aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "hamla"
sunaa hai jangalo.n kaa bhii ko.ii dastuur hotaa haisunaa hai sher kaa jab peT bhar jaa.e to vo hamla nahii.n kartaadaraKHto.n kii ghanii chhaa.nv me.n jaa kar let jaataa haihavaa ke tez jho.nke jab daraKHto.n ko hilaate hai.nto mainaa apne bachche chho.D karkavve ke anDo.n ko paro.n se thaam letii haisunaa hai gho.nsle se ko.ii bachcha gir pa.De to saaraa jangal jaag jaataa haisunaa hai jab kisii naddii ke paanii me.nba.e ke gho.nsle kaa gandumii saaya laraztaa haito naddii kii rupahlii machhliyaa.n us ko pa.Dosan maan letii hai.nkabhii tuufaan aa jaa.e, ko.ii pul TuuT jaa.e tokisii lak.Dii ke taKHte pargilahrii, saa.np, bakrii aur chiitaa saath hote hai.nsunaa hai jangalo.n kaa bhii ko.ii dastuur hotaa haiKHudaavandaa! jaliil o mo'tabar! daanaa o biinaa munsif o akbar!mire is shahr me.n ab jangalo.n hii kaa ko.ii qaanuun naafiz kar!ko.ii dastuur naafiz kar
hamla jab qaum-e-aaryaa ne kiyaaaur bajaa un kaa hind me.n Da.nkaamulk vaale bahut se kaam aa.ejo bache vo Gulaam kahlaa.eshudr kahlaa.e raakshas kahlaa.era.nj pardes ke magar na uThaa.ego Gulaamii kaa lag gayaa dhabbana chhuTaa un se des par na chhuTaa
KHauf-e-aafat se kahaa.n dil me.n riyaa aa.egiibaat sachchii hai jo vo lab pe sadaa aa.egiidil se niklegii na mar kar bhii vatan kii ulfatmerii miTTii se bhii KHushbu-e-vafaa aa.egiimai.n uThaa luu.ngaa ba.De shauq se us ko sar parKHidmat-e-qaum-o-vatan me.n jo balaa aa.egiisaamnaa sabr o shujaa.at se karuu.ngaa mai.n bhiikhi.nch ke mujh tak jo kabhii teG-e-jafaa aa.egiiGair zo.am aur KHudii se jo karegaa hamlamerii imdaad ko KHud zaat-e-KHudaa aa.egiiaatmaa huu.n mai.n badal Daaluu.ngaa fauran cholaakyaa bigaa.Degii agar merii qazaa aa.egiiKHuun ro.egii samaa par mere marne pe shafaqGam manaane ke liye kaalii ghaTaa aa.egiiabr-e-tar ashk bahaa.egaa mire laashe parKHaak u.Daane ke liye baad-e-sabaa aa.egiizindagaanii me.n to milne se jhijaktii hai 'falak'KHalq ko yaad mirii ba.ad-e-fanaa aa.egii
tumhaare lahje me.n jo garmii o halaavat haiuse bhalaa saa ko.ii naam do vafaa kii jagahGaniim-e-nuur kaa hamla kaho a.ndhero.n pardayaar-e-dard me.n aamad kaho masiihaa kiiravaa.n-davaa.n hu.e KHushbuu ke qaafile har-suuKHalaa-e-sub.h me.n guu.njii sahar kii shahnaa.iiye ek kohraa saa, ye dhund sii jo chhaa.ii haiis iltihaab me.n, is surmagii.n ujaale me.nsivaa tumhaare mujhe kuchh nazar nahii.n aataahayaat naam hai yaado.n kaa, talKH aur shiirii.nbhalaa kisii ne kabhii rang o buu ko pak.Daa haishafaq ko qaid me.n rakkhaa sabaa ko band kiyaahar ek lamha gurezaa.n hai, jaise dushman haina tum milogii na mai.n, ham bhii dono.n lamhe hai.nvo lamhe jaa ke jo vaapas kabhii nahii.n aate!
log kahte hai.n ye amn kii ja.ng haiamn kii ja.ng me.n hamla-aavarsirf bachcho.n ko be-dast-o-paa chho.Dte hai.nun ko bhuukaa nahii.n chho.DteaaKHir insaaniyat bhii ko.ii chiiz hai
vo aatii hairoz mere bahut qariibmujhe sahlaatii haigudgudaatii haiuTho... uTho...mai.n hairat aur KHushii seuse dekhtii huu.ntum kab aa.ii.n?abhii... abhii to aa.ii huu.n...vo mere siine par apnaa sar rakh detii haimere pistaano.n se kheltii haimere ho.nTo.n ko chuustii haimerii naaf ke niichebahut niiche...merii saa.ns uupar kii uupar rah jaatii haimai.n kuu.nvaariyo.n kii tarahtilmilaatii huu.nbal khaatii huu.nvo mujhe uThaatii haimere kap.De ek ek kar ke utaartii haivo merii aa.nkho.n me.n aa.nkhe.n Daal karha.nstii haiuTTho...mai.n ba.Dba.Daatii rahtii huu.naisii hii be-sudhhairat se aur KHushii seuTTho...vo merii gardan me.n baa.nhe.n Daal karkahtii haivo mujhe duur se dekhtii haiaur canvas par mirii maadar-zaadtasviir banaatii haimai.n be-sudh pa.Dii rahtii huu.nis Dar se ki kahii.n vo chalii na jaa.emai.n use Dubonaa chaahtii huu.nek hii vaar par us par cha.Dh dau.Dnaaus par bilbilaa kar hamla karnaamai.n bhii chaahtii huu.n... use aise hiiapnii giraft me.n le aa.uu.nlekin is se pahle kimai.n harakat karuu.nvo chham-chham kartiikhi.Dkii yaa darvaaze se baaharbhaag jaatii haimai.n be-sudhhairat aur KHauf seaur malaamat seaa.nkhe.n phaa.De use dekhtiirahtii huu.nvo chalii jaatii hairoz aisaa hii hotaa hai
phir mujhe aisaa lagaajaise mai.n apne se baaGii ho gayaa huu.napne hii uupar mai.n hamla kar rahaa huu.n
vo jo aasmaa.n pe sitaara haiuse apnii aa.nkho.n se dekh louse apne ho.nTo.n se chuum louse apne haatho.n se to.D loki usii pe hamla hai raat kaa
KHudaa gavaah dil ik lamha bhii nahii.n Gaafiltumhaarii yaad bhii baaqii hai dukh bhii baaqii haivo shaam-e-Gam bhii usii tarah dil pe qaa.em haivo roz-e-saKHt bhii siine me.n dard ban kar haijab ek hamla-e-dil tum pe zulm kartaa thaaaziim shahr ke markaz me.n ik udaas saa gharilaaj se mahruumtumhaare dukh me.n ta.Dapne ko dekh kar chup thaato saare shaahii mahallaat shor-e-aish me.n the
ab naazuk naazuk zehno.n par faulaadii hamla hogaashiisho.n ke paikar pighle.nge pathriilii tanhaa.ii me.n
haamila badliyo.n neapne kaTe-phaTe kinaaro.n me.nchaa.ndii kii jhaalare.n laTkaa rakhii thii.naur apnii dulaa.iyo.n ke baKHiyo.n me.nra.ngo.n kii bichkaariyaa.n chhupaa rakkhii thii.nufuq surKH thaajaise shahr ke shohdeDarpok dukaan-daaro.n parapnii dhaak jamaanena.ii kaTaa.iyaa.n kamaane par muqarrar huu.nsode kii botalo.n seek duusre par hamla-aavar huu.naur fuTpaatho.n parshiisho.n ke Tuk.Do.n seajnabii raahgiiro.n kena.nge pairo.n sesirf unnaab dastiyaab hozamiin gulnaar banebas isii tarah kaa rang aasmaan me.nkhilaa hu.aa milaaraat kii fasiil ke qariibshaam kaa muhaasara kiyepa.Daa hu.aa thaa mai.n
magar vo baahar kaa mai.nisii zaalimo.n ke lashkar sehai nabard-aazmaa musalsalkabhii vo zaalim pe hamla-aavarkabhii vo mazluum kii himaayat me.ndil-figaar o maluul o giryaa.n
diq tujh se kitaabe.n hai.n bahut karam kitaabiituu dushman-e-duzdiida hai KHaakii ho ki aabiialfaaz kii khetii hai faqat terii charaa-gaahma.anii kii zamii.n tere sab saayo.n ne daabiihone ko tirii asl hai sayyaad makii.n-gaahkahne ko faqat terii haqiiqat hai saraabiituu ne to har ik samt lagaa.ii hai.n sura.nge.npaariina ho farmaan kitaabe.n huu.n nisaabiibaadaamii ho kaaGaz to mazaa aur hii kuchh hailuqma hu.aa tahriir kaa har maGz shitaabiighun saath hii gehuu.n ke hai pista hu.aa dekhaabargashta varaq laa na sakaa tujh pe KHaraabiikyaa KHuub hai ye majlis-e-auraaq-e-kuhan bhiiviiraan kutub-KHaano.n kii diimak tirii lobyfirdausii-o-KHulduu.n kii kitaabe.n hai.n hiraasaa.nvo qil.a-e-ma.anii teraa hamla hai javaabiiparda hai KHamoshii tirii aaha.ng-e-fanaa kiibhau.nraa hai faqat kunj-e-gulistaa.n kaa rabaabiituu chaaT gayaa daanish-e-kohna kii fasiile.nbuniyaad-e-imaarat ko hai Dhaanaa tirii hobbya.adaad ke qaalib me.n hai to sifr kii taaqatsafhaat ke suuraaKH kaa be-naam hisaabiitaariiKH ke is cell me.n insaan ne paa.iiek aadh ko.ii mauj-e-nafs vo bhii habaabiibikte sar-e-baazaar hai.n maanind-e-zaGaal aajjo taaza-nafas KHvaab-e-taGayyur the shahaabiikhaa jaatii hai ik din use sab gard-e-zamaanamiTTii kii vo sahnak ho ki chiinii kii rakaabiibadlii hu.ii duniyaa me.n taGayyur kaa amal haituu kirm-e-kitaabii nahii.n ik kirm-e-KHalal hai
meraa bachcha raaham jab school se lauTaamai.n ne us se basta apne haath le kar us se puuchhaaitnaa bhaarii kyuu.n hai bastatiin kitaabe.n le kar tum school ga.e theik paanii kii botal thii aur lunch box thaaitnaa bhaarii kyuu.n hai bastabolaa baabaa mai.n kyaa boluu.nrose to ye halkaa hotaa haiaaj na jaane bhaarii kyuu.n haimujh ko kuchh tashviish hu.ii tomai.n ne us kaa basta kholaakhol ke dekhaatiin kitaabe.n nahii.n thii.n us me.n chhe thii.npaanii kii botal bhii ek nahii.n thiido do thii.nlunch box bhii do the lekin ek hii jaiseraaham kaa kuchh KHaalii thaa par duusraa puuraa bharaa hu.aa thaa
hairaan huu.nye kaun saa shahr hai'miir'-o-'Gaalib' kii dillii kabhii aisii to na thiihar galii har nukka.D par saa.np kunDlii maare baiThe hai.n yahaa.npaidaa hote hii ko.ii bhii sa.npolaDasne ke liye par tolne lagtaa haijidhar dekhiyehar jagah saa.np hii saa.np hai.nkahii.n KHuunii darvaaze ke aqab seto kahii.n dhaula-ku.aa.n ke fly over parhar jagah kunDlii maare hu.e yahaa.nhazaar-haa saa.np aise hai.njo har dam tayyaar baiThe hai.nmauqa.a milte hiivo kisii bhii narm-o-gudaaz badan konishaana apnaa banaa lete hai.napne zahriile daa.nt gaa.D ne ke liyejab vo phanphanaa kar baahar aate hai.nkisii bhii raahgiir kaa rasta rokeek damtan ke kha.De ho jaate hai.nhattaa kibuu.Dhaa naag bhii ab yahaa.napne kha.nDar me.n tan ke kha.Daa haiuse bhii intizaar haibarsaat kii us kaalii a.ndherii raat kaa haijab vo bul-havasapne kohna-mashq daa.nto.n kokisii narm-o-naazuk Gazaala partez kar sake hamla-e-KHuu.n-rez kar sakeapnii umr ke is aaKHirii pa.Daav me.n vo bul-havasko.ii vaardaat-e-junuu.n-a.ngez qayaamat-KHez kar sakeyaa KHudaaye kaun saa maqaam haikyaa ye teraa qahr nahii.n haikyaa ye vahii puraanaa shahr nahii.n haisochtaa huu.n'miir'-o-'Gaalib' kii dillii kabhii aisii to na thii
milii na maidaan kii ijaazattabhii to qaasim yaad aayaaki ek ta.aviiz mere baabaa ne KHud mire saamne likhaa thaajo mere baazuu pe ab talak bhii ba.ndhaa hu.aa haiuse ba-sad ishtiyaaq kholaato us me.n likkhaa hu.aa yahii thaaai laal ai merii jaan qaasimhusain se jab nigaah phere ye kal zamaanachahaar jaanib se hamla-var ho.n musiibate.n jabrah-e-vafaa me.n jhijak na jaanaahusain par jaan dene vaalo.n me.n sab se aage qadam ba.Dhaanaamirii taraf se chachaa ke qadmo.n me.n jaa.n luTaanaaaur apne ajdaad kii shahaadat kaa qad ba.Dhaanaahusain ta.aviiz pa.Dh rahe hai.naur un kii aa.nkhe.n lahuu lahuu hai.n
ahmad babluu baabuu salmaaek jamaa.at ke ye bachcheaKHlaaqii ghanTe me.n dekhojam.a hu.e hai.n ik ik kar kenazm-o-zabt jamaa.at me.n thaauf nahii.n kartaa thaa ko.ii bachchaye jo kahaanii kaa thaa ghanTasab ko shauq kahaanii kaa thaadekho class me.n ustaad aa.euTh ke kha.De hu.e saare bachchesab ne kiyaa salaam ab un kobachche the sab man ke achchheham aavaaz thaa har ik bachchaham hai.n kahaanii ke sab shaidaasab ne mil kar kiyaa taqaazaaham ko sunaa.iye achchhaa qissasun kar bachcho.n se ye baate.nho ga.e KHush ustaad usii dammunnuu chunnuu mannuu KHush theqaabil-e-diid hai shauq kaa aalamteacher ne jo chhe.Dii kahaaniibachche hama-tan gosh hu.e sabKHaamoshii thii har chehre parsab se kahaa ye teacher ne abek pahaa.Dii ke daaman me.nqarya ik shaadaab thaa bachchogaa.nv me.n ik charvaahaa bhii thaahaa.n vo bahut naadaan thaa pyaaroroz pahaa.Dii par vo jaataabakriyaa.n apnii KHud hii charaataadin bhar haa.nktaa vo gale koshaam Dhale ghar vaapas aataaik din us ko suujhii sharaaratrah rah kar us ne chillaayaalogo aa.o mujh ko bachaa.osher ne bolaa hai ab dhaavaalaTThe bhaale barchhiyaa.n le karbhaage aa.e log baraabarpaayaa salaamat charvaahe kokahne lagaa charvaahaa ha.ns karsher yahaa.n aayaa nahii.n ko.iiyuu.n hii sharaarat mai.n ne kii thiishukriya aap yahaa.n sab aa.eaap kii hamdardii hai sachchiimai.n ne sab ko yuu.n hii parkhaaimtihaa.n aap kii chaahat kaa thaaKHush huu.n aap kii hamdardii parmai.n ne pyaar sabho.n kaa paayaathaa ye kartab charvaahe kaaus ne ulluu sab ko banaayaamaayuusii ke saath vo lauTejhuuTaa charvaahe ko paayaa
ham par thii pyaare bachcho naanii kii mehrbaaniirozaana raat ko vo kahtii thii.n ik kahaaniiik raat ko sunaayaa barsaat kaa fasaanakahne lagii.n ki mausam ik roz thaa suhaanaathaa dekhne ke qaabil favvaara aasmaaniidariyaa se laa ke baadal barsaa rahe the paaniitaalaab ban gayaa thaa aa.ngan hamaare ghar kaaTahnii pe us kii bachcho baiThaa thaa ek totaaus ko jhulaa rahaa thaa aa kar havaa kaa jho.nkaadaalaan me.n se billii tote ko tak rahii thiilaalach me.n raal us kii goyaa Tapak rahii thiijaldii se us ne hamla parchhaa.ii.n par kiyaa jototaa na haath aayaa paanii me.n gir ga.ii vopachhtaa.ii apne dil me.n ghabraa ke aa.ii ghar me.naaKHir to jaanvar thii kaamil na thii nazar me.nbachcho KHudaa ne tum ko baKHshii hai hoshiyaariihar kaam se ho zaahir daanishvarii tumhaarii
zamii.n mujhe saath le ke dushvaar manzile.n laakho.n ghuum aa.iikaro.Do.n raaho.n ko chuum aa.iifalak ke saahir ne kitne afsuun mujh pe phuu.nkemire pas-o-pesh TimTimaate diye jalaa.edhu.e.n ke gahre hisaar baa.ndheKHudaa-e-mausam ne harba-haa-e-bahaar se mujh ko aazmaayaaKHizaa.n kii saffaak u.ngliyo.n kaa hadaf banaayaamagar mirii be-hisii ne har ek hamla-aavar kaa sar jhukaayaaisii guzargaah par huu.n istaada aur shaayad yahii.n rahuu.ngaajahaa.n se guzre dha.Dakte lamho.n ke kaarvaa.ndhiime sur me.n gaatehayaat-e-naa-paa.edaar ke marsiye sunaatemire badan kii amiiq sardii ko sard se sard-tar banaate
mai.n marne ke liye paidaa nahii.n hu.aamujh par kisii qism kaa hamlaus mu.aahide kii KHilaaf-varzii hogiijis par ek Gaibii haath aur mai.n nedastaKHat kiye theaur jis kii ruu semaut mujh par bar-haq nahii.n Thahrii thiizinda rahnaa ab meraa dard-e-sar nahii.nmai.n ye fariizataariiKH ko sau.np chukaa huu.ntaariiKH jo merii rago.n me.nzahr kii suurat daaKHil hu.iiaur ab amrit ban karmere masaamo.n seqatra qatra Tapak rahii haimaut se merii ko.ii shanaasaa.ii nahii.nmai.n us se darKHvaast karuu.ngaavo mere KHilaafkisii saazish me.n shariik na hoki mere paasmu.aahide kii jo naql mahfuuz haius par us ke dastaKHatba-taur-e-gavaah maujuud hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books