aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "faiz"
mujh se pahlii sii mohabbat mirii mahbuub na maa.ngmai.n ne samjhaa thaa ki tuu hai to daraKHshaa.n hai hayaatteraa Gam hai to Gam-e-dahr kaa jhag.Daa kyaa haiterii suurat se hai aalam me.n bahaaro.n ko sabaatterii aa.nkho.n ke sivaa duniyaa me.n rakkhaa kyaa haituu jo mil jaa.e to taqdiir niguu.n ho jaa.eyuu.n na thaa mai.n ne faqat chaahaa thaa yuu.n ho jaa.eaur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaaraahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
kuchh ishq kiyaa kuchh kaam kiyaavo log bahut KHush-qismat thejo ishq ko kaam samajhte theyaa kaam se aashiqii karte theham jiite-jii masruuf rahekuchh ishq kiyaa kuchh kaam kiyaakaam ishq ke aa.De aataa rahaaaur ishq se kaam ulajhtaa rahaaphir aaKHir ta.ng aa kar ham nedono.n ko adhuuraa chho.D diyaa
aa ki vaabasta hai.n us husn kii yaade.n tujh sejis ne is dil ko parii-KHaana banaa rakkhaa thaajis kii ulfat me.n bhulaa rakkhii thii duniyaa ham nedahr ko dahr kaa afsaana banaa rakkhaa thaa
ham dekhe.ngelaazim hai ki ham bhii dekhe.ngevo din ki jis kaa va.ada haijo lauh-e-azal me.n likhkhaa haijab zulm-o-sitam ke koh-e-giraa.nruu.ii kii tarah u.D jaa.e.ngeham mahkuumo.n ke paa.nv-talejab dhartii dha.D-dha.D dha.Dkegiiaur ahl-e-hakam ke sar-uupar
phir ko.ii aayaa dil-e-zaar nahii.n ko.ii nahii.nraah-rau hogaa kahii.n aur chalaa jaa.egaaDhal chukii raat bikharne lagaa taaro.n kaa Gubaarla.Dkha.Daane lage aivaano.n me.n KHvaabiida charaaGso ga.ii raasta tak tak ke har ik raahguzaarajnabii KHaak ne dhundlaa diye qadmo.n ke suraaGgul karo sham.e.n ba.Dhaa do mai o miinaa o ayaaGapne be-KHvaab kivaa.Do.n ko muqaffal kar loab yahaa.n ko.ii nahii.n ko.ii nahii.n aa.egaa
bol ki lab aazaad hai.n terebol zabaa.n ab tak terii haiteraa sutvaa.n jism hai teraabol ki jaa.n ab tak terii haidekh ki aahan-gar kii dukaa.n me.ntund hai.n sho.ale surKH hai aahankhulne lage quflo.n ke dahaanephailaa har ik zanjiir kaa daamanbol ye tho.Daa vaqt bahut haijism o zabaa.n kii maut se pahlebol ki sach zinda hai ab takbol jo kuchh kahnaa hai kah le
chashm-e-nam jaan-e-shoriida kaafii nahii.ntohmat-e-ishq-e-poshiida kaafii nahii.naaj baazaar me.n paa-ba-jaulaa.n chalodast-afshaa.n chalo mast o raqsaa.n chaloKHaak-bar-sar chalo KHuu.n-ba-daamaa.n chaloraah taktaa hai sab shahr-e-jaanaa.n chalohaakim-e-shahr bhii majma-e-aam bhiitiir-e-ilzaam bhii sang-e-dushnaam bhiisub.h-e-naashaad bhii roz-e-naakaam bhiiun kaa dam-saaz apne sivaa kaun haishahr-e-jaanaa.n me.n ab baa-safaa kaun haidast-e-qaatil ke shaayaa.n rahaa kaun hai
nisaar mai.n tirii galiyo.n ke ai vatan ki jahaa.nchalii hai rasm ki ko.ii na sar uThaa ke chalejo ko.ii chaahne vaalaa tavaaf ko niklenazar churaa ke chale jism o jaa.n bachaa ke chalehai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushaadki sa.ng-o-KHisht muqayyad hai.n aur sag aazaad
ye daaG daaG ujaalaa ye shab-gaziida saharvo intizaar thaa jis kaa ye vo sahar to nahii.nye vo sahar to nahii.n jis kii aarzuu le karchale the yaar ki mil jaa.egii kahii.n na kahii.nfalak ke dasht me.n taaro.n kii aaKHirii manzilkahii.n to hogaa shab-e-sust-mauj kaa saahilkahii.n to jaa ke rukegaa safiina-e-Gam diljavaa.n lahuu kii pur-asraar shaah-raaho.n sechale jo yaar to daaman pe kitne haath pa.Dedayaar-e-husn kii be-sabr KHvaab-gaaho.n sepukaartii rahii.n baahe.n badan bulaate rahebahut aziiz thii lekin ruKH-e-sahar kii laganbahut qarii.n thaa hasiinan-e-nuur kaa daamansubuk subuk thii tamannaa dabii dabii thii thakan
dasht-e-tanhaa.ii me.n ai jaan-e-jahaa.n larzaa.n hai.nterii aavaaz ke saa.e tire ho.nTo.n ke saraabdasht-e-tanhaa.ii me.n duurii ke KHas o KHaak talekhil rahe hai.n tire pahluu ke saman aur gulaab
tere ho.nTo.n ke phuulo.n kii chaahat me.n hamdaar kii KHushk Tahnii pe vaare ga.etere haato.n kii sham.o.n kii hasrat me.n hamniim-taariik raaho.n me.n maare ga.e
suno merii kahaanii par miyaa.n merii kahaanii kyaamai.n yaksar raa.igaanii huu.n hisaab-e-raa.igaanii kyaabahut kuchh thaa kabhii shaayad par ab kuchh bhii nahii.n huu.n mai.nna apnaa ham-nafas huu.n mai.n na apnaa ham-nashii.n huu.n mai.nkabhii kii baat hai fariyaad meraa vo kabhii ya.aniinahii.n is kaa ko.ii matlab nahii.n is ke ko.ii ma.aniimai.n apne shahr kaa sab se giraamii naam la.Dkaa thaamai.n be-ha.ngaam la.Dkaa thaa mai.n sad-ha.ngaam la.Dkaa thaamire dam se Gazab ha.ngaama rahtaa thaa mohallo.n me.nmai.n hashr-aaGaaz la.Dkaa thaa mai.n hashr-anjaam la.Dkaa thaamire hinduu musalmaa.n sab mujhe sar par biThaate theunhii ke faiz se ma.anii mujhe ma.anii sikhaate thesuKHan bahtaa chalaa aataa hai be-baa.is ke ho.nTo.n sevo kuchh kahtaa chalaa aataa hai be-baa.is ke ho.nTo.n semai.n ashraaf-e-kamiina-kaar ko Thokar pe rakhtaa thaaso mai.n mehnat-kasho.n kii juutiyaa.n mimbar pe rakhtaa thaamai.n shaayad ab nahii.n huu.n vo magar ab bhii vahii huu.n mai.nGazab ha.ngaama-parvar KHiira-sar ab bhii vahii huu.n mai.nmagar meraa thaa ik taur aur bhii jo aur hii kuchh thaamagar meraa thaa ik daur aur bhii jo aur hii kuchh thaamai.n apne shahr-e-ilm-o-fan kaa thaa ik naujavaa.n kaahinmire tilmiiz-e-ilm-o-fan mire baabaa ke the ham-sinmiraa baabaa mujhe KHaamosh aavaaze.n sunaataa thaavo apne-aap me.n gum mujh ko pur-haalii sikhaataa thaa
gar mujhe is kaa yaqii.n ho mire hamdam mire dostgar mujhe is kaa yaqii.n ho ki tire dil kii thakantirii aa.nkho.n kii udaasii tere siine kii jalanmerii dil-juu.ii mire pyaar se miT jaa.egiigar miraa harf-e-tasallii vo davaa ho jis sejii uThe phir tiraa uj.Daa hu.aa be-nuur dimaaGterii peshaanii se Dhal jaa.e.n ye tazliil ke daaGterii biimaar javaanii ko shifaa ho jaa.egar mujhe is kaa yaqii.n ho mire hamdam mare dostroz o shab shaam o sahar mai.n tujhe bahlaataa rahuu.nmai.n tujhe giit sunaataa rahuu.n halke shiirii.naabshaaro.n ke bahaaro.n ke chaman-zaaro.n ke giitaamad-e-sub.h ke, mahtaab ke, sayyaaro.n ke giittujh se mai.n husn-o-mohabbat kii hikaayaat kahuu.nkaise maGruur hasiinaa.o.n ke barfaab se jismgarm haatho.n kii haraarat me.n pighal jaate hai.nkaise ik chehre ke Thahre hu.e maanuus nuquushdekhte dekhte yak-laKHt badal jaate hai.nkis tarah aariz-e-mahbuub kaa shaffaaf biloryak-ba-yak baada-e-ahmar se dahak jaataa haikaise gulchii.n ke liye jhuktii hai KHud shaaKH-e-gulaabkis tarah raat kaa aivaan mahak jaataa haiyuu.nhii gaataa rahuu.n gaataa rahuu.n terii KHaatirgiit buntaa rahuu.n baiThaa rahuu.n terii KHaatirpar mire giit tire dukh kaa mudaavaa hii nahii.nnaGma jarraah nahii.n muunis-o-Gam KHvaar sahiigiit nashtar to nahii.n marham-e-aazaar sahiitere aazaar kaa chaara nahii.n nashtar ke sivaaaur ye saffaak masiihaa mire qabze me.n nahii.nis jahaa.n ke kisii zii-ruuh ke qabze me.n nahii.nhaa.n magar tere sivaa tere sivaa tere sivaa
chand roz aur mirii jaan faqat chand hii rozzulm kii chhaa.nv me.n dam lene pe majbuur hai.n hamaur kuchh der sitam sah le.n ta.Dap le.n ro le.napne ajdaad kii miiraas hai maazuur hai.n ham
is vaqt to yuu.n lagtaa hai ab kuchh bhii nahii.n haimahtaab na suuraj, na a.ndheraa na saveraaaa.nkho.n ke dariicho.n pe kisii husn kii chilmanaur dil kii panaaho.n me.n kisii dard kaa Deraamumkin hai ko.ii vahm thaa, mumkin hai sunaa hogaliyo.n me.n kisii chaap kaa ik aaKHirii pheraashaaKHo.n me.n KHayaalo.n ke ghane pe.D kii shaayadab aa ke karegaa na ko.ii KHvaab baseraaik bair na ik mehr na ik rabt na rishtateraa ko.ii apnaa, na paraayaa ko.ii meraa
sab maayaa hai, sab Dhaltii phirtii chhaayaa haiis ishq me.n ham ne jo khoyaa jo paayaa haijo tum ne kahaa hai, 'faiz' ne jo farmaayaa haisab maayaa hai
ye galiyo.n ke aavaara be-kaar kutteki baKHshaa gayaa jin ko zauq-e-gadaa.iizamaane kii phaTkaar sarmaaya in kaajahaa.n bhar kii dhutkaar in kii kamaa.ii
(1)taaza hai.n abhii yaad me.n ai saaqii-e-gulfaamvo aks-e-ruKH-e-yaar se lahke hu.e ayyaamvo phuul sii khultii hu.ii diidaar kii saa.atvo dil saa dha.Daktaa hu.aa ummiid kaa ha.ngaam
mire dil, mire musaafirhu.aa phir se hukm saadirki vatan-badar ho.n ham tumde.n galii galii sadaa.e.nkare.n ruKH nagar nagar, kaaki suraaG ko.ii paa.e.nkisii yaar-e-naama-bar kaahar ik ajnabii se puuchhe.njo pataa thaa apne ghar kaasar-e-kuu-e-naa-shanaayaa.nhame.n din se raat karnaakabhii is se baat karnaakabhii us se baat karnaatumhe.n kyaa kahuu.n ki kyaa haishab-e-Gam burii balaa haihame.n ye bhii thaa Ganiimatjo ko.ii shumaar hotaahame.n kyaa buraa thaa marnaaagar ek baar hotaa!
ham ki Thahre ajnabii itnii mudaaraato.n ke baa'dphir bane.nge aashnaa kitnii mulaaqaato.n ke baa'dkab nazar me.n aa.egii be-daaG sabze kii bahaarKHuun ke dhabbe dhule.nge kitnii barsaato.n ke baa'dthe bahut bedard lamhe KHatm-e-dard-e-ishq kethii.n bahut be-mehr sub.he.n mehrbaa.n raato.n ke baa'ddil to chaahaa par shikast-e-dil ne mohlat hii na diikuchh gile shikve bhii kar lete munaajaato.n ke baa'dun se jo kahne ga.e the 'faiz' jaa.n sadqe kiyean-kahii hii rah ga.ii vo baat sab baato.n ke baa'd
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books