kaa kyaa sabab thaa binaa bataa.elaal rang kaa pahan ke jo.Daalagaa ke meh.ndii sajaa ke KHud komai.n kitne ghanTo.n se muntazir thii magar vo garmii kii shaam haa.eKHilaaf-e-vaa’da jo tum na aa.eki mai.n to us shaam hii mar ga.ii thiikabhii to aate mujhe bataate ki kyo.n ga.e hofaqat ye kahte ki mu'aaf kar doko.ii bhii sikka vafaa kaa chaahe hamaare kaase me.n tum na bharte faqat bataate ki un darindo.n ke biich mujh sii vo narm-o-naazuk akelii la.Dkii ki jo parindo.n ke pha.Dpha.Daane se KHauf khaatii jo uu.nchii aavaazo.n se Dar kar saham sii jaatiijo jaantii hii nahii.n thii duniyaa tumhaare jaise bhe.Diyo.n se bharii hu.ii haito aaj sun lohamaare dil me.n tumhaarii KHaatirmohabbato.n kaa vo baab jo thaa azal se zinda abad se qaa.emtamaam nafrat me.n Dhal chukaa haijahaa.n khile the gulaab saarevo baaG chaahat kaa jal chukaa haivo raah taktii 'ka.nval' kii aa.nkhe.n bhii bujh chukii hai.naur us kaa dil bhii badal chukaa haiab us ke dil me.n tumhaarii KHaatirtamaam nafrat tamaam nafrat tamaam nafrataur nafrat ke 'alaava to kuchh nahii.n hainahii.n hai kuchh bhiiuse bataanaause jalaanaa use rulaanaanahii.n nahii.n ye nahii.n hai mumkin haa.n phir bhii lekinvo aa.nkhe.n miiche malaal ho kar'ajiib Gam se niDhaal ho karto mat bataanaa ki nazm kaa 'unvaan kyaa thaajhuuTii nafrat
jin ke phere the kha.nDar me.n in havaa.o.n ne kahaavaqt kii raftaar kaa anjaam viiraanii hai kyo.nis pe bolii gard hai.n is mas.ale ke ruKH ka.iiik yahii pahluu bhalaa vaj.h-e-pareshaanii hai kyo.nmere baare me.n bhii socho vaqt Thahre yaa chaleqaa.em-o-daa.em hamesha merii yaksaanii hai kyo.n
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
chashm-e-nam jaan-e-shoriida kaafii nahii.ntohmat-e-ishq-e-poshiida kaafii nahii.naaj baazaar me.n paa-ba-jaulaa.n chalodast-afshaa.n chalo mast o raqsaa.n chaloKHaak-bar-sar chalo KHuu.n-ba-daamaa.n chaloraah taktaa hai sab shahr-e-jaanaa.n chalohaakim-e-shahr bhii majma-e-aam bhiitiir-e-ilzaam bhii sang-e-dushnaam bhiisub.h-e-naashaad bhii roz-e-naakaam bhiiun kaa dam-saaz apne sivaa kaun haishahr-e-jaanaa.n me.n ab baa-safaa kaun haidast-e-qaatil ke shaayaa.n rahaa kaun hai
raaste me.n ruk ke dam le luu.n mirii aadat nahii.nlauT kar vaapas chalaa jaa.uu.n mirii fitrat nahii.naur ko.ii ham-navaa mil jaa.e ye qismat nahii.nai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rabkyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa hoshorish se bhaagtaa huu.n dil Dhuu.nDtaa hai meraaaisaa sukuut jis par taqriir bhii fidaa homartaa huu.n KHaamushii par ye aarzuu hai meriidaaman me.n koh ke ik chhoTaa saa jho.npa.Daa hoaazaad fikr se huu.n uzlat me.n din guzaaruu.nduniyaa ke Gam kaa dil se kaa.nTaa nikal gayaa holazzat sarod kii ho chi.Diyo.n ke chahchaho.n me.nchashme kii shorisho.n me.n baajaa saa baj rahaa hogul kii kalii chaTak kar paiGaam de kisii kaasaaGar zaraa saa goyaa mujh ko jahaa.n-numaa hoho haath kaa sirhaanaa sabze kaa ho bichhaunaasharmaa.e jis se jalvat KHalvat me.n vo adaa homaanuus is qadar ho suurat se merii bulbulnanhe se dil me.n us ke khaTkaa na kuchh miraa hosaf baa.ndhe dono.n jaanib buuTe hare hare ho.nnaddii kaa saaf paanii tasviir le rahaa hoho dil-fareb aisaa kohsaar kaa nazaarapaanii bhii mauj ban kar uTh uTh ke dekhtaa hoaaGosh me.n zamii.n kii soyaa hu.aa ho sabzaphir phir ke jhaa.Diyo.n me.n paanii chamak rahaa hopaanii ko chhuu rahii ho jhuk jhuk ke gul kii Tahniijaise hasiin ko.ii aa.iina dekhtaa homeh.ndii lagaa.e suuraj jab shaam kii dulhan kosurKHii liye sunahrii har phuul kii qabaa horaato.n ko chalne vaale rah jaa.e.n thak ke jis damummiid un kii meraa TuuTaa hu.aa diyaa hobijlii chamak ke un ko kuTiyaa mirii dikhaa dejab aasmaa.n pe har suu baadal ghiraa hu.aa hopichhle pahr kii koyal vo sub.h kii mo.azzinmai.n us kaa ham-navaa huu.n vo merii ham-navaa hokaano.n pe ho na mere dair o haram kaa ehsaa.nrauzan hii jho.npa.Dii kaa mujh ko sahar-numaa hophuulo.n ko aa.e jis dam shabnam vazuu karaaneronaa miraa vazuu ho naala mirii du.aa hois KHaamushii me.n jaa.e.n itne buland naaletaaro.n ke qaafile ko merii sadaa diraa hohar dardmand dil ko ronaa miraa rulaa debehosh jo pa.De hai.n shaayad unhe.n jagaa de
ba-haal-e-naa-shitaa sad-zaKHm-haa o KHuun-haa KHuudamba-har-dam shukaraa.n aameKHta ma.ajuun-haa KHuudamtumhe.n is baat se matlab hii kyaa aur aaKHirash kyuu.n hokisii se bhii nahii.n mujh ko gila aur aaKHirash kyuu.n hojo hai ik na.ng-e-hastii us ko tum kyaa jaan bhii logeagar tum dekh lo mujh ko to kyaa pahchaan bhii loge
chand roz aur mirii jaan faqat chand hii rozzulm kii chhaa.nv me.n dam lene pe majbuur hai.n hamaur kuchh der sitam sah le.n ta.Dap le.n ro le.napne ajdaad kii miiraas hai maazuur hai.n ham
har dam abadii raahat kaa samaa.n dikhlaa ke hame.n dil-giir na karlillaah habaab-e-aab-e-ravaa.n par naqsh-e-baqaa tahriir na karmaayuusii ke ramte baadal par ummiid ke ghar ta.amiir na kar
miraa qalam nahii.n tasbiih us maballiG kiijo bandagii kaa bhii har dam hisaab rakhtaa haimiraa qalam nahii.n miizaan aise aadil kiijo apne chehre pe dohraa naqaab rakhtaa hai
saare jahaa.n se achchhaa hindostaa.n hamaaraaham bulbule.n hai.n is kii ye gulsitaa.n hamaaraaGurbat me.n ho.n agar ham rahtaa hai dil vatan me.nsamjho vahii.n hame.n bhii dil ho jahaa.n hamaaraaparbat vo sab se uu.nchaa ham-saaya aasmaa.n kaavo santarii hamaaraa vo paasbaa.n hamaaraagodii me.n kheltii hai.n is kii hazaaro.n nadiyaa.ngulshan hai jin ke dam se rashk-e-jinaa.n hamaaraaai aab-ruud-e-ga.ngaa vo din hai yaad tujh koutraa tire kinaare jab kaarvaa.n hamaaraamaz.hab nahii.n sikhaataa aapas me.n bair rakhnaahindii hai.n ham vatan hai hindostaa.n hamaaraayuunaan o misr o ruumaa sab miT ga.e jahaa.n seab tak magar hai baaqii naam-o-nishaa.n hamaaraakuchh baat hai ki hastii miTtii nahii.n hamaariisadiyo.n rahaa hai dushman daur-e-zamaa.n hamaaraa'iqbaal' ko.ii mahram apnaa nahii.n jahaa.n me.nmaaluum kyaa kisii ko dard-e-nihaa.n hamaaraa
lab pe aatii hai du.aa ban ke tamannaa meriizindagii sham.a kii suurat ho KHudaayaa merii!duur duniyaa kaa mire dam se a.ndheraa ho jaa.e!har jagah mere chamakne se ujaalaa ho jaa.e!ho mire dam se yuu.nhii mere vatan kii ziinatjis tarah phuul se hotii hai chaman kii ziinat
aataa hai yaad mujh ko guzraa hu.aa zamaanavo baaG kii bahaare.n vo sab kaa chahchahaanaaaazaadiyaa.n kahaa.n vo ab apne gho.nsle kiiapnii KHushii se aanaa apnii KHushii se jaanaalagtii hai choT dil par aataa hai yaad jis damshabnam ke aa.n.su.o.n par kaliyo.n kaa muskuraanaavo pyaarii pyaarii suurat vo kaamanii sii muurataabaad jis ke dam se thaa meraa aashiyaanaaaatii nahii.n sadaa.e.n us kii mire qafas me.nhotii mirii rihaa.ii ai kaash mere bas me.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books